Online Shopping Kaise Kare Ghar Baithe Step By Step Process in Hindi

Internet ki duniya itni badi hai ki ham Onilne Internet ke baare me jitne Sikhe utna kam hai. Hamne pichle post me jana tha ki ham kaise Online Apne Mobile ko kahi se bhi Recharge kar sakte hai. Internet ne hamari jindgi kitni aasan kar di hai aap soch bhi nahi sakte, aaj internet ki madad se Exam ke result ham online dek sakte hai, Online Apne Dosto se jude rha sakte hai, Online Paise kama sakte hai or bhi bhut kuch….

Online Shopping Kaise Kare Ghar Baithe uski puri jaankari Hindi Me

Abhi jo sabse jada Popular hai bo hai Online Shopping Sites. Q ki Shopping sites ki madad se ham ghar bhete kuch bhi kharid sakte hai or hamara kharida huaa samaan hamare diye huee Address par aa jata hai or hame kahi jaane ki jarurat bhi nahi padti.

Advertisements

Page Contents

Kya Kya hona Chaiye Online Shopping ke liye

Agar aap Online kisi site se kuch samaan kharidna chate ho to ye kuch chije hai jo aapke pass honi chaiye.

  1. Shoping Site par account banane ke liye ek Email ID
  2. Product ko lene ke liye Money(paisa)
  3. Debit/Credit  Card/Net Banking payment karne ke liye
  4. Product ko recive karne ke liye aapka Address

Online Shoping karne me Faida hai ya Nuksaan

Agar aapko kuch lena hai to Aap kisi Dukaan par jaoge ya Online Bhi le sakte ho. Kya faida hai online shopping me ye aap in points ko pad kar samaj jaoge.

  1. Online Shopping karne ke liya aapko kahi jane ki jarurat nahi hai, Aap ghar se bhi Shopping kar sakte ho.
  2. Jis Product ko aap Online lete ho bo aapke ghar par hi aata hai par Kisi Dukaan se lene ke liye aapko khud dukaan tak jana padta hai.
  3. Agar Online kuch Samaan liya or agar usme kuch kharabhi hai to aap usko return(bapas) kar sakte ho 30 day ke andar. par kisi dukaan par bapas karne me kya dikkat hoti hai bo aapko bhi pata hoga.
  4. Online Shopping ke liye kahi jaane ki jarurat nahi isliye Time ki bachat.
  5. Ache or Sasta samaan lene ke liye Alag-Alag dukaan par jaane ki jarurat nahi.
  6. Online kharidne par Kam Daam (Price) me samaan mil jata hai q ki usme Dukaan daar ka commission juda nahi hota hai.
  7. Nuksan ye hai ki agar ham achi site se saman na le to nakli saman bhi aa sakta hai.

Online Shoping karne par discount

Online shopping kaise kare Step by Step in Hindi

Online Shoping ki bhut Sites hai par aaj me unme se ek jiska Naam sayad aapne suna hoga Flipkart. Me aapko bataoga ki aap kaise Online Shopping kar sakte hai Flipkart par. Online Shopping karne ke liye Aap meri steps ko follow karo.

Step 1: Sabse phele aapko Shoping ki site par jana hoga. Aap direct niche diye search baar me search karo jo aapko lena hai. Agar aap direct is box me search karke samaan lete ho to aapko 20% ka discount bhi milega.

Mobile ke liye Memory Card kharide 8GB sirf 200 Rs me to yaha Click kare.

Is Time Agar Aap Mobile use kar rahe ho to Aap Flipkart ka App Yaha se Download kare or 20% discount paye apni pheli kharidi par. Aap ke Pass Ye Aap jarur hona chaiye Agar aap Smart Phone use karte ho to :)

Step 2: Ab aapko jo chij kharidni hai aap us page par phuch gaye ho. Samaan ko Kharidne ke liye BUY NOW ki Button par click karo

Product ko purches karne ke liye Buy Now ki button par click kare

Step 3: Aap jese hi Buy Now par click karoge ek naya page khulega.

apna Email Daal kar continue ki button par click karo

Apna Email ID Daale fir Continue ki button par click kare.

Step 4:

apna ek password daale or usko do baar daale fir Sign Up par click kare

Ab aapko Password daalna hai 2 baar. Aapko ye password yaad rakhna hai q ki isse ki madad se ham baad me flipkart ki site par login kar payege.

