Hello Friends hamne Blogger par blog to bana liya. Blog banane ke baad hamara kaam hota hai kuch chije blog se hatana jese Navbar or kuch chije apne blog me add karna jaise Facebook Like Box or Type in Over Language Widget.
Blog banane ka sabse bada faida bhi yahi hai ki jisko coding bilkul bhi nahi aati bo bhi apni website bana sakta hai or usko design kar sakta hai. Jaise maan lo aapko apni site ke sidebar me kuch add karna hai or uska HTML code aapke pass hai. ya aapko ads ka code jodna ho. uske liye hame apne blogger me HTML/JavaScript widget ko add karna hoga. ye bhut hi aasan hai
Page Contents
HTML/Javascript Widget kya hai
Ye ek blogger ka widget hai. Is ki madad se ham blog me HTML or Javascript ko add kar sakte hai. Is widget me hame khali box milta hai fir ham usme apne code ko daal kar save kar dete hai. Is ki madad se ham apne blog me kisi bhi code ko add kar sakte hai or usko blog me kahi bhi move kar sakte hai.
HTML/Javascript Code Q jaruri hai.
Simple hai, agar aapko blog me koi widget jodna hai to aap uska code ko HTML me hi add kar sakte ho. Agar Aap koi ads lagate ho apne blog par to uska code bhi HTML me hota hai. Jaise maanlo aap BidVertiser ka ads lagate ho.
HTML/Javascript ko Blogger me kaise jode
Ye bhut logo ka sabaal hota hai ki hamne blog to bana leya par usko design kaise karre, or yehi khas baat hai blog ki, jisko bilkul bhi coding ki jaankari nahi hai bo bhi apne blog ko achi trha disign kar sakta hai. Jese mene meri kuch pichli post me bataya tha ki ham kaise apne blog ka Template Change kar sakte hai or usme Facebook Like Box or Type Over Language in Engilsh Keyword Widget bhi add kar sakte hai.
Chaliye Jaante hai Step by step ki ham kaise Widget code ko apne blog me add kar sakte hai. Start karne se phele me maanta hu ki aapke pass Widget ka Code hai or aapne usko Copy kar rakha hai.
uske baad…
Step 1:
Blogger.com par jao for apne blog ke Deshboard me jao, Fir Blog ke layout me jao
Layout me aane ke baad aap dekhege aapke blog ka pura layout aapke saamne hai. usme Add A Gadget ki link hogi.
Aap jaha par HTML Code ko apne blog me jodna chate ho, bha ke Add a Gadget ki link par click kare.
Step 2:
Click karne ke baad ek new page khulega usme Blogger ke bhut se widget hai, unki list hogi. Hame hamare HTML Code ko jodna hai to ham page me niche jayege or HTML/JavaScript ke Widget ko select karege.
Step 3:
HTML/JavaScript Widget ko select karne ke baad ek naya page khulega
- Agar aap Widget ka Title dena chate ho to aap Title me likh sakte ho. agar aap ads ke code ko daal rahe ho to me aapko kahuga ki aap title ko khali hi rhene de.
- Aap ke paas jo bhi HTML/JavaScript code hai jo aap blog me add karna chate ho, bo aap yaha paste kar de.
- Code ko sahi daalne ke baad Save ki button par click karke save karde.
To dosto aap ab ye jaan chuke ho ki blog me HTML code ko kaise jodte hai, par agar aapke dimag me fir bhi koi bhi sabaal aata hai to aap comment karke muje jarur bataye.
Blogger ki Puri Jaakari yaha hai
Blogger se sambandit aapka koi bhi sabaal ho, aap mujse jarur puchna or muje bhut khusi hogi aapki madad karne me. www.HindiMeHelp.com ka maksad hi hai aap logo ki madad karna Hindi me. :)
Kuch Widget jo aap Iski madad se add kar sakte hai:
Bahut aachi jankari di hai apne sir
Ji sir jitna jald hoga post publish karo qun ki me aapki posta intajar karunga
Sir URL kaise set karte hai iska upar apka website par koi post hai jisko padhkar me skih saku
Abhi iss topic par post nahi hai, par ispar me jald hi post publish karuga, kyu ki ye bhi ek important topic hai.
