Mark Zuckerberg Success Story in Hindi | Facebook Biography

facebook ke CEO Mark Zuckerberg ki photo

Hi Friends, is post me main aapke sath facebook ke founder/Owner/CEO Mark Zuckerberg ki success story share kar rha hoon ki kaise unhone duniya ke sabse bade social network ki shuruaat ki. Mark Zuckerberg duniya ke sabse yuva billionaire hai. To fir aaiye jante hai Mark Zuckerberg ki success story ke baare me.

Zuckerberg ka pura naam hai- Mark Elliot Zuckerberg. Mark ka janam 14 may 1984 ko New York me hua tha. Ve 4 bhai behan the aur mark inmen se akele ladke the. Inke pita ek denstist the aur inki maa ek manochikitsak. Mark ko programming ka shauk bachpan me hi ho gya tha. Unki programming me ruchi tab bani jab unhen 10 varsh ki umar me unka pehla computer liya.

Advertisements

Unhen programming languages ki basic jankaari unke pita ne unhen di, isse unhone 12 varsh ki umar me ek messenger ka nirman kiya jiska naam tha- ‘ZuckNet‘. Unke pita ne ye messenger apne dentist office ke computer me install kiya, jab bhi koi patient aata to receptionist unhen is messenger ke jariye inform kar deta tha.

Mark ne aur bhi bahut saare games aur communication tools ka nirman kiya, ve yeh kaam kewal apne maje ke liye karte the. Unke pita ne unki programming languages me jyada ruchi ko dekhker unke liye ek computer tutor ko bhi hire kiya jo mark ko programming languages ke baare me lessons deta tha.

Jab mark apne high school me the to unhone Media players ke liye ek aise software ka nirman kiya joki users ki ruchi ke hisaab se unke aage songs present karta tha. Microsoft jaise company is tool ko kharidna chahti thi, lekin Mark ne ise thukra diya aur usne un companies ke sath bhi kaam karne se mna kar diya jo ki mark ko apni company me kaam dene ke liye taiyaar thi.

Ek Fun Site bnayi- Facemash

2003 me ek din ki shaam ko Mark bimaar the us time unhen ek site bnane ka idea aaya. aur vo site thi Facemash. aur iske liye mark ne apne college Harvard ka database hack karne ki sochi jhan par students apni profile pictures upload karte the.

facemash site banai mark ne
image Source: http://www.letsintern.com/blog/4-thing-mark-zuckerberg/

Tab mark ne aisa program bnaya joki kinhi do vyaktiyon ki tasviren select karke unmen se ‘kaun behter hai’ is par voting dene ka feature deta tha. Kuch hi dino me is site ko bahut se harvard’s students use karne lage aur isse us site ka server crash ho gya. Harvard college ki jankaari hack karne ke jurm me Mark ko computer hacking ki community ke aage pesh kiya gya. Aur ye btaya gya ki is trh ki harkaton se society me burai failti hai. us time Mark ko chod diya gya.

Facebook ki shuruaat

Mark ke dwara Facemash ka nirman karne se pehle hi Harvard ke ek student –Divya Narendra ke dimaag me specially harvard ke students ke liye ek social networking site bnane ka idea aaya tha. Is site ke dwara Harvard ke students aaps me baatein kar sakte the. Narendra ke is kaam me do judvaa bhai- Tyler aur Cameron Winklevoss unke sath the. In judvaa bhaiyon ke pita Howard Winklevoss ek successfull financial salahkaar the. Is kaam me inhone apne beton ko pura shyog diya.

Divya Narendra aur dono Judva bhai
Divya Narendra aur dono Judva bhai…
Image Source: www.businessinsider.com.au

Isse is social networking site ko banane me kafi madad mili. Narendra ne decide kiya ki is project ka naam hoga- Harvard Connection (jise baad me badalkar ConnectU kar diya gya.) Is site ke member aaps me apni personal information, photos aur important links asaani se share kar sakte the.

Is site ki programming ka kaam Mark ko saunpa gya, Mark ne ise savikaar kar liya. Jab Mark Harvard Connection par kaam kar rahe the to unhen khud ka ek social network bnane ka behtrin idea aaya.

Facebook history in hindi

facebook kab launch hua tha: Mark ne 4 february 2004 ko TheFacebook.com domain register kar liya. (Jise ki aaj Facebook ke naam se jana jata hai) lekin tab tak yeh kewal Harvard ke students ke liye hi thi.

