Is article mein main aapke sath 6 mahine mein blog ko successful banana ke tips share kar rha hu. Mere blog ko abhi 6 month hi hue hai aur ye sabhi tips mene apne blog par apply kiye hai aur aaj mere blog ka daily pageview 18000 se adhik hai.
Page Contents
6 Mahine Mein Blog ko Successful karne ke Tips
#1: Use Inspiration in Your Work
Vese to mujhe ye point sab se akhri me likhna chahiye tha par sabse pahle batane ka reason ye hai ki aapne agar blog shuru kiya hai ya blogging shuru karne ke bare mein soch rahe ho to ye point sab se important hai.
Aksar hum kuch blogs ki earning dekh kar usse inspire hote hai aur mann banate hai ki ab main bhi blogging shuru karunga. Par jadatar log karte kya hai, jis blog se inspire hue usi blog se milta julta naam le kar usi ke articles apne blog mein ghuma fira kar daalna shuru kar dete hai. Ye bilkul nahi sochte ki us topic ke bare mein knowledge hai bhi ya nahi.
Dosto jis cheej se bhi life mein inspiration mile jaruri nahi ki success ke liye aapko bhi wahi karna hoga. Aap us blogger ke idea ko nahi balki uski mehnat, dedication aur passion ko copy karo aur apne interest, knowledge ke anusar blog banao.
Aap kin kin topics par blog bana sakte hai uski list yaha hai, unme se aap dekhe ki aapka interest kis chij me hai jispar aap likh sakte hai, uspar apna blog banaye.
kisi Website se Copy karne ke kya faide hai or kya nuksan hai wo bhi aapko pata hona cjhaiye.
Chalo is baat ko technically smjhne ki koshish karte hai. Agar aap pahle se chal rahe kisi bhi blog ke articles copy paste karoge to vo google mein acha rank nahi kar payenge kyuki jo website pahle se acha kaam kar rahi hai uski page authority aapki site se kahi jada hai, aur jab aap ki posts rank nahi karengi tab aapko traffic bhi nahi milega.
Search Engine me Post ko Rank dilane ke liye ye post bhi jarur padhe:
- Google Search Results Me Top Par Kaise Laye Blog Post Ko
- SEO Se Blog Post ko Search Engine Ke Top Par Kaise Laye
#2: Focus on Content Not On Blog Design
Blogging ke shuruati samay mein bahut se blogger design par dhyaan dete hai aur jada se jada attractive banana me time lagate hai.
Mera ye manana hai ki jo visitor aap ki site par aa rha hai vo aapka content padhne aa rha hai site ka design dekhne nahi.
Ek kahawat to aapne suni hi hogi “mitthi dukan fika pakwan” aap is ka meaning bhi smjhte hi honge. Aap site ka design kitna bhi acha kar lo agar quality content par dhyan nahi doge to vo turant aapki site se chla jayega or aapka site ka Bounce Rate bad jayega jo bilkul bhi acha nahi hai SEO ki najar se.
Aesa bhi nahi ki aap apne blog ko design hi naa kare, par ek war badiya design karke Blog par Daily New Post dale.
Aap apni site me badiya Mobile Friendly, SEO Friendly Template use kare or usko badiya se setup karke apni Blog ke contant par dhiyan de or badiya SEO Friendly Post Dale.
SEO ki Puri Jankari aapko yaha Milegi
#3: Content Kaise Likhe
Naye bloggers ki sab se badi pareshani yahi hoti hai ki kya likhu. Dosto content likhne se pahle kisi notebook par kuch points likhe. Aap ko kis topic mein knowledge hai, aaj kal us topic se related latest trend kya hai. Agar aap country specific content likh rahe hai to us country mein is topic par kya chal rha hai iski jankari le.
Ab aap apne topic se related dusri sites search kare aur jane ki dusri sites kya cheej cover nahi kar rahi, aap us par focus kare, kyuki jo dusri site information pahle se hi de rahi hai aap bhi same wahi bataoge to koi fayda nahi. Visitors ko kuch naya aur different batane ki koshish kare.
