Yadi aap ek blogger hai to apne jarur Copy (Copyright) content ka naam suna hoga aur aap daily dekhte honge ki bahut se bloggers dusare Website ke content ko copy karke apne website me daal dete hai.
Aap Post ke Title ko dekh kar samajh sakte hai ki Nuksan to tikh hai par kya Fayde bhi hai Copy karne ke.. To me aapko Simple ek shabd me khana chahuga ki Copy karne me 1% bhi Faida nahi hai. (Note: Fayda Sabd sirf jo Copy karte hai uske liye add kiya gaya hai jiska Is Post se koi sambandh nahi hai.)
Copyright content aaj kal blogging ki duniya me ek bahut hi Hot topic Ban gaya hai. Mai bhi copyright content ke bare me daily kuch naa kuch sunta rehta hu. Yadi aap bhi dusare ke website se content ko copy karke apne Website me dalte hai to aapko ye sunne me bahut bura lagega ki aap apna time blogging me west kar rahe hai. Kyoki copyright content ka koi future nahi hai.
Copyright content kewal aapka time barbad karta hai aur uska koi benefit nahi milta hai. copyright content se naa kamai hoti hai aur nahi website par traffic aati hai. Pahle ki Tulna me internet aur bhi latest aur smart ho gaya hai Khas kar Google.
Blog Me Copy karke Dalne Par ya Fir Koi Galat Chij Dalne Par Google Panda aesa karta hai hamari sath..
Posted by Hindi Me Help on Monday, January 11, 2016
Jo bloggers content copy Karke apne website me publish karte hai. Unke liye Google ne Google Panda ko launch kiya hai. Google Panda copyright content ko Aasani se Pehchan kar uski report google ko deta hai.
Isliye mai aap se yahi kahunga ki Agar aap internet par kuch karna chahte hai to Copyright karna Band kar de. Jo aapko ata hai usko kare. Ye jaruri nahi sab blogging se related hi website banaye aur bhi bahut se topic hai jin par website karke acche paise kama sakte hai. Aap Bollywood, Sport, Health, Khana Banana, Education, Fitnes, Travel, Motivation, etc. topic par bhi apna blog bana sakte hai.
Chaliye ab Dusare ke website se content copy karne se hone wale nuksaan ke bare me Jaan lete hai.
Website me Copy Paste karne ke Nuksan
#1 Copyright Content Ka Koi Future Nahi hota hai
Yadi aap content ko copy karke usme thoda bahut changing bhi karke publish karege tab bhi aap ka woh content copyright hoga aur uss content ka koi future nahi hoga. Kyoki aapke uss content ko google find kar lega. aur aapke uss content ko woh google par rank nahi dega.
Yadi aap 1-2 mahine tak content ko copy karke publish karte hai to bahut hi jaldi google panda aapke website ko penelize kar dega. iske alawa yadi aap apne website me adsense Use kar rahe hai tab aapke copyright content ki wajah se aapke google adsense ka account bhi block ho jayega.
Aur bhi bahut se nuksan hai copyright content. Mai pure yakin ke sath kah sakta hu ki agar aap content ko copy karke publish karte hai to kabhi bhi aapka website long term tak nahi jayega. Aur aapke website ka koi badiya future nahi hoga. Isliye content ko copy karna band kare aur kuch internet par accha kare.
#2 Copyright Content ki Wajah Se DMCA Website Ko Delete Kar Sakta hai
Yadi aap kisi bade website se content ko copy karte ho to uss website ka owner aapke khilaf DMCA (Digital Millennium Copyright Act), Ko Report kar sakta hai. Agar aapki koi report DMCA par karta hai to woh aapke website ke against action bahut hi jaldi lega.
Yadi aap ka website blogger par hai to DMCA aapke website ko blogger se delete kar diya jayega. aur Aapke Ip Address ko bhi blacklisted kar diya jayega. Agar aapka ip address lock ho gaya tab aap uss computer se kabhi bhi dusara website nahi bana paoge. Isliye copyright content karna band kar de.
