Agar Aapka Blog ya Website hai to aapko apni site ki puri jaankari hona chaiye, or ye bhi pata hona chaiye ki site me kuch improvement ho raha hai ya nahi.. or bhi bhut si bate hai jinke bare me hame pata hona chaiye jo ham Google Analytics ki madad se pata kar sakte hai.
ham ye to phele jaan chuke hai kaise Google Search Console me site ko add kare.. jaha ar ham apni site ko search me improve kar sakte hai.
Ham kuch bhi kaam karte hai to hame pata hona chaiye ki ham ye q kar rahe hai, jab hi ham usko achi se kar sakte hai. To chaliye phele jaan lete hai Google Analytics kya hai or iski kya jarurat hai.
Page Contents
Google Analytics Kya Hai
Ye Google ki ek service hai jiski madad se ham apni site ke visitor ko track kar sakte hai. Hamari site ki kesi performance hai uska pata kar sakte hai or bhi bhut se important futures hai.
Kya kya dekh sakte hai Google Analytics me
Mai kuch futures ko share kar raha hu –
- Kitne Visitor hai hamari Site par Live
- Computer/Mobile/Tablet kisme chala rahe hai.
- Kya chala rahe hai ye bhi pata chal jata hai.
- Kaha se aaye hai, Facebook Twitter se ya or kahi see
- Kya search karke site par aaye
- Total kitne Visitor aaye site par din/Mahine/Saal time ke hisab se dekh sakte hai
- Total kitne Page View huee
- Average kitni der site par rahe visitor
- Bounce rate kitna raha
- New Visitor or Purane Visitor kitne Percent % rahe
- Kis Country se kitne aate hai
- konse Browser me chalate hai site ko
- Konsi language jaante hai hamare visitor
inke aalawa bhi bhutsi baate ham jaan sakte hai Google Analytics par.
Blogger me Stats ka ek option rhata hai usme bhi ham dekh sakte hai kitne Visitor aaye or konse page jada dikhe. Par Detail me jaanne ke liye or Live dekhne ke liye Google Analytics jaruri hai.
Google Analytics ki Jankari Hindi Video
https://www.youtube.com/watch?v=sBd_EjpQJ_E
Ab aap Google analytics kya hai kitna jaruri hai wo to samaj gaye hoge to chaliye jaante hai kaise banate hai Analytics par account or kaise add karte hai blog ko isme.
Google Analytics Par Account Banakar Blog se Jode
Jese ki iska jo naam hai usse hi aap samaj gaye hoge ki ye bhi Google ki ek service hai. to hamari jo Gmail ID hai, hame usse hi ispar login karna hai.
Step 1: Blogger ke account me Login kare. fir ek new tab me
Step 2: Google Analytics ki site par jaye fir Sign up Google Analytics par click kare kare
ab ek new Page Khulega
ise kuch steps diye hai, kaise kya karna hai.. Simple aap Sign up ki button par click kare
Ab agar aap login nahi kiye hai to aapko login karna padega, agar aap Blogger me phele se login hai to yaha double se login karne ki jarurat nahi padegi.
Step 3: Ab hamare Saamne ek Form aayega, Usme hame apni site ki jaankari daalni hai jisko hame add karna hai.
Jesa Image me diya hai bo sab daalne ke baad Get Tracking ID ki button par click kare.
Step 4: Ab ek Popup Window khulega
- Sabse phele apni Country select kare. (India Select kare.)
- Ab Google Analytics ki terms pad le.
- Last me I Accept par click kare.
Step 5: Ab aapke saamne ek Page khulega uske ek tracking ID hogi, usme Blogger me add karna hai
Tracking ID ko Copy karle
Step 6: Ab Blogger me jaye…
Settings >> Others >> Google Analytics
Apna Code daalne ke baad Save setting par click karde.
To ab aapka Blog Google Analytics se add ho chuka hai or ab aap apne blog ki puri jaankari uspar ekh sakte hai.
Ye mera ek screen Shot Dekh sakte hai aap, kesa dikhta hai.
Jese ki aap dekh sakte hai, meri site par kitni visitor hai, me live per second ke hisab se dekh sakta hu..
