Hello Friends hamne Blogger par blog to bana liya. Blog banane ke baad hamara kaam hota hai kuch chije blog se hatana jese Navbar or kuch chije apne blog me add karna jaise Facebook Like Box or Type in Over Language Widget.
Blog banane ka sabse bada faida bhi yahi hai ki jisko coding bilkul bhi nahi aati bo bhi apni website bana sakta hai or usko design kar sakta hai. Jaise maan lo aapko apni site ke sidebar me kuch add karna hai or uska HTML code aapke pass hai. ya aapko ads ka code jodna ho. uske liye hame apne blogger me HTML/JavaScript widget ko add karna hoga. ye bhut hi aasan hai
Page Contents
HTML/Javascript Widget kya hai
Ye ek blogger ka widget hai. Is ki madad se ham blog me HTML or Javascript ko add kar sakte hai. Is widget me hame khali box milta hai fir ham usme apne code ko daal kar save kar dete hai. Is ki madad se ham apne blog me kisi bhi code ko add kar sakte hai or usko blog me kahi bhi move kar sakte hai.
HTML/Javascript Code Q jaruri hai.
Simple hai, agar aapko blog me koi widget jodna hai to aap uska code ko HTML me hi add kar sakte ho. Agar Aap koi ads lagate ho apne blog par to uska code bhi HTML me hota hai. Jaise maanlo aap BidVertiser ka ads lagate ho.
HTML/Javascript ko Blogger me kaise jode
Ye bhut logo ka sabaal hota hai ki hamne blog to bana leya par usko design kaise karre, or yehi khas baat hai blog ki, jisko bilkul bhi coding ki jaankari nahi hai bo bhi apne blog ko achi trha disign kar sakta hai. Jese mene meri kuch pichli post me bataya tha ki ham kaise apne blog ka Template Change kar sakte hai or usme Facebook Like Box or Type Over Language in Engilsh Keyword Widget bhi add kar sakte hai.
Chaliye Jaante hai Step by step ki ham kaise Widget code ko apne blog me add kar sakte hai. Start karne se phele me maanta hu ki aapke pass Widget ka Code hai or aapne usko Copy kar rakha hai.
uske baad…
Step 1:
Blogger.com par jao for apne blog ke Deshboard me jao, Fir Blog ke layout me jao
Layout me aane ke baad aap dekhege aapke blog ka pura layout aapke saamne hai. usme Add A Gadget ki link hogi.
Aap jaha par HTML Code ko apne blog me jodna chate ho, bha ke Add a Gadget ki link par click kare.
Step 2:
Click karne ke baad ek new page khulega usme Blogger ke bhut se widget hai, unki list hogi. Hame hamare HTML Code ko jodna hai to ham page me niche jayege or HTML/JavaScript ke Widget ko select karege.
Step 3:
HTML/JavaScript Widget ko select karne ke baad ek naya page khulega
- Agar aap Widget ka Title dena chate ho to aap Title me likh sakte ho. agar aap ads ke code ko daal rahe ho to me aapko kahuga ki aap title ko khali hi rhene de.
- Aap ke paas jo bhi HTML/JavaScript code hai jo aap blog me add karna chate ho, bo aap yaha paste kar de.
- Code ko sahi daalne ke baad Save ki button par click karke save karde.
To dosto aap ab ye jaan chuke ho ki blog me HTML code ko kaise jodte hai, par agar aapke dimag me fir bhi koi bhi sabaal aata hai to aap comment karke muje jarur bataye.
Blogger ki Puri Jaakari yaha hai
Blogger se sambandit aapka koi bhi sabaal ho, aap mujse jarur puchna or muje bhut khusi hogi aapki madad karne me. www.HindiMeHelp.com ka maksad hi hai aap logo ki madad karna Hindi me. :)
Kuch Widget jo aap Iski madad se add kar sakte hai:
kyu sir me chitika or other sites ke ads nahi daal saktaa.
haa kar sakte ho
thanks sir aur ye hosted account ka matlb kyaa hotaa h.
aur sir mene other sits par search kiyaa thaa ki code ko apne blog par kese daale to wahaa par aayaa ki tamplat >edit html>phir uske baad jo code copy kiyaa h use kisi alag site se encode karke paste karo ..
kyaa yah sahi baat h …
sir .
Haa template me bhi add kar sakte hai..
Aap hosted account me adsense ki baat kar rahe ho to us account ko aap google ki jo service hai unpar use kar sakte ho.. Jese youtube, blogger
Sir sabse pahle me aapko thanks kahungaa jo aapne easy words me samjhne ke liye yah site banaai.
Meraa swaal yah h ki .
