Email ID Kya hai or iska kya use hai wo aap jante hi hoge, or nahi jante to iske bare me suna jarur hoga. Aaj Online har kaam me Email ID ki jarurat padti hai, Fir Chahe Facebook Account ho ya Online Shopping karni ho, har Kaam me Email Address ki jarurat padti hai. To agar Aap janna chahte hai kaise New Email id Banana Hai to is Post ko pura read kare.
Page Contents
Email ID kya Hoti Hai ?
Email ID apki ek virtual ID hoti hai jiski madad se aap kisi dusre ki Email ID par message send kar sakte ho Internet ke madhyam se. Jo Email ID hoti hai usme hamara username hota hai or akhri me jis site par hamne Email ka account banaya hai uski link hoti hai or dono ke bich me @(at the rate) ka sign hota hai.
Jese Meri Email ID hai Admin@RohitMewada.com.. Isme mera username Admin hai or mene ye apni personal website RohitMewada.com par banai hai..
Email ID aap kisi bhi site par bana sakte ho Yahoo, Microsoft ya GMail jo ke bilkul free hai. Par me aapko Gmail Par ID banakar dikhaunga Q ki ye Google ki Service hai to iske or bhi faida hai.
Read: Custom Free Email ID kaise banaye uski jankari yaha hai
Google Account Kaise Banaye / ईमेल id बनानी है
Gmail Google ki hi service hai isliye Gmail Account ko Google Account bhi khate hai. Gmail Par account banana koi jada muskil nahi hai.
Matlab Google Account banayenge to hamara Gmail account bhi ban jayega os usse hame Mail ID bhi mil jayega.
Simple aap meri steps ko follow karna or agar kahi par aapko dikkat aati hai to mujhe comment karke batana me aapki puri tarah se help karne ki kosis karunga. To chaliye shuru karte hai or sikhte hai Kaise Email id Banana Hai.
Step 1 Sabse pehle www.Gmail.com ki site par jaiye.
Step 2
Create account par click kare new account banane ke liye
Step 3 Ab aapke saamne ek Form khulega, usme aapko apni puri detail bharke submit karni hai
- Apna Naam or Surname bhare.
- username bharna hai. username me aap naam or number dono ko mila kar bhi bhar sakte ho. username me aisa naam bharna padega jo pehle kisi ka na ho. udharan aapka naam Raju hai to aap raju user name me bharo par error aaye to usme kuch number laga do raju123.
- Ab aapko apne account ke liye password likhna hai or usko dubara niche bhi bharna hai. password aisa hona chaiye jo aapko aasani se yaad rahi or dusra koi pata na kar paye. password me Number (12345) Sabd (ABCabc) or special character (@#$%!) ko milakar jo aap chahe bo password rakh sakte ho. aapko password yaad rakhna hai.
- Aapki jo bhi janm tharik ho usko bharna hai. mahina/tharik/saal is format me bharna hai
- Ab aapka Gander select karna hai. Male ya Female jo aap hai select karle.
- Apna Mobile Number dale
- Apka agar koi Purani Email ID hai to usko dalo ya fir khali hi rehne do
- Ab jo sabd likhkar verify karne ka option aa raha hai aap usko tik karke rehne de ya fir sabdo ko niche daalde.
- Location me aap kis country se ho select karle. India Select karle
- Ab Gmail ki term conduction ko maanne ke liye Tik karo
- Next Step ki Button par click karo
Step 4
Apna Mobile Number verify karna hai. apna number check karke verify ka tarika chune. SMS se code aayega ya fir aapko ek call aayega usme code ko batayenge. ek option select karne ke baad Continue ki button par click kare.
Step 5 Ab aapke paas chune hue tarike se ek code aayega aapke mobile par, usko yaha dalna hai
- Apne Mobile par aaya Code dale
- Continue ki button par click kare
Step 6 Ab aapka account ban gaya hai. or Pehli baar aapka account Open huwa hai isliye aapko welcome kar rahe hai. Get Started ki button par click kare.
Step 7 ye lijiye aapka email account teyaar hai. aap isme dekhege Gmail Team se aap ko 3 mail aaye hai.
Ab aap jan chuke hai email id kaise banaye or Email khul kar aapke saamne hai. Ab account jab bhi aap open karna chahe to Apna Email ID or uska password daalkar Sign kar sakte ho.
Gmail me Sign In or Sign Out kaise kare
Sing In karne ke liye www.Gmail.com site par jao or apna email or password daalkar sign in kar sakte ho. fir aapka account khul jayega.
- Apna Email Id Dale
- Apna Password dale
- Sign in ki button kar click kare
ab aapka gmail account open ho jayega.
Jaruri: jab aapka account ka kaam ho jaye to account ke aise hi naa kate, apne account ko sign out kare. taki koi aap ke account ka galat istemal na kar sake.
