Hello Friends, Aaj Date hai 27/05/2018 yani ki mera B’day.. isliye ye din mere liye Special to hai ki, par jo log mujhe chahte hai , Mujhe pasand karte hai, jo muje support karte hai unki baja se ye din mere liye or bhi jada Special Ban gaya hai.
Mere Bhut se Friends hai jo mere ware me jaana chahte hai or unke bhut se sabal bhi hai jinka jabab abhi tak kisi ko nahi pata hai, par aaj me mere wo sare raaj open karne wala hu.. Kuch bate to aesi hai jo abhi tak mere alawa kisi or ko nahi pata hai.
Sabse Pehle Baat karte hai me pehle kis type ka banda tha, kya karta tha, kya soch thi meri or kya karna chahta tha wo jaan lete hai uske baad jo Sawal hai unke jawab diya jayega.
Page Contents
- Meri Life ke Top Secret
- Rohit ki Life se Jude Secret Sabalo ke Jabab
- Rohit Mewada ki GirlFriend Hai ya Nahi ?
- Computer me konsa Course kiya hai ?
- Sabse Phela konsa Blog banaya ?
- Blogging me sabse pheli Post konsi likhi ?
- Family me or koi bhi Blogging karta hai ?
- Blogspot par Blog tha jab kitni Income thi ?
- Jab Blogging start ki to kitne din me Stable ho gaya ?
- Kitni Age se Blogging Start ki ?
- HindiMeHelp Income kitni hai ?
- HMH kitni Post hai or kitni Delete ki hai?
- Mene Padhai me Kya kiya hai ?
Meri Life ke Top Secret
Me ek aise kism ka ladka tha, jo andar hi andar bahut kuch sochta tha, or andar kya chal raha hai wo kisi se share bhi nahi karta tha.. q ki mujhe kahi na kahi aisa lagta tha ki me agar kisi se share karuga to wo samjega nahi or sayad mera majak bhi udaye.
School Time me 8th class tak to kuch extra nahi kiya.. Normal School se ghar, TV, Khana-Pina, Sona wass ye hi sab normal chalta raha.
8th Class me pehli war mene Computer ko use kiya School me, uss time to usko chalu kaise karna hai ya band kaise karna hai iss baat ne hi pasine chuda diye the.. par dhire dhire thoda knowledge bada..
Ab Internet bhi kuch cheez hoti hai, jiska use karke ham kuch bhi dekh sakte hai, kuch bhi search kar sakte hai aesa pata chala.. to wass ab isme thoda interest jag gaya.
Ek war mere ek Friend ne online Map par uske ghar ka naksha dikhaya, par ye usne kaise kiya ye usne nahi bataya.. Wass Fir kya tha Net Cafe ke chakkar lagna chalu huee, or Internet par pata nahi kya kya search karte, Game khelte.. Fir aise hi dhire dhire bahut si chijo ke ware me pata chala.. or WikiMapia ek site hai jis par ham apna Map set kar sakte hai ye bhi pata chala..
Fir Kya tha Map set karke, mere uss friend ko bataya jo nahi bata raha tha ki usne kaise kiya.. wass ye sab chal raha tha..
Yaha par jo sabse Interesting baat thi wo ye, ki Jab bhi Net Cafe jate the to wo hamara Naam or Mobile Number puchte the.. aise hi security propose ke liye.. Mere Mind me ye pata nahi kaha se aa gaya, ki yaar aisa naa ho me kuch ulta kardu or muje police utha le jaye, isse bachne ke liye me apne Friend ka Naam, Uska Address, or uske ghar ka Number use karta tha Cafe par ;)
Me Net Cafe itna jata tha ki jo Uncal the unko mera naam hi yaad ho gaya tha (jo mera nahi mere friend ka naam tha 😜..), Hit to ek war jab hui, me jis Friend ka naam use karta tha me ussi ke sath cafe par net chalane gaya, to uncal ne mera naam direct likh liya bina kuch kahe ya puche, or last me jab ham nikle to mere friend ne wo naam dekha.. to waha se jane ke baad usne mujse kaha, dekha beta kitna Famous hu, Uncal ko bina bataye unhone mera Naam likh liya 😂😂😂.., mene kaha haa bhai tu to bhut bada wala nikla yaar, or andar hi andar thoda hass bhi liya 😝..