Meraa AdSense ka account approv ho gayaa h mene us par add code bhi daal di lekin site par keval title hi likhaa aa rahaa h ads nahi.
Mujhe khushi hogi agar aap meri yah samsyaa hal kar de.
My no. Is 9634402788
Thanks
Aap ads ke code blog me laga kar rakhe .. AdSense ki team aapke blog ko ek bar or check karegi.. Fir aapke blog se sambandit ads aapke blog par aane lagege.. Isme time lagta hai. Mera ads bhi code lagane ke 2 hafte bad aane lage the
Sir mai ek website banana chahata hun muchhe html ki coding aati hai muchhe website address kaise banana hoga. And mai wo uss site work kar saku
hello rohit .. nice post or tmhari post n articals mujhe bhot ache lage h … me pichna chata hu ki tmne upr bataya hai ki menu ki post daloge bt muje nai mil rhi h so plzz uska link muje snd krdo…
jaymou.blogspot.com
ye mera blog hai technology se smbandhit hai ap ise ak bar chek kre or bataye ki isme or kya kami hai
aap apne blog me menu add karne ke liye layout me ja kar upar wale widget me link widget add kare or usme apni link add karke menu bana sakte hai.
Sir static baneer blogger me post kaise hoga
sir jab tak site se blogspot.com nahi hataya tab tak adsence approved ni karta hamari site ko ??
Bhai main bidvertisers se link ko copy karke paste kar deta hoo aur title main kuchh nahi dalta hoo save karta hoo to ye save nahi hota title kha se milega
Konsi link or kaha par daalte ho..
Bhai main code save nahi kar paa raha hu maine bidvertisers se link leke paste kar diya lekin save par click karne par save nahi hota hai or na hi koi response aata hai
may u give me your mobile number? plz sir
Kya hum apne sabhi posts me alag alag ads ko add kar kar skte hai…?
if it is posssible so please tell me how it can do????
and i want to add different ads on different posts of my blog???
Simple aap be ads generate karke usse kar sakte ho
rohit…
jab mai bidvertizer par create new ads pa click krta hu or apni details daalta hu tb jab mai apna blog adress funeasyblog.blogspot.com daalta hu..saari detail fill krke jb ok krta hu tab ye aa raha hai kya karu
Error
The following Error(s) found on your form:
Websites hosted on your free hosting provider are not accepted at this time. If your website has high reputation and a unique content, please open a support ticket and we will consider allowing it.
Click here to return to the previous page and correct the listed problems..
kya karu….kya blogger pe ads nhi laga skte
keysa googel adsens ka code ko bloger site me use kara _
adsense me hi dalna hai.. uspar l;iokha rhata hai kha dalna hai.
mera blog mywapblog pe hai mai isme HTML java script kaise dalun code copy kar rakha hai Lenin HTML code dalne ka option ni aara
muje uske nare me jaankari nahi hai.. agar aapko blogger ke bare me kuch jaanna hai to usme me aapki madad kar sakta hu.
sir hamne ek blog bnaya hai or usper html page kaise dale
aap page ke section me ja kar kar sakte hai.. HTML code use karna hai to HTML section me ja kar code dale.. Aap yaha dekhe BLogger post editor ki puri jaankari
hello rohit
mai ye jaana chahta hu ki bidvertiser ka account create krte hi hum uske code ko use krke apne blog mai dikha sakte hai
ya fhir ye bhi AdSense ki tarah pehle approved hota hai
ye bhi approve hota hai par, iski koi itni jada sarte nahi hai, matlab jabhi approve ho jataa hai or ads laga sake hai.
Sir main bidvertiser me login nahi kar pa raha hu jab main login karta hu to username and password en correct batata hai uske baad maine forgot password and username kiya to mere pass jo email aayi usme bhi username and password sahi hai Phir bhi login nahi hota hai …..bhai please help karo
Sir mera bidvertiser me account hai aur sir me usme login karta hu to usme username password en correct batata hai
Code ko HTML JavaScript me hi save krna h na. Ye Maine kr liya h lekin code nhi show ho RHA h.
Aor na hi Google par post show ho rhi h
Please help me
Soory Code nhi ad
ye aap kya kha raha hai aapne kya save kiya hai or Google me kya nahi dikh raha hai. HTML/Javascript me ham wo code add karte hai jo hame hamare blog ki side me dikhana ho. Aap apne blog ko search me lane ke liye apne blog ke sit map ko google me submit kare
Sir main blogger me ek hi ads laga sakta hu ya aur bhi
aap kitne bhi lada sakte hai, par mera suggection hai ki jada naa lagaye or aesi jagha lagaye ki kisi ko post padne me jada paresani naa ho
mader chod
sir,mai apne account se powered by blogger ko hatane ke liye.jab mai jump to widget par click karta hu.To uske baad me code to aata hai par usme kahi.
