Aapka Agar Blog hai ya Youtube Channel hai to aapne Adsense ka Naam to jarur suna hoga, or aap ko uske ware me thoda bhut to pata bhi hoga ki ham usse paise kama sakte hai. Par aapke Dimag me kuch sabal hoge Adsense se Sambandhit jiska jawab shayad aapko abhi tak nahi mila ho to yaha aapko wo sare sawalo ke jabab milne wale hai.
Adsense Kya hai agar aapko nahi pata to wo aap yaha dekh sakte hai.
Adsense se sambandit mene Sabal likhe hai jo log aksar pucha karte hai ya jaanna chate hai, to aap Har sawal ko Padhe or uska jawab bhi padhe.. Me dabe se keh sakta hu aapko bahut kuch aisa jaanne or sikhne ko milega jo aapko abhi tak nahi pata tha. To Chaliye Start karte hai.
Page Contents
- Adsense FAQ in Hindi
- Adsense ke liye Apply karne se Pehle Kya kare?
- Hinglish Blog ke liye Adsense Apply karne par konsi Language select kare?
- Adsense Apply karne ke liye kitni post or Visitor hona chaiye?
- Kya Domain lekar Apply karne se Adsense jaldi Approve ho jata hai?
- Ads Blank (Khali) Q aate hai site me?
- Blogger me Post ke Bich me Ads kaise Lagaye?
- 1000 Visitor par kitni income hoti hai Adsense me?
- Google Adsense ke Faide Kya hai use karne ke?
- Ek Page par Adsense ke Kitne Ads use kar sakte hai?
- Adsense ka Floating(Screen par Fix) Ads laga sakte hai?
- Adsense Ads me Synchronous and Asynchronous ads Kya hai?
- Konse Ads Type use kare,ย Synchronous or Asynchronous Adsense me?
- Low CPC wale ads block karne se Income badti hai?
- Adsense ki Income Kaise Badaye?
- Adsense se Kitna Kama sakte hai?
- Jada se Jada kitna CTR safe hota hai?
- Block URL(Website) ko wapas kaise Unblock kare Adsense me?
- Kya ek Website par ek se jada adsense Account use kar sakte hai?
- Infolink or Adsense Ads ek Sath Use kar sakte hai?
- Kitne Paise hone par Payment milti hai?
- Adsense or Affiliate Marketing ek sath kar sakte hai?
- Agar Adsense ki kisi Policy ka Palan na kare to kitne time me Account Block ho jata hai?
- Kya Ek Adsense Account ko alag alag Website/Blog par use kiya ja sakta hai?
- Adsense CPC kaise Improve karte hai?
- Payment kab send hoti hai or kitne Din me Mil jati hai Adsense se?
- Adsense Account Verified kaise kare or PIN kab aati hai?
- Address Verification PIN Nahi Milne par Kya kare?
- Adsense me Ads ke View alagย hai Site ke Pageviews se?
- 1 Person 2 account bana sakte hai Adsense par?
- Adsense ke sath uc union use kar sakte hai kya?
- Kya Blogger me bina domain name kharide adsense account approved karaya ja sakta hai kya?
- Hosted or Non-Hosted Adsense Account Kya hota hai?
- Page Level Ads Kya hai Adsense me?
- Estimated earnings orย Finalized earnings Kya hai Adsense me?
- Youtubeย ki Income Kab add hoti hai Adsense me?
- Adsense Ads par Khud Click kar sakte hai kya, ya kisi se khe kar click karwa sakte hai kya?
- Adsense Account Approve kaise kare ?
- Adsense Term Condition or Privacy Policy kya hai ?
- Google Adsense Ads Policy Kya hai?
- Youtube Channel or Website ko ek adsense account se connect kar sakte hai ?
- Adsense Invalid Click se kaise Bache ?
- Adsense PTC website ke sath use kar sakte hai ke nahi ?
- Kya lazy load adsense se earning kam hoti hai ?
- Google Adsense Team se contact kaise kare ?
- Google Adsense Account Disable hone ke baad kya kare?
- Adsense ki Payment Daley kab hoti hai?
- Adsense Ads Limit kya hai?
- Adsense Ads Limit kaise Sahi kare?
- Agar Adsense Account me Earning nahi ho to kya wo Band ho jata hai?
- Youtube Video Monetize on Kab hota hai?
- Adsense Term and Condition kya hai in Hindi
Adsense FAQ in Hindi
Note: Kuch Sawal or Jawab aese hai jo sirf aapko jab samaj aayegi jab aap Adsense Pehle se Use karte hai, unme confuse naa ho, or agar kahi aapko kuch samajh naa aaye to aap comment karke puch sakte hai.
Adsense ke liye Apply karne se Pehle Kya kare?
Adsense ke liye Agar aap apply karne wale hai to aapko Sabse pehli baat to jald bazi bilkul bhi nahi karni hai or apni site ko puri trha se teyar karne ke baad hi Apply karna hai.
Yaha Padhe:ย Adsense Adsense Account Approved Karane ke 11 Tarike Hindi Me.Hinglish Blog ke liye Adsense Apply karne par konsi Language select kare?