Agar aapki site se koi copy kar raha hai to aap uski Google se DMCA report kare, uske liye aap is link par jakar foll fill kare.
Apni Website ko DMCA Badge se Protact kaise kare uski jankari yaha detail me share ki hai.
#3 Website Ki Ranking Search Engine Par Improved Nahi Hogi
Yadi aap koi popular post ko copy karke apne website par publish karte hai to aapko uss post se koi traffic nahi milegi kyoki woh post already publish Kiya hua hai. Yadi aapke website par traffic nahi ayega to aapke website ki ranking bhi nahi improved hogi.
SEO Tips Rank badane ke liye jo aapko pata hona chahiye agar aap top rank chahte hai google me.
#4 Copyright Content Ek Illegal Work Hai
I think aapko Illegal work ke bare me pata hoga, Illegal ka matalab against the rule hota hai. Mtlb aap rule ke khilaf kaam kar rahe hai. Yadi aap apne website ko rule ke khilaf run kara rahe hai to search engine aapko negative mark dega, or yadi aapko negative marke milte hai tab aapki website search engine ke top par kabhi bhi nahi ayegi.
#5 User ka Aap par se Bharosa uth jayega
Aapke reader ko ye pata chal gaya ki aap content ko copy karke publish karet hai tab unka aap par se trust khtam ho jayega aur aap apna respect bhi kho dege.
Isliye kabhi bhi ek Copycat naa bane kyo kii ye ek tarah ki gali hai. Hamesha apne visitor ko read helpful information dene ki kosis kare. Aur internet par legal work kare.
#6 Copyright Image bhi use naa kare
Bhut se Blogger ye galti bhi kar dete hai, wo Post to original likhte hai, par image Google se download karke use kar lete hai, jisse bhi unka nuksan ho jata hai.. par isse bachne ka bhi ek badiya tarika hai aap Royalty Free Image use kare jime copyright ka koi lafda nahi.
Google me Copyright Free Image kaise Search kare uske ware me mene bataya hai aap usko read kar sakte hai.
Copyright Content Ke Kya kya Disadvantages Hai
- Aap apne Visitor se Trust aur respect kho denge.
- Aap Ki internet par image kharab ho jayegi.
- Aapke website ko Google Penalty ka samna karna padega.
- Aap apne website ki search engine me ranking Bhi kho denge.
- Aap copied contents se kuch bhi paise nahi kama payege. (Adsense ka to bhul hi jaiye.)
- Aapki website kabhi bhi long term ke liye nahi jaa payegi.
- Aapka dusare bloggers se accha relationship nahi banega.
- Aapke support me koi nahi hoga aur aapko akele hi kaam karna hoga.
Akhri Shabad:
Ek successful blogger banane ke liye aapko apne passion ke sath kaam karna chahiye. Yadi aap ek quality aur unique post likhte hai tab uss content ko aapke user bhi pasand karenge aur search engine me bhi woh content fresh hoga aur usko badiya rank nhi milega.
Kabhi bhi content copy karne ke liye hard work naa kare kyoki aisa karne par aapko kuch bhi nahi milega Only Time West Hoga.
To dosto maine aapko copyright content ke bare me bataya ki Ye aapko kaise nuksan pahuchta hai. Yadi aap original, genuine honest ke sath content likh kar publish karte hai to mai yakin ke sath kah sakta hu ki aapke Earning, traffic aur high rank sabhi mileage. Muje ummed hai ki aap ab dusare ke website se content ko copy nahi karenge or agar kiye hoge to unko Delete karke ek Nai Sirubad karenge.
Happy Blogging…
Yadi aapke pass copyright content ke bare me aur koi idea aur experience hai woh mujhse comment box me jarur share kare aur please is Post ko apne dosto ke sath share kare taki wo bhi Blogging ka ek paheli jaan sake or blogging me kuch acha kar sake..