Locked true likha milta hai.sir
mai android me chalata hu to kya.android me ye nahi hota hai
android nahi aapkotemplate edit karne ke liye computer me khona padega
Asslam o alaikum.Sab sy pehly bhai apka bohat bohat shukarya k ap hamain itni achi achi information daity hain.
Bhai me ye puchna chahta hu ap sy k htlm/java main kiya likhna hy or kaisy likhna hai.mera mtlb hy jaisy ham koe folder bnaty hain us ka name ya poetry or story etc jo bhi hy us,ka name or kis trha kilhna hai. Mera mtlb hy ya simple hindi me help.plz detail me btaye mujhy.
isme hame ahar kuch add karna hai jese Social widget, Facebook like box ya koi or chij add karni ho to iski jarurat padti hai.
Sir html me code ko kese bonau..
isme banana nahi hai. agar aap kuch chij add karna chahe to kar sakte hai.
sir code le kar blogger me layout me paste kiya fir save kiya ab me usko dekhna chahta hu to wo nahi dikh rha bahut try kiya mene
jo HTML ka code hai bo nahi dikhta bo jis chij ka code hai bo dikhta hai. jese mene jo widget code share kiye hai to site par code nahi widget dikhte hai.
ji bidvertiser me site ko add kar liya ha r baki sare proceedure bhi. problem sirf ye ha k jab bidvertiser se code copy kr k java script widget ma paste krta hu to blog par ad show nahi hote
Aap browser ka data delete karo. History bagera fir tri karo. Kabhi kabhi pheli baar display hone me thoda time lagta hai
nahi bro. me ne bidvertiser k code use kiya ha. kafi time bhi ho gya lekin ad show nahi ho raha
Apne apni site ko add kiya ke nahi bidvertiser me. Agar nahi kiya to phele aapko add karna hoga uske baad turant ads aane lagte hai.
bro. mere blog me code paste krne k baad bi ad show nahi ho rha. plz help
konse code ko add kiya aapne agar adsense ke to usme disply hone me thoda time lagta hai. or sabse phele Google hamari site ko scan karta hai jisse hamari site se related ads hi hamari site par aate hai.
mujhe kaha dikhai dega ki mera add blog me lag gaya he or me usko kese dekh sakta hu
apne blog ke layout me gaya waha se waha alag alag block bane he un me se ek block me add a gadget me click kar ke HTML JAVA me salect kar waha par paste kiya fir uske bad age kya karna he wo batae
& ap ne reply kiya uske liye thanx
uske baa to simple aapko save karna hai. Fir apni site khol kar dekho. add huaa ki nahi
Hello sir,HTML/JavaScript code kaise aur kaha se lena please tell me.
HTML/Javascript Code kaha se lena hai sir,pata nahin chal raha hai,aur jaha jaha hame widget karna hota hai waha khali place main kya lekhna hai
sir mene apna blog bana liya he or bidvertiser se connect kar ke get ad code me se code bhi le kar paste kar diya ab kya karna he plz batae
kaha paste kiya. blogger ke widget me karna hai.
Hello sir,widget code kaise hota hai aur kaha se lena hai.ek aur help chhata hoon blog ka tital (blog ka naam) ko kaise apne tarika se design yani stylish bana sakta hoon.
Bhai me ne ad ka code paste kiya tha blog ma ,lekin ad show nahi ho rha. plz help
Bhai maine apne blog mai ad code dala tha lekin ads show nai ho rahe. Plz help
Thoda time lagta hai. ek hafta tak lag sakta hai
layout me to add a gadget ki link nhi dikha de rahi hai usme to mujhe sirf 2 point hi show ho rahe 1 to navbar to 2 favcon ke nam se hai
Aapne kahi blog ke template ko edit to nahi kiya. muje lagta hai aapne template ko edit karke uske code me kuch gadbad kardi hai. aap apne template ko fir se upload karo.
defult template use karoge to is typr se dikhti hai link
Social sites per apni website ki bookmarking kese karte hai. or backlink kese lgate hai. and
website pe traffic badane ke liye koi tips batao
your great idea sharing of blogging .
Post jaldi dalo . Tabhi kr payenge….
