Blogging start karne par sabse phela sabal har ek blogger ka ye hota hai total kharcha kitna aata hai ek Website/Blog banane me or Kya kya chaiye ek badiya website banane ke liye, to agar aapka bhi ye sabal hai or aap bhi ek badiya site banana chate hai, to iss article me aapke sabhi sabalo ka jabab milne wala hai.
Blog/Website banane ke liye bhut se platform hai jinme se Blogger.com or WordPress sabse jada Popular hai, Blogger ya WordPress kon hai best wo achi se janne ke liye aap yaha read kar sakte hai.
Blogger ki baat kare to ye Google ki service hai jo Free hai, isme hosting ka koi kharch nahi hai.. sirf Blogger me Domain add karne ka kharch hai. baki to agar aap chahe to paid template or paid tools bhi use kar sakte hai.. par ek normal Blogger Blog banane ke liye ₹99 ka kharh hai.
Agar aap Blogging me series hai or aapko thode jada option chaiye apne blog ko banane ke liye WordPress use kare. (Hind Me Help WordPress par hi hai.)
WordPress, Blogger.com ki trha itna sasta nahi hai, q ki isme hosting bhi lena padti hai… to chaliye jaan lete hai Total kitna Kharcha aata hai Self Hosted WordPress Website/Blog banane me.
Page Contents
WordPress Par Site Banane ke Kitna Kharcha Aata Hai | WordPress Total Cost in Hindi
WordPress par agar site banana hai to uske liye kuch chije hai jo jaruri hai or kuch jo jaruri to nahi par agar aapki requirement hai to aap le sakte hai.
Soel Hosted WordPress Site Me Yaha Paise lagte hai:
- Domain (Important)
- Hosting (Important)
- WordPress Setup Cost (No Need)
- WordPress Theme (Jarurat ke hisab se)
- WordPress SEO (No Need)
- WordPress Plugin (Jarurat ke hisab se)
Chaliye ab in sab Points ko detail me samaj lete hai kitne paise kis chij me lagege, yaha ek baat jo aap phele samaj lijiye.. agar aap Blog bana rahe hai to bhut kuch hai jo aap khud se kar sakte hai, par agar aapka business hai or aap uske liye website chate hai to usme kitna kharcha aayega wo bhi me batane wala hu.
#1: Domain Cost: (₹69-₹800)
Domain to website ke liye sabse jaruri hai, aapko apni site ke liye Badiya Domain Name lena hi padega. Domain ka jo Price hai wo normally ₹700 ke aaspas hota hai, par agar aap coupon ka use kare ya kisi offer me le to aapko saste me bhi domain mil sakta hai.
Domain Register karne ki website bhut hai, jisme se meri pasandida hai
- BigRock – ₹99
- Godaddy – ₹699 (Godaddy se ₹99 me Domain kharidne ka tarika)
#2: Hosting Cost: (₹3000 – ₹7000)
WordPress Self Hosted site ke liye Hosting bhi jaruri hai, ussi par WordPress setup hoti hai.. To agar aapko WordPress par site banani hai to Badiya Hosting lena bhut jaruri hai taki site achi se chal bhi sake.
Hosting ki hajaro sites hai, or koi bhi badi aasani se unlimited VPS hosting plan lekar khud ki hosting company open kar lete hai, to yaha aapko ye samajna bhut jaruri hai konsi hosting company hai jo Best hai.
Paise Bachane ke chakkar me galat Hosting company se hosting naa le, nahi to aapko baad me pachtana hi hath lagega, jo mere sath ho chuka hai..
Me aapko Recommend karuga ki aap Hostgator se hosting le, jisko mene use kiya hai to muje pata hai ye kesi hosting service hai, or sabse main baat inki support bhi bhut badiya hai, kabhi bhi kuch problem aati hai to uska solution turant mil jata hai.
Hostgator Hosting ka Price 1 year ke liye ₹6,726 hai, par mere pass kuch Special Offer ke link hai jinki madad se aap apne kuch paise bacha sakte hai.