Hinglish se matlab hai jese HMH par likha huaa hai. to agar aap bhi aese likhte hai apne blog par to aap Hindi select kar sakte hai.. par ye jaruri bhi nahi hai kuch logo ne english select ki thi or unke bhi account approve hue hai.
Adsense Apply karne ke liye kitni post or Visitor hona chaiye?
Kitni Visitor ho ya kitni Post ho uski koi Value nahi hai. Par aapko apply karne se phele ye dhyan jarur dena hai ki site sahi se design ho or kam se kam aap badiya 15 post publish kar chuke ho. Visitor kitne bhi ho usse site ke approve hone par koi asar nahi padta.
Kya Domain lekar Apply karne se Adsense jaldi Approve ho jata hai?
Haa, Agar aap apne blog me adsense apply karne se phele Domain add kar lete hai to adsense ki team ko lagta hai ye thode series hai Blog ko le kar to thoda faida to milta hai approve hone me.
Ads Blank (Khali) Q aate hai site me?
Jab kisi site ko adsense ke liye apply karte hai to site fully approve hone ke 2 steps hote hai. Phela Adsense ke liye apply kare fir jab approve ka email aa jata hai to hame ads code bana kar site me lagana hota hai. Fir Adsense ki team site ko visit karti hai or dekhti hai site sahi hai fir automatic ads dikhne lagte hai.
Ads ko dikhne me 1 mahine tak lag sakta hai ya fir ho sakta hai 10 minute me dikhne lage.. usme aap ya me kuch nahi kar sakte.. aap ads code laga kar apni site par dhyan de.Blogger me Post ke Bich me Ads kaise Lagaye?
Aap Chahe to Ads ke Code ko kar Post ke Bich me add kar sakte hai par usme bhut matha pachi hai or time bhi lagta hai. Aap Template me ads ke code add karke aasani se use kar sakte hai Ads ko har post me laga sakte hai.
Blogger Post ke Bich Mein Adsense Ads kaise Lagaye kahi bhiย uski jankari.1000 Visitor par kitni income hoti hai Adsense me?
Iss Sawal ka jabab me pehle ek post ke madhyam se de chuka hu.. aap usko padhe.ย 1000 Visitor Per Google Adsense Se Kitni Income Hoti Haiย uski Puri jankari detail me.
Google Adsense ke Faide Kya hai use karne ke?
Online earning karni hai to mere hisab se Google Adsense ka jabab nahi.. par aisa nahi hai aap dusre ads network bhi use kar sakte hai or Google Adsense Sabse acha hai.ย Google Adsense Use Karne Ke Fayde in Hindiย yaha diye hue hai.
Ek Page par Adsense ke Kitne Ads use kar sakte hai?
Aap EK Page me 3+3+2 ads laga sakte hai. Matlabย 3 Ad Units, 3 Link Ads or 2 Search Ads hai.
Update: Adsense ne Ads ki limit hatadi hai, aap kitne bhi bhi ads ek par par use kar sakte hai, par jada use karne se loading time badega isliye jada se jada 4 ads use kare.Adsense ka Floating(Screen par Fix) Ads laga sakte hai?
Nahi, aap nahi laga sakte. ye Google Adsense ki policy ke khilaf hai. Agar aapne aesa kiya to aapka adsense account kuch hi ghanto me block ho jayega. To aesa karne ka Soche bhi nahi.
Adsense Ads me Synchronous and Asynchronous ads Kya hai?
Dono Ads ke Type hai jo alag alag tarah se load hote hai. Chaliye dono ko dekh lete hai kaise Load hote hai.
Synchronous: Jese agar Site par 3 ads lage hai or jab site load ho rahi hai to tino ads ek ke baad ek load hoge. Matlab phele ek load ho jayega uske baad dusra ads load hona start hoga fir tisra load hoga.
[<โโโAd1โโโ>] [<โโโAd2โโโ->][<โโ-Ad3โโโ->]
Asynchronous: Site par 3ย Asynchronous ads lage hai to site load hone par tino ads ek sath load hone lagte hai. isme aisa nahi hota ki pehle ek load hoga uske baad dusra.
[<โโโAd1โโโ>]
—–[<โโโAd2โโโ>]
———–[<โโโAd3โโโ>]Konse Ads Type use kare,ย Synchronous or Asynchronous Adsense me?
Asynchronous use kare, iska faida ye hai ki sare ads ek sath load hoge to ads load hone me kam time lagega jisse site ki loading speed badegi or jo server load hota hai wo kam hoga.
Low CPC wale ads block karne se Income badti hai?
Haa, par bhut jada nahi. Jese aapko ye to pata hi hoga ki India me low CPC wale ads hi aate hai, to agar aap Low CPC wale adblock karke USA wale High CPC Ads India ke visitor ko dikhoge to koi faida nahi hoga.. To kehne ka matlab aap Ads ki jo category chahe block kar sakte hai par ye pakka nahi ki usse aapki income me badhotri ho.
Adsense ki Income Kaise Badaye?
Aap jo Ads ke CPC hai us par koi control nahi kar sakte or wo kam jyada hota rehta hai, par aap CTR ko control kar sakte hai. CTR Badhane ke liye Ads ko alag alag jagah par lagaye or uska Type or design wagera change karte rahe. Alag alag jagah ads laga laga kar dekhe ho sakta hai aapki site ke hisab se konsi sahi jagha hai wo pata karne me aapko mahino lag jaye par practical karte rahe.
