Online Mobile Recharge Kaise Kare Full Info in Hindi

Hello Friends aap ye to jaante hi hoge ki Internet ne aaj hamari jindigi kaha se kaha pahuchadi hai, ab hame kahi jane ki jarurat nahi ham apne ghar se hi puri duniya se jude rha sakte hai or apne saare kaam Internet ki madad se kar sakte hai.

ham ek ussi kaam ki baat kar rahe hai jo internet ne hamare liye bhut aasan kar diya hai or hame kahi jaane ki bhi jarurat nahi padti. Online Internet se Mobile Recharge karna.

Advertisements

Online internet se mobile ko recharge kaise karte hai uski puri jaankari hindi me

Mobile Recharge karne ke liye bhut si sites aapko mil jayegi, jinki madad se aap ghar bhete ya apne mobile ki madad se kahi bhi apna mobile ya kisi or ke mobile recharge kar sakte hai. Muje jo sites pasand hai bo hai FreeCharge or PayTM

Page Contents

Online Mobile Recharge karne ke liye kya kya chaiye

Hame online mobile recharge karne ke liye in chijo ki jarurat padti hai –

Email ID, Bank Account ATM or Mobile Number.

  1. Email ID – hame mobile recharge karne wali site par apna account banana padta hai uske liye ek email id hona jaruri hai.
  2. ATM – Jab ham online recharge karte hai kisi site se to hamare mobile recharge ke rupee hamare bank account se kat te hai, uske liye hamare pass Net Banking ya Bank ATM hona chaiye. Jisse ham hamare recharge ki payment kar sake.
  3. Mobile Number – hamara ek Mobile number bhi hona chaiye Q ki iski jarurat hamare account me padti hai.

Also Read:

Online Mobile Recharge Kaise kare

jese ki mene bataya bhut si site hai online mobile recharge karne ke liye unme se ek FreeCharge. Me aapko bataoga ki Freecharge Website se kaise mobile recharge kare. Jannne ke liye Meri Steps ko follo karo.

Recharge karne ke liye aap inki website ka use kar sakte hai ya free inka jo App hai uski madad se bhi recharge kar sakte hai.. dono ki process bilkul same hai.

Paytm se Recharge Kaise Kare agar aapka ye sabal to me aapko bata du, aap online Mobile recharge kisi bhi website se kare same hi process rahega, was design or interface change hoga.

Step By Step Process Online Mobile Recharge karne ki

Step 1:

www.FreeCharge.in par jao, ya fir aap Mobile me Paytm App Download karke usse bhi aasani se kar sakte hai.

freecharge ki website par jao fir sign in karo

SIGN IN par click karo

Step 2:

ab agla page khulega usme agar aapka account phele se hai to aap login kar lijiye ya fir phele apna account bana lijiye.

freecharge par account banaye fir apne account me login kare

  1.  Account banane ke liye SIGN UP par click kare or apni detail bharke apna account banaye.
  2. Agar aap ka Account nahi hai to aap SIGN Up kare, ya fir aapka  Facebook ya Google+ ka account to hoga hi. aap unse bhi Login kar sakte hai or ye bhut aasaan bhi hai. Sign in with Facebook ki button par click kare fir bo Facebook par aapse ek permision magega usko allow karde or fir aap FreeCharge me Login ho jayege.
  3. Agar aapka account phele se hai to yaha par login kar sakte hai

Me aapko Suggest karuga ki aap Facebook se Sign in kare ye Jaldi bhi ho jayega or asaan bhi hai.

Step 3:

Apne FreeCharge ke account me login karne ke baad aapke saamne ek form hoga mobile resharge karne ke liye usme detail bharde

mobile number or amount bhare recharge karne ke liye

  1. Mobile Number daale jispar recharge karna hai
  2. Konsi conpany ki SIM hai bo select kare
  3. kitne rupee ka recharge karna hai bo daale
  4. PROCEED TO COUPONS ki button par click kare

Step 4:

procced ki button par click kare

Ab ek naya page khulega uspar aap dekhege ki kuch coupan giye huaa hai aap chahe to unko select kare ya fir PROCEED ki button par click kare

Step 5:

Ab jo naya page khulega uspar aapko payment karni hai. yaha par payment ke bhut option diya hai. ham Debit Card ko select karte hai.

ATM Card ki detail bhare payment ke liye

  1.  ATM Card ke Upar jo likha ho aap bo Card type me select karle.
  2. Card ke upar 16 digit ka number hoga bo aapko  yaha daalna hai
  3. Expire Date daale, bo bhi aapke ATM Card ke upar di hui hai.
  4. ATM Card ke piche ki taraf ek 3 digit ka number hota hai usko CVV number khate hai bo aap yaha daalde.
  5. Aapke Card ke upar Jiska Naam ho bo daalde. Bhutbaar hota hai ki uske upar kisika naam nahi hota to aap jiska account hai uska naam daalde.
  6. MAKE PAYMENT par click kare

ATM Card Ki Detail

atm card ki jaankari hindi me
ATM Card aage se
  1. 16 digit ka ATM Card Number
  2. Card Expire Date
  3. Card Holder ka Naam. ho sakta hai aapke card me naa ho.
  4. Card ka Type jo is demo card me VISA hai

atm ke cvv number kya hota hai

ATM Card piche se

Step 6:

Make Payment ki button par click karne par ek naya page khulega.

apna password daale payment karne ke liye

ye me apne PNB ke ATM card se kar raha hu isliye aesa aa raha hai ho sakta hai aap ka dusra ATM ho to alag tarike se aaye. ek baat or aapke Bank account me aapka mobile number jarur juda hona chaiye q ki jab ham payment karte hai to ek OTP aata hai hamare paas hame bo daalna padta hai jab payment hoti hai.