Same url new post par rakhne se Dubar google me index karna padega kya
Same url rakhne se new post par google search se remove to nahi jayega
same url रहेगा इसका मतलब गूगल की नज़र में वो वही पोस्ट कहलायेगी।। वसस उसको अप्डेट किया है ऐसा वो समजेगे।।
Sir Humne old post ko modify Karenge to blogger ki recent post Mein kaise dikhega Iske liye Kuch HTML code use karna pad sakta hai kya
Blogger me aap date update nahi kar sakte..
Uska Sirf ek option hai.. Aap Pehle wali post delete karke new post publish Karde.. Or URL same rakhe.
Sirji, bahut hi achhi jankari. Itni achchi jankari sajha karne ke liye aapko bahut dhanyawad.
Sir, google counsel me add hone ke bad HTML file aa rha hai use kya kre smjh nhi aa rha
or bhi tarike hai.. waha or bhi option hoge verify ke.. aap dusra tarika bhi use kar sakte hai.
सर gadgets के नीचे जो बाक्स बने रहते हैं उन्हे html द्वारा कैसे छोटा करे plz reply sir
Hallo rohit ji namskar, sir ji mene bi 2mahine pahele blog bnaya hai lekin traffic bahut km aa rhi hai or flz ak bar aap mere blog ko check kijiyega
Hello sir nice post
mujhe C programming ka code add krna hai please steps btaiye
uski website me jarurat nahi hoti hai bhai..
Sir me pass code nhi h cod kese receive kru
aare bhai kya code nahi hai.. ye sirf tarika bataya hai code kaise add karte hai.. code to jo aapko add karna hoga wo karege naa,,.. jese ek ye example
Nice Work…Dude
nice information about it
मगर html कोड मिलेगा कैसे ?
ye code ko add karne ka tari hai.. baki aap is trha se koi bhi code, widget add kar sakt hai..
Hi Rohit bro mujhe aapki help chahiye blogger ke bare so please aap bataiye ki Mai aapse kaise aur kaha se chat kar paunga
muje email kare.. baki aapko kya problem hai wo aap comment karke bhi puch sakte hai..
Mera website Jo ki Maine wapka ka hi do men lagaya hu use Google webmaster tool me verify Kar raha to nahi ho raga kay aaP use verify kar denge mere she nahi ho raha hey
my website is CgStarDj.wapka.mobi
place kar dijiye bad I mehrbani hogi
rohit ji google analytical me pata ni konsi website ke views dikhata hai ?? kaise check kru ?
rohit bhai my self rohit also..
yaar google analytics me jo detail dikhata hai mujhe samajh ni aata ki ye konsi website ke views dikha raha hai ?
all site data dikhata hai magar vo to wrong hota hai qki 300-400 visiters aate hai mere blog par daily aur usme pure month ka dikhata hai sirf 40-50
Chitika aur baaki website ke ads post me kaise lagaye
Step by step bataye
Sir maine apne blog me adsans ka cod lga diya hu lekin add nhi dikha rha kewal khali space dikha rha hai
sir mera adsans ka add show ho rha lekin khali dukha aur
sir maine adsans ka cod apne post me lga diya lekin dikha nhi rha plz btaiye ab kya kru
apke is side me jo html code ha vo mere blog me nhi lag rahe g attishbagi santa vale
Thanks very interesting blog!|
Sir revenue hits ka ad lagane me baad blog k screen par show nahi ho raha
Sir blog m add kha se lgaye adsens m to account nhi ban rha is ke alava koi site ho to ple. Muje btae
bidvertiser ke ad code ko blog me kaha paste karna hota h
bidvertiser se ad code ko apne blog me kaha paste karna h
Nice web.
मेने bidvertiser के HTML code को website के JavaScript में save कर दिया फिर भी bidvertiser verify नहीं हो रहा है और बार बार code मांग रहा है…..plz… help me
Ads code kaha milega sar
Sir muje jrur btana kyoki m is site me interested hu isliye use Krna chahti hu g
Rohit g mne apna account Blog per bna to rkha h but muje use nhi krna ata can you help me
Thanks a lot brother!
You helped me too much. I appreciate you and your hard-work, both are awesome.
I will contact you if I will need help in future and yes, I will tell other people about you and your blog.
Regards, Nirav Satya
Hy rohit mera blog sall se zada purana hoga but maine kabhi use nhi kiya net pr tumhari post padh kr inspire huwa to ek mahine se zada time se sirf tumhari post padh raha hu jisse mujhe tumhari post samjhne m bhut fayda huwa mujhe adsense lagane ki jaldi nhi or maine abhi tk domain bhi nhi liya sirf samajh raha hu mujhe rank wali bat pasand aai mujhe google me rank badhani mera blog bhi kafi diffrent matter pr rakha hu jaise tumne kha tha jisme intrest ho wohi kam karo mera intrest alag h.tum achcha sikha rahe ho but mujhe key word ka opstion nhi mil raha h apne ki word mai kha dalu .