Adsense se Kitna Kama sakte hai?
Ye aesa sabal hai jiska jabab sabke pass hai ya kisi ke pass nahi hai. Q ki Online kamane ki koi limit nahi hai ki kitna kama sakte hai. Jitna kaam karenge, jitne jada visitor aayege utni jada income hogi.
Jada se Jada kitna CTR safe hota hai?
CTR to jitna jada hoga utni ho income hogi ye to aapko pata hoga. Par agar aesa hone lage ki jitne bhi visitor site par aaye wo sab ads par click kare to adsense ko to lagega naa ki isne inse bola hoga ya ads aesi jagah lagaye honge ki jo visitor hai wo or kahi click kar rahe honge par ads par click ho rahe hai.. to aese me adsense account khatre me aa sakta hai.
Aap Ads Legal tarike se lagaye or usme koi chedkhani naa kare to 25% CTRย bhi safe hai Adsense account ke liye. Par agar aap Adsense ki policy ke khilaf ja rahe hai jab itna CTR mil raha hai to account khatre me aa sakta hai.Block URL(Website) ko wapas kaise Unblock kare Adsense me?
Jab koi Site Block hoti hai to usko wapas unlock karna naa mumkin ke wara war hai, Fir bhi aap Appeal kar sakte hai. Appeal karne se phele aapki site q disable hui hai uska karan jaan kar usko jarur tikh kar le. Adsense ki Puri Polices ko follow kare phele.
Kya ek Website par ek se jada adsense Account use kar sakte hai?
Haa aap kar sakte hai. Agar aap ek website par ek se jada account use kar rahe hai to aap ko use karne se pehle ek war adsense ki Policy puri jarur pad leni chaiye, q ki agar aap war war site par adsense ke account badlege to ho sakta hai aapke account block ho jaye.
Infolink or Adsense Ads ek Sath Use kar sakte hai?
Haa, aap bilkul use kar sakte hai Infolink or Adsense ko ek sath use karne me koi problem nahi hai.
Kitne Paise hone par Payment milti hai?
100$ hona chaiye jab hi Payment milti hai.. usse kam nahi.
Adsense or Affiliate Marketing ek sath kar sakte hai?
Haa, Affiliate Marketing or Adsense ko ek sath use karne se Adsense me koi dikkat nahi.. par me aapko suggest karuga aap jaha Affiliate marketing use kare yaha ads naa lagaye.. warna user aapki Affiliate link ki jagah ads par click karke wo saman kharid lega jisse aapki utni income nahi hogi jitne Affiliate Marketing se ho sakti thi.
Agar Adsense ki kisi Policy ka Palan na kare to kitne time me Account Block ho jata hai?
Iska koi Time limit nahi hai, ho sakta hai 30 minute me account block ho jaye ya fir 1 hafta bhi lag sakta hai. To Adsense ki Policy ka palan jarur kare.
Kya Ek Adsense Account ko alag alag Website/Blog par use kiya ja sakta hai?
Haa Bilkul.. EK adsense account ko aap kitni bhi website ya blog par use kar sakte hai uski koi limit nahi hai. Yaha dhiyan dene wali baat ye hai ki aap jitni bhi website ya Blog par adsense use kare unme se ek bhi aesi website nahi honi chaiye jo adsense ki policy ka palan naa karti ho, nahi to aap ka adsense account block ho sakta hai.
Adsense CPC kaise Improve karte hai?
Isme koi Direct Trick nahi hai. Adsense CPC badhane ke liye jitni bhi Money Wali Categories hai, unpar article likh kar Quality Traffic la sakte hai, jisse High CPC wali Ads aapki site par aayegi.
Payment kab send hoti hai or kitne Din me Mil jati hai Adsense se?
Ans: Adsense har mahine ki 21 tarikh ko Payment send karta hai, or uske 2-3 working day me wo paise hamari bank account me aa jate hai. kabhi kabhi aisa ho jata hai ki agar kisi adsense account me koi gadwad nazar aati hai to payment ko hold par dal dete hai par account ko check karne ke waad payment send kar di jati hai. to koi bhi farji tarike se paise kamane ka soch rahe hai adsense se to sochna band karde.
Agar Adsense se Payment sent ho chuki hai or abhi tak aapke account me nahi aai to aap apni bank se contact kare.
Adsense Payment Kyu Late ho jati hai kabhi kabhi Adsense ki uska karan yaha mene share kiya hai.Adsense Account Verified kaise kare or PIN kab aati hai?
Adsense Account ko Verify karne ke liye hamare diye hue Address par ek PIN aata hai wo hame account me dalna hota hai. Jo PIN hai wo Adsense Account me $10 hone ke baad bheja jata hai. Yaha ek baat ka jarur dhiyan rakhe apna Address bilkul sahi dale.
Address Verification PIN Nahi Milne par Kya kare?
Adsense Account ko Verify karne ke liye jo PIN bheji gai hai agar wo aapko 15 din tak nahi mile to aap Duwara PIN send kar sakte hai Adsense account me se. 3 war PIN bheje jane ke baad bhi agar PIN hamare diye address par nahi aati to Document Upload karke bhi Address Verify kara ja sakte hai. Document se Verify karne ka option 3 war PIN bhene ke baad aata hai.
