Jio GigaFiber Broadband: Plans, Welcome Offer, Registration Process

Agar aap India me rehte hai to aapne Jio ka naam to jarur suna hoga, or 90% change hai ki aap abhi ye article read bhi Jio ke Internet se kar rahe hai. Jio Sim ke aane ke baad India me Internet data ki kimat itni kam hogai ki aaj har ek person Internet ka use kar pa raha hai.

Jio ke 3 saal pure hone par unhone announce kiya hai Broadband ki ek servie jiska naam hai Jio gigafiber, jiski madad se Ghar or Office me Broadband connection lagwa sakte hai. Abhi jitne bhi Broadband hai unse behtar plan ke sath Jio ne apni service laye hai.

Advertisements
Jio GigaFiber Broadband: Plans, Welcome Offer, Registration Process - Internet

Page Contents

Jio GigaFiber kya hai

Jio gigafiber ek Broadband service hai, jiski madad se ham apne Ghar or Office me Internet connection lagwa sakte hai or High Speed Internet ka luft utha sakte hai.

Jio gigafiber me Internet connection ke sath landline connection bhi milega jisme ham India me kahi bhi free call kar sakte hai bina kisi extra charge ke.

Jiogigafiber ki Internet Speed 100Mbps se 1Gbps tak hogi. Matlab agar aap sabse chota plan bhi lege fir bhi aapko 100MB ki speed to milegi hi jo Ghar or Small Offer ke liye Best hai.

Jio Gigafiber Welcome Offer

Jio ki Broadband Service 5 Sep se start ho rahi hai,

Agar aap JioGigaFiber ka connection welcome Offer me lete hai to aapko Plans ke sath kuch extra benefits bhi milege.

Jio Fiber Welcome Offer hai ki agar aap starting me pure Saal ke liye plan lete hai to aapko Connection ke sath Free HD/4K TV milegi or TV ke liye 4K setup Box bhi Free milega.

Jio Broadband connection Installation Charge zero hai, matlab aap Free me lagwa sakte hai, wass aapko Jio Gigafiber ke liye register karna hoga.

Jio Boradband Gigafiber Plans

Jio Gigafiber me kitne plans hoge wo abhi company se bataya nahi hai, wass itna bataya hai 700 Rupee se 10,000 rupee mahine ke plans hoge..

Matlab agar aapko ghar par Broadband connection lagwana hai to minimum 700 rupee ka plan to lena hi padega, jisme aapko 100mbps speed milegi, or agar aapko isse jada speed chaiye to aap apne Plans ko bada sakte hai jo 10000 rupe mahine tak ke hai jisme aapko 1gbps speed milegi.

Jio Gigafiber Registration Process

Jio Fiber ke connection ke liye online registration start ho chuke hai jo Jio ki site par hi ho rahe hai, jisme abhi hame sirf Form fill karke apply karna hai uske baad jab se connection lagna start hoge.. Jio ki taraf se hamse contact karke connection ki aage ki process ki jayegi.

Agar aapko Jio GigaFiber Register karna hai to uske liye Niche di steps ko Follow kare:

Sabse Pehle Jio GigaFiber site ko open kare.

Site ko open karne ke baad Map me apni location select karni hai, aap Address search bhi kar sakte hai.

Jio GigaFiber Broadband: Plans, Welcome Offer, Registration Process - Internet

GigaFiber kaha lagwana hai wo location selet kare or wo Ghar hai ya Office select karne ke baad Confirm button par click kare.

Jio GigaFiber Broadband: Plans, Welcome Offer, Registration Process - Internet

Ab aapko apna Name, Mobile Number or email address dalna hai.. uske baad Mobile par aaye OTP ko enter karke Verify karna hai.

Jio GigaFiber Broadband: Plans, Welcome Offer, Registration Process - Internet

Apply karne ke baad aapke samne successful ka message show ho jayega.

Jio GigaFiber Broadband: Plans, Welcome Offer, Registration Process - Internet

Ab aapko wass wait karna hai, jese hi aapke area me connection lagna start hoge Jio ki taraf se aapse contact kiya jayega or aage ki jo bhi Process hai wo complete ki jayegi.

Jio WiFi Connection ke liye aapko 2 Document ki jarurat hogi, Aadhaar card or ek dusra koi bhi Document Address Verification ke liye jese voter id card, PAN card, passport, driving licence, etc.

Jab Jio Broadband connection lagaya jayega, to Installation ka koi charge nahi hai par Connection karte time Security Deposit karna hoga 2500 rupee, jo aapko wapas mil jayege jab bhi aap connection band karege.

Agar aapka abhi bhi Jio GigaFiber se related koi question hai to aap Jio Fiber Costumer care se contant karke puch sakte hai. Jio Fiber Customer Care Helpline Number : 1800-896-9999

At Last:

To ab aap jaan chuke hai Jio GigaFiber kya hai or kaise Jio Broadband lagwa hai.

Me to besabri se Jio Broadband ka intjar kar raha hu, q ki abhi 100mbps speed kisi wifi se hamare area me nahi milti.. to Dekhte hai ab Jio kya Dhamal karte hai Broadband ki filed me.

Aapko kya lagta hai Jio Fiber bhi Jio sim ki trha market me apni jagha bana payega?

Share on:

Hello Friends, I'am Rohit Mewada .. HMH ka Admin. Muje Logo ki Help Karna Acha Lagta hai or Is website Par Me Logo ki Hindi Me Help karta hu :)  Read More...


Leave a Comment

Please Read HMH Comment Policy before Comment.

9 thoughts on “Jio GigaFiber Broadband: Plans, Welcome Offer, Registration Process”

  1. जिओ की तरह यह भी पूरे भारत में अपनी एक अलग ही पहचान बनागा मुझे लगता है इससे सस्ता और कोई नहीं दे सकता
    Rohit Sir आपने जो जानकारी दी है वह हमारे लिए बहुत ज्यादा उपयोगी है

    Reply
  2. बिल्कुल बनाएगा जियो सिम की तरह ही ये भी पूरे भारत में जगह बनाएगा मुजे पूरा विस्वास है

    Reply