Content Ko Viral Kaise Kare? Jada Traffic Lane Ka Tarika [Infographic]

Kaise-likhe-viral-content

Viral ka means hota hai felna, aur content apka blog ka post hi hota hai.

Viral content se aap apne blog par kafi traffic laa sakte hai, viral content ko bhi likhne ke kuch techniques hoti hai jiski wajah se wo viral hota hai ya jiski wajah se wo aage felta hai.

Advertisements

Ab sawal yah hai ki felta kaise hai?

Obviously hai social media me hi viral hoga, lekin uske ke liye apka content bhi esa hona chahiye ki jyada se jyada user apke content ko apne social network profile par share kare ya aur bhi dusre tarike se apne relative tak pahuchaye.

To yah SEO ke liye kaise profitable hai?

Chalo viral content ke bare me discuss kare usse pahle me apko yah samjha deta hu ki yah SEO ke liye kaise achaa hai?

How This is Better for SEO?

Yah content apko 100% tabhi samjhna aa sakta hai jab apne mera previous content On-Page SEO optimization par padha hai.

Nahi padha hai to yaha click karke padh le then again is post ko yaha se padhna shuru kare.

Chalo On-page SEO optimization ko thik se samjhne ke bad ata hai ab content ko User ke liye kese banaye?

Yani On-page SEO optimization wale post me hamne sikha ta ki Google me rank hone layak ya kah sakte hai search engine ke liye content kese likhe?

Is post me janege ki user ke liye content kaise likhe taki wo viral ho?

To isme SEO me kya profit hai?

Wait, mujhe ek-ek step ko thik se samjhene do, pahle is chij ko dhyan se samjho maine On-page SEO optimization wale content me bataya tha ki Social Share Google ranking ke liye better, right?

To isi tarah viral content likhne se apke content par high social share hoge.

High social share = High ranking on Google.

To kya Viral content se [kewal] Social Share badhate hai?

No..!!

Kyonki social share se to apka content viral ho raha hai, wo ek rasta hai viral hone ka na ki End…

Jitna user friendly content hoga viral hone ki wajah se us par comment aayegi.

aur visitor comment karne se bhi kuch time apke blog par time spend karta hai, jo apke blog ka time on page badhata hai :)

Aur sath me ek aur bat, visitor ke comment karne se apka visitor ke sath relation badhta hai. Jisase chances are very high wo dubara apke blog par aega.

Yani har tarah se Viral content SEO ke liye better hai.

Viral Content kaise likhe?

Viral content kyon kare? yah janane ke bad aata hai kaise kare?

Is chij ko aur bhi dhyan se aur bhi achhe aur better tarike se samjhne ke liye maine ek infographic design kiya hai, Jisko Aap Image ki trha Save karke rahe sakte ho or share bhi kar sakte ho.

What is infographic? Infographic, yaani ek graph jaha par information hoti hai, yani ek image me ek kisi perticular topic par discuss hota hai.

Contact ko viral kaise kare uski infographic

Yah infographic HindiMeHelp par first infographic hai, ek bar Comment karke yah jarur bataye ki infographic se information ko show karne ke tarike apko kesa laga?

Taki ham next infographic isse bhi better design karne ki kosis kare. Aur comment se yah bhi bataye ki aap kab apna viral content likh rhe hai? ise practically kab kar rahe hai?

SEO ki Puri Jankari

Ye bhi pade:

Share on:

Hello Friends, I'am Rohit Mewada .. HMH ka Admin. Muje Logo ki Help Karna Acha Lagta hai or Is website Par Me Logo ki Hindi Me Help karta hu :)  Read More...


Leave a Comment

Please Read HMH Comment Policy before Comment.

63 thoughts on “Content Ko Viral Kaise Kare? Jada Traffic Lane Ka Tarika [Infographic]”

  1. Bahut achhi jankari di hai aapne
    Meri blog Technical Hero pe apki website se Do Follow Backlink lene ke liye kya Krna hoga.
    Mujhe kuch bhi sikhna hota hai to mai aapki website visit karta hu Qki aap apne post me puri jankari dete hai.

    Reply
  2. Sir mera blog Knowledgesubject ke name se hai jo blogger se chalata hu. sir thoda check kr ke batayiega ki mere blogger pe traffic kiyu nhi aata. mai to social media pr bahut jayde share karta hu pr traffic jayda increase nhi hoti. muskil se 50 bas. sir mai blogger me kaise success ho sakta hu.