*Offer ka labh uthane ke liye link par click karke offer page par jaye..
i) Hostgator 20% Discount Offer
Ye Offer abhi chal raha hai, jisme aapki jo Total Cost hogi usme Hostgator 20% Discount mil jayega.. Matlab aapko 1 year ke liye only ₹5,380 hi dena hoga.
ii) Hostgator 33% Discount Offer
Iss Offer me aapko 33% ka faida hoga.. Iss Offer ka Faida uthane ke liye aapko 3,6, month ya one year ke liye hosting lena hoga.. isme aapko 3 mahine ki hosting lene par 2 mahine ka hi pay karna hai.. ussi trha agar aap 1 year ke liye hosting lege to aapko 9 mahine ka charge lagega or 4 mahine free milege. One Year ke liye total cost ₹4,484 aayega.
iii) Hostgator 50% Discount Offer
Hostgator 50% Off Offer, sabse best Offer hai.. isme aapka jo bhi plan hoga uske adhe paise hi dene hoge.. par ye jo Offer hai wo hamesa nahi rheta or ye sirf kuch time ke liye aata hai, Hostgator 50% Offer ke ware me mene bataya hai.. aap waha check kar sakte hai, abhi wo offer hai ya nahi ya kab aayega. iske aapko 1 year ke liye ₹3,363 dena hoge.
iv) Hostgator ₹1 Hosting
Hostgator ke iss Offer me wo hame moka dete hai ki ham unki hosting ko 1 mahine tak use karke dekhe ki wo kesi hai.. aap Hostgator se ₹1 me Hosting kaise le sakte hai uski jankari aapko yaha mil jayegi.
*Agar aapko Hosting use karke dekhna hai to aap ₹1 me le sakte hai, par agar aapko sirf dekhna nahi hai, ek badiya website banani hi hai to aap Upar diye Offers me se kisi ek Offer se Hosting le, q ki agar aapne ₹1 me hosting li uske baad aap dusra offer use nahi par payege us hosting plan ke liye.
Offer page par Direct jane ke liye niche ki Button par click kare.
#3: WordPress Set Up Cost: (₹0 – ₹5,000)
Jesa ki mene Price me bataya ₹0 me bhi setup ho jayega ya fir paise bhi lag sakte hai.. Ab agar aapka koi Business hai or aap website setup ke lafte me nahi padna chate to aap kisi bhi developer se apni WordPress site setup kara sakte hai jisme wo jada se jada ₹5,000 lege or badiya tarike se aapko site setup kar ke de dege.
Agar aap ek Blogger hai or apna Blog bana rahe hai to me aapko recommend karuga aap khud se sikh kar apna Blog banaye, jisse aapko bhi pata hoga aapne kya kya kiya hai.. wese mene aapka kaam aasan karne ke liye iske upar article likhe hai. ;)
- WordPress Par Website Kaise Banaye Step By Step
- WordPress ko Install Karne Ke Baad kya kare [Basic Setting]
- Blogger Blog ko WordPress me Sift kaise kare (*Agar aapka Blog Blogger.com par hai)
#4: WordPress Theme Cost: (₹0 – ₹5,000)
Website ka Badiya Design hona bhi bhut jaruri hai, jo hamari jarurato ke hisab se fit bhi ho.. WordPress Theme Section me hajaro Free theme phele se available hai, par agar aapko koi Best Theme chaiye to aap kharid bhi sakte hai, Max ₹5,000 me aapko WordPress ki Best Theme mil jayegi.
Hindi Me Help par jo Theme hai uska Naam Newspaper Theme hai jsika Price $59 (₹3,769) hai.
Important Note: Bhut Log ye Galti karte hai, Paise Bachane ke chakkar me Paid Theme ka Crack version use karte hai, par isse kitna nuksan hai wo aap soch bhi nahi sakte.. isse WordPress Site Hack hone se leke Google me Site Block.. kuch bhi ho sakta hai.
#5: WordPress SEO: (₹0 – ₹20,000)
SEO Kya hai or SEO Kaise karte hai, ye baat samajna koi jada muskil nahi hai.. or agar aap ek Blogger hai to ye kaam badi aasani se aap kar sakte hai.. Par agar Aap Website apne Business ke liye banwa rahe hai or Aap nahi chate Google me Rank Kaise kare ye tension le to aap kisi SEO Company se contact kar sakte hai.
Agar aapko SEO sikhna hai to me aapko bata du, mene bhut si Info phele hi share ki hui hai jinko read karke aap SEO kya hai or Kaise SEO Kiya jaye aap samaj jayege.
Ye Kuch Articles SEO ke upar:
- SEO ki Puri Jankari ek Jagha
- On-Page SEO
- Off-Page SEO
- Backlink kya hai or SEO ke liye kitni jaruri hai
- Keyword Kya Hota Hai or inka use
#6: WordPress Premium Plugins: (₹0 – ₹15,000)
WordPress ka jo sabse Best Part hai, wo yahi hai.. WordPress par hame kuch bhi karna hota hai uske liye Plugins mil jati hai..
