Online Shopping Kaise Kare Ghar Baithe Step By Step Process in Hindi

Internet ki duniya itni badi hai ki ham Onilne Internet ke baare me jitne Sikhe utna kam hai. Hamne pichle post me jana tha ki ham kaise Online Apne Mobile ko kahi se bhi Recharge kar sakte hai. Internet ne hamari jindgi kitni aasan kar di hai aap soch bhi nahi sakte, aaj internet ki madad se Exam ke result ham online dek sakte hai, Online Apne Dosto se jude rha sakte hai, Online Paise kama sakte hai or bhi bhut kuch….

Online Shopping Kaise Kare Ghar Baithe uski puri jaankari Hindi Me

Abhi jo sabse jada Popular hai bo hai Online Shopping Sites. Q ki Shopping sites ki madad se ham ghar bhete kuch bhi kharid sakte hai or hamara kharida huaa samaan hamare diye huee Address par aa jata hai or hame kahi jaane ki jarurat bhi nahi padti.

Advertisements

Page Contents

Kya Kya hona Chaiye Online Shopping ke liye

Agar aap Online kisi site se kuch samaan kharidna chate ho to ye kuch chije hai jo aapke pass honi chaiye.

  1. Shoping Site par account banane ke liye ek Email ID
  2. Product ko lene ke liye Money(paisa)
  3. Debit/Credit  Card/Net Banking payment karne ke liye
  4. Product ko recive karne ke liye aapka Address

Online Shoping karne me Faida hai ya Nuksaan

Agar aapko kuch lena hai to Aap kisi Dukaan par jaoge ya Online Bhi le sakte ho. Kya faida hai online shopping me ye aap in points ko pad kar samaj jaoge.

  1. Online Shopping karne ke liya aapko kahi jane ki jarurat nahi hai, Aap ghar se bhi Shopping kar sakte ho.
  2. Jis Product ko aap Online lete ho bo aapke ghar par hi aata hai par Kisi Dukaan se lene ke liye aapko khud dukaan tak jana padta hai.
  3. Agar Online kuch Samaan liya or agar usme kuch kharabhi hai to aap usko return(bapas) kar sakte ho 30 day ke andar. par kisi dukaan par bapas karne me kya dikkat hoti hai bo aapko bhi pata hoga.
  4. Online Shopping ke liye kahi jaane ki jarurat nahi isliye Time ki bachat.
  5. Ache or Sasta samaan lene ke liye Alag-Alag dukaan par jaane ki jarurat nahi.
  6. Online kharidne par Kam Daam (Price) me samaan mil jata hai q ki usme Dukaan daar ka commission juda nahi hota hai.
  7. Nuksan ye hai ki agar ham achi site se saman na le to nakli saman bhi aa sakta hai.

Online Shoping karne par discount

Online shopping kaise kare Step by Step in Hindi

Online Shoping ki bhut Sites hai par aaj me unme se ek jiska Naam sayad aapne suna hoga Flipkart. Me aapko bataoga ki aap kaise Online Shopping kar sakte hai Flipkart par. Online Shopping karne ke liye Aap meri steps ko follow karo.

Step 1: Sabse phele aapko Shoping ki site par jana hoga. Aap direct niche diye search baar me search karo jo aapko lena hai. Agar aap direct is box me search karke samaan lete ho to aapko 20% ka discount bhi milega.

Mobile ke liye Memory Card kharide 8GB sirf 200 Rs me to yaha Click kare.

Is Time Agar Aap Mobile use kar rahe ho to Aap Flipkart ka App Yaha se Download kare or 20% discount paye apni pheli kharidi par. Aap ke Pass Ye Aap jarur hona chaiye Agar aap Smart Phone use karte ho to :)

Step 2: Ab aapko jo chij kharidni hai aap us page par phuch gaye ho. Samaan ko Kharidne ke liye BUY NOW ki Button par click karo

Product ko purches karne ke liye Buy Now ki button par click kare

Step 3: Aap jese hi Buy Now par click karoge ek naya page khulega.

apna Email Daal kar continue ki button par click karo

Apna Email ID Daale fir Continue ki button par click kare.

Step 4:

apna ek password daale or usko do baar daale fir Sign Up par click kare

Ab aapko Password daalna hai 2 baar. Aapko ye password yaad rakhna hai q ki isse ki madad se ham baad me flipkart ki site par login kar payege.

*Agar aapka Phele se Flipkart par account hai to aapko uska password daalna hai

Step 5: Ab aapko Apna Address Daalna hai jaha par aap is product ko receive karna chate ho.

