Aapne Apna Blog bana liya hai Blogger par or ab aap teyaar hai Apne Blog par pheli post likhne ke liye to chaliye dekhta hai kaise Post ko likh kar kaise publish karte hai.
Page Contents
Kaise Kare Blogger me Post Likhne ke liye
- Pencil ki Icon par click karke post likhe
- New Post ki button par click karke post likhe.
dono ka ek hi kaam hai. Click karne ke baad aapke saamne post editor aayega.
1: Apni Post ke liye Heading dale Post Title me
Jo Aap ki Post ka Title (heading) hai wo NewsPaper ki headline ki trha honi chaiye, Jisko padne ke baad samaj aa jaye ki is post me kya hai.
2: Apni Post likhe Bade Hisse me
Ab aap apni Post likhe uske liye kuch tips hai –
- Chote chote paragraph me post likhe
- Kam se kam ek Image jarur use kare Post me. Stock Image sabse Best hai.
- Kam se kam 300 sabd ki post jarur likhe. Isse hamare blog ko Search engine me faida hota hai.
Friend ye to sirf basic idea hai kaise Post kare. iske bareme me aage detal me bataoga kis trha se post likhe ki Google usko pasand kare.
Agar aapko Post Editor me kya kya option hai or unko kaise use karte hai wo nahi pata hai to aap yaha dekhe.. Blogger post Editor ki puri jankar share ki hai.
Search Description bhi add kare post me – Yaha pade kaise Enable kare Search Description Post ke liye
sir m apna site banana chahata hu blogger per pese kamane ke liye wo kya h ki sir m garib pariwar se hu or m apane dam per hi study karna chahata hu sach m sir m parhana chahata hu plz muje addwise dijiye sir plz
Hello, Rohit bhai.
mene blogger pe ek site banaya hai..
goodnews.com. But isko mere smartphone se Design kaise karun samajh me nhi ata..
jab me New blog! pe click karta hun.. to 1st Title —- then Address , Templates ….. yeh sab dikhati hai. To please mujhe iske bare me details batayi ye.
.
Aur ek baat..
mene Blogger ki ek android app installed kar chuka hun. But uss app ko open karne k liye uski icon pe click karun to Email id mangti hai.. aur me jab mera blogger banaya hua Emai enter karta hun to Isme koi v blog nhi banaya hai… aese batata hai..
.
.
me yeh blogger k bare me nhi janta so..please mujhe details me Reasons batai ye.
bhai yaar mai ne har step pura kiya phir bhi meri traffic nahi badi aap mera blog dekho
mera adsense account abhi tak approve nahi hua to kya mai kuchh samay ke liye iska use band kar sakta hu. or tab tak chitika ko use karna chahta hu, kyoki chitika me mujhe abhi success hone ke chance najar aa rahe hai mujhe usme impression show ho rahe hai . or mai adsense ke liye 6 month ppure hone ka intjaar karna chahta hu jisme aadha samay to nikal hi gaya hai, to aap hi bataye ki mai kya karu or kya nahi plz help me
Comment:aap ka post bahut aa6a hai plz batay na ki jaise ki aap ne hindimehelp me aap logo ki help kar rahe ho waise hi mujhe nepali blog banani hai kya mai nepali blog bana sakta maibhi neqal me logo ko help kar k paise kamana chahta hu mujhe help me bhut khusi milti hai ab mai online logo ki help kar na chahta hu plzzz…..
hii sir me Aapka bohot bada friend hu.blogging ki jankari mobile ke liye konsi post he.plz reply me
hello sir me aapka bohot bada friend hu.sir blogging ki puri jankari mujhe kaise milegi.plz reply me sir
Sir maine Blogger par account bana diya ha aap mujhe btaye ki main appna songs kaishe chadhaun
bhai mana ek bloger pr side banaye ha mana usko adsense sa connect kiya ha pr adsense account pr hosted account(?) likha aa raha ha ma kya kru plzzz gelp kro
rohit bhai mana ek side nanaye ha usko mana adsans sa connect kiya ha pr adsans pr hosted account (?) dikha raha ha ma kya kru plzzzz muja bataye
rohit bhai mana ek side nanaye ha usko mana adsens sa connect kiya ha pr adsens pr hosted account (?) dikha raha ha ma kya kru plzzzz muja bataye
Me ek websites start krna cahta hu .PR usse pese kese kmaye jayenge ye btawo na sir .plz
Maine WordPress pe free me website bnaya hai to ab first post kaise kru
Maine WordPress pe free me account bnaya hai to ab first post kaise kru
mai apne blog mai jis topic pai artical likhuga usme us article sai related photo kese add karu plz shai sai batana
sir post ko google pe kaise laye
Sir blog me gane kaise post karte hai
blogger me hame hosting nahi milti to ham usme kuch upload nahi kar sakte.. uske liye aapko hosting ki jarurat padegi..