Thanks ehsan.. me aapki bhavnao ko samaj gaya,.. Thanks :)
mere blog per ads nhi lag rge hai sir bus ek youtube ka ad hai or lga rha hu lekin aata hai fir chala jata hai plz help me sir
Jab new lagate hai to ads thode time ke baad sahi se dikhte hai.. 2-4 din tak to sayad dikhte bhi nahi hai.
Sir ji vijet ke liye html code kha se liya jay plz ans
ehsanmanzer441@gmail.com
kaha se le ye koi fix thodi hai.. is post me sirf uska tarika bataya gaya hai ki ham kaise add kar sakte hai..
Widget ki jankari aapko yaha milegi jo mene share kiye hai
Bhai mein ne blog banyi hai blog k lye mein ne template download ki aur usme upload bhi kar diyi lekin bhai muje a jana tha k us template ko disgen kaise karon kyun k disgen setting par jane Se color background sab empty hai jo blogger k template hote hain unme color disgen ate hain setting mejn ajane k bad kya karna hoga downloads template ko disgen karne k lye plz
Bhai maine ek blog banaya hai lekin use mai sabkuch sahi hai ya nihi ye nahi pata | maine jo videos upload kiye hai vo bhee dusro ke YouTube account se kiye hai | kya mera blog chalne layak hai ya nahi
Or usemai muje or kya changes karne chahiye
Please app visit karke btaiye
“nakumstarz.blogspot.com”
hello friend me Apni fb ko kaise Add karu kya muche apni fb khol ke us ko ctrl+A ctrl +c press kar ke widged me paste karna hoga kya please help me mera no.9407330863
sir, aapne bataya he ki java script ko add karne ke liye code dalna padta he magar code hamare blog me kaha par hota he he jise hum code ka use kar sake
aare ye tarika hai.. aap kabhi bhi code add kare to is trha se kar sakte hai.
sir apne post ke andar ad kaise lagate hai please help early
uska code Template me add karna padega.
Bhai mujhe ye janana chahta hun ki HTML/JavaScrrpt ka kode kaise prapt karein , meine aapke bahut se comments pade hain per mujhe answere nahin mila pls tell me…
Sonu ji Is post me mene sirf ye bataya hai ki agar aapke pass koi HTML Code hai to aap usko kaise BLog me add kar sakte hai HTML/Javascript ki madad se.. isme koi code share nahi kiya hai mene..
mujy apse ye pochna he ham apne blog me jo link add krte hen to visitor jese hi us pe click kere to dosri tab me khul jai ye kese hoga?
Mere blog par bidvertize ki ad daal di hai par woh dikhai kaha gengi kahi dikh nahi rahi hai
Bhai meri help karo..apka koi number do.ya mere number pr ek msg kar do mere whatsapp number 9907801280
aap facebook group join kare, ya fir yahi puche jo puchna hai.
aapne kahaa 1 week me aa jaayenge but avi tak ni aaye.
me isme kuch nahi kar sakta.. aap bhi bas wait kar sakte hai usme response ke liye.. me aapko phele hi bata chuka hu ki mere ads bhi 2 hafte baad aane siru huee the.. par me fir kha raha hu aapke dikne din me aane lagege ya fir nahi aayege iske bare me me kuch nahi kha sakta.. aap mail check karte rahiye..
OR ek baat jo aapke blog ko dekhne ke baad muje pata chali ki aapka blog new hai or uspar sirf ek post hai or design bhi badiya nahi hai.. or jo important page hai adsense ke liye wo bhi nahi hai.. to aapka adsense account agar approve ho jaye to ye ek karisma hoga.. aap ye post pade, isme mene adsense ke liye kya jaruri hai wo bataya hai
abhi tak ads nahi aaye.
rohit bhi mini likeplanete par account bana liya h par miri samcham y nhi a rha h k m ab kya karu ab pisi kisi kamau facebook ko likeplabet s kisi jodu or yi url kya hota h miri kuch samch mi nhi a rha h
rohit bhi mini likeplanet par account bana liya h ab m facebook par kisi judu or url kya hota h barayi