Adsense me Ads ke View alagย hai Site ke Pageviews se?
Agar aap Adsense use karte hai to aapne dekha hoga ki jo Blog/Website ke Page VIews hote hai wo Adsense ke Views se alag hote hai uska karan hai ki aapne ads kaha lagaya hai or ad load hua ki nahi.
Jese agar koi visitor aaya or aapne ads site me niche laga rakha hai or wo visitor niche gaya hi nahi to us ads ka view count nahi hoga.1 Person 2 account bana sakte hai Adsense par?
Nahi, Bana sakta. Par haa Aap bana bhi sakte hai par wo ek hi persaon ke 2 account nahi rahenge. aap aisa kar sakte hai ki ek apne naam se or ek apni family member ke naam se adsense account bana sakte hai.
Adsense ke sath uc union use kar sakte hai kya?
Haa kar sakte hai, aap kisi bhi dusre ads ke sath adsense ads use kar sakte hai. Was aapko ye dhyan rakhna hai ki jo ads aapne lagaye hai wo pop up ads naa ho or adsense ke ads se thodi dur ho.
Kya Blogger me bina domain name kharide adsense account approved karaya ja sakta hai kya?
Haa Bilkul, Blogger Google ka bhi hai or Adsense bhi.. or aapne dekha hoga Blogger ke Deshboard me Adsense ka option aata hai.. Aap Bina Domain add kiye bhi Blogger me Adsense use kar sakte hai.
Hosted or Non-Hosted Adsense Account Kya hota hai?
Google ki jitni Service hai, jese Blogger, Youtube agar aap inse Adsense ke liye apply karte hai to jo account hoga wo Hosted account hoga. Matlab jo Ads aap use kar rahe hai wo unpar use kar rahe hai jo Google ke hi hai. Par agar aapki koi Site hai or aap ko uspar ads use karna hai to aapko non-hosted account chaiye.
Page Level Ads Kya hai Adsense me?
Ye Adsense ke Ads ka hi ek Type hai jo sirf Mobile par dikhte hai. Isme Website me Niche ek ads dikhta hai or kabhi kabhi agar website ki koi link open karte hai to bich me ek ads aata hai.
Estimated earnings orย Finalized earnings Kya hai Adsense me?
Estimated Earnings: Ye wo earning hoti hai jo Daily, & Din ki or 30 Din ki earning hoti hai. Ye jo earning hai usko ham fix nahi maan sakte hai kitne hi mileage.
Finalized Earnings: Ye wo earning hai jo aapki hui hai, ye har mahine ke last me add hoti hai. Jo aapki estimated earning hai agar usme kuch earning aesi hui hai jo fake click ya aesa kuch bhi to wo hata di jati hai. jo Finalized Earning hoti hai wo hi milti hai.Youtubeย ki Income Kab add hoti hai Adsense me?
Agar aap Youtube Adsense se Pause Kamate hai to aapne dekha hoga ki jo Youtube ki earning hai wo daily add nahi hoti. Wo har mahine ki 15 tarikh ko Adsense account me add hoti hai.
Adsense Ads par Khud Click kar sakte hai kya, ya kisi se khe kar click karwa sakte hai kya?
Nahi, Nahiiiii…… Agar aap Click karenge ya kisi se khe kar bhi click karwayege to aap apne adsense account ko khatre me dal rahe hai.
Adsense Account Approve kaise kare ?
Adsense Approve kaise kare, uski jankari aapko yaha milegi.. jisme bataya hai aapko kya steps follow karni hai jo aapka adsense account jaldi approve ho jaye.
Adsense Term Condition or Privacy Policy kya hai ?
Adsense Term and Condition in hindi, aapko yaha milegi.
Google Adsense Ads Policy Kya hai?
Google Ads Policy bhut hi Strick hai, jo aapko pata hona chahiye.. Adsense Ads Policy in Hindi yaha hai.
Youtube Channel or Website ko ek adsense account se connect kar sakte hai ?
Haa, aap Youtube Channel or Website ko ek hi adsense se connect kar sakte hai, or agar aap alag alag adsense account banayenge to aapke account block bhi ho sakte hai, isliye ek hi adsense account banaye or jitni bhi youtube channel or website ho ek hi adsense account me connect kare.
Adsense Invalid Click se kaise Bache ?
Invalid Click ka matlab, farji ya galti se huee, or inse bachne ka tarika hai ads aisi jagha naa lagaye jaye jaha click kisi or par kar rahe ho or ads par click ho rahe ho or khud kabhi ads par click naa kare or naa kisi ko click karne ke liye kahe.. Google usko track kar leta hai.
Invalid Click ki Report kaise kare Google ko uski jankari yaha hai.Adsense PTC website ke sath use kar sakte hai ke nahi ?
Yes, PTC yani Pay to Click.. ye aesi website hoti hai jo middle men ka kaam karti hai.. matlab user ko advertiser tak phuchane ka.. par isme aisa kuch nahi hai ki Adsense use nahi kar sakte.. wo bhi sath me dusre ads network ke use kar sakte hai.
Kya lazy load adsense se earning kam hoti hai ?