Meri jo Pocket money huaa karti thi wo aese hi Net chalane me khatam ho jati thi, baki mera or koi sok bhi nahi tha.. ye sab 12th tak chalta raha, uske baad Bhopal aa gaye Engg karne.
2010 me jab me Bhopal aaya tha, Engg karne uss time mere pass Samsung Champ Mobile tha, jisme 2g net chal jaya karta tha bhut hi slow speed me, to wass aese hi thoda bhut net par kuch bhi search karte rhete tha, kahi Songs Download kar liya ya Fb open karli..
Ek Din aese hi collage me baat chal rahi thi, GF-BF ke topic par, usme aese hi kahi se Love Guru ki baat nikli ki jo Pyaar karte hai wo unko tips dete hai unki Help karte hai. 😇 Fir Kya tha iss sararti dimag ne fir kuch ulta karne ka socha.. to net par apne uss chote se mobile par search kiya, par jada kuch mila nahi.
Mene search ki Love Guru website, par kuch nahi mila.. par aese hi search karte karte me ek website par phucha jiska naam hai Peperonity, jispar ham Mobile se Blog ya Page bana sakte hai..
Mere pass computer to tha bhi nahi ki me uske ware me jada kuch search karu.. wass aese hi use karte karte pata nahi kaha se, kaise mene usme account bana liya or LoVoGuRu naam se ek blog bhi bana liya 😜 jiska maksad tha ki jo bhi ladke ladkiyo ke message mere pass aayege unke maje liye jayege. wese bhi Pyaar Vyaar me koi interest tha nahi, wass dimag ulti sidhi chijo me bhagta rheta tha, jo me kisi se share bhi nahi karta tha.
To ab uspar apna blog bana liya apne chote se mobile se, uspar logo ke message bhi aane lage, phele to kuch bhi ulta sikha reply kiya.. par kuch aese question aaye ki me thoda series ho gaya, or jo muje sahi lagta sirf wo hi batata or help karne ki kosis karta.
Ab Jab Engg ke 2nd Year me aaya to Papa ji ne thodi Jid or Request ki to unhone Laptop dila diya.. Mechanical Engg me AutoCad ke aalawa to koi jada kaam bhi nahi tha Laptop ka, or usko ek mahine ki coaching karke usko pura sikh liye.. ab kuch time baad ye samaj hi nahi aa raha tha ki ab iska sahi tarike se kya use karu.. thoda bhut FB, Songs Download, Game ke aalawa koi or use hi nahi tha laptop ka..
Fir ek din aese hi jo mere Room Partner the, jinki CS Branch hi thi wo aese hi kuch baat chal rahi thi to unhone kaha me to Project me Website banaoga. Ye Baat sunne me itni badi lagi uss time ki khud ki website 😍. Website kaise banti hai kese kya hota hai kuch pata nahi tha To unse jaanna caha, par sahi baat to ye thi unko bhi website kese banti hai uske ware me jada jankari nahi thi.
Ab Net par mene apne Laptop me search kiya How to create a Website, wass yaha se jo meri Blogging ka safar hai wo ho gaya start.. mera din wa din usme interest badta gaya, me collage se aane ke baad laptop me ghus jata, or pata nahi kya kya naya sikhta jada or apni site par implement karta jata. Mene apna website Blogger par hi banai thi or blogspot domain hi tha, muje ye tak bhi pata nahi tha ki isko Blog khete hai.
Roj ka time table ban gaya tha, kuch naya sikhna hai or apni site par implement karna hai, aesa karne me bhut war to raat ka pata hi nahi chalta tha. subha hogai uska pata bahar se roshni aane lagti jab pata chalta tha.
Agar aapko Meri Blogging ke ka safar kese start huaa or mene kya kya kiya wo sab janna hai to aap meri One Year Success Story Padh sakte hai.
Issi Bich mera Interest Hacking me bhi bada, or Kuch Facebook Account or website bhi hack ki, Hacking ki kuch interesting baat batata hu:
Hacking Case 1: ek din mera bhai FB chala raha tha, koi Girl ki ID open thi or jo Room Partner the wo wahi bethe the, to ek ne mere bhai ki ID se uss ladki ko message send kiya “HII”, par jese ki ham sab jante hai ladkiyo ke pass itna time nahi hota ki wo reply kar paye kisi anjan ladke ke Hii ka to jo Room Partner the unhone ek or Message send kar diya.. “Reply kar nahi to teri ID hack kar luga” to ab ladki ne reply kiya “tere baap me dam ho to hack karke dikha, mera BF Hacker hai“..