Ek Baat or me sirf un Blogger se khana chahunga jo Mehnat karke likhte hai or koi dusra usko copy karke apne blog me daal deta hai to aapko tension lene ki koi jarurat nahi hai, Google wese bhi aapka sath dega or ham DMCA ki madad se uske Blog ko Delete bhi karwa sakte hai jiske bare me HMH par share kiya hua hai.
Ye Post Dedicate hai un Blogger’s ke liye jo anjane me Galtiya kar dete hai, jada jankari naa hone ke karan… :)
Please tell me Credit link kaise dete hai image me
Haaa bhai mijhe ye btaye ki ager m domin na buy kru to kya mujhe kuch nuksan hoga????
Or kya adsens nhi lgege kya domin ke bina
Lgege to kitne time m lgte h bina domin k
+918003455656
Bhai plz msg kr dena is per
sir mw achidunia.blogspot.com/ ka faunder hun mujhe dusre ki post dalke use credit dene ke bare me puri jankari
Kya ap mujhr guest article likhe ke liye pay kar sakte hai?
Hello sir maine apne blog me news se copy kiya h mns vo hindi me tha maine hinglish use kiya h.. Isse google adsense approve krega ki nhi??
Ek baat aur sir mera site dekh ke btaye ki kmi kya h isme??
Kya me dusre site ka content copy Karke usme apne new words dalke and thoda change Karke fir us content ko smallseotool.com ka plagiarism tool check Karne k bad waha +80% new likha hua aya toh kya me mera banaya hua content publish kar sakta hu? Please help me
~~~मुझे फोटो को PDF में बदलना है तो क्या करू कोई मेरी HELP करो~~~~
“”””””””””””””””””””””””'””””” प्लीज प्लीज “””””””””””””””””'””””
Hii..Rohit sir aap is site par bahut se topic par important knowledge dete ho..
Accha lagta h is blog ko padne me..har tarah ki jankari milti rahti h..
hello rohit bhai .how r u i m manish here, rohit g meri 1 website h jisme mere kuch post copyright h so mera website google adsesnce k add nahi le raha h acount jodne per mere gmail me google adsence ka msg Unable to review your site: shw ho raha h n ab mujhe koi achi advice de mujhe google adsence k add add karwane h ya adsence ko apni website se jodna h to ap mujhe ye bataye k ye kese hoga kya mujhe apni website ko block karna h ya usi website me changes karke kuch ho sakata h n kese kare pls ye bhi bataye,,,,,,thenku
Aap sabse phele to jitni bhi copy contact hai usko remove kare.. Fir blog ko achi se design kare.. Or dekhe kahi koi error naa ho.. Fir apply kare..
Main ek movie ke bare mein likhna chahta hu…to movie ki story to same he rahegi,…main use apne words mein change kar ke likh dunga….ab yeh bhi copied content hua kya? Mano ki maine unique article likha hai…..
aapko moviews ka creadit dena padega.. to koi problem nahi hogi..
Credit dene ka Kya Matlab hota hai?isse Kya hota hai?
Agar kahi se kuch copy kiya hai.. to unki link waha add kardi.. ki ye content yaha se liya hai.. jisse or uska original owner hai unko bhi nuksan naa ho .
ek hi topic pr bahut sare blog ho sakte hai
haa bilkul ho sakte hai.. par post copy naa kare..
sir kya mujhe apni har page ke andr post krna h to uske liye hr bar alag page bnana padega kya… koi aisi cheez nhi h jo khali jis post kr rhe h ussi ke baare m ho..
aap post likhe.. page thodi banate hai post karne le liye..
Sir kya hum facebook or Twitter par sHare kiye hue images apni website par use kar sakte hai ?
Isme koi dikkat to nhi..or kya hum youtube ki videos apne blog par laga sakte hai
aap fb par share ki image use kar sakte hai.. par wo copywrited ho sakti hai.. ort aap video ko add kar sakte site me.. usme koi rpoblem nahai hai..
Sir agar kya hum facebook or Twitter par sHare kiye hue images apni website par use kar sakte hai ?