Nahi, Lazy Load ka matlab hai jab uss content ki jarurat ho jab wo load ho.. aese me agar ham Adsense ads lazy load use karte hai to jab bhi user scroll karke ads ki jagha par aayege ad load ho jayege.. to isse earning par koi asar nahi padta.. website ki loading me jarur faida hota hai.
Google Adsense Team se contact kaise kare ?
Google Adsense eteam se contact karne ke 3 mail tarike hai:
– EMail:ย adsense-support@google.com
– Contact Form
– Adsense ForumGoogle Adsense Account Disable hone ke baad kya kare?
Agar aapne ya kisi or ne aapke account me kuch bhi aesa kiya jo Google allow nahi karta to aapka account hamesa ke liye delete bhi ho sakta hai.. ab agar account delete ho chuka hai or aapne nahi kiya to kaise Google se Appeal kare uski jankari yaha hai.
Adsense ki Payment Daley kab hoti hai?
Adsense se payment 21 ko sent hoti hai, par agar uss date me holiday ho to payment late ho sakte hai.. Detail me yaha read kare.
Adsense Ads Limit kya hai?
Agar hamari website par jo user aa rahe hai, wo Ads par galti se click kar rahe, ya kuch aese react kar rahe jisse Google ko lage ki jis user ne click kiya hai usko nahi pata ki usne ads par click kiya to Adsense Ads limit laga deta hai jisse unke advertiser ko nuksan naa ho. jisme har war Page load hone par Ads nahi dikhte.
Adsense Ads Limit kaise Sahi kare?
Isko sahi karne ka sirf ek ye tarika hai, Quality Traffic laya jaye Google se.. jitna jada traffic aayega utni hi jalti ye Problem tikh hone ke chance hai.
Agar Adsense Account me Earning nahi ho to kya wo Band ho jata hai?
Nahi, ek war Adsense account approve hone ke baad, bhale usme kuch bhi earning naa ho.. wo band nahi hota.
Youtube Video Monetize on Kab hota hai?
Youtube Channel par ek saal ke andar 4000 hours Watch Time or 1000 Subscriber hona jaruri hai, jab Video Monetize karne ka option aata hai.
Adsense Term and Condition kya hai in Hindi
Adsense ki term and condition ko follow karna kitna jaruri hai wo to aapko pata ho hoga, agar aapne Adsense ke liye apply kiya hoga to.. to uske liye hame pata hona jaruri hai ki akhir Adsense term and condition kya hai.. agar aapko Hindi me Term and Condition read karna hai to aap yaha read kar sakte hai.
At Last:
Dosto ummid hai aapko bhut se sabalo ke jabab mil gaye hoge, Fir bhi agar aapka koi Sabal hai Adsense se Sambandit koi bhi to aap Comment me jarur puche.. Aapke Sabal ka jabab jarur diya jayega or usko Post me List bhi kiya jayega taki or logo ki Help ho sake.
Aapko Ye Jankari kesi lagi Comment me wo batana naa bhule.. Agar aapko kisi sabal ka galat jabab lag raha ho to wo bhi jarur bataye..
Page ko Ctrl+D dave kar Bookmark kar lijiye, Future me aap ka koi bhi sawal hua to uska jawab yaha mil jayega
Thanks
blog me adsense and affiliate dono use kar skate hai kya
Bilkul use kar sakte hai, koi problem nahi hai..
sir me abi 16 year ka hu to kya me apna youtube channel bana sakta hu ya 18 yrars k baad hi banate h plzzz bataye
aap youtube par channel bana sakte hai or usko use bhi kar sakte hai.. par agar aapko usse paise kamana hai to aapko adsense account ki jarurat padegi jo 18 year se phele nahi bana sakte .. iske liye aap aesa kar sakte hai aap apni family member ke naam se bana le.
rohitji hamari site me ads dikhane ke liye adsense ke code dalne padte he ya nahi. meri site approve ho gayi he lekin ads nahi dikha rahe he to me kya karu abhi.
aap ads code daal dijiye.. or post dalte rahe or visitor ko lane ki kosis kare.. site ka navigation acha hona chaiye..
Nice Blog
Nice blog badiya setting of website
kaise adsense walo ko pta chalega ki hmne apne frnd se ad par click karwaya hai
agar aap kisi se click karne ke liye kahege to wo ads par war awar click karege.. ya fir jaldi se ads par click karke ads ko close kar dega.. jisse koi income bhi nahi hogi.. or account ka risk bhi badh jayega..
Hi sir ji mene aapki website par buth kam ki h…. sir mera sabal ye ki hum ek AdSense account se YouTube or blog ko connect kar sakte h kya fir ya YouTube ke liye alag or blog ke liye alag alag AdSense account banana padega sir plz reply
kar sakte hai, dono me ek hi adsense account use karna hai.
Sr mere do you tub channel hai ek hi email I’d se …. Or mene dono channel ko addsense ke shath jod sakta hu
Plz help me
haa bilkul kar sakte hai..
ha aap dono ko ek adsense account se jod sakte hai
Bahi meri total earning 10 dollar h pr payment method mai detail bharne ko nhi aarhi ……
1 dear maine blog ko 16 post hotehi mera blog adsence ke liya apply kardiyaa to mera blog blank (khali) adsence dekharaha hai kya approve hone ka chance hai ya nahi ?