Hamesa ki trha mene kosis to puri ki hai bilkul basic se detail me batane ki.. to ab dekhiye kaisa chal raha hai aapka blog or visitor kya kar rahe hai aapke blog par :)
Abhi ke liye itna hi, aage ham iske bare me Detail me pure future ke bare me janege or ham kaise isse apni site ko Improve kar sakte hai ye bhi dekhege.
Very useful info sir thanks…… maine apni blogger site ko google analytic se connect kar liye hai but analytic par koi info nahi dikha raha meri site kai kab tak update hogi sir
very nice articel and awesome for begginer thnx for share sir
Welcome
Nice Information
very useful information.
Sir mera account WordPress pr h . Google analytics account bnane ke liy Jo tracking id code ko copy krke paste krna hota h WO WordPress me kise hoga
aap Yoast plugin ka use kare.. ya template he head me add kare.. ya fir google analytics plugin hai unka bhi use kar sakte hai.
awesome post
thanks for sharing
mai bahut inspire hua hu is content dwara, bahut aacha prayas kar rahe hai rohit ji .
inse inspire hoke hi maine bhi youtube video google analytics pe banane ki koshish kari hai
https://www.youtube.com/watch?v=sBd_EjpQJ_E check out karey .
kuch kami peshi ho to bhi bataye
Brother Awesome Video.. Post me bhi add kar diya aapka Video.. :)
rohit sir aap bahut great ho
Thanks Bro.
Bro, मुझे एक problem हो रही है. Analytics में मेरी website का bonus rate show नही कर रहा. पहले show करता था,अब नही कर रहा.मेरी site wordpress पर है.
Bhai agar aapki baki analytics ka data show kar raha hai or sirf bounce rate nahi bata raha to aap tension naa lo.. ye google ki koi update chal rahi hogi uske karan ahi.. dikhne lagega.
Sir mere post me photo solid ni hota he solid krne par Post aajati he kya problam he sir Plex help me
Photo Aplod ni hota he post par kitne bar bi kosis krta hu post kul jati he par photo ni aata he help me ris
Bhai aap template change karke dekhe.. kisi code ke karan bhi ho sakta hai ye..
Sir analytics ke through yah kaise check kare ki, visitors Google pe kya search karke humari website par aa rahe hai, aur wo humari site par kya kar rhe h ?
Aap Google Search console me dekh sakte hai..
Hello rohit sir mene mere blog pr aapne batay us tarike se analytics set kr diya tha wo 4 5 month tak sahi tarike se show bhi kr rha tha lekin jab se mene templet or CloudFlare me add kiya hai tab se waha pr koi data show nhi ho rha h jab ki blog ke destbord me dikh rhe hai or mere viziter bhi kam ho gye hai me kya kru plzz help me
Hello Rohit भैया
मै यह जानना चाहता हू की facebook page को google anlytic मे कैसे track करते है
Please Help Me
ap ka monthli income kitna hain
Mere blog me 30 se kam KB ke photos add liye hain phir bhi photos nahi show hote
Aapka net slow hoga.. To browser kabhi kabhi image load nahi karte
Rohit Bhai ab ap Adsense ko Analytics se Connect kaise kare ye likhiye n
hello rohit bhai,
mere blogger ke page par abhi 2000 pageview dikhata hai par google analystic par mere vistar no count dikha raha. maine ek baar apna template badla tha tab se mera page show hona 0 ho gya. abhi mai e analystic ka naya code apne blog par lagaya lekin 2 hfte bat bhi page show ke bare me kuchh nahi dikha raha. aakhir kya problm hogi aap jarur bataye.
apke naya blog hoga isliye dikha raha hai apko apna blog update karna padega
rahit sir ,mera aapse ak question tha . ki Google analytic application download karna padta hai ya browser par hi dikh jata hai?
hello rohit bhai mai ye janna chahta hu ki mera website search me aa raha hai par mai google analystic me chek karta hu to total pageview same rahta hai.
ulta usme se total pageview less hote ja raha hai ………..please help
Bro…maine apna blog submit kiya hai…aur analytics me show bhi krta hai.. sirf 4 session show krta hai… puri tracking nhi ho rhi hai…plz btaiye kya kru
bhai oha oha website url jaga me url dalta hu aisi dekhata hai Property url is invalid.
q plz help me………..