Isme koi dikkat to nhi..or kya hum youtube ki videos apne blog par laga sakte hai
Kya me kisis or ki website jesi webste bana sakta hu jisme post ka topic wohi ho par puri detail meri ho
haa bana sakte ho..
Hello sir mai websites create karana jaan gaya hun log mere paas apani websites banawaane ke liye aa rahe hain kya mujhe sab ke websites banaane ke liye google se permission lena padega.?? Aur kya google ko monthly / yearly paisa dena padega.??
nahi google koi paise nahi lega.. aap jiski bhi banaye uski email id se bana kar unko de..
आपकी Post बहुत पसन्द आई, पर मेरे मन में कुछ सवाल है वो आपसे पूछना चाहता हूँ। मैंने अपना नया ब्लॉग बनाया है इसलिए मुझे कुछ कम ही जानकारी है।
मैंने अपने ब्लॉग पर जो भी Post डाली है वो सभी मैंने अपने आप लिखी है, लेकिन कुछ Post common है मैंने बाद में देखा की internet पे वो available hai, पर मैंने खुद ही डाली है।
मेरा blog internet पर searchable नहीं है या तो अभी नया है इसलिए या फिर मुझे करना नहीं आया।
जैसे कि आपने कहा copy न करे पर मेरा blog नया है अगर कोई और इससे copy krke डाल ले तो क्या इससे मुझे भी कोई नुकसान होगा।
बस यह कुछ सवाल है जिनके उत्तर आपसे चाहता हूं।
same information ho sakti hai ek se jada blogs par.. par aap kisi se copy nahi karte uski poist ko aapko koi problem nahi hogi kisi bhi chij se..
webside kaise banata hai
yaha bataya gaya hai kaise banaye
Hello sir i want to know ki maine bhi apna ek blog banaya hai mai usko aapki blog jaisa disign karna chahta hu baki post mai khud likhunga sirf disign kaise karu plz batayiye
Mera blog wordpress par hai or newspaper theame use ki hai..
Helllo rohti sir,,, mera likha hua pdf file main hai.. kiya hum pdf file se copy kar ke wordpress post main past kar sakte hai… ya mujhe typing kar ke likhna padega.. please reply sir
Agar kisi ne phele ho dala huaa hai to aap copy karke ya fir type karke dalo.. Koi antar nahi hai… Agar aap aesa karte ho to copy hi khalayega..
hello rohit ji muzhe ek information chahiye thi aapne apni blog ki writing hindi me english jaisi ki hai tho mai bhi yesi writing karna chata wo kya yse writing ko google adsense approval denge kya. or ek bat aapne ye template kaha se liya muze bhi yesa template chahiye or eski prise kya hai.
Aap dekh sakte hai meri site par adsense ke ads lage hai to phele sabal ka jabab to aapko yahi mil gaya hoga..
WordPress ki newspaper theame hai
Sir mujhe ye btaiye …kya koi aisa trika jisse window phone 8 me android app…chala sakte he…please help
Hello sir mer wabsite bn nhi rahi he
Kaise Banaye uski jaankari yaha hai
Sir mera blog bn nhi raha he
ye to koi baat nahi huii.. aap computer me banaye.. ya fir dikkat kya aa ahi hai aap wo bataye..
ir help me
mane abhi ak domain liya hai or usko blog pr verfiy kr set kr diya hai pr ab jab bhi blog dakhne ki kosis krta hu blog page open nhi hot hai mara blog ka koi bhi page open nhi ho raha hai kya kru pr domain ko hatane pr page kaam kart hai
Domain add karke jo blogger ka code hai wo add kiya ki nahi domain ki setting me.. uske baad thoda wait karna padta hai.. kabhi kabhi thoda jada time lagta hai.. sahi se open hone me.