WordPress ke liye Lakho Plugins hai jinko use kar sakte hai.. or iss list me lagbhag har wo plugin uplabd hai jiski hame jarurat hai or jada tar Free hi hai.. par kuch Plugin paid bhi hai jiski agar jarurat ho to le sakte hai.
WordPress ke liye 10 Jaruri plugin ki list, jo WordPress blog me hona hi chaiye..
At Last:
Ab Aap ye to samaj gaye hoge WordPress site me kaha kaha or kitne paise lagte hai, chaliye ab aapko ek anadaje se bhi batata hu kis type ki WordPress site me kitne paise lagege:
- Free Theme: ₹3,500
- Paid Theme: ₹7,000
- Professional Setup karaye kisi se : ₹12,000
- Professional Setup with Paid Stuffs: ₹12,000-₹20,000
To Ab aap Khud se WordPress site banaye ya kisi or se banbaye, aapko pata hai kaha kitne paise lagne hai, to ab agar aap kisi se banwa bhi rahe hai to aapse wo jada paise nahi le payege..
Yaha jo sabse Important hai wo hai Hosting, bhut si Hosting company bhut saste me hosting deti hai, par uske chakkar me naa fase agar aapko ek badiya WordPress site banani hai to badiya Hosting hi kharide, taki baad me problem naa aaye.
Ummid hai aapko ab clear ho gaya hoga WordPress Total cost kitna aata hai or kaha kitne paise lagte hai, uske baad bhi agar aapka koi sabal hai to comment karke puch sakte hai, iske sath sath ye batana bhi naa bhule ye jankari aapko kesi lagi.
भाई जी मुझे आपसे बात करना है
aapka agar koi question hai to aap email kar sakte hai.
Having the low price tag for the first year has to get our attention. But when it comes to swift & quality WP hosting, hostgator plainly beats everyone. Thanks for sharing your recommendations… At least, you made my job easy.
nice post
Nice article, mere khiyal se koi bhi khud blog or website bna sakta hai, pehle mujhe bhi iske bare kujh maloom nahi tha but maine iske bare google par bhut pdha abhi bhi pdhta hu..Fir maine friends ke saath plan kiya hume HOWSPOSSIBLE.COM domain name select kiya jo sabhi bahut pasand karte hai.
ab koi bhi humari website ko follow karke blog website bna sakta hai. baki aapki information true hai.
sir aap apne blog m kon sa wordpress theme use karte hein….
Hello Rohit ji kya aap website se related kuch tips de skte hai meri website pe traffic nahi aa rha hai so iske liye mujhe kya krna prega?
Hi Rohit,
What type of technology are you comfortable with.
I have few projects.
Please let me know if you are interested. Please send me an Email to atb2002in@gmail.com
Best Regards
Nice article
Sair apka post muje bahut ache lagta he
Aapka number do sir
Mera number 9772172621
sir aapne bahut acche se explan kiya hai, very well written article and sir mujhe blog banane k liye ₹2800 lage the wordpress par.
Sir kya ap bhi paise lekar kisi dusre ka WORDPRESS banate hai?
or wordpress use or edit karne ke liye blog se hard hai ya simple hai?
Awesome information brother thank you for sharing this information
Awesome information brother thank you for sharing us
Sir, kya me ek baar theme kin kar usi theme ko apne 5 website par use kar sakta hu?
haa kar sakte hai, wass aap ye dekh le.. wo multi licence hai ya single.. agar single hai to nahi kar sakte use.. ek se jada website par.
aap ki jo theme hai usa licence Regular License dikharaha hain. isaka kya matlab huwa?
kya main ek se jyada website par is theme ko use kar sakta hu?
Nahi aap ek se jada use nahi kar sakte..
Thank u sir, International online payment karne k liye jaise ki play store par payment karne k liye… facebook par advertisement karne k liye konsa bank ka konsa card thick rahega… plz suggest me… Visa or Master card me suggest kijiyega plz…
me HDFC Platinum card use karta hu.. ye mere liye best hai.. baki mene dusre try nahi kiye..
बहुत ही अच्छी जानकारी दी, अब आप यूट्यूब की पोस्ट भी डाले, की youtuber बनने के लिए कितना इन्वेस्टमेंट करना होता है, जैसे mic की प्राइस आदि।
Bilkul brother..
Meri aapse request hai.. Aap apna real name use kare comment ke liye.. Nahi to aapke comment approve nahi hogi..
