Blogspot Blog ki HTTPS Chalu karke Security badaye

Hello Bloggers, Agar aapka Blog Google ke free platform par hai to aapke liye ek khus khabri hai, Blogger.com ne abhi HTTPS ki setting di hai Blogspot blog ke liye jinki madad se ham apne blog ko secure kar sakte hai.

Blogspot Blog ki HTTPS Chalu karke Security badaye
Image Source: threatpost

HTTP ki jagha HTTPS use karne ka kya faida hai

Simple sabdo me kahu to isse site ki security me ek or layer ban jati hai or apni site or jada secure ho jati hai apne blog ke visitor ke liye. ye kuch faide hai HTTPS use karne ke

Advertisements
  • Isse hame check karne me madad milti hai ki hamare visitor ke pass sahi website khul rahi hai, nahi to kya hota hai ki hamari website ki kuch virus aane ki baja se dusri website par redirect ho jata hai.
  • Agar koi hamari site ko hack karke uska data badalne ki kosis karta hai blogger par apne visitor ko dikhane ke liye to hame pata chal jata hai.
  • HTTPS ki madad se dusre logo ko khatin padta hai hamare blog ke visitor ko track karne me or uski information nikalne me.

Or jankar ke liye Google par pade. Simple sabdo me sirf ye khana chahuga, Agar aapka Blog Blogspot domain se hai to isko jarur activate kare.. isko koi bhi nuksan nahi hai, faida jarur hai :)

Agar aap HTTP hi use karte hai to koi Hacker agar aapki site ko hack karke uska data badal sakta hai, or jo hamare blog par visitor aayege uski jankari bhi chura sakta hai.. jese maanlo agar wo email se subscribe karne ke liye form bhara to hamari site se subscribe karne kija wo kisi dusri site se subscribe ko jayega..

Also Read: Blogspot Blog ki security Badaye or Hacker se bachaye

HTTPS kaise On Kare Blogspot Blog me

YE bhut hi Simple Process hai, bas hame HTTPS ke option ko on karna hai blogger ki setting me.. Chaliye dekhte hai kaise.

Step 1: Blogger.com me Login kare.

Step 2: Apne Blog ke dashboard me Jaye fir uski Setting me jaye.

Step 3: Settings >> Basic >> HTTPS settings par jaye. Fir HTTPS Avilability ko Yes select kare.

Blogger ki setting me ja kar HTTPS ko on kare security badane ke liye

HTTPS avilability ko Yes karne ke baad aapka blog ka jo address kesa khulega

https security ke baad kaise khulta hai blog

Kabhi bhi aap chaho to isko band kar sakte to setting me ja kar.

Note: ye ji HTTPS ka future hai wo sirf free blogspot address ke liye hai, agar aapne apne blog me custom domain add kiya hai to aap yaha se isko on nahi kar sakte.

Ummid hai aapko ye jankari pasand aai hogi or agar isse sambandit koi sabal hai to aap comment karke puch sakte hai.

Blogger ki or jankari ke liye www.HMH.pe/Blogger par jaye

Ye Post bhi pade:

Share on:

Hello Friends, I'am Rohit Mewada .. HMH ka Admin. Muje Logo ki Help Karna Acha Lagta hai or Is website Par Me Logo ki Hindi Me Help karta hu :)  Read More...


Leave a Comment

Please Read HMH Comment Policy before Comment.

144 thoughts on “Blogspot Blog ki HTTPS Chalu karke Security badaye”

  1. hello Maine abhi haal hi me ek blog bnaya hai weebly.com ki madad se aur ek post bhi likha weebly ki taref se mujhe ek https kerke link mile hai mai us per click kerke apna post read ker pata hu to mujhe ye janna hai li mai bina link ke Google pe apna post kaise serch kare maine post ko public kiya hua hai

    Reply
  2. Rohit bro aaj aapne mere comment b delete kr diya aur response b nahi diya kya mai aapko acha nahi laga bro tell me pls ager nahi tou bata dou bro mujhe tou aapki help ki jaroorat thi

    Reply
    • Google search console me add karke ham apne site ko google se connect kar dete hai.. Fir agar Hamari site par koi bhi aesi chij hai jisse hame google me Nuksaan ho sakta hai to uska Notification aa Jata hai search console ke account me.