Ye baat muje thodi achi nahi lagi jab mene uska aesa message dekha.. usne mere bhai ko to uske baad block bhi kar diya.. to ab mera kaam start huaa q ki muje usko sabak sikhana tha, ki tikh hai aapko baat nahi karni thi aapka BF hai , par jo Baap ki baat kahi wo nahi karni thi, ab moka tha muje apna talent dikhane ka..
Mene apni ID se usko friend request send ki or 2 fake account turant banaye or unse request send ki uss ladki ko, or 3 trusted friend Technic se uski ID agle din hack karli.. par muje kuch galat nahi karna tha wass usko sabak sikhana tha.. to mene uski id par ek Status share kiya –
“Mera jo Boyfriend hai wo bhut bada Hacker hai, Ab wo meri ID recover karke dikhayega, jo RNHCKR ne hack kari hai”
Hacking Case 2: Mene ek Virus software banaya tha, jisse hota ye tha, jis computer me wo run ho jaye usme Facebook site open karne par meri site par redirect ho jata tha, or agar koi Porn site open karte to bhi redirect hoke meri site open ho jati.
Ye Virus mene apni site par bhi dala tha jo automatic download ho jata tha jo bhi website ko open karta tha, or mene usko Collage ke jo computer the usme bhi run kar diya tha.. to ab meri site par acha traffic aane laga
Par uska Faida kya tha, muje iss time tak ye pata hi nahi tha ki website se paise bhi kama sakte hai. 😒 , kher mera aesa kuch irada bhi nahi tha.. wass me sabko sudhar raha tha ki galat site ka use karna band kare 😆😆
Iske baad.. Jab engineering Complete hui to mere pass 2 option the.. Job karu ya aapna passion ka kaam karu..
Or mene blogging ko select kiya.. Jiski starting me bhut dikato ka samna bhi karna pada.., starting me hosting ke paise bachane ke liye 1 mahine dono time khana tak nahi khaya..
To ye rahi meri Life ki kuch interesting bate jo aaj se phele kisi ko nahi pata thi, par ab mere sabhi dosto ko pata chal jayegi, or isse aapko thoda or ye samajne me aasani hogi ki me kesa banda hu 🙂
Chaliye ab jo kuch Question hai unke jabab jaan lete hai
Rohit ki Life se Jude Secret Sabalo ke Jabab
Rohit Mewada ki GirlFriend Hai ya Nahi ?
Agar aapne meri upar ki bate read ki hai to iss question ka jabab aapko mere dene ke phele hi mil gaya hoga.. Mera isme koi Interest nahi tha or ek Baat jo mere Papa ji ne muje kahi thi kahi na kahi wo mere dil or dimag me beth gai thi wo bhi ek karan hai.
Mere Papa ji ne kaha tha “ijjat banane me puri jindgi lag jati hai or bigadne me ek second nahi lagta, to beta kuch bhi aesa kaam nahi karna hai apneko jisse apni jo ijjat hai uspar thodi bhi aacha aaye” or me kisi ke ware me galat nahi soch sakta tha ye nature mera phele se tha.. to agar me GF banata to ussi se meri shaadi hoti, fir chahe uske liye me muje kuch bhi karna padta.. or me iske liye apni Family ke khilaf bhi nahi ja sakta tha, to yahi karan hai ki mene koi GF nahi banai.
Pata nahi Q par mera Dil me bhut phele se ye baat hai, Dil diya jayega to sirf ek ko, or jisko diya jayega wo hi life time sath rahegi.
Mere Pass Kuch Offer bhi aaye the, par muje kisi ke sath Time Pass nahi karna tha so mene koi response nahi kiya. Ek ladki to itni jada gusse me aa gai thi jab mene uska koi response nahi diya to usne muje dhamki di thi ki “Tu ab Chan se nahi ji payega”
or jo ye sabal tha ki meri shaadi hui ke nahi, to buddy’s me aapko abhi shaadi ke layak bhi lagta hu, abhi to bacha hu yaar.. kaha muje in jhanjato me fasa rahe ho.
