Blog ko Delete or UnDelete Kaise karte hai Blogger Me

Friends Blog kaise banate hai hamne jana or ham kaise blog se paise kama sakte hai ye bhi hamne jana. Blog se agar ache paise kamana ho to, jis topic par aapne blog banaya hai usme aapka interest hona bhut jaruri hai, Agar aapka interest nahi hai to thode din baad Aap blogging karna band kar dege. Aesa aapke sath hi nahi hoga lagbhag 1000 logo me se koi 1 hi nikalta hai jo apni bloging lambe time jari rakhta hai.

blogger me blog ko delete kaise karte hai uski jaankari hindi me

Page Contents

Blogging Band karne ke kai Karan ho sakt hai,

kuch main karan blogging ko lambe time tak na karne ke me aap se share karna chahuga.

Advertisements
  • Jis topic par Blog Banaya hai usme interest naa hona.(ye sabse main karan hota hai. ham blog ko bina soche or bina apne interest ko jane blog bana dete hai.) Agar aapko apne blog ke topic par interest nahi hoga to aap new post kaise likhoge. Thode din baad aapko ye ek boring kaam lagega.
  • Suru me jis hisab se paise kamane ka socha us hisab se income naa hona. me aap ko ek baat bata du ye koi ek din ka kaam nahi. Aap paisa kese bhi kamao, Jitna paisa aap kamaoge utna kaam bhi aapko karna padega ab chahe ho hard work ho ya fir mind work.
  • Blog to banaya or post bhi badiya dali par Visitor nahi aate bhi ek karan ho sakta hai. Visitor badane ke liye bhutse papad belne padte hai. ye kuch Tips Traffic badane ki 
  • Time ki kami hona, or uski baja se blog ko update naa karpana bhi ek karan hai.

inke aalava bhi bhut karan ho sakte hai.

Aapke blog ka Address Sahi hona bhi but jaruri hai. Blog Address aesa hona chaiye jo aapke blog ke topic se relate kare or yaad rakhne me bhi aassan ho.

Me aapko bata du ki ham Blogger ke ek account me 100 blog hi bana sakte hai. To agar aapne faltu blog register kar rakhe hai to aap unko delete kar sakte ho.

Aap chahe to jo blog aapne register kiya hai uski link badal kar dusri link bhi set kar sakte ho. Blog ka Address kaise change kare uski jankari yaha hai.

Blogspot Blog ko Delete Kaise Kare

Blogger ke Blog ko Delete karne keliye in Step ko follow karo.

Step 1

www.Blogger.com me Login karo

Step 2

Jo blog delete karna hai uski setting me jao

Step 3

blogger me blog ko delete karneke liye in steps ko follow karo

  1. Blog ki Settings me jaye
  2. Other par Click kare
  3. Delete Blog ki link par click kare
Step 4

Ab aapke saamne ek popup window khulegi

blog ki post ko download karke delete kardo

  1. Agar aap apne blog ki post ko save karke rakhna chate ho to Download Blog ki button par click karke Save karle.
  2. Blog Ko Delete karne ke liya Delete This Blog ki buton par click kare.

Ab aapka Blog Delete ho chuka hai.

Delete huee Blog ko Restore kaise kare

Agar aap apne delete kiye huee blog ko wapas se restore karna chate ho to aapke pass 3 mahine tak ka time hai uske baad blog permanent delete ho jayega.

Blog restore karne ke liye Blogger ke home page par jaye. baha aap dekhege ki ek Deleted Blogs ki link bhi aa rahi hai.

Blogger ke blog ko UnDelete kaise kare.

  1. Deleted Blogs par click kare
  2. Ab jis blog ko aap restore karna chate ho uske saamne ki Undelete ki button par click kare.

Note: Deleted Blogs me blog 3 mahine tak rhata hai uske baad permanent delete ho jata hai.

Friends ab aap jaan chuke ho ki ham kaise blog ko delete or undelete kar sakte hai.

Ye Sabaal mujse mere dost Aakash or Imran ul Hassan ne mujse pucha tha. Aapko ye jaankari kaise lagi comment karke jarur bataye, or agar aapka koi bhi sabaal ho to jarur puche muje aapki Hindi Me Help karne me khusi hogi. :)

Blogger ki Puri Jankari Hindi Me

Happy Blogging!

Share on:

Hello Friends, I'am Rohit Mewada .. HMH ka Admin. Muje Logo ki Help Karna Acha Lagta hai or Is website Par Me Logo ki Hindi Me Help karta hu :)  Read More...


Leave a Comment

Please Read HMH Comment Policy before Comment.

