Agar Aap EK Blogger hai ya banna chate hai or Online Success hona chate hai.. To sabse phela or kadba such me aapko bata deta hu ki online Hajaro blog bante hai par sirf unme se sirf kuch hi success ho pate hai.. Q ki Wo starting me bhi bhut si galtiya kar dete hai fir Niras ho kar sab khatam ho jata hai.
Page Contents
Success Hone Ke Tips New Bloggers ke Liye
#1: Target Set Kare Blogging me
New bloggers ke mn me hamesha paisa kamane ki chahat hoti hai. Jiske wajah se wo apne blog par concentrate (diyan) nahi kar paate hai. Iske liye unko ek target set krna chahiye ki Unke liye sbse important kya hai .
- Online world me ek pehchan
- Earn Online Money
Agar aap online world me apni pehchan bnana chahte hai toh iske liye aapko logo ki help krni hogi jisse log aapki respect karenge aur aapke bare me log ache ache comment karenge. Aur agar aapke website/blog ked her saare log fan ho gye toh jahir si baat hai aapki earning badh jayegi.
Jab Ham Paise Kamane ke Layak ho jate hai to Hame Paise ke Piche nahi Bhagna nahi padta, Paise Hamare Piche Bhagte hai..
Lekin agar aap phle hi paise ke bare me sochte hai toh aap jald hi bor ho jaoge apne blog se aur fir aap kaam par dhyan nahi doge. Iss tarah se aapka success aapse dur hota chla jayega. Isliye aap apne blog ke quality post par dhyan de.
#2: Jisme Interest Hai wo Kare
Bhut Log sochte hai iss blog par ye wale post jyada padhe jate hai toh mai bhi wahi post likhu. Ya uss blog par iske bare me post hota hai toh mai bhi whi likhu. Aap aisa bilkul mat kre. Aap usi topic par post likhe jisme aapko sbse jyada interest hai. aap jis topic ke bare me likho usme aapko maza aaye. Jaise mujhe logo ki help karna bahut pasand hai. Toh mai logo ko hindi me internet ke bare jankariya deta hu.
Agar aapko samaj nahi aa raha kaise pata kare apna interest kis chij me hai to aap meri detail post ko read kar sakte hai jisme mene bataya hai Kaise Pata kare apna interest kis chij me hai.
Tip 1: Jis Topic me aapka Interest hai or Logo ko usse sambandit agar koi jankari chaiye jo phele se us tarike se nahi di gai jesa aap de sakte hai jisse kisi ki help ho sake.. Wo Post kare..
Tip 2: Jis Bhi Topic Par Likho uske bare phele khud achi se jaan le fir usko apni tarike se likhe.. Aap kisi Dusre ki Style bhi copy karege to ho sakta hai log aapko pasand naa kare.
#3: Kisi ka Copy Paste nahi kare
Maine ek post me bhi btaya hai ki Copy karne ke kitne nuksan hai. Isse aap kabhi aage nahi badhoge. Aap hmesa apni pehchan bnaiye. Agar aap kisi ko copy krte ho iska mtlb aapki khud ki koi pehchan nahi hai. Isliye kabhi bhi aap kisi ko copy na kare. Haa , aap itna jarur kar skte hai ki jisko aap copy karna chahte hai usse aap kuch sikh lijiye aur fir usse better karne ki koshish kijiye. Agar aap aur logo se alag hai tabhi aapko ek pehchan milegi. Tabhi aapko log follow karenge.
Ye Sayad aapko Pata hi hoga ki agar koi kisi ki Copy karta hai or apne blog par dalta hai to Google se uski Report karke usko delete bhi karaya ja sakta hai..
Bhut logo ne meri site se bhi Post ko copy karke dala hai.. to Kuch log sochte hoge ki me Q nahi karta Google se Report to me unko bhi batana chuga ki me isliye report nahi karta q ki me nahi chata ki kisi ka blogging meri baja se khatam ho.. wo jab samaj jayege to khud Delete kar dege copy ki hui sabhi Post ko.. :)
#4: Guest Post Likhe Dusre Blog Par
Agar aapko apni writing skills ko aur better bnana hai aur apne blog ko aur jyada logo tak pahuchana hai toh aap apne blog se related blog par guest post likhna chalu kar de. Guest post likhne ke liye aap dusre bloggers ko email se request kar skte hai. Guest post likhne se aapki blog ko backlink milega jisse aapko kuch naye visitors bhi milenge aur aapki alexa ranking bhi better hoti jayegi.