      Reply
  3. ROHIT G MUJHE CONFIRM HAI KI AAPKA TIME BOHAT KEEMTI HAI”
    AGER AAP THORA SA TIME NIKAAL KAR HAME KUJH WHTSAAP PAR BAAT KARE TOU HUME KHUSHI HOGI ROHIT G PLSE .. TALK TO WITH ME ON WHTSAAP OR PHONE MY NO = IS 987649513 OR PLS GIVE ME UR NO I HOPE U UNDERSTAND ME ,,

    Reply
  4. ROHIT MUJHE BATAO KI KYA MAI AGGER BLOGGER ACCOUNT OPEN KRU TOU MUJHE KYA MIL SAKTA HAI AND KYA KYA BENIFIT HO SAKTE HAI MERE BRO G HAMARI B THORI HELP KRO NA MUJHE AAP KI HELP KI JAROORAT HAI MERE 22 PLS CALL MR ,,, PEHLE MERI ISH BAAT KA RESPONSE DOU FIT MAI AAP SE KUJH AUR BAAT KARTA HOON …..

    Reply
    • aap blogger par apna blog bana sakte ho free me or usme aapko jo aata hai wo aap duniya se share kar sakte ho.. or agar ache visitor aane lage aapke blog me to aap ads laga kar paise bhi kama sakte hai

      Reply
  5. sir aap mujhe kaha kaha nahi ghumaye HMH per le gaye Facebook par legaye blog par le gaye website par leygaye magar jawab kahi nahi mila.
    mera sawal hai, bidvertiser me not verify kyon hai? agar hai to verify kyon nahi hora hai. jabki mujhe Impresion 136 show hora hai. aur renevue 2

    Reply
    • Mene aapko kahi nahi ghumaya or mene aapko phele bhi iska jabab diya hai..

      BidVertiser ab free hosting site support nahi karta.. Or verify karne ka simple ads ka code add kare Apni site par.

      Reply
  6. sir ,
    mane domain name le liya lekin domain name lene se pahle HTTPS ko on nahi kiya tha.HTTPS availability me yah massage aa rha hai (Warning: HTTPS will not be available for blogs with a custom domain.)
    sir , hame esme kya karna hai . ya eski koi dikat hai ya nahi. jankari dena plz.
    thanking you

    Reply
  7. Sir ye Jo Micromax ka laptab hai isme. blog banane ya chalane main dikkat toh nahi aaygi ye laptab tab bhi ban jata hai air laptop bhi sir jaldi batao

    Reply
  8. Muje online radio ki site banani hai free me google blog me wo kesi banegi.
    Agar ki ka article copy krta hu aur uska naam likh deta hu ki ye article kaha se liya gya hai toh problem hogi kya

    Reply
  9. Rohit sir aap yeh sab jankari kahan se sekhte ho jese ke blog kese banate sir mein chahta hon ke mein bi yeh sab jankari apni blog mein dalo

    Reply
  10. Bhai mene html me jakar pawered by bloger hatane ke liye usme true ki jagah false kar diya or layout e jakar attribution me usko remove b kar diya par wo save nai hpta h error deta h kya karu

    Reply
  11. Rohit bhai aapne jo free stock images ki 11 sites batyi hain un sab me ham singn up karke free image download karen ya bina sign up kiye bhi free image download kar sakte hain?