OTP Kya hai or iska Kya use hai uski jankari yaha aapko mil jayegi.

*Ek baat ka jarur diyaan rakhe kabhi bhi aap online payment kare to phele site ko dekhle or apne card ki detail kisiko nahi bataye nahi to wo aapke account ka koi galat istmaal kar sakta hai. Kabhi bhi Apna ATM pin kisi ko na bataye.

bank account se mobile recharge ke liye utne paise cut ho jayege ot aapke mobile me balance aa jayega.

Also Read: साइबर क्राइम क्या है | What is Cyber Crime in Hindi

to dosto ab aap jaan chuke hai online mobile Recharge kaise karte hai to ab aapko Mobile recharge karbane ke liye kahi jaaneki jarurat nahi, aap kahise bhi apne mobile ko recharge kar sakte hai.

Agar aapko kahi kuch paresaani aa rahi hai Mobile ko recharge karne me to aap comment karke muje bata sakte hai. me aapki madad karne ki puri kosis karuga. or ye jarur bataye aapko ye jaankari kaise lagi.

Agar aapka Internet se related koi bhi sabaal hai to aap puch sakte hai.

Mobile par Free Recharge kare TrueBalance se, kaise Free Rechange kare kisi or paise kamaye uski jankari aapko yaha mil jayegi.

Ye Bhi Pade:

Share on:

Hello Friends, I'am Rohit Mewada .. HMH ka Admin. Muje Logo ki Help Karna Acha Lagta hai or Is website Par Me Logo ki Hindi Me Help karta hu :)  Read More...


Leave a Comment

Please Read HMH Comment Policy before Comment.

527 thoughts on “Online Mobile Recharge Kaise Kare Full Info in Hindi”

  1. Maine kai bar try kia par recharge nahi hua!? .kya bank jaa kar online banking activate karwana hoga…mujhe nahi maloom mera card activate hai ya nahi.

    Reply
  2. sir,mai paytm par sin up karne par jab confrem box per mobile no.,nam,lost name,email,password dalta hu to confrem nahi hota,mobile no.invild batata hai kya karu pls.sir mujhe batayn

    Reply
  3. sir maine freecharge se recharge karne ki koshish ki pr jab maine recharge pe click kiya to ” please select your card type ” ye errore msg aa raha hai .fir maine ‘prepaid’ optn pe click kiya pr selection nahi ho raha hai. mai kya kru pls muze bataye

    Reply
  4. Sir maine freecharge se 1000rs se adhik ka recharge kiya h but ek bhi rupay refund nhi mila …refund kaise milta h plz.. iski jankari de…thank u.

    Reply
  5. sir mere pass sbi ka visa debit card hai.mere mobile me otp to aata hai lekin jab me otp dalta hu to otp wala box band rahta hai.main kai bar try kar chuka hu.par otp wala box band hi aa raha hai.sirensa kyo ho raha hai.

    Reply
  6. Hello sir me 30 dino she paresan hu mujhese paytm ya free charge se recharge karne me paresani at I hi plz help whattsapp
    7456017452

    Reply
  7. hello bhaiya mere ko help chahiye plz help me . my number 9627120835 wattsup mujhe dish tv ka recherge kerna hai online atm se . wo ho nahi para .

    Reply
  8. rohit sir freerecharge mai jo atm se recharge karange to pin code nahi dena hoga kya….jese card no..xpire date.aur cvv is ke aalaba pin code bhi cha hiye kya just say

    Reply
  9. Suppose mene 34 ka recharge kiya to online Atm se payment to mere Bank se kitna paysa katega kahi jiyada to ni kayega na or ik sawal or ki offers ka use kese karenge or ye offers card ya code kaha milega

    Reply
  10. Sir
    Suppose mene 39 ka Recharge kiya or Atm se uska online payment kiya jesa apne btaya to mere Bank ac se kitna Rupya katega

    Reply
  11. Mere paas rupay debit card hai dena benk ka usme se recharge nahi ho raha hai…me bank me gya to voh kahete hai ki aapko verified by visa karna padega…vo me kaise Karu plzzzzz help

    Reply
  12. Hello sir ji
    Me paytm se recharge karta hu lekin mujhe uska discounte nahi milta to please aap mujhe batao ki kaise milta h

    Reply
  13. Sir mene app dawnlod kar Li thi us ke bad balance be Aa gya par ballance jada kat Liya account se ab kya kru??

    Reply
  14. Sir Mani sab kush bar diya ha serf account balance show nhi kar raha plz muja batya gya ki jaa balance kyu nhi show kar raha

    Reply
  15. Sir mane paytm se recharge kiya lekin paise less ho gye recharge nhi huaa plese help mera no h 9074009790 Nhi to aap apna no de di jiye

    Reply
  16. Sir mera name prashant h mene paytm recharge kiya lekin recharge huaa nhi Aur account se paise less ho gye me kya karoo mera mobile no 9074009790 Customere no lagta nhi mail ka koi jabab aata nhi plese help

    Reply
  17. Sir me aapse yh puchna chahta hu ki
    Esa koe aaps he ki me Dena bank ke ATM se mobail richarge kr saku
    Ho to nam batay, ,
    Jisse ME dawanlod kr saku,,
    Jaldi

    Reply
  18. Hy rohit ji mere bank account me mobile no.register nahi hai. kya atm se mobile no.register ho gaega account bank of india me hai.pls help

    Reply
  19. Sir hmne free talktime app download kra tha first time app thik aye the lakin an app no aya rage h kya koy software download mRNA padhta h sir plz help me

    Reply
  20. Haii brother ye bataye ki free char me richarg karne ke baad game kya fayda hota hai auor is me points kaise milte hai help me

    Reply