Blog Post ko Schedule kaise kare Automatic Publish hone ke liye

Agar aap blogger hai to aapko pata hoga ki blog par daily Post Publish karna or usko update karna kitna jaruri hai or uske kya fayde hai. jisse hamare blog par visitor regular aate rehte hai or blog ki rank bhi badhti jati hai or SEO me bhi uska fayda milta hai.

Aap abhi aesa karte hoge ki Post likhi or usko publish kardi, par aise naa karte hua agar aap Post ko pura teyar karne ke baad usko kisi fix time par publish karege to aapko uske bhut faide hoge.

Advertisements

Jarur Padhe: Post Publish karne ke phele kya kare 

Blog Post ko Schedule kaise kare Automatic Publish hone ke liye

Page Contents

Blog Post Schedule kya hai ?

Blog Post ko kisi fix time par publish karne ke liye ham usko schedule kar sakte hai jisme ham time or date set kar sakte hai or fir uss time wo post automatic publish ho jati hai.

Blog Post ko schedule karne ke faide

Blog Post ko agar ham schedule  karte hai to uske fayde to bhut hai unme se kuch me aapko batata hu

  1. Daily Post Publish karne ka time fix kar sakte hai, jisse hamare visitor ko pata rehta hai ki kis time new post publish hogi.
  2. Agar ham kisi din kaam nahi kar rahe hai ya kahi bhar kisi kaam se gaye hue hai to hum pehle se hi post likh kar us dim publish karne ke liye schedule kar sakte hai.
  3. Search engine me post jaldi index hone lagti hai agar same time post publish ki jaye to.

Post Publish karne ka sabse acha time konsa hai ?

aapke blog ke liye post publish karne ka sabse acha time wo hai jab aapke blog par jada visitor aate ho, or ye pata karne ke liye aap google analytics ki madad le sakte hai. or Jis time aapke blog par sabse jada traffic aati ho uske thoda phele apni post ko publish kare.

Also Read:

Post ko schedule kaise kare Automatic Publish ke liye

Schedule karne ke liye hamare jo post editor hai uske bagal me aata hai uska option, jisme ham time or date select karke post ko schedule kar sakte hai or fir post us time automatic publish ho jati hai.

Blogger me Post schedule kaise kare

Step 1: Post ko Pura teyar karne ke baad, right side me schedule likha huaa hai us par click kare

blog me post schedule kaise kare blogger me uski jankari

Step 2: Ab Time or Date select kare jis time aap post ko publish karna chahte hai.

blog me post schedule karne ke liye time date select kare blogger me

Step 3: Ab Post ko Publish kar dijiye, Post fir automatic us time Publish ho jayegi jo time aapne select kiya hai.

ab schedule time par post automatic publish ho jayegi blogger me

WordPress me Post schedule kaise kare

Step 1: Sabse Pehle aap apna post likhe aur publish karne ke pehle aap Publish option ke upar aapko Publish Immediately ka option hoga to uske right me Edit pe click kare.

wordpress me post schedule karne ke liye edit par click kare

Step 2: Ab apna Date aur Time select kare aur phir Ok pe click karde.

time date select karke schedule kar dijiye

Step 3: Ab schedule pe click kar de.

time date select karke schedule kar dijiye

Ab aapka post schedule gaya hai ab aapka post ussi time au date pe publish hoga jise aapne set kiya hoga.

Note: Aap Apne blog ki setting me Blog ka Time Zone jarur check karle warna ho sakta hai India ka 9 baje ka time aap set kare Post Schedule karne ke liye or wo kisi or time publish ho.

Dosto aap is Tarah apne blog par Post Schedule kar sakte hai or apne blog ko regular update kar sakte hai. Ye Jankari aapko kesi lagi or agar isse sambandhit koi sawal hai to aap comment karke jarur bataye.

Ye Bhi Padde:

Share on:

Ye ek Guest Post hai jo Manish Singh ne ki hai jo howinhindi.com ke owner hai.


Leave a Comment

Please Read HMH Comment Policy before Comment.

17 thoughts on “Blog Post ko Schedule kaise kare Automatic Publish hone ke liye”

  1. Thank you for sharing this information isko pad kar muze lagta hai ki ab sabhi ko acche se samjh mein aa jayega ki post schedule kaise kare.

    Reply
    • Jo forums hote hai.. Jaha log apne sabal jabab puchte hai.. Waha aapki jo profile banegi usme aap apni website ko add kar sakte hai or agar koi saba puchta hai or uska jabab aapki site par hai to aap waha apni site ki link bhi de sakte hai..

      Reply
  2. Hello rahit ji mere ek blog hai, jisme har post ki url me title ke pehele date aa raha hai……usi date ko url se kaise hataye…… please help me.

    Reply
  3. HELLO SIR ,THNKX FOR SHARING.SIR MAIN AAPNI SITE KO BINA ZOOMING KARE KHOLNA CHAHTA HUN MATLAB MAIN CHAHATA HUN KI MERI SITE KA MATTER PADNE KE LIYE MOBILE USERKO ZOOM YA DOUBLE CLICK NA KARNA PADE .SIR EK BAAT AUR SIR MAIN YE TAB CHAHATA HUN JAB MOBILE TEMPLETE CLOSE HO KYUNKI MAIN KUCH DEFAULT SE ALAG BHI WIDGET SHOW KARNA CHATA HUN PHONE VERSION PR.

    Reply
  4. SIR WHEN I OPEN MY SITE IN PHONE I HAVE TO DOUBLE CLICK ON SCREEN TO READ THE TEXT WHILE THERE IS NO SIDEBAR WIDGET ENABLED[MEANS A LOT OF SPACE IS EMPTY IN RIGHT SIDE BUT I NEED TO ZOOM ] , SIR HOW COULD I STOP THIS ZOOMING SO THAT MY SITE OPENS WITH READABLE TEXT .AND SIR WHAT WIDGET SHOULD I ADD & WHERE IN MY SITE ?
    SIR KRIPYA KARKE SARALTA SE BATAYE.

    Reply
  5. Rohit ji apko is post ke liye bahut dhanyawad .
    Kyoki aksar mere sathaise hota tha ki mai apne blog par ek din me ke post dalta hu aur khabh-khabhi mere pass bahut se post hote hai.

    Reply
  6. SIR PLEASE MUJHE YE BATAYE KI KESE MAIN AAPNI KO BINA ZOOMING{MATLAB DOUBLE CLICK KR ZOOM KRNE KE BAAD LEFT RIGHT SLIDE KRNA} KE KHOL SAKTA HU JESE KI AAPNE APNI SITE ME KIYA HUA H MATLAB JAB MAIN AAP KI SITE MOBILE PR KHOLTA HUN TO MUJHE NA HI SLIDE KRNA PADTA AUR NA HI ZOOM ,PLEASE HELP ME SIR & SIR WHAT IS BACK LINKING ?
    YOU ARE MY INSPIRATION SIR

    Reply
  7. kya keyped mobile se blog pe post kiya ja sakta hai ? maine jab blog pe log in kiya to bhout sara detiles bharkar sayad mera account open ho jaya hoga .
    new post nhi kr pa raha hu blng me

    Reply