    Reply
  3. Rohit bhai aapki yeh post mere liye bahut hi help full hai
    khass kar infographic image

    mujhe addsence lagana hai blog par
    aap mujhe check karke batayenge
    ki adsence mujhe apporval dega

    Reply
  4. रोहित भाई आपके वेबसाइट पे डेली ट्रैफिक कितना हैं?

    Reply
  5. sir please help kare maine apna ak blog banaya hai jisme maine domain bhi add kar diya hai. par aab mujhe samjh nahi aa raha me kya karu jisse meri blog par tarffic bhi bad jaye. aur mujhe koi add lagna bhi nahi aa raha hai. sir please ak baar meri site dekh kar meri madad kar de. me bahut pareshan hu.

    Reply
  6. नमस्कार रोहित जी,

    मैं आपसे यह जानना चाहता हूँ कि आप हिंदी fonts का प्रयोग क्यों नहीं करते हैं?

    जहाँ तक मैंने एक्सपर्ट्स से सुना है, SEO के लिहाज़ से तो सिर्फ url, title व intro में english का इस्तेमाल करना भी काफी होता है?

    कृपया भविष्य में शुद्ध हिंदी fonts का भी प्रयोग करें, अच्छा लगता है|

    Reply
  7. hello sir . m apka bhut bada fane hu . app itne ache se explai karte ho k ache smj m aa jata hai. sir mjhe ye janna h ki . agr mra account wordpress bana hua hai or mjhe usme SEO button add karna hai to kese karu . or meri post google k search m first page par dikhe., sie plz aap mjhe mere mail par bheje .ok thnk u

    Reply
  8. hello rohit gee mai aapse ye janna chahta hu ki kya maine jo blogger par blog banae hai to maine abhi domain use nahi kiya hai agar mai domain le lu to phir se mere site ko gppgle search console me add karna padega kya,sitemap ye sub bhi dobara set karna padega kya

    Reply
  9. Bohat acchi tips share ki hain specially newbies ky lye. Main samjhta hoon ky aik video bhi honi chahye taky rasty berh jaen uss post py aany ky lye through web search, image search, video search…

    Reply
  10. Infografic se aapki post aur bhi interesting ho gayi Hai, bahut jaldi samajh aa gayi mujhe. Agli post bhi infografic like, dhanyawad

    Reply
  11. Rohit bhai main yeh puch raha tha ki WordPress ke templates ko blogspot pe use kiya ja sakta hai ya nahi ? aur blogspot to wordpress mgration ka cost kitna padega ?

    Reply
    • wordpress ka template blogger me use nahi kar sakte, q ki wordpress php par hai or blogger ka template .xml me hota hai..

      blogspot ko wordpress me karne me koi kharcha nahi hai par wordpress par blog banane me hosting bhi lina jaruri hai uska kharcha jarur hai.

      Reply
  12. Rohit bhai maine pucha tha ki kya hum WordPress ke template BlogSpot me set kar sakte hai ? Aur blogspot to wordpress migration ka cost kitna padega ?

    Reply
  13. sir aapki site par har roz kitna traffic aata hai plz comment ka reply jarur karna kyonki mere blog abhi 2month old hai or facebook se 300+ traffic aata hai google se bahut kam aata hai isme SEO par koi farak to ni padega naa

    Reply
  14. sir mai apne blog ki post fb par share karta hu. Toh usme jo post ki photo hai wo nhi aati hai mere google plus ke id ki aa jati hai pahle sahi photo aati thi abi 2-3 dino se gadbadi hone lagi

    Reply
  15. bhai mere site pe automatically http ://7sd37gdvbgvxx6fgkj .com/ se 150 pageviews 1 min me huye, ye srf blogger pe dikha rha hai, Analytics ya adsense ke accnt me ye traffic show nhi kar raha, koi prblm toh nhi hoga na, plz cmnt

    Reply
      • kal apki website ko kya ho gya tha.. or mai wordpress pe jana chahta hu par dar lgta hai ki mai blogger ki tarah mobile pe wrdpress use kar paunga ya nahi. mai soch rha hu ki cafe jake blogger ko wordpress pe transfer kar lu phir sara kam mob se karu

        Reply
        • nahi, agar aap mobile se chalate hai to me aapko suggest karuga ki aap blogger par hi rahe.. Q ki WordPress me thoda coding ki jankari jaruri hai.. or usme bhut si error bhi aati hai jo mobile se nahi ki ja sakti.. Blogger me agar aap ye soch rahe ho ki SEO me koi fark padta hai to nahi.. wese me kuch time baad wordpress ki series start karne wala hu fir aapke bhut se sabalo ke aapko jabab mil jayege..

          Reply