Facebook ka login page- 2004
Facebook ka login page- 2004…
image source: www.shugalmaza.com

jab unke social network par 4000 se jyada users registered ho gaye to Mark aur unke partner Eduardo Saverin ne ye mehsoos kiya ki ab unhen apne social network ke liye aur jyada Programmers ki aavshyakta hai. Isliye unhone  aur programmers ko bhi apni team me select kiya. Inmen se ek tha Mark ka padosi Darren Moskowitz, jisne Facebook Service ko Columbia University ke students ke liye bhi uplabdh karaya.

Ab ke smay me Facebook ke 60% shares Mark Zuckerberg ke naam, 35% Eduard Saverin ke naam aur 5% shares Darren Moskowitz ke naam hai. Mark ke ek friend Chris Hughes ko facebook ka press attache bnaya gya tha.

Kuch hi smay baad Facebook ki service Harvard ke students ke liye open ho gayi, lekin is par register hone ke liye .edu zone ka ek email address jaruri tha joki ye darshata hai ki student Education field se hai. jab bhi koi nya user is par register hota tha to use apne baare me detailed jankaari, .edu zone ka ek email address aur apna ek real photo add karna padta tha. Agar koi user apna real photo add karne ke bjaye koi avtaar add karta to uski profile ko delete kar diya jata.

Facebook jyada se jyada popular hota ja rha tha. Isliye Mark ne Facebook ke liye investors ko tlashna shuru kar diya. Mark ko Facebook ke liye sabse pehli investment mili Paypal ke co-Founder Peter Thiel se. Peter Thiel ne Facebook me $5 lakh ka nivesh kiya. Us time par ye Facebook ke liye kafi the.

Facebook ki lokpriyta teji se badhne lagi. Facebook ki shuruaat ke 1 saal se bhi kam smay me Facebook par 1 million users join ho gye the. Facebook ki aur development ke liye unhen aur investment ki avshyakta thi. Aur fir Accel Partners ne Facebook me $12.7 million ki aur Greylock partners ne Facebook me $27.5 million ka nivesh kiya.

2005 tak Facebook USA ki lagbhag sabhi universities ke students ke liye available ho chuka tha. Tab tak Mark bhi ise students ke liye hi social network mante the. Lekin Facebook ki lokpriyta ko dekhte hue Mark ne is social network ko sabhi logon ke liye open karne ke baare me socha aur yahin se iska naam TheFacebook ki jgah par Facebook pad gya.

success story facebook hindi me
image source: http://longtailgenie.com/

Facebook ki lokpriyta bahut teji se badhti ja rahi thi, lekin abhi tak ye tay nahi ho paya tha ki Facebook ko monetize kaise kiya jayen. Pehle vichaar tha ki Context Advertisement Facebook ki monetization ke liye behter rahegi kyonki Users Facebook par apni detailed profile daalte the jisse unhen unke interests ke hisaab se advertisements dikhai jaa sakti thi.

Lekin Facebook apne users me ijafa karne par focus karti rahi. Jab Facebook ke users ki sankhya 50 million se jyada par pahunch gayi to badi badi companiyan Mark ko apna project bechne ke liye offer karne lage. Yhan tak ki Yahoo! ne bhi Facebook ke liye $900 million dollar dene ka offer kiya, joki ek bahut hi badi rakam thi. Lekin Mark ne iske liye mna kar diya.

Facebook ke Khilaaf Mukadme

Case on Facebook
image Source: PCWorld.com

ghotalo ke aarop lagne lage. Dono judva bhai Cameron aur Tyler Winklevoss aur Divya Narendra ne Mark par unke project HarvardConnection.com ka idea churane ka aarop lgaya. Unhone dava kiya ki Mark ne HarvardConnection ke Source Code ko Facebook ke liye istemaal kiya hai.

Usi Varsh dono judva bhaiyon aur Divya Narendra ne apna ek network launch kiya jiska naam rkha gya- ConnectU. Mark ne btaya ki HarvardConnection ka Facebook ki development se koi lena dena nahi hai. Dono bhaiyon aur Divya Narendra ne Mark par unka idea churane ko lekar mukadama dayar kiya lekin unke claim ko court dwara reject kar diya gya. Fir unhone ek aur mukadma dayar kiya- unke Source Code ko churane ka. Is baar Court ne Source Codes ko acche se check kiya ki kya ye vakai me churaye gye hai.

Lekin iske Results ko ghosit nahi kiya gya. 2009 me Mark 45$ million dollar unhen dene ke liye raji ho gye. Mark ne unhen $20 million cash ke rup me diye aur baki ke Facebook ke shares ke rup me. Case tab band ho gya. Us time par ConnectU ke users 100.000 ke se bhi kam the jabki Facebook ke users ki sankhya 150 million se bhi jyada ho chuki thi.