Rohi bhai Post ke beech me ad lagane ke liye google ad ke code ko post ke beech me dalna hoga ya koi aur method hai
Aur aapne Jo apne post ke list KO google ad me dalkar apne page par rakha hai wo kaise hoga
sir maine apna blog banaye hue 10 din ho gye hain lekin usme bahut kam traffic hai kya karu please bataiye mai aache se seo optimize bhi kiya hu lekin phir bhi visitors kam hain kya karu ???
Hello sir kya aap bata sakte hain mere blog me koi problem hai ya nahi??
Nahi sir code delete nahi huya hai
abhi sayad ye analytics me bhi kuch error aa rahi hai.. muje ye baat bhut logo ne kahi hai.. ki unke visitor kam ho jate hai or fir normal ho jate hai.. muje iska karan agar pata chalta hai to me jarur bataoga.. wese ye sayad google ke server ki kisi gadbad ki jada se ho raha hai sayad.. iska site par koi asar nahi padega.
Sir main Google analitics ka mobile apps use karta hu. abhi tak to sab theek tha. lekin ab mai jab use open karta hu to kuchh bhi data show nahi hota.
jitni baar mai khud blogger par login karta hu. wo hi show hota hai.
sabse phele to aap analytics ki site me login karke dekhe ki connet to hai.. ho sakta hai code se connect kiya ho or code delete ho gaya ho.
पर मेरा आपसे एक सवाल भी है कि google analytics पर ऐसे भी हो जाता है क्या कि वो मेरे अपने page views count न करे?
kar to sakte hai par uske liye hame apne aapko usme block karna padega.. jo thoda muskil padta hai.
बहुत बहुत शुक्रिया आपका, मैने अपना नया blog बनाया है और google analytics भी sign up किया था लेकिन मेरा blog track ही नहीं हो रहा था, google पे भी इतने search करलिये फिर भी मुझे कोई हल नहीं मिला ,लेकिन आपके topic ने हल करदिया। मैंने आपके blog के भी कितने ही topics पढ़ लिए थे लेकिन यह ध्यान ही नहीं रहा की आपने भी लिखा होगा
वो कहावत है न एक “कुछड़ कुड़ी शहर ढिंढोरा”☺ मेरे साथ भी ऐसा ही हो गया?
Haha Kya baat.. :)
Happy Diwali Rohit Bro,
Mujhe ye jaanna hai ki maine jo blog banaya hai usme domain lene se pehle maine use Analytics me Add kiya tha lekin ab maine domain le liya hai to kya ab inke b add karu
ya rehne du
new domain ko add kare.. bese purane me bhi koi dikkar nahi hai.. par new se sab clear rahega.
Mujhe apni google par site bnani hai plz help me
blogger.com par banaye
Sir,google adsence ke ad apni website par lagaane ke baad,logo ke dwara 1000 click karne par kitne rupye milte hai? Aur ye bhi bataye ki adsence page views par bhi rupye deta hai ya nahi?
real time option kha par hai
aap google analytics me login karke apni site ke reporting me jaye.. bha aata hai sab option.. real time bhi
My name is Rahid and my role very good my role is strong.
bahi aap ke blog me tu menu barr me
Home Reportimg admin
show ho raha hai usko show karne ke liye kya karna padega plz bahi
home reporting admin aesa kuch nahi hai.. aapko kaha par dikh raha hai thoda detail me batayege.. or browser konsa use karte hai ye bhi bataye.
adsense me account nahi ban raha hi jab bhi account banata hu to e-mail allradey sing in aata hai please help
Iska matlab hai aapka jo email hai wo phele se use kiya huaa hai.. Aapne phele banaya hoga.. Login Karke dekhe.. Agar approve nahi huaa hoga to login bhi nahi hoga
sir mein aapki tarah website banana chahta hun plz help me
Mera blog wordpress par hai.. Blogger me bhi ban Jati hai.. Uske bareme mene bataya hai. http://www.HMH.pe/blogger
Bahut hi acchi post hai……….mere liye bahut important post rahi…..mene Google Analytics par account bana liya h……ab wait h data kab dikhayega Google Analytics…….sayad 24 hours baad dikhaye……………..
