Website ke liye High Quality se jitna Search Engine me Fayda hota hai utna hi Bad link se Nuksan bhi hota hai. To agar hame apni site ko Google Search me penalize hone se bachana hai to jitne bhi bad backlinks hai unko Disavow karna hi padega.
Jitne bhi Bad Backlinks hai ham unko Google Disavow Tool me submit karke Google ko bata sakte hai ki wo inn Bad links ko calculate naa kare jisse hamari site par koi bad effect nahi padta.
Bad Backlinks wo backlinks hote hai jo Porn ya kisi illegal content wali site se aa rahi ho, aese me agar koi site google ki najar me achi nahi hai or wo hamari site ko link kare to usse hampar bura aasar padega hi.
Example: Agar aapke gunde-badmas dost hai to jitne bhi ache log hai wo aapko bhi unki trha hi samjehe or aap par aasani se bharsa nahi karege.. to agar aap chate hai ki log aap par turat kare to aapko ache logo ke group me rehna padega.. tikh wesa hi Backlink ke case me hai.. Agar aap chate hai aapki site ki image google ki najar me achi rahe to jitne bhi bekar links hai unko hatana padega.
Kabhi kabhi Kuch Log apne competitor ki site ki rank down karne ke liye bhi iss tarike ka use karte hai jo ki bhut galat or Black Hat SEO me aata hai.
Isse bachne ka simple ek tarika hai ki aap Bad Backlinks ki list bana kar Google me submit karde taki unse aapki site par koi galat effect naa pade.
Bing or google ne isse bachne ke liye disavow tool launch kiye taki spammer valid sites ki rank decrease na kar sake.

Page Contents
Google Disavow Tool Kya Hota hai?
Google Disavow Tool in Hindi: Google disavow tool ek aisa tool hai jisse aap apni website ki sarii bad backlinks ko google disavow tool me submit kr ke google ko bta sakte hai ki in bad backlinks ko aapki website ki ranking krne me count na kiya jaye.
Ye google search console tool ka hi part hai aur bilkul free hai jiska istemal har ek blogger kr sakta hai. Bad backlinks ko hatane ke liye ye best tool hai.
Agar kisi galat website se aapki site ko link aa raha hai to sabse pehle to aap unse contact karke kahe ki aapki site unse relevant nahi hai, please link ko remove kare.. or agar unke baad bhi wo Remove naa kare to aap Simple wo link khud se submit karke uske galat effect se bach sakte hai.
Uske bad google un bad backlinks ko filter kr dega or aapki site ke backlinks me count bhi nhi krega. Isse aapki website ki search ranking down hone se bach jayegi.
Google Disavow Tool Ka Sahi Tarike Se Use Kaise Kare
Disavow Tool jitna useful hai utna hi galat effect bhi site par kar sakta hai, agar ham galti se ache links bhi Disavow karde.. isliye isko use karne se pehle iski sahi jankari hona bhut jaruri hai.
Aapko Disavow me sirf wo link submit karna hai jo bad links hai.
Bad backlinks ko remove karne ke liye hume 2 kaam karne hai.
- Bad Backlinks ki list banani hai.
- Bad Backlinks ko Google Disavow Tool me submit karna hai.
Chaliye Step by step jante hai kaise Disavow ka use karna hai.
Website ki Bad Backlinks Ki List Banaye
Sabse pahle aapko apni website ki sarii bad backlinks ki ek list bnani hai jin links ko aap disavow krna chahte hai. Aap google webmaster tools se apni website ki bad backlinks ki list bna sakte hai.
Ya fir aap third party tool jaise Semrush, Ahrefs or free tool Ubersuggest jaisi third party tools ka use kr sakte hai. In tools pr aapko apki website ki sari backlinks and dead backlinks bhi mil jayegi.
Sabse pahle aapko google search console se backlink ki list download karni hogi. Iske liye aap google search console open kare.
Links >> Top Linking Sites >> Download List Search Traffic