2 yak mera blog purani hai usme maine 30 post dala hai usme mera adsence show nahi hora hai kya ab us blog ko dubara apply karsakta hu ya nahi ? plz
bhai aapka adsense fully approve nhi hua aap aisa kare ki ads ko hatakar dusre email id se apply kare same problam thi maine aisa kia adsense approve ho gya
Brother, ads code laga kar rakhe, thoda time lagta hai kabhi kabhi 1-2 mahine tak lag jate hai, dusri email se karege usme bhi jaruri nahi jaldi ho jaye..
Hello Sir, kya Adsense individual ki jagah 2 ya jyada person ke liye apply ho sakta hai. Man lo mai ek bada blog banau jisme harroz 5-10 article post karu matlab Team work karu lekin Adsense se income to maire a/c me aayegi or mai wo paise sabhi me batunga by chance agar income jyada hoti hai to tax to mujhe hi pay karna padega. Iska kya solution hai…
Bhai mere adsence account me ek message show hua hai vo ye hai Your Payments are currently on hold . Action is required to release payment iska kya matlab h
Hello rohit ,mera Adsense account disapprove ho gya h shayad ads show nhi kr rhe hai, me ab wapis ads show kaise krwau , wapis approvekaise kru ..i mean reapply
Hello rohit ,mera Adsense account disapprove ho gya h shayad ads show nhi kr rhe hai, me ab wapis ads show kaise krwau , wapis approvekaise kru ..i mean reapply
reapply kare aap naye email id se
Sir mene adsens pe apply kiya to ye reaon bata rahe he help me kya keru me..?
Itโs important for sites displaying Google ads to offer significant value to the user. As a publisher, you must provide unique and relevant content that gives users a reason to visit your site first.
Donโt place ads on auto-generated pages or pages with little to no original content.
Your site should also provide a good user experience through clear navigation and organisation. Users should be able to click through your pages easily and find the information that theyโre seeking.
Sir mene adsens ke liye apply kiya to ye reson bata rahe he help me me kya keru.?
Itโs important for sites displaying Google ads to offer significant value to the user. As a publisher, you must provide unique and relevant content that gives users a reason to visit your site first.
Donโt place ads on auto-generated pages or pages with little to no original content.
Your site should also provide a good user experience through clear navigation and organisation. Users should be able to click through your pages easily and find the information that theyโre seeking.
Mene adsens ke liye apply kiya to ye reason bata rahe he me kya keru sir batao
Itโs important for sites displaying Google ads to offer significant value to the user. As a publisher, you must provide unique and relevant content that gives users a reason to visit your site first.
Donโt place ads on auto-generated pages or pages with little to no original content.
Your site should also provide a good user experience through clear navigation and organisation. Users should be able to click through your pages easily and find the information that theyโre seeking.
mera website netamknowledge.in hai inhe dekh kar natao ki mujhe aur kya karna chahiye mujhe email kare netammadhav@gmail.com
Hello Sir Mera Question ye hai maine ek site bnaya Tha kis par adsense approval tha bad me band ho gya.. phir maine naya website bnaya phir maine kewal adsense ka email change kiya nhi to baki dono website ke social media ka account same Number se tha ek hi gmail se dono ka sitemap search console me submit h.. To yaha kya mujhe approval mileaga ki nhi….. pls reply sir ..
agar pehle aapko approve nahi hua tha to mil sakta hai.. koi problem nahi.. par agar pehle approve mila hota to fir muskil hota.
Sir wo to disapproved tha… Sir kuch idea ho to suggest kriye and plz sir reply becuase Maine 12k ka cloud hosting purchase Kiya h and 5 domains h.. sir plz help me to overcome from this problem..sir if you have any other contact info such as social media or anything plz give me sir … Need help …
Sir mere paise barbad hone se aap bacha sakte h
Muje google AdSense ka apruval mil gya hai mene ads lgaya code copy krke post par lgaya wha only blank space dikh rha koi b add nhi to kya kre
Sir mere ek blog tha or wo permanent deleted hogaya hai to uska jobi post tha mere not book pe hai to mein dusra blog mein dal sakte hu copyright to nahi hoga naa kyuki Maine dusra blog dusra account se banaya hai
sir mai apna website banaya hu to kya google adsense ka account alag se banana hoga kya
Hello Sir,
last month mere adsense account me 118$ the. but 25 tarikh ko mujhe mere punjab national bank account me sirf 106$ hi mile. 12$ deduct kr liye gye. Kya yei pnb ne deduct kiye. mei is bar indusind bank use krne wala hoon wire transfer ke liye. Kya is se koi fark padhega?
Koi aisa bank bataye, jise adsense earning ke poore paise bank account me mile.
Hello Rohit Bhai,
me ye janna chahta hu ki me post me ads kaise show karu jaise aapne laga rakhe hai please replay this is very improtant for me :)
ACHHI JANKARI DIYA AAPNE THANKS
wakai apne bhut achi information jo har blogger ke liye jaruri hai
Sir aapke daily visitor kitne hai
Or aapki monthly income kitni hai
Please reply
bhai me youtube ko adsense se jodna chahta hu paq monetize kar diya aur adsense me your website me saveancuntinue par click karta hu to your informasion ka page hi nahi khul raha hai
Jaise kisi website me pages ko alag alag domain ke saanth add karge hai too kya adsense ko bhi alag alag approve karwana hoga.
