Android Smartphone ko Root krna aapne toh suna hi hoga agar nahi suna hai toh aap iss post me apne Android Mobile ko Root Krna Sikh jayenge. Android phone ko root krne ke baad usme bahut se changing aa jati hai . Aap apne android phone ko apne tarike se customize (Use) kar skte hai. Aap phone ke Jad(“Root”) tk ja skte hai aur apne phone ke sath kuch bhi kar skte hai.
Page Contents
Android Phone me Rooting Kya Hoti hai
Phone rooting ka seedha matlab phone ke OS ke jad (जड़) tak pahuchna hai aur usme manchahe badlaw krna. Root ke dwara aap apne phone ka Interface , Locking System , Pre-Installed App( Phle se Installed App) ko apne hisab se change kar skte hai . Basically , Phone root me jo OS yani Android Ka Software install hota hai uske jagah par Custom Android OS daalte hai .
Apne Phone ko root krne se phle aapko Rooting ke fayde aur Nuksan ke Baare me jaanna bahut hi jaruri hai . Kyuki agar aapne kisi bhi instructions ko Halke me liya toh aapka phone dead ho skta hai .Isliye aap niche diye gaye Fayde aur nuksan ko dhiyan me rkhte huye apne phone ko Root kare .
Rooted Mobile kyu hai Jaruri
Dosto Root karne se phle hume ye janna jaruri hai ki rooting kyu jaruri hai. Aapne playstore me dekha hoga ki bahut sare applications hai jo sirf rooted phone me hi kaam karte hai. Aur agar aapko phone ke sath kuch experiment krna hai toh yah sirf rooting ke baad hi possible hai hai.
Also Read: ek Mobile me 2 WhatsApp kaise Chalaye
Rooted Mobile ke Faide
Do anything( Change UI): Sbse phle agar rooting ke fayde ki baat kare toh, rooting se aap apne phone me kuch bhi kar skte hai mtlb kuch bhi. Agar aapko thoda sa Android se related Technology ke bare me pta hai toh aap apne phone ke UI( User Interface) Ko change kar skte hai.
Boost Your Phone: Aajkl ke phone me phle se hi kuch app install hote hai toh aap un aap ko Uninstall krke apne internal memory ko badha skte hai. aur aajkl playstore par Rooted phone ke aise aise software/apps available hai jinki help se aap apne phone ko High-Advance bna skte hai. Aise aap rooted phone ke liye isliye available hote hai kyuki rooted phone me apps ko Phone ke andar tk jaane ka permission mil jata hai.
Battery Life, Processor Speed: Itna samajh liye phone ko root krne ke baad aap apne phone ke sath bahut kamaal kr skte hai chahe wo Battery life ki baat ho yaa customized User Interface ki. Aap apne processor ko Overclock ya Underclock kar skte hai. Iska matlab ye hai aapka processor speed aap badha skte hai ya ghta skte hai. Ye aapke upar depend karta hai.
Ad-free App: Apne phone ke Sleep time ko bhi badha skte hai. Phone pe aane wale advertisement ko bhi khata kr skte hai. Aap custom Rom install kr skte hai. Custom ROM ko install krne se aapko Nye Nye Options bhi mil jate hai.
Toh aap dekh skte hai ki aapke phone ko root karne ke baad kitni possibilities badh jati hai.
Mobile Root karne ke Nuksan
Warranty Problem: Agar Rooting ke Nuksan ke bare me baat kre toh sbse phle baat aati hai ki Phone ki warranty chali jati hai. Kyuki Rooting me aap apne phone ke security lock ko bhi tod ke Phone ke root tk jate hai. Warranty wala mamla sirf badi company jaise Samsung ,HTC ,LG ,Sony , Motorola me hai jbki Xiaomi, One Plus jaise phone Rooting allow krti hai .
Phone May Dead: Aapko root karte samay sabhi instruction ko follow krna hota hai nahi toh aapka phone dabba ho jayega. Toh root karne se aapko dhiyan dena jaruri hai. Phone ko root krne ke baad agar aapne kisi bhi publisher ka app install kiya toh agar koi virus attack hota hai aapke phone pr toh uske jimmedaar sirf aap honge.
Only Custom OS can Install: Android ka koi bhi latest version aapko phone ke company dwara nahi milegi. Aapko custom OS mil skta hai. Jisko Aap apne phone me install kr skte hai. Aur haa rooted phone me Apko Wallet se related koi app nahi milega.