Computer me konsa Course kiya hai ?
Mene koi course nahi kiya, jo bhi muje aata hai naa wo muje kisi ne nahi sikhaya .. Jitna kuch bhi muje aata hai wo me khud se sikha hu.. Haa Hacking me jab thoda interest tha, or thodi bhut hacking banjati thi to Hacking ka ek Event tha 2 Din ka wo jarur attend kiya tha..
Sabse Phela konsa Blog banaya ?
Agar sabse phela blog ki baat karu to wo mene apne Chote se Mobile se hi banaya tha LoVoGuRu jo peporinity.com site par tha. uske baad Laptop aane par jab thoda isme interest jaga to RNHCKR banaya tha..
Blogging me sabse pheli Post konsi likhi ?
Blog bana kar jo mene sabse pheli post likhi thi wo thi How to Protect Gmail Account From Hacker.
Family me or koi bhi Blogging karta hai ?
Sirf me Blogging karta hu, baki sabko Blogging ka B bhi nahi pata, or jab kisi ka interest nahi hai to wo blogging kar bhi nahi sakte.
Wese mera ek sapna hai ;) ki jo meri partner hogi.. usko thoda bhut blogging ke ware me jarur pata ho, taki wo samaj sake me asliyat me kesa insan hu.
Blogspot par Blog tha jab kitni Income thi ?
Me apni income share nahi karta hu, par ye jo sabal hai wo aesa hai jiska Blogspot ya WordPress par blog ho usse koi fark nahi padta.. Meri Blogspot par blog tha us time 35k per month ho jati thi, baki aesa nahi hai me isse jada blogspot par nahi kama sakta tha.. wass muje thode jada option chaiye the isliye WordPress par sift karna pada.
Jab Blogging start ki to kitne din me Stable ho gaya ?
Is sabal ka accurate jabab me nahi de paoga, q ki ye muje yaad nahi or stable se aapka kya matlab hai ye uspar bhi depend karta hai.. agar visitor ki baat karu to phele 1000 visitor per day lagbhag 1 month me aa gaye the..
Kitni Age se Blogging Start ki ?
isme me kahuga me thoda late ho gaya.. mene 22 ki age se start ki.. jitni kam age se muje iski jankari hoti aaj me utna hi aage hota..
HindiMeHelp Income kitni hai ?
Me janta hu ye sabal lagbhag mere sabhi dosto ke mind me hoga, or aap bhi unme se ek hoge jo ye janna chate hoge ki akhir meri income kitni hoti hai. Friends me aapko iss sabal ke liye fir se niras karuga, q ki mene agar apni income share ki to jo mera maksad hai wo me pura nahi kar paoga.
me chata hu logo ko apne pero par khada karna, or ek baat me clear kardu paise aap starting se hi nahi kama sakte blogging me.. isme paise kamane ke liye aapko bhut kuch sikhna padega.. to agar mene apni earning bata di to aap usko apni earning se compare karege or fir demotivate ho kar blogging chor dege.
HMH kitni Post hai or kitni Delete ki hai?
HMH par abhi 420 Post hai or jo post kaam ki nahi rheti me unko delete kar deta hu.. abhi puri post ko update karna hai to bhut si post delete hogi abhi to. jo Post kaam ki nahi uska HMH par koi kaam nahi. ;)
Mene Padhai me Kya kiya hai ?
Mene BE ki hai Mechanical Stream se jiska mere Blogging se koi lena dena hi nahi hai, par mera interest tha blogging me to me isme aaya.
Ye baat me har war kheta hu aapka jis me interest hai aap wo kaam karo to success aapko jarur milegi or aapko paise ke piche nahi bhagna padega, Paisa khud aapke piche bhagega.
To Friends, ummid karta hu is post ko read karne ke baad aapko mere ware me bhut si aesi bate pata chali hogi jo aaj tak koi nahi janta tha..
Aapko Meri Life ke secrets kese lage ya inke aalawa bhi agar aap kuch jaanna chate hai to comment karke puch sakte hai.
Mst bhai.. be
lated happy birthday.