Example : ipagal.org. me Jo pages hai us par kuch pages par filmywap.desi ki links hai..
Too mai ye janna chahta hu ki…
is me ipagal.org and filmywap.desi dono ka alag alag AdSense ka approval hai yaa sirf ipagal.org ke approval se hi sabhi pages me ad. Show ho RHA hai
Subham arsal , ap mujh she rabta kare , me ap ko AdSense account deta hun m.facebook.com/princesaim.afzal , admin sahib xory dnt mind :) help krna achi bat h
Hii.. sir
Mere 2 ? Hai
1? Mere dost ko AdSense 20000 visiter total ir par day 30-40 the fir bhi use AdSense mil gya kese
2? Mene apni site par bidvisiter lgaya hai pr uski income so nhi ho rhi hai Q
Visitor 00 ho usse bhi koi fark nahi padta.. Jab bhi approve ho jata hai..
BidVertiser me earning show hogi par muje lagta hai aapke visitor kam hoge to aapki earn in nahi ho rahi
kya meri website adsens ke layak hai ya isme kuch or improvment karne ki jarurat hai
Hey Rohit,
Kya aap bta skte hai ki self clicking ka AdSense ko kese pta chalta hai.
Unko kya pta ki mai kon hu.?? ;)
Ritik ji aap iss galat femi me naa rahe.. Aapki Internet par har gati bidhi par najar rakhi jati hai.. Kon kon si website par jate ho kya karte ho wo sab..
Yaha padhe ham par kaise najar rakhi jati hai.
Hey Rohit mera Ek problem hai -yane me Jis website ko chala rahi hu wo mere Friend ne banaye thi aur uska nam hai Rakesh mehata Uski email Id hai- teamaryan99@gmail.com use Adsense ne bhi Apply kiya hai ab uske site par Add bhi show hote hai earning bhi hoti hai so usne ab wo website muze chalane di hai kyu ki wo apne personal kamo me busy rehta hai to muze Aap batao mere 100$ pure hone ke badh Adsense money Usne die Huyi Address par jayegi right ? to mera Ethan hi kehna hai ki Es me Adsense Se muze koe problem to nahi hai kyu ki mere 95 $ complete ho chuke hai with in 40 day
Adsense jis naam se hai uss naam ke bank account me hi payment aayegi..
bahut badiya Post hai Ek Hi post me Sare question clear ho gaye.
Thanks Madan Verma ji.. Keep Visit HMH
Thanks Rohit Ji Aap Ne To Bahut Badhia Post Likha Hai Ye Is Me Bahut Se Logon K sawalon k Jawab Ap Ne Ek Jagah De Kar Bata Diya Aur Ek Request Aap Se Hai
Aap UC-Union Pe Account Kaise Banaye Kaise Kamaye Kaise Use Karen Kaise Ads Lagayen Kaise Payement Len? Is Ki Puri Jankari Wala post Likhen Kiyunki Mujhe Aap K Blog K Ilawa Kisi Ka Post Padhta Hun To Puri Tarah Se Shayad Hi Kahin Samajh Aata Hai Ummid Hai aap Jab Post Karenge To Achhi Tarah Se Samajh Jaunga So Please Aap Ek Post UcUnion pe Likhen
Thanks Nadeem ji.. me aapki is request par jarur kaam karuga..
Rohit bhai.
Bahut bahut important Q A hai…
Aap se ke sabal tha mera ki mene aapki website ki help se ek blood banaya hai ab mujhe usme domain naam add karna hai
But pahle domain name kharidna Bhi hai…
Ab kya karu
aap ye padhe:
Domain Register Kaise Karte Hai Website Ke Liye
Blogger Me Domain Ko Kaise Use Kare
Rohit ji aap ne bahot achi jankari de hai agar koi is post mai dhyan se read kare to Adsense ke sare sawal clear ho jayega.. .
ji sahi kaha aapne,.. mene puri kosis ki sabhi question ko clear karne ka..
Adsense me jo adress pehle dete hn acc9unt bnate time ux ko chenge kr sakte hn kia
haa kar sakte hai..
ROHIT sahib mene usa country ka adsense account approve krwaya adress ,number etc sab fake details k sath :) kia ab hum pin veritfy krne k liye us ka adress chenge kr sakte hn mean main apne ghar ka adress de satkta hu ab ???
haa aap kar sakte hai.. par aese me ho sakta hai aapka account disapprove ho jaye.,. q ki aapne country hi change kardi..
Hello Rohit sir, I am Nidhi. Me apki har post padhti hu and apke are article mere liye bahut helpful hote hai. apki information ki help se maine ek apni website banai hai alwaystylish.com Maine adsense me approval ke liye apply bhi kiya hai but ab tk koi reponse ni aya hai. kya aap plz meri site visit kar k mjhe bta skte hai ki kya kami hai.