*Agar aapka Phele se Flipkart par account hai to aapko uska password daalna hai

Step 5: Ab aapko Apna Address Daalna hai jaha par aap is product ko receive karna chate ho.

Apna address ki puri detail bhare

Is Form me apni sahi- sahi jaankari bhare. fir Save & Continue ki button par click kare

Step 6:

Product ko dekh kar continue ki button par click kare

Ab agar aap chaho to apne samaan ko Gift me pack kara sakte ho. Ek baar apne product ko achi se dekh le or uska total ammount bhi dekh le. fir Continue par click kare

Step 7: Ab Aapko Payment Method ko select karke Payment karni hai.

payment method select karke payment karo or apna order confor kare

Aap dekh sakte ho kya kya option hai payment karne ke liye.

Chaliye ham COD Select kar lete hai.

COD ka matlab hai Cash On Delivery, Matlab jab aapke pass product aayega to aap Usko paise Cash doge. *Ye option saare products par nahi hota hai.

Kuch Common Sabaal Online Shoping ke

Que. Hamara Kharida huaa Samaan hame kaise milta hai?

Ans. Aapka Kharida huaa samaan aapke diye huee Address par 7 dino me aa jata hai.

Que. Kya ham Dekh sakte hai Hamara Samaan kaha tak aaya hai or hame kab milega?

Ans. Haa aap dekh sakte ho. Jab aap order conform karoge to aapke email par message aayega. usme Track My Order ki ek link hogi, Aap us link par click kar ke dekh sakte ho. ya fir aap flipkart ki site par login karke my order me dekh sakte ho.

Aap apne product ki position track kar sakte ho. ki bo kaha par hai bhi

Que. Kya Kharide huee Samaan ko Bapas kar sakte hai?

Ans. Haa, Agar aapke pass jo samaan aaya hai usme kuch gadbad hai. ya jesa aapne order kiya tha vesa nahi hai to aap usko 30 din ke andar bapas kar sakte ho.

Bapas karne ke liye aapko Apne Email or Password se Flipkart me login karna padega uske baad my order me jao.

Agar aapka samaan me kuch galat hai to aap usko return kar sakte ho

Aap Flipkart ke App se Mobile se hi samaan kharid sakte ho, Apne Product ki postion dekh sakte ho ki bo abhi kaha tak aaya hai, Jo product hai usme kuch kharabhi hai to App ki madad se bapas bhi kar sakte ho. Flipkart App ko yaha par click karke Download kare.

flipkart Android App ko Install karo free me online shoping ke liye
Flipkart App ko Yaha Par Click karke Download kare or 20% descount paaye. kisi bhi Product par. >>Download Now<<

Agar Aap Abhi Computer use kar rahe ho to App par 20% descount paane ke liye is Link se hi App ko Download kare. Link ko apne mobile ke browser me khole

www.HindiMeHelp.com/FlipkartApp

ya is QR Code ko Apne Mobile se Scan kare

flipkart Android App Download for 20% descount

Chaliye ek baar Revision kar lete hai, hamne kya Sikha Online Shoping ke baare me

Online Shopping kya hai, Uske Faide or Nuksaan, Kaise karte hai online shopping or bhi bhut kuch. Agar aapke dimaag me koi bhi Sabaal ho to usko sirf dimaag me mat rhane dijeye. Comment karke muje bataiye, me aapki Help karne ki puri kosis karuga.

Agar aap bhi is Online Duniya me apni ek alag phechaan banani hai to aapko aage to badna hoga. janiye kaise ham apni free website bana sakte hai.

Aapko ye jaankari kesi lage ye batana naa bhule or Agar aap Internet se related koi bhi jaankari chate ho to aap muje bataiye.

Share on:

Hello Friends, I'am Rohit Mewada .. HMH ka Admin. Muje Logo ki Help Karna Acha Lagta hai or Is website Par Me Logo ki Hindi Me Help karta hu :)  Read More...


Leave a Comment

Please Read HMH Comment Policy before Comment.

