How To Open Blocked Websites in Hindi | VPN Trick

Website Block hai usko open kaise kare?

Agar aap Internet par kisi website ko open karne ki kosis kar rahe hai par wo open nahi ho rahi hai, ya kuch error aa rahi hai to iska matlab wo blocked hai..

Advertisements

Website ko unblock kaise kare wo jaane se pehle jante hai ki Website Block kaise hoti hai?

How To Open Blocked Websites in Hindi | VPN Trick - Internet

Page Contents

Website Block hone ke tarike

Website ki blocking 3 Level me hoti hai,

  1. Computer Level Blocking: aapka jo computer hai usme kisi bhi website ki IP Address ko block karne ke baad uss computer me wo website open nahi hoti..
  2. Modem Level Website Blocking : Wifi Modem me website ki IP Block karne ke baad, jitne bhi device uss WiFi modem se connect hai us par wo website open nahi hoti.
  3. Network Level Website Blocking : Network Level me jis Company ka Internet ham chala rahe hai agar unhone kisi website ki IP ko Block kiya hai to wo uss network par open nahi hoti.
How To Open Blocked Websites in Hindi | VPN Trick - Internet

Jo Network Level Blocking hai. Jese aap Jio, Airtel se kisi website ko open karne ki kosis kar rahe hai to wo open nahi ho rahi hai.. iska matlab hai unhone uss website ka IP ko block kiya hai..

Agar kisi Network par koi Website Block hai iska matlab jarur uss website me kuch galat hai.. ab ya to wo Porn website ho sakti hai ya fir Piracy Free Movie website ho sakti hai jaha se Log illegal tarike se Free Movie Download karte hai.

Jesa ki aapko pata hoga, Indian Government ka Porn or jitne bhi illegal website hai uspar kada sikanja rehta hai.. par ye website India ke bahar se operate hoti hai jiske karan unko band karna possible nahi hota.. to Government jitne bhi network Provider hai unko order deti hai ki wo uss website ka IP Address unke network par block kare.

Website kaise banate hai ye to aap jante hi hoge, q ki Facebook account banana jitna aasan ho gaya hai ek khud ki website banana.. jiske ware me HMH par hamne detail me bataya bhi hai..

To Website bana to koi bhi leta hai.. par agar wo kisi tarah ka galat kaam kar rahe hai to problem me bhi aa sakte hai.

Agar aapki koi bhi Illegal website hai or aap usko India se hi manage karte hai to aapko Jail tak ho sakti hai..

To ab aap ye to samaj gaye ki jitne bhi website Ban hai wo India ke bahar se operate ho rahi hai.. par inka IP address India me ban hai.

Kisi bhi Ban IP Address ko access karne ka tarika hai VPN.. VPN ki madad se kisi bhi blocked website ko unlock kar sakte hai.

Aap Ban Website ko Access karne ke liye surfshark ka use kar sakte hai.. review aap yaha dekh sakte hai.

VPN kya hai?

VPN : Virtual Private Network.. hota hai jiska use karke ham kisi bhi unsecure website ko access kar sakte hai bina apni real identity bataye..

VPN me hota ye hai jab ham VPN connect karke kisi website ko open karte hai.. to sabse pehle website open hone ki request VPN server par jati hai, uske baad wo duniya ke kisi bhi location se uss website ko access karke uska data hum tak pahuchta hai.

VPN ka mainly use apni identity bachne ke liye hota hai.. Q ki ye to aap jante hi hoge jab bhi ham kisi website ko open karte hai to unke pass hamari puri jankari chali jati hai.. aese me agar aap kisi aisi website ko open kar rahe hai jo sahi nahi hai to apne aapko online secure rakhne ke liye VPN ka use karna hi chahiye.

How To Open Blocked Websites in Hindi | VPN Trick - Internet

VPN se hamari real information secure rehti hai.. or agar koi bich me hampar najar rakh raha hai ki ham kis website ko open kar rahe hai to wo unko pata nahi chalta.. q ki unko sirf itna pata chalta hai ki hamne kisi VPN ke IP ko open kiya hai.. VPN ke jariye ham kis website ko access kar rahe hai wo pata nahi chalta..