भाई मुझे अपने ब्लॉग को डोमेन करना है । और बिलकुल hindimehelp.com की तरह बनाना है
aap simple domain le kar usko blog se connect kar sakte ho. iski post bhi me jald daalne wala hu
Sir youtube pr ads apn aap hi lagte h ya fir hame lagane padte h agar hame lagane padte ho to kaise lagenge please help me
Monetize enabled karna padta hai or adsense account se connect karna padta hai. . Uske baad ads apne aap aane lagte hai video par
Sir maine ek blog me ad lagaya h bidvertiser se. Pr wo mobile pr ni dikhara hai. Pc me to dikha rha hai. Aisa kyu? Or mobile pr kaise dikhayega??
Muje lagta hai aap uc browse me chala rahe ho. UC browse bhut se ads ko block kar deta hai. Dusre browser me khol kar dekho ya fir kisi or ke mobile me kholkar dekho.
Agar jab bhi nahi aate to bidvertiser ko ek email kar Dena agar koi dikkat hogi to bo usko solve kar dege
mere adsense acoount pr , “You currently have a host-only account, so this ad code will show as a blank space outside of host partner sites. To find out how to get live ads on other websites, please refer to our Help Center.” likha aa rha h aur jab access and autherisation button pr url dalane ki kosis krta hoon to, “URL cannot contain host partner ‘blogger.com’.” leekha aata h. iska matlab kya h aur kya kiya ja sakta h. plz help me..
Iska matlab hai aapne apna adsense account jisse banaya hai aap uske aalaba agar dusre site par ads lagaoge to usko adsense account se approve karna padega. Agar approve nahi kiya to site par Khali add aayega.
sir aap ki jo ye site h hindimehelp ye blogspot pe bnayi h ya khud ki website h
Phele blogspot me hi thi. Ab wordpress me convert kar hai. Par Aap aesi hi website Blogger par bana sakte ho
mera blog general science & knowledge ke naam se h jiska url “samanya1gyan.blogspot.in” h. mera adsense account approve ho chuka h pr abhi bhi mere blog pr ads nhi aa rhe h. mera blog almost 10 din purana h.
Adsense approve hone ke baad hame uske ads ke code lagana padta hai uske 2 din baad ads aane lagte hai Agar Hamari blog adsense ki term conditions par Khara utarta hai to.
sir maine aaj hi ek blog banaya hai.
ye bataye ki adsense account kab tak bana sakta hu.
aur kya apna blog page khud hi kholne pr adsense a/c disapprove kr diya jata hai.
mera blog hai 1onlineedu.blogspot.com mai kis tarah adsense approved krawa sakta hu
kya savdhani rakhu iske liye.
Aapne blog banaya hai uske liye me aapka blogging ki duniya me well Come karta hu.
AdSense account banane ke liye bhut si batao ka diyaan rakhna jaruri hai jaise kisi ka copy karke nahi daalna hai.
Site ache se axes Hona chaiye or puri jaankari aasani se milne chaiye.
Illegal kuch bhi share nahi karna hai.
Bhut se site adsense ke baare me khati hai ki 6 month old Hona chaiye. Par mera adsense 2 month me ho gaya tha par pata nahi kaise.
Agar ham khud adsense par click karte hai uski koi income nahi hoti or Hamara adsense account block ho sakta hai aesa karne me.
sir jo site ka title hota he use me attractive banaan chahta hu kese karu plz sir bataiye…
Aap tital ki jgha par Pana ek poster bana kar use kar sakte ho. Agar aap kisi site ke jese banana chate ho to muje uska link batao.
sir me catogaries banaa chahta hu kuch samagh nhi aa rha he kya karu thoda detail me samjhaye plz sir
Dev mene post ko likh liya hai bas final reading ke baad me kal usko post kar dega. Thoda or intjar please :)
sir aap plzz mujhe bataiye ki header me apne menu jodna chahta hu apne blog ke hisab se par jo mene tamplate down kiya he usme khud ke menu he header me yani ki blog ke sabse upar he unko hatana he apne menu jodna chahta hu plz sir aap jldi bataye plz plz plz…
Aap us nemu ko hataiye mat edit kijiye.
Apne Template me jaiye or template ko edit kijiye fir Aap ke blog par jo menu hai uske sabd search kare template me or fir unko change kardo
Aap Layout me jaa kar upar ek widget add kare. “Link list” widget ko add karo or usme apne menu ke liye usme link daalo
sir javascrib ka code kis jagah hai?
Sir aap ki post padke banayi h but sir isme aur kya chize jodni h aur kse jodni h wo nhi raha h pls help me
is post me mene sirf bataya hai code ko kaise add karte hai.. ab agar aapko koi code add karna ho to aap is trha kar sakte hai
edit html jaye or jis cheej ko hatana chahta hai to usko search kare or edit kar sakte hai ya remove b kar sakte hai
Nice post thanks for sharing :-)