Apna address ki puri detail bhare

Is Form me apni sahi- sahi jaankari bhare. fir Save & Continue ki button par click kare

Step 6:

Product ko dekh kar continue ki button par click kare

Ab agar aap chaho to apne samaan ko Gift me pack kara sakte ho. Ek baar apne product ko achi se dekh le or uska total ammount bhi dekh le. fir Continue par click kare

Step 7: Ab Aapko Payment Method ko select karke Payment karni hai.

payment method select karke payment karo or apna order confor kare

Aap dekh sakte ho kya kya option hai payment karne ke liye.

Chaliye ham COD Select kar lete hai.

COD ka matlab hai Cash On Delivery, Matlab jab aapke pass product aayega to aap Usko paise Cash doge. *Ye option saare products par nahi hota hai.

Kuch Common Sabaal Online Shoping ke

Que. Hamara Kharida huaa Samaan hame kaise milta hai?

Ans. Aapka Kharida huaa samaan aapke diye huee Address par 7 dino me aa jata hai.

Que. Kya ham Dekh sakte hai Hamara Samaan kaha tak aaya hai or hame kab milega?

Ans. Haa aap dekh sakte ho. Jab aap order conform karoge to aapke email par message aayega. usme Track My Order ki ek link hogi, Aap us link par click kar ke dekh sakte ho. ya fir aap flipkart ki site par login karke my order me dekh sakte ho.

Aap apne product ki position track kar sakte ho. ki bo kaha par hai bhi

Que. Kya Kharide huee Samaan ko Bapas kar sakte hai?

Ans. Haa, Agar aapke pass jo samaan aaya hai usme kuch gadbad hai. ya jesa aapne order kiya tha vesa nahi hai to aap usko 30 din ke andar bapas kar sakte ho.

Bapas karne ke liye aapko Apne Email or Password se Flipkart me login karna padega uske baad my order me jao.

Agar aapka samaan me kuch galat hai to aap usko return kar sakte ho

Aap Flipkart ke App se Mobile se hi samaan kharid sakte ho, Apne Product ki postion dekh sakte ho ki bo abhi kaha tak aaya hai, Jo product hai usme kuch kharabhi hai to App ki madad se bapas bhi kar sakte ho. Flipkart App ko yaha par click karke Download kare.

flipkart Android App ko Install karo free me online shoping ke liye
Flipkart App ko Yaha Par Click karke Download kare or 20% descount paaye. kisi bhi Product par. >>Download Now<<

Agar Aap Abhi Computer use kar rahe ho to App par 20% descount paane ke liye is Link se hi App ko Download kare. Link ko apne mobile ke browser me khole

www.HindiMeHelp.com/FlipkartApp

ya is QR Code ko Apne Mobile se Scan kare

flipkart Android App Download for 20% descount

Chaliye ek baar Revision kar lete hai, hamne kya Sikha Online Shoping ke baare me

Online Shopping kya hai, Uske Faide or Nuksaan, Kaise karte hai online shopping or bhi bhut kuch. Agar aapke dimaag me koi bhi Sabaal ho to usko sirf dimaag me mat rhane dijeye. Comment karke muje bataiye, me aapki Help karne ki puri kosis karuga.

Agar aap bhi is Online Duniya me apni ek alag phechaan banani hai to aapko aage to badna hoga. janiye kaise ham apni free website bana sakte hai.

Aapko ye jaankari kesi lage ye batana naa bhule or Agar aap Internet se related koi bhi jaankari chate ho to aap muje bataiye.

Share on:

Hello Friends, I'am Rohit Mewada .. HMH ka Admin. Muje Logo ki Help Karna Acha Lagta hai or Is website Par Me Logo ki Hindi Me Help karta hu :)  Read More...


Leave a Comment

Please Read HMH Comment Policy before Comment.

257 thoughts on “Online Shopping Kaise Kare Ghar Baithe Step By Step Process in Hindi”

  1. Sir kya e wallet me hum post office ka saving account use kr sktey hi agar ha to plz btaiye kaise Aur net banking kaise hota hi

    Reply
  2. Sir ye bataye ki snapdeal webside pe kais kaise kare vo log se jute magaye the vo ki chote de diye phir unse vapas karne ko kaha to kha rahe h ki apki request cancels kr di vo log vapas nhi ke rahe h

    Reply
  3. sir me online shopping kar raha hu aap k batay huy step me sir 4 step tak to sahi ta but 5 step me problam ho rahi hai jab ki meine pura sahi bhara hai (The following item(s) are not deliverable to the address provided) yahi bata raha hai sir plz help me….