Sir affiliate marketing sa alag koi or jaisa kisi visitor ne meri site open ki or kuch download kiya kuch bhi aisa bhi paisa mil sakta h kya agar milta h to sir please ye batie ki kitna or kaisa milta h sir markeeting me to agar koi product purchase kraga tbhi paisa mila ge other vies nahi milange koi or idea btao ki jaisa koi meri site ko open kra or kuch download kra aisa kuch tarrika btao sir please sir.
Download karne ka paise nahi milte..
Sir mujhe site bnani h or app mujhe ye btae ki muje kis type ki site bnani chahiya jisma jyada income ho please sir
Affiliate marketing ki website banao.
Rohit bhai, Google Fetch ka proper use kaise kare ?
Agar aapko koi post jaldi index karana hai to aap uska url daal kar kar sakte ho.. Par agar jaldi nahi hai to natural tarike se hi index hone de..
Hi Rohit,
i visited ur website while looking for hindi related blogs.
could you plz tell me what is the future of Hindi blogs, I have a good topic wich i want to start soon. i am good speaker so i wil try online with words.
plzz help bro, by the way…interesting content hai aapki har post par :)
Hindi Blog or website par Google abhi work kar raha hai or usne Hindi BLogger ki Google+ par Community bhi banai hai.. Isse to ye hi lagta hai ki Hindi ka bhi acha time aane wala hai..
Hello sir muje mery site k liye celebrity k image orr dusre image bhi chahy ye to me ab kya karu kaha se lawu jo copy right na ho please help
Image aap kahi se bhi le.. uski credit Link de Image ke niche.. ki ye image yaha se li hai.
tumhara khud ka image copyrighted he check it :- https://www.tineye.com/search/8969befd2342613ad69f41abbccfcbbaf976e1b4/
Tulsi Dass ji aapne sahi kaha par aapne sayad Image ke niche Image source Link nahi dekhi.. mene creadit de rakha hai or me usko sale to kar raha nahi ki koi dikkat ho.. :)
1.Sir Maine ek free blog bna liya hai or uska naam bhi choose kr liya hai par pareshani ye hai ki main chata hu ki apne blog ke domain KO purchase karu to kya main usko purchase kr sakta hu(kya main apne free blog KO purchase kr sakta hu)?
2.aur blog kitne visitors mangta hai salary ke liye?
Domain aap kabhi bhi le sakte ho.. usme koi dikkat nahi hai.. or jo aapka dusra sabal hai uska kya matlab hai.. aesa koi fix thodi ki itne visitor aayege to hame itne paise milege.. Income to ads se hoti hai jo ham site par lagate hai..
Ek blog se copy karoge to koi fayda nahi , but kai saare blog se thoda thoda copy karoge fir usme apna gyan laga ke post karoge to theek hai.
Jo aap kha rahe ho aesa kar sakte hai.. Par copy karke nahi.. Khud se likh kar.. Sirf jaankari le sakte ho or usko apni language me likh kar..
Aap aise hi hme jankari dete rahiye sir.
Kisi aur ki site ya blog se images copy kar skte h? Koi nuksan to nhi?
nahi.. cop karne me bhi dikka ho sakti hai.. free image use kare ya fir image kharid kar use kare.
Muje apni ek.word press site banani hee..par mane jo.nam socha hee woh pahle se wp.me muje us site kii koi or chij copy nahi krni par name to rakh sakta hu na?
Agar Pehle se wo website hai to aap double se nahi bana sakte
Kisi aur ki site ya blog se images copy kar ask the h? Koi nuksan to nhi h
uski Image Source karke link dedo.. jese mene di hai image ke niche.. to jada acha rahega.. or usse koi nuksan nahi hai.