Guest Post ke Kya Faide hai wo detail me jaanne ke liye aap meri is post ko read kare.
*Hindi Me Help bhi Guest Post Allow karta hai to agar aap HMH.pe ke liye Quality Guest Post karna Chate hai to yaha click kare.
#5: Thoda Dhirya (Patience) Rakhe
Agar aapne apni blogging abhi shuru ki hai toh aapko thoda sabar(Patience) karna pdega . Kyuki aap blog par traffic aane ke liye thoda sa time chahiye. Aur paise kamane ke liye bhi thoda wait karna pdega. Aapko abhi sirf likhne par dhyan dena chahiye aur apne blog ko share krte rhna chahiye.
*Aapko Jaan kar herani hogi meri pheli Online Income Blogging start karne ke 2 Saal baad hui thi wo bhi $5 Adfly se.
#6: Pages Banaye Social Media Par
Agar aapne abhi tak apne blog ke liye social sites par page nahi bnaya hai toh bina koi deri karte huye aap jaldi se apne blog ke naam se pages bna lijiye.
Basically aapko inhi tino pages ki jarurat padegi. Aur inn pages par apni post ko Hashtag lga kar share kare. Aur inn pages ke link ko apne blog me add kare. Agar kisi visitor ko aapka article pasand aaya toh wo inn pages ko like karega aage ke updates ko dekhne ke liye. Iss tarah se aapka blog popular hota jayega.
Facebook se Traffic kaise badaye uski jankari aapko yaha milegi, jisme mene kuch tarike bataye hai facebook se traffic pane ke.
#7: Focus kare Apne Content Par
Jab tak aap apne blog par sander aur quality wale post nahi dalenge tab tak aapke visitors aapko follow ya subscribe nahi karenge. Isliye kosis yahi kare ki aapke blog ke sabhi post quality wale ho. Quantity par jyada dhyan na dete huye aap sirf quality par dhyan de.
- Har ek post ko detail se likhe
- Apne post me perfect pictures ka use kare, Jo aapke paragraph se match kare. (Free Images Use kare)
- Apne post ki headings ,title ko acche se likhe
- Apne post ko minimum 500 Words tak likhe (Faltu ki chize na Likhe ya repeat na kare)
- Grammar aur words ko sahi se likhe.
#8: Sitemap Submit Kare :
Aap Google Search Console me account bana kar Blog ko Verify kare. Uske baad apne blog ka ek sitemap generate karke, SiteMap Google me Submit kare. Sitemap submit karne se aapka blog Google search engine me aane lagta hai. Isse aapke blog ka traffic badhta hai.
Filhal iss post me itna hi. Bane rahiye hamrai website HindiMeHelp ke sath aur hmesha sikhte rahiye kuch na kuch nya wo bhi Hindi Me. Agar aapko blogging se related koi bhi problem hai aap comment karke puch skte hai.
Blogger Kya Galti karte hai wo bhi aapko pata hona chaiye taki wo galti aap naa kare.
Aapne Blogging Q Start ki Comment karke ye jarur bataye.. Me janne ke liye utsahit hu.. :)
very nice information thanks for sharing this useful post
best knowledge
Acchi Jankari di Hai Aapne Sir Thank You So Much
amazing tips, keep sharing your knwoldge
Rohit bhai mai bhi blog likhta hu.or blogger.com pr adsense abhi approvel nhi de rha h kafi post bhi publish kr chuka hu monetize your blog with AdSense page likh kr aa rha h.
Very Good Information Relevant also in 2021
Bahut badhiya bhai mera ek blog hai .com domain ke sath kitne din purana hona chahiye adsense approval ke liye
Bahuy badiya jaankari dee hai aapne is post me jo bahut jyada helpful hai new blogger ke liye,maine bhi bahut si cheej sikhee isse .thanks
Bahut badiya post h rohit bhai
Ap hame blog se per month average earning ke bare me btaye according to views
hm domain bye kar le to kasa rahe ga
Haa aap domain add karke hi blog use kare. Isse apni branding banne me help hogi
नमस्कार रोहित bhya हमने एक ब्लॉग बनाया है 1 month हुआ और हमने 6,7 पोस्ट भि keya हु लेकिन जादा viwers नहीं आ रहे है,
क्या करे |
Aapko regular or aese post likhna hoga. Jisko log padna chahe..
O guru aap mahan ho ………
Ek dum shi post hai ye new blogger ke liye isse ek new blogger ko bahut kuch sikhne ko milega ……
#Thanx For sharing this information
Thanks Brother.
Bro blogger images m lazy load kese use kre??
iski script hoti hai.