Reail Time ke section me aap live bhi dekh sakte ho.. kitne log site par hai or kya chala rahe hai.
rohit ji,agar humare do blog hai blogspot pe toh kya hume dono google analytis me submit karna hoga aur kaise ? maine ek submit kiyas hai .ek aur sawal mera dusra blog google pe search nahi ho raha hai ,meine usko google cousole pe submit kiya hai aur sitemap bhi.phir bhi nahi aaraha hai .help me
Aapke 2 blog ho ya 10 sabka ek dusre se koi len-den nahi hai.. Aapko sabko alag se add karna hoga..
Google me starting me and me time lagta hai… Wait kare
Mujhe apni garden me dard rahta hai koi esa takiqa ho ke electric messager on .line parchase me Imejes
sir maine google Analytics ko apne blog me add kr diya h pr sab data 00 hi aa rha kya kre.
thoda time lagta hai, jese jese visitor aayege, aapko graph dikhega..
Hi…Rohit
Rohit maine blogger pe ek blog banaya tha Funesyblog.blogspot.com maine ise google search console pe add kiya tha or sitemap bhi submit kiya tha or aaj maine google Analytics pe signup kiya but jbse google analytics pe add kiya hai tbse google me search me nhi aa rha mera blog mobile me…plz btao k mai kya karu???
thanks for your every solution
Google Analytics me add karne se uske search par koi fark nahi padta, usse sirf ham hamare blog ko analyse kar sakte hai, kaise or kaha kaha se visitor aa rahe hai or apne blog par kya kar rahe hai.
Aap apne blog ka link website ke section me add kare, aage se, comment box me nahi.. aesa karne par comment automatic delete ho jate hai meri site par..
WordPress me kaise add karen
aapko uske liye site map generate karne ke liye koi plugin use karni padegi. SEO Yoast hai ek plugin.. par ye free wordpress ne nahi hoti.
Google Analytics me ye msg show kar rha hai
No Hits
Property Jankaari Net Ki is not receiving hits. Either your site is not receiving any sessions or it is not tagged correctly.
blog se chek karte hai to per day 300-400 views dekhta hai
aapne blog ko add kiya hai uske baad ke views hi dikhege Analtyics me.. or aapne abhi add kiya hai isliye bata raha hai..
To kab se sahi se dekhayega.
Hello Rohit, Good going ha..
Muze ek chij janani he, ki Analytics me muze AdSense ki earning page wise dekhni he,
Kya kum aisa kar sakte he? Agar pata hoga to pls share kare.
Good Luck.
Thanks for your every previous help.
analytics si setting aata hai option, Adsnse, Webmaster ko add karne ka.
BHaI mere blog me favicon icon badaa dikh raha hai , isko chota karne ka koi tips bataiye
favicon me automatic chota hi ho jata hai.. Aap Favicon.cc par kar sakte ho
Rohit bhai thank u so much now i m able to track my block. plzzz tell us more about the google analytics
thoda wait kare.. me uske bare me daluga.. :)
Rohit bhai ek baat btaye……ke agr me apni website pr kisi dusri site ka content copy krke dalu aor likhu bhi kr (source by hindimehelp.com) ya phir thoda sa content dalu aor aage us website ke article ki link de do jo wo content wahi jakr padh sake……..to kya google adsense approve ho jayega na……….aor ad me bade banner lgane se jyada income hoti ya sbki brabr hoti h…
bade banner se jada hoti hai..
Purecontact orignal hona chaiye jab hi hota hai adsense approve
Ab analytics me sucessfuly site add ho gya hai.ye kab se kaam karna suru ho jayega.abhi sab 00 dekha raha hai.
aapki site par add karne ke baad jitne bhi visitor aayege bo usme dikhayega.. aap realtime me jaye or fir apna blog open kare.. to usme dikhayega ki koi site pa abhi aaya hai.. check kare..
This is what actually i want :)
Thank you sir