🚗 Vehicle Owner Information by Number Search in Hindi [Online/SMS]

Vehicle Owner Information kaise Nikale Number Plate Search karke uske ware me ham abhi sikhege..

Ye to aap jante hi hoge Gadi ki Number Plate se hi uski phechan hoti hai, or ussi se pata chalta hai ki Gadi kiske naam par hai, kaha ki hai ya kab kharidi gai..

Advertisements

To agar aap kisi se second hand Car ya Bike lene ka soch rahe hai, to sabse phele check vehicle owner name by registration number, jiske aapko Gadi ki puri jankari mil jayegi or aap kisi bhi trha ka dhoka hone se bach jaoge.

Vehicle Owner Information by Number Search in Hindi

Page Contents

Find Vehicle Owner Information by Registration Number

Online Vehicle Registration Details dekhne ke 2 tarike hai, jinki madad se ham Gadi Number Search karke puri vahan registration details nikal sakte hai:

online vehicle registration details:

  • Registration No
  • Chassis No
  • Engine No
  • Owner Name
  • Vehicle Class
  • Fuel Type
  • Maker / Model
  • Insurance Upto
  • Registering Authority

To chaliye ab jante hai how trace vehicle owner name by vehicle number

1: Online Vehicle Registration Details Check Website

Online kisi bhi gadi ki detail chack karne ke liye sabse phele parivahan ki Official Website par jana hoga. jiski link niche di hui hai.

parivahan.gov.in

Ab jo Page open hoga, waha Gadi ka Number dale dale fir search kare.

gadi Number search karke Detail kaise nikale

  1. Gadi ka Number dale, jo Number Plate par likha hua hota hai.
  2. Jo Box me code hai, usko type karna hai.
  3. Check Status button par click kare.

Jese hi Gadi ka Number search karege, niche uski puri detail aa jayegi.

online RC Stutas kaise check kare gadi ka number search karke

To jesa ki aap Image me dekh sakte hai.. Gadi Number Search karke vehicle owner information, vehicle Insurance detail, Chassis or Engine Number, Registration detail aasani se nikal sakte hai.

2: Get Vehicle Owner Information via SMS

Gadi ki detail nikalne ke liye Governmanet ki Offical website to hai hi, uske aalawa SMS service bhi hai, jisme ek number par Gadi ka number send karne par uski detail SMS se mil jati hai.

Sabse phele Mobile SMS me type kare VAHAN <Space> Gadi ka Number jo Number Plate par likha hota hai, Fir uss SMS ko 07738299899 par send kar dijiye.

Send SMS

vahan ki detail SMS se lene ke liye Kys SMS send kare

Jese hi aap SMS send karege, uske kuch der baad hi ek SMS aayega VM-VAAHAN se jisme vehicle owner information hogi.

VAHAN ki jankari SMS se kaise nikale

To Iss trha aap Kisi bhi Car, Bike ka Registration Number Search karke unki detail nikal sakte hai.

RTO ki jankari in States ke liye uplabd hai:

  • Andhra Pradesh – AP
  • Arunachal Pradesh – AR
  • Andaman & Nicobar – AN
  • Assam – As
  • Bihar – BR
  • Chhattisgarh – CG
  • Delhi – DL
  • Diu and Daman – DD
  • Dadra Nagar Haveli – DN
  • Gujrat – GJ
  • Goa – GA
  • Himachal Pradesh – HP
  • Haryana – HR
  • Karnataka – KA
  • Jammu & Kashmir – JK
  • Jharkhand – JH
  • Kerala – KL
  • Lakshadweep – LD
  • Mizoram – MZ
  • Meghalaya – ML
  • Manipur – MN
  • Maharashtra – MH
  • Madhya Pradesh – MP
  • Odisha – OD
  • Puducherry – PY
  • Nagaland – NL
  • Tamil Nadu – TN
  • Sikkim – SK
  • Punjab – PB
  • Rajasthan – RJ
  • Tripura – TR
  • West Bengal – WB
  • Uttar Pradesh – UP
  • Uttrakhand – UK

At Last: 

To ab aap jaan chuke hai kaise check karte hai vehicle owner name by registration number.

vehicle owner information ki sabse jada jarurat aapko jab pad sakti hai, jab aap kisi se koi second Car ya Bike le rahe hai.. to aap upar bataye tarike se aasani se Bike Car ki puri detail nikal sakte hai.

Wese Aap OLX or Quikr se Second Hand Saman ka Business karke bhi paise kama sakte hai, jisme Car or Bike kharidte time ye jankari aapke bhut kaam aa sakti hai.

Aapko ye jankari kesi lagi comment karke batana naa bhule, or iss jaruri information ko apne Friends or Family se bhi share kare..

Good Day..!

Share on:

Hello Friends, I'am Rohit Mewada .. HMH ka Admin. Muje Logo ki Help Karna Acha Lagta hai or Is website Par Me Logo ki Hindi Me Help karta hu :)  Read More...


Leave a Comment

Please Read HMH Comment Policy before Comment.

15 thoughts on “🚗 Vehicle Owner Information by Number Search in Hindi [Online/SMS]”

  1. Achhi jankari di hai aapne…isse bahut ese logon ki Jan bach sakti hai jo Khuda na khasta agar Kahi accident ho gya aur usko Apne Jaanne wale ya family ke pas pahuchane me madad ho sake…

    Reply