Thanks bhai ❤️
बहुत मज़ा आया आपकी इस पोस्ट को पढ़कर
रोहित मेवाडा की लाइफ के सीक्रेट्स जो किसी को नहीं पता – लेकिन अब सब को पता चल गए
हैप्पी बर्थडे sir
Thanks bhai 🤗
thanks bro aapke secrets share karne ke liye.
kafi kuch same
Thanks bhai 🤗
Happy birthday Rohit sir kafi interesting post share Kiya aapne
Thanks Bhai..
n thanks galti batane ke liye bhi.. :)
Nice sir ji …Happy bithday too you …Mai bhi bhopal se hun ….Aapki blogging journey bhaut acchi hai ….Or sab se interesting baat to yeh lagi ki aapne hosting ke liye subha syaam ka khana chod diya ….Isse thoda confuse hun …jaroor batAye
Thanks
Nice sir ji …Mai bhi bhopal se hun ….Aapki blogging journey bhaut acchi hai ….Or sab se interesting baat to yeh lagi ki aapne hosting ke liye subha syaam ka khana chod diya ….Isse thoda confuse hun …jaroor batAye
Bhai khana nahi chodda.. Par haa khane me thodi katoti karni padi thi..
Jese normal ham khane ke sath extra chije bhi lete hai.. Wo sab band kiya.. Or extra koi kharch nahi kiya..
wah rohit bhai… Bohat badiya article tha aur ye sb hum jese chote bloggers k liye bohat hi helpful tha aur inspirataion k liye bhi… Thanks bhai… Thank you soooo much
Thanks brother ❤️
nice bhai pr mai ye sab pehele se hi janta hu hmh or hmh fb group ki bjha se
Bhai.. Par isme kuch chije aesi hai. Jo mene isse phele kisi ko nahi batai thi isse phele..
Kher HMH Group me join ho to fir to bhut kuch jante hoge aap mere ware me. Wo group mere liye family ki trha hi hai.. Jaha me apna sab kuch share karta hu..
Waah, bhai aapki life story aapki website ki tarah amazing hai.
Happy Birthday sir,
Thanks Yogeshwar ji
बहुत सी आप में secretive हैं जो मुझे अच्छी लगी, आप एक अच्छे लोगों में से एक है सर… आपसे एक हेल्प चाहिए थी मेरी भी एक ब्लोगिंग हैं पर कुछ टाईम income कम हो रही है
Bhai.. Income kam hone ka karan aapki traffic down hui ho isliye hui hogi..
Wow!!! Interesting story 👌
Thanks
bahut mast post kia h rohit bhai apne maza aa gaya padh ke aur hamari bhi madad kar do thodai jaise high quality backlink kaise banae taki hm bhi kuch earn kar sake
Bhai post dali hai. High Quality backlink kaise banaye. Wo read kare.
Rohit Bhai bhut hi umda post hai or happy Wala birthday mere Bhai tum jiyo 100000 sal or aise hi success hotel raho yahi hamari subhkamnaye hai
Thanks Arun bhai ❤️
Yanne bloging me income hai ki nahi
😅bhai lagta hai aapne Tikh se read nahi kiya. Mene apni life ke kuch expreiance share kiye hai yaha..
Blog se income kaise hogi or kya karna hoga uski mene post dali hui hai.
भाई तुम और सुंदर पिचाई ही मेरे सबसे बड़े motivator हो,मैं भी मैकेनिकल ब्रान्च से था, क्योंकि जब मेकैनिकल ब्रांच लिया था उस समय इतना interest nahi thha कंप्यूटर में,पर अब जब हुआ है तो पिछली बातों को भूलने की कोसिस कर रहा हूँ
Great.. wese bhai pichli bato ko bulne ke bajaye.. aage kya karna hai uspar focus rakho.. to sab badiya hoga.. Good Luck..
रोहित जी ये कमेन्ट मैं बहुत लेट कर रहा हु , क्योकि मुझे पता है आपका जन्मदिन वापिस आने वाला है ,
और थोड़ा पुराना पोस्ट होने के कारण शायद आप मेरा कमेन्ट भी ना देख पाओ ,
पर फिर भी मेरे मन में जो है मैं आपको कह देता हूँ , की सबसे अच्छी बात या आपकी आदत मुझे ये लगी है कि आप हर कमेन्ट का रिप्लाई करते हो , वो भी टाइम से ।
ये टाइम मैनेजमेंट की बात मुझे आपकी बहुत अच्छी लगी।
Thanks…☺☺
Thanks 😉
Happy BirthDay Bro.