Sir Apne jo Social Sites par pages banane ke Liye kaha hai kya Pages ke bina means only accounts se kaam chal jayega ?
Bhai wo to aesa hai.. Aap kuch bhi mat karo to bhi chal jayega. Baki agar brand hai to uska page Hona hi chaiye
Hello rohit sir kya paid theme lene se search ranking badegi
nahi, par usse kuch chije hai blog me jo free me aasani se nahi mil pati.. uske liye aap free or paid ko campare karke dekh sakte hai.. baki search me uska koi role nhai hai.. wass ek acha template ho ye jaruri hai.
Nice and good article sir
Thanks Golu
Sir Mere Blog Me Aapke Jaise Comment Box Lagana Hai. sir
Please Help
ye WordPress ka comment box hai..
Success ke liye #5. Point much more Important.
Sir ham apne blog par sex ke releted blog likh sakte h kya .isse pese kamae ja sakte h kya
Ha kmaya ja sakta hai pr aap sex education kr uper likhna or porn video and image use mat karna aap sex education pr likh Sakte ho mene Hindi popular Hindi blog dekhe hai jha pr sex k upr article hai or unpr adsense bhi h
Hello sir,
sir bhut he acha post tha new blogger ke liye
mera 1 question hai, agar mai hindi mai blog bnau or apna article bhut he acha likhu to kya muje backlink bnane ki jrurt hai ya nhi??
Agar aap bhut badiya tarike se likhege to backlink ki jada jarurat nahi.. par agar kisi topic par compitation jada hai to waha aapko backlink ki bhi jarurat padegi.
Bhot hi help full info final hai aApne aapke is aarticle se new blogger ko kafi help Milegi
jisse vo ye target or blog pe jyada focus karege nice aarticle rohit ji
sir ye blog banate kese h or kin kin site par jake blog banaya ja sakta h plzzzz mujhe jaroor bataye m banana chahta hoo m ek writer hoo but blog kese or kaha banta h mujhe ni aata plzzz batane ka prayas kre…… thankxxxxxxxxxxxxxxx
blogger par bana sakte hai
thanks
bahut acchi Jankari hai.
Sir m ek online shopping website bnana chata hu plz ap usme meri help kare kese m ek online website bnana skta hu aur ye bhi btaye kya m blog pe bna skta hu online shopping site plz
Sir mene new balog banya h or m post ko kese digain karu or m photo dalkar bi pese kama sakta hu kya sir or mera paypal account jarrui h kya or kese banau
Please reply sir
ROHIT BHAI, ME NEW BLOGGER HU, ME JANNA CHAHTA HU ME HINDI OR ENGLISH DONO ME POST LIKHU TO GOOGLE ADD KE LIEYE APRUVAL DETA HE YA NAHI?
PLZ RPLY
Bilkul likh sakte hai.. or ads ke liye approve bhi mil jayega.
bloggers elawa our internet ke dwara kaise kamaya ja sakta he
Youtube par channel bana kar paise kama sakte hai..
Hello Rohit..
kya hum social media par bloge kr skte hai?
Nahi, waha Blog nahi Page bana sakte hai.
rohit bhai abhi aapke kitne visitor hai aur kitni earning ho rhi hai
Sir
Abhi kuch din pahale maine blooger par website banaya hai par vo Google par search karne par open nahi ho raha hai kya karu?
Aur website par copyright kaise hota hai?
aap search console me apni site ko add karke site map bhi add kare.. uski jankar mene site par di hai.. aap sote par hi search kar lijiye..
Sir maine ek blog banayi h wordpress pe mujhe seo kaise karte h samjh nhi aa rha.aur post adress kaise set karte h.meri post search engine me nhi aa rhi h kya karu
aapne free blog banaya hai wordpress par.. usme ham ye sab setting achi se nahi kar sakte. aapko agar free blog banana hai to me aapko suggest karuga ki aap bogger.com par banaye.. ya for wordpress par self hosted blog banaye..
ROHIT ji mene WordPress par ek blog banayi thi. par vo blog Google me search karne par likha aatha h ki ‘the author deleted this site’ an me kya karu ki meri blog Google me search karne par search ho jaye.
aapne Index disable kar diya hai sayad.. uska option kaha hai muje diyan nahi hai abhi.. aap thoda search karle please..
Sir mein 1 blog bebaya h ab es m income kaise hogi please reply
Aap uske ads lagaye.. Bidvertiser or Revanuhits ke bare mene bataya hai..