    Reply
  12. bhai adsence ke liye domain rajister karna jaruri h kya or aap meri weebly ki post kab laga rahe ho plz fast ..,.,? Dono ka rply den….plz jaldi lagaye or aisi site ka name btaye jo free hosting par bhi add deti h

    Reply
    • domain register karna jaruri nahi hai, par usse kuch faida jarur hota hai..

      aapki guest post ke bare me mene email kiya hai.. aap mujse email par contact kare.. kuch kami hai aapki post me jo mene mail me batai hai.. yaha bar bar guest post se sambandit comment naa kare.. please.

      Reply
  13. Rohit bhai aapne kaha mera blog hindi aur English dono me hai, to jo aapne kuchh post shuru me hindi me dali hain unki wajah se keh rahe hain ya is wajah se ke apke content ka pronownsation hindi hai aur words English me hain.
    Q. Agar ham blog banayen aur usme sara content Roman hindi me likhen apki tarah to hame kya select karna hai hindi ke english?

    Reply
  14. Hello brother,

    Maine notic kiya hai ki blogger par hamse kabhi bhi dhokha ho sakta hai. Aor Custom domian lagane par bhi . blogger platform wordpress ke jinta secure nahi hai. Kyu ki seo hamare blogger platfarm blog par dhokha kar sakta hai. Yeh toh aap samajte honge ki hamare saat blogger par dhokha ho sakta hai. Kyu ki aap bhi ek blogger hai.

    Isliye mai apne blogger blog ko wordpress par transfar karna chahta hu wo bhi puree data( post) ke sath. Kya ham blogger ko wordpress par transfar kar sakte hai agar haan toh kaise?

    WordPress ke liye kya kya kharidna pareda..

    1) premium Domian (yes)
    2) premium Hosting ( yes/no)
    3) Premium themes (yes/no)
    4) other ( yes/na)

    Aor Inke liye 1 mahine ka kharcha kitna hoga..

    Reply
    • Domain or hosting te lena hi padega par themes aap chaho to free bhi hai wo use kar sakte ho..

      Or jo aapka doubt hai ki wordpress jada secure ? hai wo galat hai.. Blogger sabse Jada secure hai par wordpress me Blogger se kuch jada future mil jate hai..

      Aap kha rahe ho ki Blogger dhoka de sakta hai to aesa q lagta hai.. Blogger par bhi bhut se popular blog hai.. Jese mybloggertips.com

      Or haa agar aap wordpress par transfer karna chate hai to kar sakte hai.. Hamare blog ki har post comment sab transfer ho jate hai plugin ki madad se.. Aapko uski achi se jankari ke liye youtube par search kare..

      Security me dekha jaye to agar aapka jo Blogger par blog hai usme konsa email use karte ho wo kisi ko mat batao.. Or apna personal email alag rakho to Blogger blog ko hack karna naa mumkin hai jabki wordpress itna secure nahi hai.

      Reply
      • Ha bhai post ko open kare home page par hi dekh rahe hai isliye nahi aa raha hai computer me aa raha hai par moblie me nahi aa raha hai bhai

        Reply
        • Bhai apne website par kon comment kara to us comment ko kaha par daykhte hai aur uar commet ko approve kaise karte hai aur us comment ka reply kaise karte hai mujhe is k bare me kuch nahi pata ap bata sakte ho kiya me apk sab bost pada par mujhe kaha par be nahi dikha plz ap bata sakte ho kya kaise kar sakte hai

          Reply
          • Bhai apne website par koi comment karta hai to us k comment ko kaha par daykhte hai aur us k commet ko approve kaise karte hai aur us comment ka reply kaise karte hai mujhe is k bare me kuch nahi pata ap pata ap bata sakte ho kiya me apk sab post pada par mujhe kaha par be nahi dikha plz ap bata sakte ho kya kaise kar sakte hai

  15. HTTPS free blogpots support karta hai jaisa aapne bataya.

    Maine jab HTTPS availability yes select kia to
    (Warning: HTTPS will not be available for blogs with a custom domain)
    ye sms show kar rha hai.