Ye sirf ek example tha aap content likhne ke apne bhi tarike tyar kar sakte ho.
Also Read:
- Post Publish Karne Se Pehle Check Kare in 9 Points ko
- Seo Friendly Blog Post Likhne ke 5 badiya Tarike
#4: Keyword Relevancy
Jis keyword par post likh rahe hai usse milte julte dusre keywords ko bhi post mein shamil kare. Dusre keywords janne ke liye aap google search ki madad le aur apna keyword type kare fir jo keyword search mein suggest hote hai unhe likh le aur posts mein add kare.
Ye Bhi Padhe:
- Keyword Kya Hota Hai Aur Ek Badiya Keyword Kaise Select Kare
- KEYWORD DENSITY kya rakhe Search Engine me Top Rank Karne ke Liye
#5: Stop Spamming
Aajkal naye bloggers ek post likhte hai aur teji se uske link facebook groups aur dusre forums par post karne lagte hai. Is cheej se time ke sath aap apni energy bhi waste kar rahe ho, isse badhiya hoga ki kuch ache backlink banaye jaye, jisse site ko rank karne mein fayda hoga.
Agar aapko Apni Post Promote hi karni hai to aap ye padiye: New Blog Post ko Promote karne ke 15 Tarike
#6: Backlink Kaise Banaye
Backlinking off page SEO mein aata hai jo ki ek important part hai. Aaj ke samay mein google ne apni algorithms mein aese badlav kiye hai ki agar aap spamming karoge to vo pakad lega.
Yakin maniye dosto ye changes hum bloggers ke liye faydemand sabit hue hai, kyuki ab aap ko backlink ki quantity nahi quality badhani hai. 100 bad quality link se behtar 10 quality link hai. Aaiye backlink banana ki strategy tips padhe…
- Ek hi type ke backlink banana ki bajaye different types par dhyaan de.
- Ek din mein 5 se 7 link hi banaye.
- Rojana backlink mat banaye, beech mein 1 din ya kabhi 2 din ka gap de.
- Website ke link se behtar hai posts ke link banaye.
- Sabhi backlinks ka content fresh likhe.
- Social sites par posts share karte rahe.
Backlink Kya hai or wo SEO ke liye Q jarur hai uski jankari yaha hai. or Backlink banane ke liye Web Directory me blog ko submit kare.
Blogging Tips for Beginners
Jin logo ne abhi blogging shuru ki hai aur jo shuru karna chahte hai unse yahi salah hai ki aap jitna sikh sakte ho sikho. Sikhne ke liye google, youtube aur Social Media ki madad le sakte hai.
- Jo sikha hai uski practice bhi kare, iske liye aap ek demo blog bana sakte hai.
- Galtiya karne se ghabraye nahi, jo mistakes hui hai unke solution dhundho. Aapki mistakes aapki sabse behtar teacher sabit ho sakti hai. (New Bloggers ki 7 galtiya).
Dosto Ummid hai aapko is article me jarur kuch aesa mila hoga jiski madad se aap aapni blogging me acha karege or apne blog ko Success taraf le jayege.
Ye ek Guest Post hai, HMH.pe Guest Post karne ke liye yaha click kare
Very nice post! Very happy to read here.
maine hal hi me apka blog padhna shuru kiya hai and its really helpful
मेरी वेबसाइट helthyjeevan.com है। मिझे आपकी पोस्ट से काफी बेहतरीन जकनकारी मिली है, अपना ब्लॉग सक्सेफुल बनाने के लिए।
Mera bhi prayas hai ki aapke batayi gai jankari se mai bhi aapna blog aur upr le ja pau
Thanks, it is really helpful it clear all my questions.
Bhai Abhi to Graduation Second Year hu yar. Sabse pahle aapka hi blog aata tha .. 6 ya 7 sal pahle .
Bhai aapka blog bahut purana hai fir auro ke mukable aapka traffic abhi kam kyu hai
Regular Work nahi karpane ke karan.
Bhai aap bahut achhe blogger ho main Chhota bacha that tabse aapko Janta tha lagbhag 7 class me tha
Abhi kitne saal ke ho..?