Good post. ….
thank u ,
rohit sir
thank
lekin aap ye apni post ko kaha se kaise banate ho kahan dekhte ho ya kuchh soch ke net par search karte ho kuch thoda trick bata sakte ho
Me Sabkuch net se hi sikha hu.. Or ussi ko apni bhasa me site par share karta hu.. Kuch bhi karo par kisi ka copy mat karo or jo phele se ho usko mat dalo.. Kuch bhi aesa dalo jisse logo ko help mile or jo phele se naa ho.. Or uska result bhi acha milega
Hi kal.mene e blog banai wordpress se free hosting leke par jab free hosting ka time khatam ho jaye tab others hosting site pe kaise install kre is blog ko?
transfer kar sat hai.. par agar aap usko le kar series ho to fee par banane ka koi matlab nahi hai.. ya fir blogger par bana jo bilkul free hai.
rohit ji
agar hum kisi doosre ki site se liya content usko padh kar aur usme apne hisab se samajh kar usme cange karke aur uski image bhi aur title bhi chabge karke post kar sakte hai ya nhi koi problem to nhi h
aur ek baat aur hum 1 adsecse account se kitni site par ads laga sakte hain
Aap post kar sakte ho.. Or ek adsense account me unlimited site add kar sakte ho..
rohit g, mai aapse puchna chahta hu ki aisi koi site nahi hai jisse template ko .xml formate me sidha download kiya ja sake.
Blogger ke sabhi template. .xml me hote hai.. Par jo winrar je andar hote hai kati corrupt naa ho.. Usse nikal kar upload karna hai.
Sir aap mujhe bta skte hain ki aapne yeh comment box kaise add kiya hain uski information bataye
ye wordpress ka comment system hai..
Aaj kal jyada tar blogger ise ignore karte hai. aur jaldi success pane ke liye copy paste karte hai.
Rohit sir aap youtube par kaam kyo nahi karte ho.
agar hum koi site me koi news ya post dekhte hai fir use ham samjhkar apne hisab se apne words me likhe tab bhi koi problem hogi
Nahi.. Usse koi problem nahi par agar kuch aesi chij share karte ho jo unhone banao hai to credit link dene me koi dikkat nahi hai..
Bahut achhi jankari di rohit ji apne. ye article padhke bahut se logo ko help milegi.
Isko share karne ka maksad bhi ye hi hai.. Thanks
Thanks Rohit ji !
aapne copyright content ke bare me aapne bahut nhi achha jankari di.
mai jaldi hi aapke blog par apna guest post submit karunga.
Onve again thanks for sharing quality contents.
Ji.. Bilkul..
नमस्कार सर.
सर अगर कोई पोस्ट English मे लिखी गयी हो और अगर हम उस पोस्ट को Hindi मे लिखे जिससे जो लोग english नही समझते उन्हे भी उसके बारे जानकारी हो..
तो क्या गुगल एसी पोस्ट स्विकार नही करेगी
Kar sakte hai.. Par isme main baat ye hai ki jisne english me likha hai usko koi dikkat nahi honi chahiye nahi to problem ho sakti hai.
क्या मुझे हर एक पोस्ट के लिए एक नया पेज लेना चाहिए ?
Me aapka sabaal hi nahi samja.. Please detail me or ek hi comment me puche..
ये कैसे होगा ? क्या आप मुझे बताएँगे प्लीज ?
bro apne ye jankari bahut acchi di me apse puchna chahunga ki agar me kisi ka koi content copy nhi karta par uske likhne ka idea thoda bahut copy kar skta hu ki nhi plz iska ans jarur dijiyega
Isse koi dikkat nahi.. Bas agar koi chij kisi ne banai hai or usko ham apni site par dalna chate hai to credit link dene me koi dikkat nahi hai..
हेल्लो मिस्टर रोहित ! मुझे आपकी यह पोस्ट बहुत अछि लगी ! मैं आपके ब्लॉग के माध्यम से आपसे काफी समय से जुड़ा हु | क्या आप मेरा यह ब्लॉग विजिट करके मुझे बताएँगे कि इसमें क्या क्या कमिया है जिन्हें मुझे पूरा करना चाहिए ?
aapne blog ko badiya design kiya hai.. par aapke liye ek suggestion hai ki aap Read More (Back Break) add kare.. Q ki abhi aapki puri post home page par hi dikhti hai.. usse aapke page views badne me madad milegi.. jo bhi post ko pura padba chahega usko post open karni padegi.