    Reply
  4. sir main snapdeal se order toh karna chahata hoon par ek problem
    hai, main village me rahata hoon. kya kisi saman ko order karne
    par mere ghar village tak delivery ho jahigi…?
    please help me..

    Reply
  5. sir main snapdeal se order toh karna chahata hoon par ek problem
    hai, main village (jharkhand) me rahata hoon. kya kisi saman ko
    order karne par mere ghar village tak delivery ho jahegi…
    Please help me…

    Reply
  6. sir main snapdeal se online shopping toh karna chata hoon par
    ek problem hai main village (jharkhand) me rahata hoon. kiya
    kisi saman ko order karne par mere ghar village tak delivery ho jahigi?
    please help me…

    Reply
  7. sir main snapdeal se online shopping toh karna chahta hoon par kuch promblem
    hai main village (jharkhand) me rahata hoon kya kisi saman ko order karne par mere
    ghar tak delivery ho jahigi ?

    Reply
  8. Hello sir me flipcart se online laptop kharidna chahta hu to kaise kharidu?
    Kya laptop cash on delivery kharid sakte h?
    Aur kya devilery gaano (villages) me bhi hoti h kya?
    Please reply kare

    Reply
  9. sir mai online shoping karna chahta hu to apne bataya gaya step me sab samajh aa gaya hai lekin ja na sir hame payment karna hota hai to ham kaise kare

    Reply
  10. Ye bahut hi accha article hai. India me hahut sare log online shopping karna nahi jante hai.
    Online shopping me bahut sare problem aate hai jaise ki, Agar aapko clothes ya electronic item kharidna hai to aap kaun se website open kare? Product kaisa hai? Sabse bada problem payment kaise karna hai.
    Lekin ye sabhi easy hai. Aap 1-2 bar khud se try karna hoga bad me aap expert baj jaoge.

    Reply
  11. Snapdeal per Saman magana chahte Hain. Buy, karne per login maang Raha hai. Password accept Nahi ker Raha hai, kahta hai your account temporary lock try after 15minute. Kiya kare.

    Reply
  12. Sir myself ROHIT mjhe EMI pe ek laptop leni hain par mujhey sahi se conditions ka pata nahi chl paa raha hai EMI ke liye procedure kya h kya aap mujhe bata saktey hain

    Reply
  13. Sir
    debit card pnb se online shirt khareed raha hu par paisa pement nahi ho pa raha hi sab sahi hone par bhi failed ho ja raha hi mi kya karu

    Reply
  14. Bhai online shoping mein ::
    1. Mobial number ke bad (alternate mobial number) mangte hai usme kya bharte hai
    2. Last mein (landmark) mangte hai usme kya bharna hai

    Reply
  15. mitr mai amazone ad code ad kar rah ahu pr save nhi ho raha kya kare kripa btaye??aur adsense aprove nhi kiya hai kya kare ??

    Reply
  16. sir, mera nam mahtab khan ha.mughako ye bataiya ki jab ma amezon se ma koi product kharidate ha to usame hmare samne pement pay ka aphasan ataha to usame kase aur kya bharna ha debit card nomber to bhar derahu phir usake bad aur bhi koi nomber bharne ko araha ha please mughako bataiye
    my email id : mohdmahtabkhan0@gmail.com
    and my mobile no.7860732609

    Reply
  17. Comment: लोगो को उनकी भाषा में जागरुक करना लोककल्याण का कार्य है।आज भी भारत में बहुत लोग अंग्रेजी भाषा नही जानते है।यहाँ तक की पढेलिखे लोग भी अंग्रेजी पढ तो लेते है ।परन्तु समझ नही पाते है। हिन्दी में जानकारी देने के लिए आपको धन्यवाद। एक सुझाव -आप अपनी लिखने की लीपि हिन्दी रखते हो तो और अच्छा होगा।जय हिन्द

    Reply
  18. sir mai internet me online shopping debit card ke sath bina net banking ke karsakte hu plzz help me sir sirf aap madad kar sakte h hamara

    Reply
  19. sir , muje online j7 2016 ka khoridni hai sbi debit cerd k through , to j7 2016 to koi bhi site par nhi hai flipkart par out of stock hai to mai j7 2016 ka kaise khoridu ?

    Reply
  20. Ager Credit Card Se 5000 ki shoping ki jaye. ya kuch bhi prodect buy kiya jaye to humko kitna pesa bank me dena hoga. with interest or kitne days me dena hoga.

    Reply