Very very very nice information sir…👏👏👏 ….. great….👌👌👌👌
bahut acchi article share ki.
Bahut achha .aapki post bahot sulzi. Jaldi samzane vali hoti hai. Thanks.
Bahut achha information a and AAP be bataya Rohit ji
Bahut acha topic hai rohit ji is topic se bahut logo ko help milegi THanku for sharing with us
अच्छी जानकारी शेयर करने के लिए धन्यवाद
Accha post h
rohit bhai mera ek blog hai aap ek baar usko dekh bata do isame kya kami hai !
hi
Rohit ji ka blog 1years se view kor roha hu… apse mujhe bahut kuch shikhne ko mila hai …thank u aur age bhi bahut kuch shikhenge…
Rohit ji ka blog 1years se view kor roha hu… apse mujhe bahut kuch shikhne ko mila hai …thank u
Sir mene ak blog banaya he par usme template download nahi ho rahi he usme kuch aesa likha huva aata he
Custom template that mix HTTP and HTTPS may affect the security and user experience of your blog when it is viewed over HTTPS
sir me aap ka blog do month se khol rha hu hamesa mere man me ek swal rhata tha ki aap ne apne blog pe sabse phhla post kis subject ke bare me likga tha
please send link of this post.
rohit jee plz bataye….
kya me blog ek hi website PR Hindi aur English me bana sakta hu kya……??
isse CPC rate par fark pad sakta hair kya…..
hi hi rohot sir aap mera blog dekhke bataiye ki esme kya kami hai ese top laane ke liye kya karna hoga
Regular naya soikhna hoga or work karna hoga..
You write 100% facts for all newbie bloggers in the world. After reading this article I really know the importance of focusing on right way to become a successful blogger.
Thanks For Your Comment Vishal ji. :)
Nice detail bhai…
Aap please mera blog Check kar btaye ki kya kami hai usme
Nayasikhe.blogspot.in
Please…
बहूत ही अच्छी बात कही आपने ये नये ब्लॉगर के लिये काफी महत्वपूर्ण लेख है l
Thanks Amit ji..
Sir mene bahut se blogger tamplate ko check kiya hai w3 validator me pr sabhi me 300,200 error aur warning hai html,css aur xml ki kya krna chahiye yh kitni hd tk khatarnak ho sakti hai seo ke liye aur sirji bina error ke tamlate kese milega
error to aayegi hi.. aap jitna simpel use karege jisme na koi script na koi image usme kam errer hogi.
Hii sir mere site par 64 post hai but traffic 60-70 hi aata hai aap plz check kar vataye kya kami hai plz.. sir
Aap seo ke ware me padhe.. HMH.pe bhut si post likhi hai sei par.. Aapko usse jarur help. Milegi
Bro kuch puchna hai… A) blogger pr post editor me br tag ka use krna sahi h ya other Enter wala B) ya kisi other software me likhkr copy paste. problm ye hai ki mere post me savi line ki marzine 1 jaisi nahi h kisi line me 3 word h kisi line me 7 word h to kisi line me 1 word plz detail me bataiye kya Karu savi line ka marzine 1 jaisa rkhne k lie
Aap br bhi use kar sakte hai.. Koi problem nahi hai..
Aap. Post Ki kabhi bhi likh kar post editor me daal sakte hai.. Par diyan rahe uska format Sahi Ho..
Or aap ye line ka kya puch rahe samaj nahi aaya..
nice article bhai
achchi information di govind bhai . achacha tareeka hai
achchi information di govind bhai .
Super article very helpful.
Thank you dear.
wow bro nice post thanx
Bahut badhiya Jaankari Di hai aapne.. Really very informative… Thanx for sharing…
Thanks for comment :)
Rohit bhai mere blog me wordpress ka twenty sixteen name ka free theme tha jisko edit karte samay kahi mistake ho gya. ab mera blog open karne ya admin ke liye open karne par HTTP 500 ERROR likh raha hai. isko kaise thik karu.
mera domain bigrock se registered hai aur hosting bluehost india se hai.