VPN kya hai or VPN se kya hota hai, to ab aap isse kis website ko access kar rahe hai wo unko pata nahi chalega jo aapke internet par najar rakh rahe hai.

Blocked Website ko kaise Unblock kare

Jesa ki aap ye to samaj gaye hoge, VPN se connect karne ke baad aap kis website ko open kar rahe hai wo pata nahi laga sakta koi bhi… to aese me agar maan lijiye Jio par aap kisi site ko open kar rahe hai par wo open nahi ho rahi..

To sabse Pehle VPN Connect kare, uske baad website ko open kare.

VPN connect karne se jis website ki IP block hai uske liye direct request jati hi nahi.. VPN server par pehle request jati hai.. to aese me Jio me wass ye pata chalta hai ki ham uss VPN tak ja rahe hai, uske thorough kis website ko access kar rahe hai wo unko pata nahi chalta.. iss tarah ham kisi bhi Ban website ko VPN ki madad se access kar sakte hai.

Ab baat aati hai VPN konsa Use kare, to me aapko bata du kuch VPN Free bhi uplabd hai to kuch paid hai..

Agar aapko normal kaam ke liye VPN use karna hai, to aap Free VPN use kar sakte hai.. par agar aapka kaam jada important hai or aapki security bahut jaruri hai to koi badiya Paid VPN ka server hi kharide, jo har kuch second me automatic aapki location refresh karte rehta hai.

Dhiyan rakhe kabhi bhi Free VPN ka use karke apni koi bhi ID login naa kare or naa hi kahi kuch payment kare.. warna aapka data hack ho sakta hai.. Free VPN ka use sirf Blocked website ko access karne ke liye kare.

Download Free VPN for Mobile

Mobile me VPN use karne ke liye aap kisi bhi VPN App ko Install kar sakte hai.. Internet par aapko bhut sare mil jayenge.. jis par alag alag server uplabd hoge.. Aap Direct Google Play Store par search kare VPNs ko try kar sakte hai.

Me jo Free VPN use karta hu uska naam hai VPN Private jo aap Play Store se Download kar sakte hai.

Download VPN for Computer

Computer ke liye VPN software bhi hai jo aap aap use kar sakte hai.. me apne computer me Browsec Browser extension use karta hu jo Free or easy to use hai.

Jab bhi aapko kisi Blocked website ya unsecure website ko open karna hai, VPN ko kisi bahar ki server location se connect kare.. uske baad aap uss website ko bina kisi problem ke open kar sakte hai.

VPN use karna Illegal hai kya?

Blocked website ko VPN ki madad se unblock karke access kar sakte hai.. ye janne ke baad aapke mind me ye sawal bhi jaruri aaya hoga ki VPN use karna Legal hai ya Illegal?

To me aapko bata du, VPN concept ko laya hi isliye gaya tha ki ham apni privacy ko bacha sake or jo bhi hampar najar rakh rahe hai unko pata na chale ki hum Internet par kya kar rahe hai.. ab aese me isko banaya to ache kaam ke liye hai par Log galat kaam ke liye bhi use kar hi lete hai..

Wese agar aap koi bada jurm nahi kar rahe to aap befikar hoke VPN ka use kar sakte hai..

Conclusion:

Aapne abhi jana VPN kya hai or VPN kaam kaise karta hai.. or kaise VPN ki madad se apni security bada sakte hai or kaise Kisi bhi Blocked website ko access kar sakte hai VPN ki madad se..

Agar aapka abhi bhi koi sabal ya sujhab ho to aap comment karke puch sakte hai.. or aapko ye jankari kesi lagi comment karke batana naa bhule.

Share on:

Hello Friends, I'am Rohit Mewada .. HMH ka Admin. Muje Logo ki Help Karna Acha Lagta hai or Is website Par Me Logo ki Hindi Me Help karta hu :)  Read More...


Leave a Comment

Please Read HMH Comment Policy before Comment.

3 thoughts on “How To Open Blocked Websites in Hindi | VPN Trick”