Sir main blog bebaya h ab es se income kub hogi
aap badiya post dale.. uspar jab ache visitor aayege or aap apne blog par ads lagaye ge to usse aapki incoe hogi.
MERE BLOG PR COMMENT NHI AATE .. OR SIMPLE COMMET BOX KESE BNATE HE APNE BLOG ME…
OR GOOGLE+ COMMENT KYA HE… MERE BLOG ME WO ON HE..BUT BESIC SETTING ME GOOGLE+ COMMENT KE BARE ME KUCH WARNING(Warning: You are using Google+ Comments. Changing the blog URL will negatively impact upon existing comments.) AA RHI HE .. SO MUJE COMMENT BOX KE BARE ME JANKARI DE…PLS
sir ek example dijiye anchor text ka
Hindi Me Help
Is Link par mouse karo samaj aa jayega.. :)
Nice , Me i New Blogger hu aur muje Ye post Padkar Kaafi Confidence Mehsus Hua.
Thanks
Muje khusi hai ki ye aapke kaam aai.. :)
hello sir pls. help me .anchor text kya hai..ise kaise use kiya jata hai.
Anchor text html ka hi code hota hai.. Jo link ke code me add kiya jata hai.. Jisse agar koi link par mouse laye to wo text dikhta hai.
Sir mere blog hai meri ranking kabhi 3,00,000 se kam ho jaati hai kabhi badh jaati hai sir Please Please reply jarur dijiyega Please sir
Aap regular post kare badiya.. thoda bhut upar niche to hota rhata hai..
पुराने ब्लॉगर भी इसे पढ़ कर लाभंचित हो सकते हैं क्योंकि वह भी कभी कभी मार्ग से भटक जाते हैं।
Haa ye to sahi kaha aapne..
Which theme are you using ?
Thanks
Newspaper
mene blogs 2011 se bnana to start kiya tha pr muje perfect kuch pta nhi hai ki yha likhne se kya hota hai ya likhne se kya hota hai bs likhta rahta hu blogs ka ak page to ban jata hai me us pr kuch karna chahta hu pr ho nhi pata hai
me bhi blogs pr computer se releted hindi me help karna chahta hu
me ak graphics designer hu . graphics ke bare me muje 8-9 year ka experience bhi hai wo share karna chahta hu or baki muje computer me kafi course kiye huve hai , bassic dca, adca, accounting , photoshop corel draw , internet, computer hardware & software se sambandhit help karna chahta hu
or rohit bhaiya ap hme yah btay ki kya me ak hi blog ke andar alag alag type ka mettar likhu to koi problam
jese
me blog me computer help karna chahta hu
or dusri bat me logo me jagrukta lana chahta hu jese
andhviswas, bal vivah, dahej, hariyali, swaschta , garibo ki help , ladkiyo ko bhi shiksha, samajik work is type ka
or tisri bat. jese me apne rajasthan ke dur gavo se koi Story likhu history ke bare me
jese koi mandiro ka Etihas wagera
yeh three type ke target hai mere blogs bnane ki piche
ab ap btao yah sare topic ak hi blog me kaam aa jayga ya alag alag blog bnau
aapke jo topic hai wo bilkul hi alag hai ek dusre se to agar aap ek blog me banane ki jagha agar alag alag blog banayege to jada acha rahega visitor ke hisab se. Q ki agar maan lo kisi ko sirf computer se sambandit post pasand hai or usne aapka email subscribe kiya to uske pass dusri post bhi jayegi jo ek acha exprience nahi hoga..
apne ak achi jankari di uske liye thanks or ha bhayi mene feed burner add kiya he apne site me par jab wo mene email par check kiya to wo puri post dikh rhi me chahta hu ki post sirf title dikhe puri post padne ke liye visitor ko meri site par ana pade uske liye mughe kya karna hoga plz bro ans
uski setting aap blogger ki setting ke kar sakte hai.. usme feed ka option milega usme full hata kar aap jo chahe wo set karde..
Hello mai internet par kuch pasand karta hu to sirf apki website… ekdam perfect knowledge milta hai apki website se… sir please maine bhi apni website banayi hai mai suru se janna chahta hu step 2 step ki apne blog ko popular kaise banau sir plz mujhe paise nhi chahiye bas mera nam famous ho…plz sir help jarur kijiyega…
aap wo share kare jisme aapko acha knowlage hai or logo ko jiski jarurat hai or jo phele se us tarike se uplovd nahi hai jesa log chate hai.. ye sab pata karne ke liye aapko thoda servey to karna padega..
Rohit bhai…itne achhe post ke liye dhanybad …