rohitji muje bhi reply kr diya kro blog m images web s copy kr sakte h kya ya khi or s leni h
copywrited image se dikkat ho sakti hai.. aap free image use kare
rohit bhaiya, mene vidveriser pr a/c bna rha hu husme jo url link bharna padta hai to usme mene mera blogs open kiya or bad me jo titel bar/serch bar me jo likha huwa hai http/// vo pura link copy karke url me paste kar diya next me sari details bhri , or last me jb me verify karta hu tb problam aati hai mismatch is type hai help
Bhai jab bhi me apni post me kisi dusri post ki ya website ki link add karta hu aur publish karta hu par meri post me di gai link par jab click karte he to link me dali gai website ya post open nahi hoti aur browser error bta deta he. Aesa kyo,
Mujhe lagta hai ki aapke browser me koi problem hai isliye apne browser ke cache aadi ko clear karke dubara dekhe.
sir mane ek bolg bnaya h cricmovie7 ka name se or ab mujhe isma cricket or movie se sambandit kuch post daalni h to mai ab kya kru sir kya mai cricket ka score isma add kr sakta hu or movie daal sakta hu
Sir plzzz mujhe ye btaye ki ek post se humare reader dusri post PR aasani se pahuchte h.
Jaise ki Hindi m help k liye yha click kre.
Ye kaise bnate h.
I mean ek post she dusri post PR Jane k liye link Kaiser bnate h
Post likhte samay Upar aata hai link add karne ka option.. Aap post ki link k copy karke add kar sakte ho.
Rohit bro…. mene blog to banaya but me… usme link daalna chaahta hu…. jese mughe koi facebook par add karne k liye yaha par clik kare is taype ka yaha clikkarte hi meri facebook profile aa jaaye… ? Mobile k liye bata na
hello sr. main ek wallpaper ke website k liye ek free template download kiya. usme pehle se label lge the unko maine change kiya lakin av main un label ke andar post karna chahta hoon to main kaise karoon, /aap mera website dikh k bataye spacialwallpaper.blogspot.in
bhai mai v sit bnana chahta hu to suru kaha se kru..
Blogger par banao
Sir m ek document ka tutorial bnana xhata hu kese bnao plz help me sir
Or riply gmail pr krna
New site ko search me aane me thoda time lagta hai.. Thoda wait kare..
rohit bhaiya maine apne fb group me privacy ko closed kar diya uske bad bhi sabhi member post kar dete hai .
jabki mai chahta hu mujhe approve karne ke bad kisi ka post dikhe but aisa nahi ho raha hai kya problem hai.
please help me bhaiya
uski setting niche aati hai..
SIR MEIN YE PUCHANA CHAHATA HOON KI AAP NE YE FACEBOOK KA WALLPAPER KAISE LAGAYA PLZ TELL ME DO MAIL .
mere blog me www add kyu nhi hua sir..
jabki Maine to search console me blog add kiya hai..
mera blog pkhjd.blogspot. com is tarha se open hota hai vo bhi Google me open nhi hota…
http://www.pkhjd.blogspot.com is tarha open hone k liye kya karu…
search console me sitemap bhi add kiya hai
is trha se nahi hoga, q ki aaka jo blog hai wo main domain nahi hai.. subdomain hai blogspot ka.. to isme www nahi aayega.. agar aap domain add karege to hi aayega.. uski koi jarurat bhi nahi hai wese.
dear sir maine web banai hai bt kya post kare samj nai aa raha hai kuch idea dijiye plz
Dear rohit ji,
kaya pahle ms word par type karke or bad m blogger m paste kar saktu kaya or koi issuie to nhi hoga isa karne se pls reply
haa aap aesa kar sakt hai.. par agar aapke pass net rhata hai to aap direct hi post editor me likhe taki image bagera sahi se upload ho sake.. baki koi dikkat nahi hai.
Maine website to baa li lekin blogspot hatni hain aur ads kahan se milenge
blogspot hatane ke liye Domain add karna hoga
Ads ke liye Bidvertiser ke ads laga sakte ho
Bhai ak baat batahiy aap apne website se kaise money kamate hai or aap apna template kaha se banway hai bhai ans jarur dene plz
me meri site par ads se paise kamta hu
meri site ka template mene kharida hai, Meri site wordpress par hai..
sir hamara sabal hai ki hum blog par letest job, result, answer key, & cutt off etc. blog me dalna chahte hai yahi post hame pasand(interset) hai. uske liye kya kya karna hoga. sir jankari step by step se bataye.
thanking you
Usme sabse Jada scope bhi hai.
Aap simple apna blog banaye or post kare labels jarur add kare
sir mene blog to bana liya hai lekin mai us blog me photos or video kese post karu
jab post likhte hai to post ediot me upar aata ata hai option.. Sirf Computer me
sir phone me b dikhti hAI.