46 thoughts on “Blog ko Delete or UnDelete Kaise karte hai Blogger Me”

  1. Me jb post likh raha tha tabhi publish par calik ho gya tha. Or mene na hi paramalink set Kiya tha or na hi search discrepation set Kiya tha. Just mene post ko editing karke paramalink set Kiya or search discrepation likh Diya. Ab problem ye h ki us post tital ke nam se search results milta h or us par click karne se home page open ho raha h. Or url https://www.example.com/search/ aa raha h.pls solve this problem

    Reply
  2. Aapne blog ko delete karne ka tarika bahut hi achhe dhang se bataya hai. Delete kiya hua blog humare blogs list me 90 dino tak available rehta hai aur hum chahein to use permanently delete bhi kar sakte hain.

    Reply
  3. Bhot hi badiya jankari diya hai aapne aapke is aarticle se hume kafi help mila hai mare ek Sabaal hai ki maine apna blog ka url address aur name badal diya hai to kya hamara backlinks aur global renk bhi sath me chala jata hai

    Reply
  4. Hello sir,
    Sir mane jo post publish kiya hai apne blog Mai Google post search nahi kar raha hai Main Kya Karoon help me
    Mera blog h
    pranveerking

    Reply
  5. Great Article. I am thankful for the details , Does anyone know where I would be able to acquire a sample SSA-521 copy to work with ?

    Reply
  6. Helpful information. Fortunate me I discovered your web site unintentionally, and I
    am shocked why this coincidence did not came about
    earlier! I bookmarked it.

    Reply
  7. Rohit G mai nya blogger hu (hindimejankari.in) please mujhe bataye ki aap ne ek line jaise likhi h
    blog delet kaise kare yaha pade or us par clic karne se uski puri detail aa jati hai ye kaise hota h please tell me.kisi bhi post ko likhte hai to ye image kahan se lete h

    Reply
  8. Bro maine website se adsense account bnaya tha aur account aprrove hogya hai maine ads code bhi apne blog me add kr diya hai ad lgaye huwe 14 din ho gye hai aur ads show nhi ho rahe hai mai kya karun.

    Reply
  9. Main ek music website kholna chahta hu. Aur use paise kamana chahta hu please sir bataye.. Main kaise paise kama sakta hu. Agar ek gana 5mb ka hai aur use 1 wayakti ne download kiya hai to mujhe kitne paise milenge aur aapne site ke liye main ads kaise le sakta hu.. Halaki abhi maine site khole nai hai laken main zarur kholunga.. Please sir madad kare…

    Reply
    • Download karne par koi paise nahi milte or naa hi isme achi income hai legal tarike se.. or ye copywrite hote hai to risk bhi hai police case ka.. mera aapko sugestion hai aesi website ke chakkar me na pade.. isme mhanat bhut jada hai or income bhut kam wo bhi farji tarike se virus download karwa kar.

      Reply
  10. sir me post dalta hu to post popular catagories me dikhti h lekin top par post nhi aa rhi sirf khali jagah he jab se mene template change ki he. tabi se ho gayi he plz sir meri problm solve kijiye.

    Reply
  11. Sir maine 2 Blog website bana dali hai usme se ek delete krna hai kaise kru aur ha mere blog website ki url mujhe kaha pr milegi.

    Reply
    • Forget password ka option aata hai login jate hay baha par. Apna email address daal kar forgot password kare. Fir aapke email par ek email aayega isme link par click karke password change kar sakte hai

      Reply
    • jo mobileke apps hoti hai uspar jo ads aate haio wo admob se aate hai.. jo mobile ke apps hote hai usko monetize karke paise kamaye ja saklte hai.. uske liye aapko app banana aana chaiye .

      Reply
  12. Kya App Btaoge Mujhe Rohit jii Ki,
    Ham Blogger Me Jo Apni Site Bnate Hai,
    Promot Krne Ke Pyese Bhi Lagte Hai, Kya agar Lagte To Kitne Lagte Hai,
    Or Isme Colium Kyese Bante Hai,
    Jyese Apki Site Me Uper Aa Rhe Hai,
    Jyese Ki” Home” “Sabaal jabaab” “Hamare Bare Me” “Tools” Contact Us”
    Yese Colium Kyese Banege” Plzz App Meri Help Kroge Is Kam Me”
    Plzzz Reply Me Fast I Wait You Reply, Plzzz

    Reply
    • Promote karne me koi paise nahi lagte or bhut log promote karne ke naam par logo ko lootte ha.

      Jo Aap Colum ka kha rahe hai bo Menu hai. or aap usko add karne ke liye apni Blogger ke layout me jaa kar link widget ko add kare fir usme jis page ko aap add karna chahe usko add karde.

      Or haa Promote karne me paise nahi lagte, to agar aap meri help karna chahe to Hindi Me Help ko apne dosto se jarur share kare :)

      Reply
    • hame blogger se paise kamane ke liye uspe ads lagane padte hai par. hamari jo income hoti hai bo blog ke visitor par nirbhar karti hai jitne jada hoge. utni jada income.

      Reply