Facebook ne Instagram, Whatsapp aur Oculus Rift ko kharida

Facebook ne Instagram, Whatsapp aur Oculus Rift
image source: www.forbes.com

April 2012 me Mark ne Instagram ko $1 billion me kharid liya joki ek Photo Sharing App tha. Yeh app pehle kewal Ios ke liye uplabdh tha lekin ab yeh Android users ke liye bhi uplabdh hai.  Iske Founder hai- Kevin Systrom aur Mike Krieger.

March 2014 me Mark ne Oculus Rift ka $2 billion me adhigrahn kiya joki ek Virtuality Reality Hardware hai. Ise Oculus VR Company dwara bnaya gya tha jiske founder the Palmer Freeman Luckey.

October 2014 me Mark ne $22 billion me Whatsapp ko kharid liya. Yeh ek instant messaging app hai jiske founder hai- Jan Koum aur Brian Acton. Whatsapp ko 2009 me shuru kiya gya tha. Aap Whatsapp ki Success Story Yaha Read kar sakte hai.

January 2010 me Mark ko Time Magazine dwara ‘Person of the Year‘ khitaab se nwaja gya.

2010 me Forbes dwara Mark ko ‘World’s youngest billionare‘ ka khitaab diya gya.

Mark Zuckerberg ki Personal Life story in hindi

facebook founder mark ki family photo

19 May 2012 ko Mark ne apni girlfriend Priscilla Chan se Palo Alto me shaddi ki. Priscilla Chan China se hai. 1 December 2015 ko Mark ek bacchi ke pita ban gaye. Is khushi me Mark ne Facebook ke apne 99% shares duniya ki bhalayi ke liye daan karne ka faishla kiya hai. In shares ki keemat karib $45 billion hai. Mark filhaal apni family ke sath Palo Alto me reh rahe hai.

Mark Zuckerberg Date of Birth hai 14 May 1984, matlab aaj unka janm din hai.. :)

Mark Zuckerberg Biography Video in Hindi

Mark Zuckerberg se hame kya sikh milti hai

Mark ki life ke bhut se points ko to cover karne ki kosis ki gai, fir bhi ek post me sabkuch batana to mumkin nahi hai..

Mark Zuckerberg se Sikhne wali bate –

  • kuch bhi start karo, uska aage ka plan rakho.. jese facebook me kiya gaya.. starting me koi ads nahi lagaye gai or jab bhut jada user ho gaye to unke interest ke ads hi dikhaye gaye, jisse logo ko ads se koi dikkat nahi hui.
  • Dusro ka bhala karne par apna bhala apne aap ho jata hai.. abhi Internet.Org start kiya hai jisme Facebook Free Chalega.
  • Jisme Interest hai agar ussi fild me kaam karege to Success jarur milti hai.
  • Koi bhi kaam karo uspar pura focus rakhe.

Mark Zuckerberg ke upar Book bhi likhi gai hai “The Facebook Effect” or movie bhi bani hai “The Social Network (2010)” jo aapko jarur dekhni chaiye.

To doston ye thi Mark Zuckerberg ki success story ki kaise unhone duniya ke sabse bade Social Network ka Nirman kiya aur ban gaye duniya ke sabse youngest billionare.

Abhi ke Time me agar koi waikti hai or agar usko Internet ka bilkul thodi jankari hai fir bhi uska Facebook or WhatsApp par account to mil hi jayega.. Issi se aap facebook ki popularity ka andaja laga sakte ho. Facebook ki or jankari ke liye yaha click kare

Agar aapko Mark Zuckerberg ki ye success story pasand aayi to please ise apne doston ke sath bhi share kare. Is post par apni rai Comment ke dwara jarur de.

Kya aap Jante hai Facebook se paise bhi kamaye ja sakte hai agar nahi to yaha aap FB se paise kamaye ke tarike read jarur kare.

Share on:

Hello Friends, I'am Rohit Mewada .. HMH ka Admin. Muje Logo ki Help Karna Acha Lagta hai or Is website Par Me Logo ki Hindi Me Help karta hu :)  Read More...


Leave a Comment

Please Read HMH Comment Policy before Comment.

49 thoughts on “Mark Zuckerberg Success Story in Hindi | Facebook Biography”

  1. mark zuckerberg ke baare me bahut kuchh janne ko mila,, really bahut motivational post hai. chahe koi bhi achha se achha social media sites ya apps aa jaye par fb se koi takkar nahi le sakta hai.