List ko Download karne ke baad, Sabhi link ko analyse kare or jitne bhi bad backlinks hai unki list banaye.
Aap Site ko manually check kar sakte hai ya Semrush or ahrefs ka use kar sakte hai.
Bad Backlinks List kaise Banaye Disavow ke liye
Jo bhi Link aapko Low Quality lage ya kisi bad site se aaye to unko aap Text file me likhte jaye. Disavow File banane ke liye aapko inn bato ka dhiyan rakhna hai.
- ek line me ek hi link add karna hai.
- Agar sirf ek URL hai to aap direct us page ka link add kar sakte hai.
- Agar pura Domain hi Disavow karna hai to Domain:www.domain.com formate me likhna hai.
- File me sabhi link ko note karne ke baad usko .txt formate me save karna hai.
- Agar aap koi Comment add karna chate hai to line ke starting me # lagaye, jisse google uss line ko ignore kar dega.
Example:
# pages to disavow http://spam.example.com/stuff/comments.html http://spam.example.com/stuff/paid-links.html # domain to disavow domain:spamdomain.com domain:badlinkdomain.com
Puri Link do dhiyan se banaye or jitne bhi bad links hai sirf unko list me add karke list ko .txt formate me save kar lijiye.
Website ki Bad Backlinks Ko Disavow Tool me submit kare
Bad Backlinks ki list teyar karne ke baad unko remove karne ke liye Google Disavow Tool par jana hai or jo text file banai hai unko upload karke submit karna hai.
Step 1: Google Disavow Tool open kare.

ab apni website ko select kare jiske Disavow links aap submit karne wale hai, uske baad Disavow Links Button par click kare.
Step 2: Ab ek warning aayegi, ki agar aap isska galat use karte hai to aapki site par galat aasar bhi pad sakta hai.. Dhiyan rakhe aapki list sahi se bani ho.
Ab jo Bad links ki Txt file banai hai usko select karke upload karna hai.

Submit karne ke baad, aapke samne message aa jayega ki aapne kitne Domin or Link Disavow ke liye submit kiye hai.

Aapne jo links submit ki hai, par uska effect aapko turant dekhne ko nahi milega, jese hi Google Next time un links ko Index karega to aapki site ke liye link ko calculate nahi karega.. jisse aapki site par unka koi bad effect nahi padega.
Iss Trha aap apni site se jitne bhi Bad Backlinks hai wo remove kar sakte hai.
Agar future me kabhi aap backlinks file me aur links add karna chahate hai to aap disavow files ko download kar usme new links add karke fir se disavow tool me submit kar sakte hai.
Important Note: Google disavow tool ka istemal tabhi kare jab aapki site spam links se affected ho otherwise ye aapke liye nahi hai.
Main aapko suggest karunga ki disavow tool ko use karne me jaldbazi na kare aur ise tabhi use kare jab aap confirm ho jaye ki aap kya kar rahe hai.
Is tarike se aap bad backlinks se apni site ki search rank ko down hone se bacha sakte ho aur pahle se down ho chuki site ki search ranking recover kar sakte ho.
Agar aapka google disavow links se related koi sawal hai to comment section me puche or aapko ye jankari kesi lagi wo bhi jarur bataye.
sir mene spam domain’s ko disavow kiya tha 2 months ago, lekin abhi tak nhi huwa mera spam score kam…kya kiya jaye!
Aapne google se remove kiya hai.. Kiss site se check kar rahe ho usse nahi. To usse koi fark nahi padta. Main hai google se bataya ho. Or wo kahi show nahi karta.
Nice post
Thanks for share this post!
Nice information and keep it up
bhai bhut accha article h please bhai koi edu par bhi article dalo
very good post on disavow backlink
Ye article bahut he helpful hai kya koi aisa bhi tool h jo backlinks ka PA bhi show kare jab hum backlinks ko analyse kare.
iske liye aap moz Extenssion ka use karke pata kar sakte hai