Aap hosting cpanel me jaa kar jo aapne edit kiya tha.. Usko remove kare..
kya hame un websites ka use krna chahiye jo sirf backlinks generate krti h ????
Ki is type ki website krne se koi fyaida nhi hota h
aap kese faide ki baat kar rahe hai.. agar aap backlink ka khe rahe hai to do follow ke sath sath no follow link bhi hona jaruri hota hai..
bahut badhiya rohit ji. lajawab post.
main bhi guest post kar sakti hun kya ??
ji bilkul kar sakte hai.
Yes in this post is very useful information for rank and successful blogs
bahut badhya tips bataye hai apne bhai. har blogger agar apke bataye tips ko follow kare to 101% blogging me success milegi.
Sahi kaha aapne
Jankari kafi acchi di aapne. Par Aapki site UC me menu ka problem hai.
site UC ke hisab se banai bhi nahi hai.. usme Ads bhi block ho jate hai or java script.. aap chrome browser use kare..
very helpful post rohit… and rohit bhai please check my website aur please btao yaar kya kami hai jo google adsense approve nhi kar raha…
Mujhe sirf ek chiz samjh nahi ati. jyadatar log toh english me google par search karte hai toh fir hum hindi bloggers ka result kaise dikhega?
Keyword search kaise karte hai ye toh maine padh liya aur samjh bhi gaya par. Hindi keyword toh milte hi nahi google keyword tool par. Jaise ke agar uspe search kare “blogging kaise kare”, “android app kaise download kare” hindi ke toh uspe milte hi nahi. iska kuch upaye batiye badi pareshani hoti hai hindi keyword research me
agar aap english se compare karege hingi ko to hindi me bhut kam search hota hai..
Bahot achi post Hai Akshar New blogger Ye galtiya Karte Rahte Hai mai bhi blogging Mai New tha To galti ya ki thi or in ka sabak bhi mila tha muje
galti karne se darna nahi chaiye.. or usse sikhna hi chaiye..
mujhe blog banaye huwe 1 mahine ho gaye me 29 post publish kar chuka hu aur lagbhag saare posts google search me aa rahe hai fir bhi sirf 30-50 daily pageview aati hai pageviews badane ke liye jya karu
Aap seo ke ware me thoda Sikhne.. Ki wo kya hai kese kaam karta hai
bro h2 tag ko kitni baar use kar sakte hai ? sir page view mujhe or jada badane hai posts me kya or changes karu
jitni bhi heading hai wo h2 se de or unke andar ki heading h3 h4 se
h1 tag di hai to google search me nahin aayegi post? kya ye zaroori hai?
Hi tags aap Post ke Title me de..
Dear Rohit, आपने बहुत सही और सटीक लिखा है कि अच्छी और पावरफुल बेकलिंक जरूरी हैं ब्लॉग के लिए.
Thanks
Bhai bahut hi acha post h Thanks deepak ise hmare sath share krne ke liye or thanx Rohit bhai bahut hi Help full post h agr hum kisi.kam ko pure man se kre to wo best to hona hi jesa Deepak or rohit bhai kr rhe h
Always support #HMH
Thanks Youraj ji :)
brother Post Bhut Kaam Ki Hai Lekin Mujhe Samaj Me Nahi Aa Raha Hai Ki 18000 Daily Pageview Toh Hindimehelp Par Bhi Nahi Hai Fir Ye Kyakyukaise Par Daily Pageview 18000 Kha Se Aa Gaya . Other Ko Galat Information Provide Karke Se Phele Post Ko Edit Karke Sudar Kare
koi galat information nahi di hai.. or HMH ke usse jada hai..
#Surender
Is article mein jo bhi cheeje likhi gayi hai vo personal experience se likhi hai. Pageviews ke bare mein koi galat information nahi hai, balki kam hi likhi hai. Mujhe pagviews ke bare mein isliye likhna pda taki bloggers is article mein bataye hue tips ko seriosly le.
आप alexa में चेक कीजिये पता चल जायेगा