257 thoughts on “Online Shopping Kaise Kare Ghar Baithe Step By Step Process in Hindi”

  1. Hii i’am Dhiraj Pandiya 311301 pin code asind (bhilwara) rajasthan ke hai is pin code par saman delavery nahi ho sakta h kya

    Reply
  2. sir redme note3 ( 3gb ram &32gb expendable memory) & lenovo k4 note mobile me best features kis mobile set me h
    hmare liye kaun sa mobile set choose krne ke liye best h
    plz help me for best choose

    Reply
  3. Good morning sir
    I did some order snapdeal by online but every item 100 ropes costly compair market rate why? Plz reply me.
    Thanks

    Reply
  4. Rohit Bhai Jab filipkart me account banata hu to sabse pheele mobile number maagh rahe hai maine mobile number daal diya ab aage gaya to email save ho gaya ab usme password daal raha hu to likha aa raha hai Account Does Not Exit Iska kya matlab hua bataye

    Reply
  5. Maine goibibo me jo money refer krke earn kiya hai use kaise use kr sakte hai.. Ticket booking krte time goibibo ka option nhi ata hai net banking debit card credit card ye sab ka hi option ata hai

    Reply
  6. 1 For e.g. agar hum 5000 ka koi prod. Khareedte hai to kya humare acc. me 5000 hona zaruri hai plz help me
    2 fix income ka MATLAB mujhe samajh nahi as raja hai isko b samjhaiye plz

    Reply
  7. Hello rohit sir …maiNé goibibo se refer krke earn kiya or gig kiya maine apne no pe 200 rupe ka ab use kaise use kru…goibibo me flight bus hotel booking ka hi option hai isliye 200 ka apne no pe gift kiya…to btaye use kaise use kru

    Reply
  8. dear sir, mai snapdeal se EMI se LED TV Lena hai.Par snapdeal ,aur SBI bank me Kaise kaise charge padega.agar 9500 ka TV ka bank kitna lega aur snapdeal 9500 rupye kitna jyada lega.

    Reply
  9. Payments karne k bad kya mera acounte se saman k hisab se paisa kat lega ya nehi katega or aslme me village me rahata to kya online delivery mil sakta hai or payments karne k bad o saman mere ghar nehi aya to ka hoga isliye sir mujhe plize help kare plize

    Reply
  10. Sirji mujhe online examination form or online multiservice chalukarna hai to kis type ka card use karna hoga detail me batae

    Reply
  11. Bhai g pahle to aapko thanks bolna chahta hu ki aapne Jo ye work kiya hai logo ko Hindi me help karne ka uske liye
    S
    Bhai g mera sawaal ye ki mujhe “one plus x champagne edition ” mobile kharidna hai amazon se emi par but sir us site pe much samajh on aa ra mujhe plsss bro. Meri help kar do na plsss

    Reply
  12. Sir mai Samsung galaxy A8 Emi par lena chahta hu aur mere pas credit card nahi hai mai kisi doosre tarike se emi kar sakta hu kya please help me
    Aur ek app hai lime axis bank kya,usse emi ho sakta hai

    Reply
  13. Sir. Main yeh janna chahta hoon. Ki ham online shopping mein hamare ATM,debit card se payment kaise karte hain. . Aur online EMI Per shopping kaise hogi. . . Please sir

    Reply
  14. Sir,main iss liye aapko punch rahi hoon keuke kafi time aisha hota hain ki hum ek site par account banake bhul jate hain.to iss liye mujhe aisha app chahiye.

    Reply
  15. Sir,mujhe mujhe yeh dekhna hain ki mere number kon kon sa site par register hain.please app aisha koi app ya site ka naam batao.please aap help kijiye

    Reply
  16. Mere mama ka ek workshop hain waha agriculture related product like blowers jaise product tayar kiye jate hain me in product ko online bhechna chahta hoon to ap plz koi idea bataiye

    Reply
  17. sir mujhse credit card ke baare mein poori jaankari chahiye hai pls help credit card kya hota hai ise kaise banbau kya karna padega mai snapdeal se mobile lena chahta hu EMI se credit card ki jarurat pad rahi hai pls help karo credit aur debit card me kya antar hai aur emi wala bhi jankari dijiye please

    Reply
    • Credit card jab banta hai jab Hamari koi fix income ho.. Jese kahi job kar rahe ho jab banate hai bank wale.. Isme account me paisa na hi fir bhi ham kuch limit tak paise nikal sakte hai.. Is liye bhale Hamare account me paise na hi emi ki date par Hamare account se paise kat jate hai.. Iski or jada jankari ke liye aap apni bank se contact kare.. Or usne kahi ki aapko credit card ? banbana hai to kya karna hoga..

      Reply
    • jo hamara bank accunt hot ahai uske paise ham net ki madad se kar sakte hai.. kuch saman kharidna ho to net banking ki madad se payment kar sak tehai.. iski or jankari ke liye aap apni bank se sampark kare.

      Reply