Upar corner me arrow par click karke Sign out ki button par click kare.
Google Account ka Kya Use hai
Jo hamari Gmail ki id hai ye Google ki jitni bhi service hai un sab par login karne me use hogi.
Ye kuch Service jin par ham apni email is or password se login kae sakte hai
or bhi jitni hai jo Google se connected hai.
ab aap jaan chuke hai Kaise Email id Banana Hai or kya uska use hai, uske baad bhi agar aapka koi sabal hai to aap comment karke puch sakte hai.
Aapne Google par apni GMail ID to bana li par aapko ye bhi pata hona chahiye ki aapke account ko koi hack karke uska galat istemal bhi kar sakta hai.. Aap ye jarur padhe ki ham kaise apni GMail ID ko Hack hone se bacha sakte hai.
Kya aapko pata hai ham Gmail ki id ki madad se Free me apni website bana sakte hai, bina kisi coding ke. Kaise ye Jaanne ke liye yaha click karo.
Kafi Acchi Jankari Diye hai bhai
Thanks For Sharing This Amzing Information About email id.
Bahut Badhiya Jankari di gayi hai. Sir
Amazing sir ji. Nice explanation
Very good article shared, thanks for this.
Nice Article Sir Ji Keep It Up
सर मैंने बोहत सारे ब्लॉग पढ़े है एक Content Ideas खोजने के लिए लेकिन सभ सर के ऊपर से जाता था लेकिन आपने जो लिखा है ओ एकदम सरल है।
Dost agar hum gmail se aapna mobile number hatana chahe to kya hata sakte hai
haa hata sakte hai
Thank you for sharing knowledge full information. apka har ek article useful hota hai.
आपके द्वारा दी गई जानकारी काफी अच्छी है। मैंने आपकी वैबसाइट को बूकमार्क कर लिया है। हमे उम्मीद है की आप आगे भी ऐसी ही जानकारी देते रहेंगे।
Sir mere Gmail se number add kia hua hai our wo number mujhepe nhi raha our to step veryfition on kia hua hai toh sir app meri help kro mujhe apse umeed hai
Please please 🙏🙏
Thanks you
इस चीज के ऊपर मैंने बहुत सारी पोस्ट पड़ी मगर मुझे किसी की पोस्ट में कुछ समझ नहीं आया आप की पोस्ट अच्छी लगी और मैं सब कुछ समझ गया। धन्यवाद
Great info you shared, Thanks for share such type of precious info.
Hi Big bro, gmail ko fb me change kaise karte hai
I need some help.
Pease Read HMH Comment Policy
sir aapne achi jankari di hai ki email id kaise bana sakte hai thanks for this article
Bahut hi sahi aur uchit jankari aapne diya,
Jin logo ko Email bnana nhi aata unke liye kaphi asan ho jayega.
Keep write more sir
Thank you so much bro
Very Nice Article Sir
Nice article
that detects the status of the door status using a door status contact sensor. It senses the status and communicate the current state to pcDuino through the WiFi, and then pcDuino pushed the data using mqtt to openHAB server that resides on pcDuino. The openHAB server will then update the status on the mobile side.
सर मैंने बोहत सारे ब्लॉग पढ़े है एक Content Ideas खोजने के लिए लेकिन सभ सर के ऊपर से जाता था लेकिन आपने जो लिखा है ओ एकदम सरल है।
Bahot badhiya samajaya hai sir
This is so beautiful post.
Thanks to publish for like this post.
Nice information
Hello Sir,
Aap Bahut bhadiya jankari share kiye ho
nice post!!!
Nice article
Is post ki madad se Maine Apna Gmail id, sirf 2 min. me bana liya.
thanks
Mera id band hogaya me to timing nehy kara hack use nehy kara
Mera id band hogaya me to hack use nehy kerteho teminng nehy kare.garena Plz hlp me plz plz plz plz plz plz
Mera naam Sameer Rana h 9058723015 agar koi meri Facebook id khol de to use 500 rupaye inam call Karen
nice post!!!
Thnks sir
Mwra id ban ho gaya plz halp me plz plz plz plz
ye ke helpful article hai
Bahi gmail sy e-mail I’d open nae hoti kia j dono alag alag ha kia
Helpful article sir ji
Nice site Rohit Sir, I have id but i can’t open so sir you can help me how i open my gmail id…
Agar aap Password bhul gaye hai to forgot pass kariye..
Ha sir o to h lekin sir mobile no.bhi kho gya h usper Jo mail I’d tha o bhi nhi pata h ab
PR I’d open kara dijiye sir please help me
forgot password karte hai, to niche ek option or aata hai no longer acces email, uspar click karke aapko jo verification ke liye aayega, wo verify karna hoga.. uske baad hi open ho sakti hai agar aapne sahi select kiya to.
hay