Keep It Up
Thanks brother ❤️.. Wese mera B’day abhi nahi hai..
Best yaar Rohit “Kya Kahu Dil se (Mast Yaar” Kabhi Avsar Mile To Jarur Milenge,
Bahut hi badiya…
Thanks Indrasinh
brother aapke vichaar to mahatma gandhi se bhi badkar hain,,,,,,, kya kehana hai apka aap such me ginius hain me to bas yhi kahunga ki jab saamne se ladki ka offer aata hai to accept kr lena chahiye fir chahe dhokha do ya na do
😂 😂 kya baat hai..
Way very nice dil jeet liya apne bhai
Thanks Bro
bhai mene ek blogger.com blog banaya but usko sirf 9 logo ne seen kiya iska uske bad kisi ne v nhi kiya ,iske liya me kya karu
aap jo post dalte hai.. wo aesi dale jo log janna chate hai or jo phele se naa ho.. iske liye aapko thodi to research karni hogi.
hahhhahahahah apne dost ko famous kr diya or dost kah raha mai bada famous hu wala part bada majedar tha ,
????????ka wo moment wakai majedar tha..
hahahahahahahaha apne friend ko famous kar diya or wo kahta ki mai bada famous hu wala part bada majedar tha
hahaha, haa bhai.. wo aaj bhi uss baat se khus hoga ki wo itna famous hai..
Bro ea 3 trusted friend wala trick kya he ???
Brother fb id me option aata hai.. Jisme ham ji par hame bharosa hai unko add kar sakte hai.. Taki jab account recover karna ho to uske pass jo code jaye wo ham puch kar apna account recover kar sake.. Par aese me koi bhi 3 friends ko select kar sakte the.. Aese me 3 fake account bana kar jiska account hack karna hota tha usko send kardo request..
Iss tarike se ab nahi hoti hack.. Fb ne usko update kar diya hai..
bhai mai microsoft account ka balance bank ya kisi anya jagah kaise transfer karu
jaldi reply karna bhai mai roj aapke website pe roj aata hoo
Brother microsoft ke konse account me paise aaye.. Me samja nahi..
Bahut hi unique lifestyle hai aapki
Thanks Deep :)
Be lated happy Birth Day Bro :}
Thanks Brother :)
Happy wala bday bhai
Thanks Sunil ji
Hello Rohit Bro
me apna ek blog bana chata hon free me. kya wordpress par banaya ja sakta? ya blogger par banana hoga? kya phone se bhi blog bana sakte hain. full details bataye plz.
WordPress par aap free nahi bana sakte.. me aapko suggest karuga aap blogger par hi banaye.. or aap mobile se bhi manage kar sakte hai.. wass kuch chije hai jo mobile se karne me thodi prblem aati hai par manage kiya ja sakta hai..
Hello Rohit bro
me bhi apna ek blog shuru karna chata hon free me. wordpress me kya free me blog banaya ja sakta hai ya blogger use karna hoga?. kya phone se bhi blog banaya ja sakta hai.? full details me bataye plz.
Free me blog ke liye Blogger best hai.. Aap wordpress par free nahi bana sakte.. Or jo banta hai uski bhut limitation hoti hai..
hi. bhai me apka fain ho gaya bhai apna no send karo yaar
Thanks Brother.. n sorry buddy me apna number nahi de paoga.. aap FB Group join kare agar aapne abhi tak join nahi kiya hai to.. :)
to batao me apka fb group kese join karu
Brother aap upar uski image bhi dekh sakte hai blog me.. aap iss link par jaye.. Hindi Me Help Fb Group
ok mene join kar diya he ab. yaar app kam se kam. apna koi to contact do akir hum ek frd he yaar
Kya post hai sir gajab… Very nice.
rohit bhaiya
1.agar mai blogger free blog 6month use karne ke baad domain nahi leta hoo to kya hoga mera blog band hoga kya?
