Jab bhi koi New Blog banate hai to mene dekha hai, wo aesi bhut si chije hai jinko Ignore kar dete hai ya utni ahmiyat nahi dete ki wo bhi unke Blog ke liye kitni jaruri hai.
Abhi me Aapse 10 Chije Share kar raha hu, Jo aapko sabse pehle add karni hai Apne Blog me agar aapne abhi New Blog banaya hai. or agar aapka Old Blog hai to aap bhi Post ko read karke Jane kahi aapne bhi to ye galti nahi ki.
Page Contents
New Blog me Post Dalne se Pehle Add kare ye 10 Chije
Jitne bhi Point me bata raha hu, aap ek ek karke sabko abhi Complete kare.. agar aapne pehle se nahi kiye hue hai.. ye nahi ki abhi aap sirf Post read kare or soche baad me kar lege.
1: Website ka Name or Slogan
Jo bhi hamari website hai uska ek sabse hatke naam hona chahiye, or uski ek Tagline bhi honi chahiye.. jisse user usko read karke hamari site ke ware me samaj sake.
Jese Example: HindiMeHelp – Internet ki Jankari Hindi Me!
Aapki Blog ka jo bhi Naam, Tagline or Description hai wo aap setting me add jarur kare.. taki Google me wo sahi tarah se dikhai de.
2: Website Logo Add kare
Website ki Branding or ek alag pehchan banane ke liye sabse jada jaruri hai Website ka Logo.
Website ka Logo sabse alag hona chaiye, or aesa ki jisko agar koi bhi dekhe to unko wo yaad rahe.. kisi bhi dusre logo ki copy naa kare or naa Simple text me logo rakhe.
Aap jese Hindi Me Help ka Logo dekh sakte hai..
Agar aapko Logo banana nahi aata hai to aap Fiverr par $5 me ek badiya logo banwa sakte hai.. ya fir aap Free Logo Website se bhi try kar sakte hai.
3: Favicon
Favicon jo ki website ka icon hota hai, or Browser ki Tab me dikhai deta hai.. ye hai to bhut choti si chij par bhut kaam ki hai or bhut log ispar dhiyan hi nahi dete apne blog me.
Favicon kya hai or kaise website me add kare uski jankari yaha hai.
Blog or website par kahi bhi jana ho ya kuch bhi open karna ho to usme sabse jada helpful rehti hai Menu, jo website ke Top me rehti hai, jiski madad se koi bhi user website ko ache se access kar sakta hai.
To ye bhut jaruri hai ki website ki jitni bhi important links hai wo Menu me add ki jaye taki user aasani se website ko access kar paye.
5: Important Pages
Website banane ke baad uspar kuch Important page hai jo hona hi chahiye.. Jese About Us, Contact Us, Privacy Policy, Comment Policy etc.. Inn sabhi pages ko banane ke baad Menu me add jarur kare.
6: Social Media Page
Website ki Branding or apne user se connect rehne ke liye Social Media Page hona bhut jaruri hai, isliye aap jitne bhi popular Social Network Website hai waha par website ke page jarur banaye.
Social Media Page banane ke baad, uski links website me jarur add kare.
7: Mobile Friendly Website Design
Agar aap chahte hai apni website ko user kahi bhi or kaise bhi access kar paye to uska Mobile Friendly hona bahut jaruri hai.. Kyu ki abhi Internet par log Mobile se hi jada search karte hai..
Google ke according jo website Mobile me tujhse open nahi hoti wo uski search me top par bhi nahi dikhate..
To Mobile me site badiya se open ho uske liye Mobile Friendly Template ka hi use kare.
8: Email Subscribe Widget
Agar users se connected rehna hai or apne Post or New offers ki jankari unko dena hai to uske liye sabse jada jaruri hai unka EMail collect karna.. or EMail Collect karne ke liye EMail Subscribe Box website me hona chaiye.. taki user waha apna email submit kar sake.
Email Subscribe Box website me kaise add kare uski jankari yaha hai.
9: Website Search Box
Aap Internet par kisi bhi website ko open karege to waha aapko Search box jarur dikhega, taki site par kuch bhi open karna ho to usko search karke open kar paye.
Par mene bhut se New Bloggers ko dekha jo iss baat ka dhyan nahi dete or Search Box apni site me nahi lagate.. jiske karan unke user ko naa chate hue bhi site ko band karke jana padta hai.. to agar aap bhi ye galti kar rahe hai to abhi usko sudhare.
10: Related Post Widget
Kisi bhi post se related post dikhane ke liye iss widget ka istmal hota hai, jo post ke last me dikhai deta hai. Jisse user ko agar uss post se related dusre post read karna ho to wo waha click karke kar sakte hai.
Jese aapne ye to dekha hi hoga, ham site par bhut sare alag alag topic par post karte hai, to aese me agar user ko kisi ek topic me interest hai to wo waha se dusri post par ja sakta hai.. Jisse Website ka Bounce rate ham hone me bhut madad milti hai.
At Last:
To ab aap jaan chuke hai New Blog banane ke baad, sabse pehle inn sab chijo ko check karna hai or add karna hai.. uske baad hi Blog par Post dalna start karna hai..
Ummid hai aapko ye jankari kaam ki rahegi or agar aapka koi Blogging se related Question ho to aap comment karke puch sakte hai, me uska jawab bhi jarur duga.
AdSense approved kaise hoga?? I
Hi, Rohit!
Aapne ek baar phir se bahut hi achhi jankari share ki.
Mera bhi ek blog hai aap dekh ke btaye ki kaisa hai aur abhi kya kya improve karne ki jarurat hai.
great content of your
Aap ka yeh blog post bahut acchha hai. Mujhe is se bohat fayda hua hai
Dhanyavad
Vai me apka hindi me help 2012 se flow kar raha ho me aj vi kamyabi nai hoyi
Sir पहले की तरह अब आपके वेबसाइट पर लगातार पोस्ट पब्लिश नहीं हो रहा ऐसा क्यूं सर ?
Rohit sir me header top per logo or menu bar lagana chahta hu Jesa ki apki site per hai, kese LGA Sakta hu.
Naye Blogger’s Ke Liye Bahut Hi Anmol Information…… Thank You Sir 🙏
Maine blogger par ek blog bna rakha h, & now mai ek dusare topic par ek new blog bna rha hun.
To kya ye new blog, ek new email id se bnau ya jis email id par old blog bnaya hu use par new blog bhi bna lu
Kya shi rhega plz help
Mene apna ek blog start kiya jiske liye aapki post bahut helpful lagi. Aapka bahut – bahut dhanywaad share karne ke liye.
Hello Rohit sir Meri site check kr ke bataye Kya Kya kami hai
Sir alag alag template ka alag alag nevigation bar hota mujhe help chahiye sir
Haa, alag hota hai.. par aapko simple jo bhi uska code hai wo edit karna hai.
Lekin mere ko html nahi aata.
to aap kisi developer se karaye.
Sir aapke Pass koi Blogger ka premium best template ho to do….i need…
Aapke pehle wale to mere pass h but new jo aapne buy kia tha….plz
Nice information
Sir ek guest post submit kiya hai 2 din ho gaya… kya wo post approved hoga ya nahi bata sakte ho?
Hii Parvez, Please aap thoda wait kare.. or bhi post pending me hai.. aapki post ko review karke aapko bataya jayega..
Thanks
ye bahut he acchi jankari hai blogger ke liye kyoki ye sab apke blog par hona jaruri hai.