Thanks
Bhut badiya explain kiya hai bhai aapne.Thanks
Hello Rohit Ji,
Sabse pahle aapko bahot dhanywad jo aapne ye blog create Kiya Qkyuki meri English thora week hai jiske karan main kuch post ya padh nahi pa rha tha kisi ka post aaj maine aapka blog dekha mujhe kafi pasand aaya.
Thanks brother ❤️.. Hope aage bhi aapki help hoti rahe..
Hello sir ji namaskar
Mene apki site par kal ek guest post dali hai aap se nivedan hai ki aap usse check kare or bataye Aap publish karenge ya nhi plz
Thanks brother.. Me abhi thoda busy hu check karke aapko reply karuga email par …
ok thanx
Sir Mai Apna Blog with contant , Domain name , adsense account Sale Karna chahta hu …
mujhe salah dijiye …
kitne me bechu kha bechu
Ye aapki demand or kharide wali ki chata ke Upar hai.. Baki aapne jitne lagaye hai or jitni mhenat ki uss hisab se aap le sakte hai.
sir rs 1000 me with all ( adsense , blog , facebook page domain name , post ) sell kar diya
sir social book marking sites kya hota hai
Jispar post share hoti hai..
Meri Blogging ki shuruat free me huyi thi (kaafi acha luck tha us time?) mene ShoutMeLoud se giveaway jita tha 1 year ki DreamHost hosting aur sath me free domain name, 1 year complete hone ke bad domain name GoDaddy par transfer karke renew kraya I think rs.700 lage the aur rs.1200 ki hosting mili thi ?
BTW aapne bahut badhiya kiya yeh post bnakar ab jo log Blogging shuru krna chahte hain unko idea ho jayega kitna invest krna jruri hai apne budget ke hisab se blog bnane ke liye.
Keep up the good work ?
Kya baat hai.. Jaan kar bhut badiya laga aapki itna badiya luck hai.. ?
awesome post sirji thank you so much
Thanks
He’ll sir mein ek site baanye Hai aapsb dekha kasie Hai
Bhai apki post itni ditailed hoti hai ki bad me kuch aur dekhana hi nahi padata
Thanks Bhai.. :)
Meri first investment 1300 rupaye ki thi jisme 1200 godaddy hosting ki lagi thi aur domain ka 100 rupaye then main hostgator par apni website shift kar li aur ek saal baad domain ko 900 rupaye me renew kiya and hosting ko 7000 rupaye me kharida :)
Kyaa baat hai.. wese agar aap hosting discount me kharidte to thode kam ho sakte the.. par koi baat nahi starting me pata nahi hota hai..
Bohot badhiya rohit bro…
Me bhi wp me jane ka soch raha tha bt ab mood change jab tak achhe se site banane layak money n ho jaye tab tak blogger me hi.
Thanks
Haa bhai.. q ki kam paise ke karan bekar chij lene se acha free wali achi chij hi use ki jaye..
Thanks sir,
बहुत ही अच्छी पोस्ट है.
Thanks Bhai..
hello sir mene aapke email id par ek guest post bheja tha jo pdf format me tha aapne kaha tha txt banane ke liye to mene txt bana diya. so aap mere guest post ko publish kar de plaese bahut din ho gya hai my email technicalsadhan@gmail.com
Thanks, me aapko email par hi reply karuga.. thoda time lag sakta hai.. q kiphele se bhi kuch post pending me hai..
bro.. koei mere ads par jaan bujhkar bar bar fake click kar raha hai.
1. mai ouska ip address kaise pata karun. detail se bataai.
2. ouske ip ko block kaise karun. please help me
aap ye wordpress me kar sakte hai.. par agar koi dusra jaan bhuj kar click karte hai to aap uski report adsense se kar sakte hai..
mai wordpress user hu, ad par baar baar click karne wale ka ip address kaise pata karun. detail se bataai. short me baat khatm na kare. ye kaei bloggers ki problem hai.. aap ek senier blogger hai, aap zyada jante honge es bare me. please tell me with detail
Kon click kar raha hai wo pata nahi kar sakte.. Par agar ham nagar rahe to kon is time banai site par hai uska ip address dekh sakte hai..
Iske liye aap wordfrance plugin ka use kar sakte ho
बहुत दिनों से जाना चाह रहा था की एक वर्डप्रेस साइट बनाने में कितना पैसे लगता है थैंक भाई #bestofhmh
Thanks dinu
Bhai Jaha Tak Maine Dekha Hain Jayadatar Hindi Blogger WordPress Par Free Or crack Theme Ka upyog Karte hain . crack Theme Se Nuksaan Ho Sakta Hain Lekin Free theme Se Itna Jayada nuksaan hone ke Chances Nahi hote Hain agr Theme Original Website Se Download Ki jaye .