    Reply
  16. thanks sir…
    sir mene sirf apke bharose site banayi h domain b le liya ab aap plz meri prblm solve karte rhna nhi to me jo kuch soch rha hu us par pani phir jayega. plz rohit ji..
    or haa thoda jaldi karna post dalne ki.

    Reply
      • Rohit bhai kisi ne sach kaha hai ke phaldaar drakht jhuk jaya karta hai, Aapne jo devraj ji ko kaha ke mere bina bhi ho jayega ye apka badappan hai, jabki ye bhi ek sach hai ke apki tarah koi nahi samjhata…. main apka dil se shukriya ada karta hun…. Shukriya meherbani bhai…

        Reply
  17. Bhai me yaha par naya hu or abhi kafi sikhna baki h.. ….mene ek page create kiya h lekin wo blog par dikha nai raha h kya karu.. …or aap ek baar dekh b lena

    Reply
  18. sir mujhse kya dusmani he sir aap meri prblm solve kar doge to sir me hemesha apko yaad hi rakhuga
    sir mene kayi baar apse pucha ki next page kese add karu batado plz sir or me template dusra use nhi kar skta kyo ki mujhe yahi thik lag rha he or use mene kafi setting ki hi html je jake is karan me is template ko hi rakhunga sir aap plz meri prblm solve kijiye or mera comment app delete mat karna plz sir……me apke bharose blogging ki he

    Reply
    • Devraj ji mene koi comment delete nahi kiya hai.. Chaliye me uski jald se jald post dalne ki kosis karta hu.. Abhi meri thodi tabiyat tik nahi hai.. Me jald se jald aapki post dalne ki kosis karta hu.. Thoda or wait karna padega aapko

      Reply
  19. Rohit ye jo aapne link bnaye h Hmh.pe/blogger ye direct kaise bnaye h hum jb kisi post ka link bnate h toh aise hota h http://www.example.com/2015/07/xyz.html lekin ye toh sidha h. Plz thoda detail me btaye ya internet pr iski koi post h toh link de. Or aapne sawal jawab forum bnana kha se sikha koi post h toh link de ya phir aise hi thodi detail me btaye m bhi ek helping website bnane ja tha hu toh in sb chizo ki jarurat pdegi plz btaye.

    Reply
    • jo link me date aati hai usko ham blogger me nahi hata sakte.. meri site wordpress par hai.. or jo HMH.pe/BLogger link hai wo mere main domain ki hi hai hindimehelp.com/blogger

      Forum kaise banate hai uski post me dalne wala hu.

      Reply
  20. Hi….sir ….Maine blogspot pe ek site bnayi he par google me search krne pr voh dikhayi my deti……Aaj hi bnayi he….or uspe se blogspot htane k liye kya kru pakkasolution.blogspot hai…Aur ha intrnt pr kese blogs ki zyada demand hai ? I hope aap muje puri tarh se javab doge !

    Reply
  21. wwwshooter.com › http › latestlovesms4u.com…
    Mobile-friendly – Oct 3, 2015 – Get a multiview and multize screenshot of allgkhindi.com. Simply define a screen view, select a …
    Sir jad mai apna blog search karti hu to ye bhi URL aate h iska mtlb kya hota h

    Reply
  22. Sir apka facebook page hena jo hindi me help ka naam ka he os page ke profile photo par aap comment karte ho to comment ke sath hindi me help ka image ata he woh kese sir ata he

    Reply
    • aap ye kha rahe ho ki page ke naam se comment kaise karte hai to uske liye page ki setting me set karna hoga ki comments ki profile se karna hai .. page se ya profile ID se.. mene page kiya hai

      Reply
  23. SirSir apne ye kyo likha h.. Image Source: threatpost
    Or blogger ke code post karte h to nahi likhte h…..
    Agar kahi se blog me code post karte to uske liye kya likhe

    Reply