2.koi mere blog par comment karta hai mere paas nahi aata kya karu
agar aapka free blogspot blog hjai to wo band nahi hoga.. agar domain hai to usko jarur renew karana padta hai..
comment aap approve otion enable kare setting me..
Happy Birthday Rohit ji
Thanks Brother..
Wakai ye story mere dil ko chu liya. Aapne apni aapbeti puri likh diya very interesting aapki story..
Rohit ji….
Thanks Suraj ji
brother aapki story to sachh me bahut hi motivational hai….yah post share ke liye thanks
Thanks Brother.. wass jo tha wo share kiya.. haa wese ye muje bhi lagti hai.. meri life baki sabki life se thodi hatke hi biti hai abhi tak ..
rohit bhai mai apne blog pe aapke jaisa comment box lagana chahta hoo kaise lagau
Brother ye WordPress ka comment system hai.. aap blogger me Discus comment laga sakte hai.
Nice post rohit bro
Thanks brother ❤️
very nice post bro.. bahut kuchh sikhne ko mila
Thanks brother ❤️
bhaiya aapki succeses story bahut achchhi hai
bhaiya airtel costmare care walo ne mere saath cheat ki hai to main unki report karna chahti hoo kaise karoo
Thanks Buddy ❤
aap yaha dekhe kaise kar sakte hai sikhayat
inspration life jurney sir which lots of motivate
Thanks Komal ji :)
Nice Story Bro…
Thanks
Rohit bhai Happy Belated Birthday..
God Bless You Bro…
Thanks Brother :)
Happy birthday bhai.
Thanks Bhai
Happy birthday Rohit sir.
Bhagvan aapke life me khusiya bhar de.
Sir Maine aapke email pe kuch questions aur javab puche hai jara usko dekh kar reply kar dijiyega
Thanks Brother.. n me aapko check karke reply karta hu :)
Be lated Happy Birthday Rohit bhai
Thanks :)
Thanks
Apne bare share krne ke liye.
M english blogger hu or meri earnings b acchi ho rhi h.
Mere friend me aapke blog ke bare bataya to mne dekha hindi blogging b best h. Mne hindi me b blog start kiya h or achhe visit aa rhe h.
Aapke ye post share kr motivate kiya h.or hindi blogging ko aap bhot hight tk le gye ho.
Thanks again.
Thanks Bro :)
Thoda Main Late Ho Gaya,
Anyways, Happy Birthday Rohit Mewada,
Mujhe aaj bhi yaad hai peperonity ko mera best friend chalaya karta tha, maine bhi use dekhakar ek din use kiya par mujhe interesting nahi laga. Aaj wo non-blogger hai aur main tech blogger. Vaise main Shoutmeloud.com se Inspired Hindi Medium Banda Hun.
Vaise jis time main blogging start kar raha tha, us vakt aapka aur Jumedeen sir ka bhi blog tha, par donon ke language hinglish thi, jiske karan mujhe dono hi blog ko padhane men hardness feel hota tha. Aaj bhi hota hai.
isliiye main english read karana prefer karta tha.
Lekin main cpc ke chalte apne blog men hinglish ka hai use kiya, lekin ab hindi likh raha hun. Kyonki hindi jitani bolane men saral hai utni hi ye apne rup men saral lagati hai, jabki ye banavati men hard ho jati hai.
Khair mere kuch questions hai –
1-Post delete karen ke bad 404 se bachane ke liye kya karte hai ?
2-Aapne HMH.pe kaise banaya ?
Regards
Ravi Kumar
Thanks Brother..
jo aapke question hai..
1: 404 se bachne ke liye uski link ko 301 redirect kar dete hai.. ya uski link ko search console se remove.
2: HMH.pe ek alag hi domain hai jisme mene hindimehelp.com par redirect kar diya hai.
Wish you Happy Birthday Rohit Ji
Sorry me thoda late ho gya,maine aapki story padhi bahut hi interesting he,jis tarah computer world me log Bill Gates se prerit hote he us trah Hindi blogging world me log aapse prerit hote he.
Aapse humko yah sikh milti he ki jis kaam me hume interest ho yadi vah kiya jaaye to usme aage badhne se hume koi nahi rok sakata.
Thanks Brother, or jo aapne last me kaha wo bilkul sahi hai..
bhot achi story hai .. and happy birthday
Thanks Bro :)