Or apki ek or help chahiye thi. Me wordpress ki theme use kar ri hu to kya ap plz bta skte hai ki me apni post ka backup kaise le skti hu.
aap kisi plugin ka use karke backup le sakti hai.. or adsense ke liye aapne apply kliya hai to ab sirf wait kar sakte hai.. kitna time lagega uska kuch nahi kaha ja sakta..
kis plugin ka use kar sakti hu ap suggest kar dijiye. or apne meri website visit ki ho to plz usme kami hot to batiye.
me quick adsense plugin use karta hu..
bro koi or viewer btaye to bhi or badhiya… mujhse nhi pa rha bdi problem aa rhi hai…. ek to ye btayen ki agar mujhe apni post me 3 add lgani hai to tino ke ad code kese genrate karke aage kese kese usme add kru blog me or jo aapne lasr me btaya ki post dalne ke doran jhan jhan aapne add lgani hai vhan adsense likhe to ye bhi clear nhi hua,,,,,hal kre… bda tension h eski… koi or viewer btaye to bhi or badhiya
aap ek code ko hi 3 jagha use kar sakte hai..
par kese…. jo aapne post daali thi bich me add code daalne wali uske sare step pure kar kiye. par khin add show nhi hue blki post me vo code show hone lg gya na ki add. dusra mujhe aapke web ka drop menu mtlab, home..earning.. motivational wala page setup, uper wala wala header or jesi post dikh rhi hai 5 6 ek sath thodi thodi wali. ye m apne blog me lgana chahta hu. plz ab ka backup leker mujhe de dain or thoda sa bus etna bta dein ki aapke blog name ,page name ko apne name ke hisab se kaise add kru plz bta dijiye. bdi meherbani hogi
par kese…. jo aapne post daali thi bich me add code daalne wali uske sare step pure kar kiye. par khin add show nhi hue blki post me vo code show hone lg gya na ki add. dusra mujhe aapke web ka drop menu mtlab, home..earning.. motivational wala page setup, uper wala wala header or jesi post dikh rhi hai 5 6 ek sath thodi thodi wali. ye m apne blog me lgana chahta hu. plz ab ka backup leker mujhe de dain or thoda sa bus etna bta dein ki aapke blog name ,page name ko apne name ke hisab se kaise add kru plz bta dijiye. bdi meherbani hogi . please please btaye
Aapne jo adsense ke ads code lagaye hai unko encode karke lagana hai.. fis ads dikhege..
or meri menu ka koi backup nahi hai.. wo wordpress par hai
sir mujhse nhi ho pa rha hai… kya aap meri personally madad kar sakte hain. mai aapko blog domain ka password de deta hu aap please mere ek do changing kar dijiye aapka bada ahsan rhega. kuki m to ye kar kar ke thak chuka hu to aapse request hai ki aap mere ye 1 2 kaam kar dijiye kese bhi karke…
Bahut acchi information di aapne thanks for giving..
Thanks Ankit ji..
thanks a lot rohit sir, aapne lagbhag sabhi sawalon ke jabaw ek hi post me de daala hai. bahut achha sir.
Thanks
Rohit bhai awesome Q-A about adsense. Is post me weh saare questions ke answer ho jo ek new blogger janna chahta hain aur unke liye jaruri hote hain.
ji bilkul.. meri puri kosis thi ki me har sabal ka jabab ek hi jagha du..
Rohit bhaiโ maine apne youtbe channel per adsense account approved ker liya hai. ab me apni website ko adsense se join karna chahta hu pls help.
haa to aap kar sakte hai.. aap uske ads ke code apni site par lagaye.. phele blank ads aayege.. fir jab aapki site bhi approve ho jayegi to ads dikhne lagege.
Rohit Ji Ak Sawal…Kia hum Dosre ke Mobile/PC le kor Ads Ko Click kor sokte hoon.
1.Kia Google Ko figure Tast mil jate hai..?
Nahi…. Agar aap phele hi ye mentality bana kar jaoge or ads par click karege to wo fake click me aayega.
adsense ACCOUNT VERIFIED PIN REQUEST SEND KESE HOTA HAI…PURI JANKARI DO
Aap adsense account ki setting me jayege to aapko uska option mil jayega..
Helpful Post Tha Adsense Ke Liye.
Thanks
Good job Rohit Bhai…!! LAgbhag sabhi problems ko aapne ek hi jagah par solve kar diya..
Thanks :)
AdSense pin veritfy karne ke liye alag address mangte hain ya , wohi address jis par ap ne AdSense ka account banaya tha , ???
Nahi.. Aap apne ghar ka address ne jab account Banaye adsense par.. To wahi aayega pin
best
Re: ย @Ye Technicalย sir Google AdSense se first payment mila 100 Doller fhir Google AdSense permenltly disabled hogayas sir ,kiya payment ek bar mil nese Google AdSense new gmail id se nehi sakta hain kiya sir new gmail id se same name se sir , meine Google AdSense old delete kiya sir gmail id bhi full delete kiya sir Kiya ek bar payment mil nese dobara bana sakte hai sir new gmail id se same namse sir please respond sir ?
Bhut badia post AdSense se related sabhi ka Questions ke answer mil gye thanks rohit bro. Kya aap mere blog ko chech kar koi tips doo ge
Great
adsense ke sath me bidvertiser use kar sakte h kya??
Haa kar sakte hai.. Par Aap bidvertiser ke popup ads band karde