    Reply
    • ye aapki galat femi hai ads nahi dikhte.. ads aate hai par wo post ki trha hi hote hai to aapko samaj nahi aata ki ye ads hai.. jo ads hote hai unke niche sponsor likha hota hai

      Reply
  2. bahot achchi tareh se apne mark ki zindagi ko darshaya h .
    aap ki site ki success story bhi maine padi h it is really nice and inspirational.

    Reply
  3. SIR, MERA NAAM ANSHU MISHRA HAI MAI ALLAHABAD (U.P) KA RHNE WALA HU ALLAHABAD ME 25000 RS ME ACCOUNT BECHA JATA HAI PAR MAI ACCOUNT BANANA SIKHNA CHAHTA HU KOI NHI SIKHA RHA HAI MAI APKI SITE HAR 3 SRE DIN OPEN KRTA HU AUR KNOWLEGE LETA HU PAR BGAIR GURU K GYAAN NHI MILTA SIR PLZ HELP ME .MAI BHUT BDI MUSHIBAT ME HU PLZZ HELP CHAHIYE APSE……….

    MY CONTACT NO. 8931092369

    Reply
  4. Bahut hi tareeke se aapne Facebook ke founder ki zindgi ko bayan kiya hai. Koi bhi padhega to inspire hoga. Zukarburg ko Kaun nahi janta hoga Magar aaj aapne achhe se define kiya hai.

    Reply
    • Thanks, apne e ek request karo comment karte samay apni site ka nahi apna pura naam use kare.. Nahi to aapka comment aage se delete kar diya jayega.. Aap ek bar comment policy pade bamari.. Thanks again.

      Reply
  5. Apne sahi mototivational story post ki hai.
    Par muze apse help chahihe apne apne blog pe is template ke pahle konsa template use kiya tha WO muze achha laga that pls muze use template ka nam batao ya phir mere email pe send karo.
    Happy new year in advance

    Reply
  6. Ye story apne bahut hi ache dhang se present ki hai rohit bhai apko thanx and new year ki mere tarf se apko advancd wish to u very hapy new year dear brother

    Reply
  7. apne sahi motivational post ki hai .
    apne apne blog pe is template ke pahale konsa template use kiya tha . muze wo achha laga tha .pls muze naam batao template ka ya mere email Pe send karo pls

    Reply
  8. mere gmail par ye msg aaya tha kya mtlb h eska
    AdSense
    Google AdSense
    Payment contact information changed
    Hello,
    Your contact information associated with Google
    AdSense was changed on 20-Dec-2015.
    For your security, please contact us if you didn’t
    make this change.
    To review your contact information:
    Sign in to your AdSense account.
    Click the gear icon in the top-right corner of any
    tab, then, from the drop-down list, select
    “Payments”.
    Google AdSense
    Help
    Help Centre
    Self help
    Support
    Contact Us
    Live support
    Your AdSense ID: 8802837420 | Your Billing ID:
    1324-6072-9853
    Google
    This message was sent from a notification-only
    email address that does not accept incoming
    email. Please do not reply to this message. If you
    have more questions or would like to contact us,
    please visit the Help Centre.
    This information may be confidential and is
    intended only for the recipient. If you received
    this email by mistake, please contact us. Please
    don’t forward this message to anyone else and
    delete all copies and attachments.

    Reply
  9. Sir mujhe ye story sabse acha laga. me bhahut dino se mark k bare me janna chahata tha lekin mera english kamjor hone k karan acha se kabhi jaan nahi paya. aaj aap k bajha se mark k bare me achi tarah se jaan paya hu. thank u sir. Sir mujhe ek baat samajh me nahi aaya ki jab ham facebook ko free me use kar pate he to phir facebook,google etc company yo kamai kaisai hoti hain????

    Reply
  10. Rohit ji koi esa app he kya jisme hum apna sara data store kar le or fir use kahi bhi offline ya online access kar sake but usme upload nahi karna pade jese hum apne laptop me ya mobile me kisi folder me file move karte he usi type me koi ????????

    Reply
  11. Mark ke life se yehi Sikh milti hai ki kam karte jao profit ki chinta mat karo. Agar kam achha hua to aapko uska profit jarur milega. Mere blog ko banaye 3 months ho gye hai bt maine abhi tak apne blog pe ads nhi lagaye hai. Mai abhi bs apne blog pe quality content post kar RHA hu or apne blog ka traffic badhane par dhyan de RHA hu.

    Reply