Bhai mujhe ak dikat h bo ye jab main apni website ke socail wedget ko per click karta hun to sory this page is’t abilble so plz help me and fb page me bhi prblm ati h asa kyn like karta h to like error bata deta h kyn
Sie mera menu bar main pura catagory nahin aaraha hai,kuch catagory to menu bar ke niche aagaya hai.usko kaise arrange karna hai.aap jawab jaroor dena sir.is se pehile bhi bohat sawal ka jawab abhi tak nahin mla.
Rohit sir ek bat btayen k agar ham apne blog par koi aisa content dalte hain(yani aisi jankari) jo google pe pehle se maujood hai, lekin woh kisi aur bhash me hai, ya woh bohot mushkil hindi me likhi hai jo aam logon ko samajh nhi ati. To kya agar ham woh jankari apne aasan alfaaz aur apni zuban me aur apne triqe se changing krke likhen to kya woh bhi copy paste mana jayega. Jabki hamne us article ko ya us jankari ko ek naye dhang se likha ho. Please zaroor btayen…
agar aap bilkul naye tarike se daalte ho to copy nahi khalayega, par agar koi aesi jaankari hai jisko site owner ne bhi banaya hai to aap uska creatid de sakte ho ki muje iske idea yaha se mila isse Google or jada pasand karta hai site ko
bhai 10 video ko 1 sath monotize or adsense se kause jodte h
Adsense se sirf ek baar aapko apni youtube chanel ko add karna hai, Fir aap direct hi Video ko monetize kar sakte ho Video ki seting me se.
Sir title me link kaise jodte hai.
Mera mtlb ki jaise aap apne post ke beech me “account banane ke liye click karo” ab post ka item.
Mtlb post ke beech me dusre post ka title dalna.
Aap jisme link add karna chate hai us sabd ko selec karke link ka icn hai uspar click kare. post editor me upar diya hota hai. Computer me hi aata hai ye option
mene ek site open ki tricksfire.in , ek baar ap bhi open kare. isme site open karte hi 3 aeroplane aate hai or bharat ka flag bana dete h. ye kese banaya. pls rohit bhai reply must… pls
Aap meri site par bhi dekh sakte hai :) Kaise add kare uski post me jald daalta hu.
Sir mene website banai he
shivbhadoriya.blogspot.com
Isme mujhe blogspot hatana he to pls help kare.
Sir ek request he plsssss
Isme mujhe samajh nahi aa raha msg karne me
To pls mera whats app no.7509168935 Isme bata do pls pls pls pls pls sir
ap pehle apna ek domain purchase kare
Sir aap mujhe apana whatsaap no send kare help me yr
Asa to nhi h han lekin bo image subse badhi h chaliye koi baat nhi main ak baat kahana chahunga ki HMH ak bahut achi site h kuch khas sikhne k liye acha to aap ye bata do ki blog me menu kaise jodhe jaise man lo main apk blogger section me jata hu to kebal us se reletd hi post ayen other na ayen
sir me is site sep paisa kese kma skta he.www.djhomemusic.wapka.mobi
ye kya aapki website hai ya or kisi ki, agar or kisi ki to aap isse pase nahi kama sakte. agar aapki hai to aap ads ke jariye kaa sakte hai par me aapko suggest karuga ki aap blogger par banaye apni website.
Achi post hai
Sir meri prblm ye ki jab bhi main apna link socail midia ko as fb per share karta hun to mere link ki post se bo imge dikhti h jo maine post me use ki hai to plz sir mere blog ki image meri pansd ki dikhe iske liye mujhe kya karna hoga
jo sabse pheli post hogi wo dikhti hai. Share karne par
Nhi sir 2nd wali post k andar ki bo image dikati h sabse kharb h use maine ex. Dekar smjhaya tha us post me aur bhi achi images hai lekin dikhti bo h asa kyn plz sir bataoo na
Wo Image Post me sabse upar hogi
hi Rohit ji………. mujhe a jan ke kushi hua ke aap logo ka help karna chatye ho…. mai ek computer hardware engineer hu par mai chati hu ke ek sotfware banau to kya aap bol saktye ho kon sa website me mujhe iska jankari melega….
youtube channel code with harry search kijiye
sir jab me bidversiter me account open karta hu to aapne kaha ki ad new bidversiter par click karo ekin ye option nai aa raha
Sir plz help me sir home k pas jo menu hote h jaise makemoney etc ex.apke blog me main jab blogger section me jata hun to sari post usi k khul jati h ye kaise hota h plz sir g mujhe bata do
bhai,
yeh aapka template ka kya name hai
kis template ki baat kar rahe hai aap. meri site wordpress par hai or meri site ki theme ka naam Minimalist hai