Upar jo bhi maine fayde aur nuksan btaye hai agar aapko in nuksan se koi fark nahi pdta hai aur aap apne phone ko root krna chahte hai toh chaliye mai btata hu ki aapko root krne ke liye kya krna hai. Niche diye gaye jo bhi steps hai aapko follow krne hai .
Also Read: Mobile ko Hang hone se Bachane ke 10 Tarike
Android Phone Root Karne ka Tarika
Ye to tarika hai Mobile ko root karne ka uske liye computer ki jarurat padegi, Direct Phone se kaise root kare without PC uski jankari yaha hai.
Step 1: Aap sbse phle apne PC me KingoRoot Software download kar lijiye .
Download Button par click karke kar sakte hai.
[button url=”https://www.kingoapp.com/android-root/download.htm” target=”_self” position=”Center”]Download KingRoot[/button]
Step 2: Software install karne ke baad jb aap usko open krenge toh Phone ko connect karne ke liye kahega.
Step 3: Phone ko connect krne se phle Settings me Jaakar USB Debugging ko On kr de. USB debugging ka option aapko developer Options me milega.
Note: (Agar aapka Developer Options show nahi kr rha hai toh aap Build Numbers par lagataar 7 baar Tap kare . Fir aapko About phone ke option me Developer Options show krne lgega.)
Step 4: Phone PC se connect hone ke baad Aapko ROOT krne ka option milega. Aap Root pr click kar dijiye aur Aage ke Information ko pdhte huye aage badhte jaye .
Step 5: Jaise hi Rooting Process khatam hoga. Wha par finish likh kar aa jayega Iss tarah se aapka phone root ho jayega.
Desclaimer: Phone ko root karte samay phone me koi bhi problem aane par Hindi Me Help or Meri (Rohit Mewada) ki Koi Jimmedari nahi hai. Kyuki maine aapko phle hi btaya hai ki Phone ko root karte samay aapko instructions ko pdhana bahut jaruri hai. Jo bhi karna hai aapko apne risk par karna hai.
Dosto agar aap apne phone ko root krna chahte hai aur aapko kisi bhi step me problem ho ya koi doubt ho aap sidhe comment kar skte hai.
Sir phone root hone ke bad mai phone mai virus aur phone hack ho sakta h sir agar aisa hota h to sir koi solutions bataye
Hello sir please help me
Mera samsung galaxy trind GtS 7392 model no.hai
Kya ye mobile root nhi ho sakta
Agar hota hai
To sir hhame batayen step by step please…
Hello sir mera mobil mobile samsung galaxy triend 7392 hai
Kya yah mobile root ho sakta hai
Kiya chain a mob. V root ho skta h
Kiya china mobail bhi root ho sakta h
mera mobile root nhii horaha hai q maine sb instal kiya hai jo jo ap ne bataya tha
kya rooted mobile ko unroot kar sakte hain
kya rooting ke liye custem file nessesry hai
and computer me net hona bhi plz reply me fast ……………………
Root me mobile dead hone kitna chance h
Bhai tablet root hota hai kya
King root par 70% ke baad root cancell ho jati hai… Aisa kyu hoti hai?
superuser kingoroot esa app.se root ho sakta hai phone
mera phone root nahi ho pa raha he.me kya karu? muje solutions batao.mere phone ka name samsung galaxy y gts 6102 he.
mera phone root nahi ho pa raha he.me kya karu? muje solutions batao
mera phone root nahi ho pa raha he.me kya karu?
Sir Maine meta HTC desire 820s dual SIM android mob.root kr Luta hai kingroot app se.apka bahot bahot dhanyawad..
Bt agar muze isse unroot karna ho to mai Kya karu…plzzz guide me sir.
Wi fi hack kese kre sir
wifi hack kase kare
Kya direct fon se kingo root install kar sakte hai aur isse root hoga
ji haa bilkul hoga..