Free se koi Nuksan nahi hota.. Wass wo free ho.. Crack nahi..
Free me wass ye hai kuch chije mil nahi pati. Or ussi ke paise lagte hai..
Mast hai bhai
Thanks
Bahut hi acchi jankari share sir .. WordPress ke baare me logo ko bahut confusion hote hai… thanks for share this ~
Thanks Niraj ji … ?
Bhai You r great…lag bhag apka websites 2yr se read korte aye hoon.
Thanks brother.. Keep Loveing keep visiting.. :)
The requested URL / was not found on this server
sir maine blog me .com doamin(godaddy) se add kya hai aap ke post ke post ko follow karke ab ya message show hoti hai. muje kya karna hai….!!! is ko kaise fix karna hai?
Thoda wait kare.. Agar aapne abhi steps ko follow kiya hai to open ho jayegi..
thanks bro you are very sweet really…!
Nice article,new bloggers ke liye aapke articles sach me boohat helpfull hote hai,keep working !!
Thanks brother ❤️..
Keep Visiting ?
Hello Rohit Sir :)
Mai kaafi din Mahino Se Blogging Kar Raha Hu Or Kaafi improvement Bhi Kia hai.
Lekin ab Mai Apni Hosting Ko Change karna Chahta hu To Mere Ko Kya karna hoga Or Kaise Hosting Ko Transfer kru ?
Koi Problem To Create nhi hogi Naa Like SEO Yaa Site Data Loss :)
Aap Sahi se transfer kare.. Koi problem nahi hoga. Backup Sahi se le..
Bhai muje website our hosting ke liya purchase karna haipar mere paas
kuch bhi payment methods nahi hai to please help me rohit bhai
Aap paytm se bhi payment kar sakte hai. Hostgator par..
Rohit bro, mai godaddy ka ssl certificate use krta hu, mai apna website ka Name server change kr cloudfare cdn lgana chahta hu. Kya mera active ssl, https url (green bar) pe show krega ya ht jayega?.. Ya cloudfare ka ssl aa jaiga free vala.?
Aap kar sakte ho.. Or usme bhi green show hota hai.. Me wahi use karta hu..
Nice compare about wordpress create site cost Good Article …………
Thank you for Information sir…
Rohit ji maine Guest Post Submit ki hai .
Please aap use review kare aur bataye ki approve hogi ya nahi…
Reply jarur karna…
Brother me ghar aaya huaa hu.. Check karke email par reply karuga me aapko..
Awesome article Rohit bhai
Blog me payment ka option h ya nahi is par bhi Koi post likhoge esi muje ummid h best of luck
Aapka question nahi samja.. Aap agar payment karne ke liye koi getway ka khe rahe hai to me dekhta hu. Koi aasan tarika uske liye..
Sir agar koii apke website pe guest post krna chahta h to uske liye kya krna hoga
HMH.pe guest post yaha kare..
बहुत ही अच्छी पोस्ट है भाई जी आपकी । भाई जी मुझे जानना है कि ब्लॉग के पोस्ट के बीच में ads लगानी चाहिए या नहीं । अगर लगानी चाहिए तो वह कैसे लगते है और konsi ads unit लगानी चाहिए ।
धन्यवाद ।
Post ke bich me ads kaise lagate hai uski ja kari yaha hai. Or aap laga sakte hai isse apni earning badegi hi..
Kya hme paid seo tools ka use karna chahiye ya aap apni site ki facebook ya google par advertising karte h ki please answer me
brother ye depend karta hai ki aapko unki jarurat hai ya nahi.. kuch chije hai jo free me nahi milti.. ab wo to aapke upar hai aapko uski kitni jarurat hai or aap uske liye paise kharch kar sakte hai ya nahi..
mene FB par kuch post bhoost ki hai.. test ke liye..
Thanks For Help Bro :) Keep it up (Y)
Thanks Brother..
Really, Nice Article Rohit bro. bhut hi jyada helpfull hai ye article
Thanks Bhai.. Keep Visiting..
:)
Thnx sir
Very well explained about how much cost require to setup new website in wodpress. everyone thinking about total cost. But this post give me answer.
Thanks Umesh ji.. kosis yahi thi detail me answer diya jaye..