Sir ji kya bina root kiye nai ho sakta
Sir mera mobile karbonn k9 smart hai me ise root kar sakta hu kya ?
bhaiyaa mera mobile lava h to usko m micromax kr skta hun kya jese m mobile ko band kiya to usme lava aa raha h kya koe aysa aps h jo band krne k bad lava hat k microx ayeh
qwerty keypad wala phone jo android nhi hai wo hi root hota hai kya
Android phone hi hote hai root
kyuMera phone xiomi 2hai par wo root nhi hai aisa kyu
aap tri karke dekhe..
sir mera phone root nahi ho raha 99% k baad phone restart ho jaa raha hai uske baad root failed likh de raha hai kaise joga mera phone root mera phone Samsung galexy star pro 7262 hai
Bhai meri help kar skte ho kya bhai
Kya hum bina pc ke root kar sakte hain
uski jankari yaha hai
maine dekha aapne apne har comment me likha hai aapke phome root hone ke bad galat chije aane phone dead ho sakta hai galat chiz matlab kya kaonsi chiz nhi honi chahiye
Hii
Bhai mera intex aqua mob rooot krna h plzz help
Sir aapake page par Jo ye rang birange partake foot rahe ye kese kiya HTML se ya any language pls tag bataye
Sir pc ke shath root ke or konse app chaiyege
hello rohit ji maine apana mobile root kiya to wo switch on hi nahi ho raha hai. aap koi upay bataye. jabki root 100% hua tha
aap service center dikhaye.. uski jankari to sahi muje bhi nahi hai.. Sorry Bro.
to virus ko clean karne ke liye koi app instal nhi ho sakta kya?? root phones mei?
Ho sakta hai..
hello sir phone root nahi ho raha h
root fail bata raha h fir
try again or conteac us for further support
Main phone ko rooted kuya to net problum araha hai iska koi solution
hello sir.
kya root hone ke baad mob me ham pytm jaisi app use kar skte hai?
aur kya root hone ke baad mob rest yani format ho jati hi
aur kya root mob. ko unrot kar sakte hai.
please hamre email par mess kar ke bataiy. himanshukumar7677 @ gmail. com
ok
Bhai kya hang mobile theek Ho skta h root karne
s
Nahi… Hang hone se kaise bache uske liye Yaha pade
sab se accha android version koun sa hota hai ??????
Lollipop hai abhi to
Koi acha sa anti virus batao sir mera mobile bhut slowly chl raha h plz tall me sir
Hello sir kya phone root karne ke bad phone ded ho sakta hai agar phone ded ho gaya to sahi nahi hoga
Kya m mere samsunGSM mobile m CDMA sim dal skta hu plz reply soon
Mene apna phone intex aqua 3g root krliya fir mene super user me Jake play store delete kr diya tha fir uske bad Mere phone me kisi b phone ka play store nhi chal RHA h plz help me sir mene intex ka b down load ki ya tha WO b nhi chala bs install ho jate h
Hi.. Rohit sir agar phone root karte samay phone dead ho sakta hen. Phone maine koi problem hon to & dead hone ke baat repair. Kiya ja sakta hen & nd koi professional nt virus jo peise se milta hen vo dala jaa sakta hen please answer. Me sir
Me apna samsung grand neo root kan raha hu par problem ye hai ki root 7 second bad fail our finish likha aata he me pc 7 kingo root app dwara kar raha hu pls help
MAI APNE PHONE ME OXIGEN WALLET BANKING APP USE KARTA HOON KYA MAI APNE PHONE ROOT KARNE KE BAAD YE APP USE KAR PAUNGA.
bhai aapne jo wifi hack karne ja app dia tha usse wifi to hach nahi hua par mobile ka wifi hi
kharab hogya yaani k ab wo on hi nahi ho raha
root phone kharab ho sakta h kya
kharab to nahi par agar koi virus install ho gaya to mobile jarur kharab ho sakta hai.
root phon kharah ho sakta h kya
kya root mobile kharab ho sakta h aur us m kaun kaun se app nahi chalnge aur mobile app update honge ni please replay
jis app ke bare me pura pata naa ho ki isse kya hota hai usko install naa kare.. baki koi dikkat nahi hai.
Kya Koi code hai Jo WiFi ko password tor sakta hai
nahi aesa koi code nahi hai.
Kya Koi ek number bathe Jo WiFi ko tor sakta hai
aesa koi number nahi hai..
sir kya me apni gionee p4s mble me root kar sakta hun ….!!!
aap check kare.. agar ho raha hoga to ho jayega nahi to nahi hoga.. bhut se new mobile nahi hote agar usme add nahi kiye gaye hai too..
Bhi mere mobilie 70% present PR KTM pher retry kia kro plz help me…………..
Aapka mobile support nahi kar raha is liye nahi ho raha
Sir kya ham phone root karne ke baad kisi ka WiFi password pata laga sakte hai aur kaise
Sir kya hum mobile root karne ke baad kisi ka WiFi password pata laga sakte hai aur kaise