Youtube Par Video Kaise Upload Kare in Hindi

Youtube ek bhut hi Saral or free tarika hai online ache paise kamane ke ham ye to jaante hai. or humne pehle ye bhi jaan liya tha ki youtube se paise kis tarike se kamate hai. Bhut se mere dost youtube se paise to kamana chahte hai par unko ye pata nahi hota ki youtube par apne video ko kaise upload karte hai, to Aaj ham jaanege, Video ko Youtube par kaise Upload karte hai.

youtube par video kaise upload karte hai

Page Contents

Kaise Video Dale(Upload) kare

Muje step by step follow karo. kahi par kuch pareshani aati hai to comment karo.

Advertisements

Step 1:

Computer me Youtube Account me login karo. (*Mobile me upload karne ka alag tarika hai. agar aap bo janna chahte hai to hame comment ke jariye bataye.)

Step 2:

Login karne ke baad Jo upar upload ki button hai us par click karo

Step 3:

Upload par click karne ke baat ek naya page khulega. aapko yaha par apna video ko dalna hai.

  1.  Apne Video ko aap yaha par click karke apne computer se select kare fir video upload hona start ho jayega.
  2. Agar aap ka koi video Google+ par hai to usko aap direct youtube par daal sakte hai.
  3. Direct apne webcam se record karke aap youtube par daal sakte hai
  4. Agar aap apni Images ka slid show video banana chahte hai to yaha par click karke apna photo select kare. Is ke baare me or jankari aap ko baad me duga.
  5. Google+ se video chat karte hue aap apni live video youtube par daal sakte hai
  6. Aapne jo video pehle se upload kar rakhe hai usko yaha par jaa kar edit kar sakte hai. kaise edit karte hai ye me aapko baadme bataoga.

*Aap video ko apne computer mouse se pakad kar Upload ki screen par laa kar chod de. Video upload hona start ho jayega.

drop your video here

Step 4:

Jaise hi aapka video upload hona start hoga ek naya page khulega. diyaan rahe jab tak aapka video pura upload nahi ho jata aapko ye page band nahi karna hai.

  1.  Aapka video kitne percent upload huaa bo yaha dikhta hai
  2. Aap ko yaha apne video ka tital daalne hai. (Video Ka Naam)
  3. Video ke baare me likhna hai – Video me kya hai or bo kis baare me hai.
  4. yaha par tag dalne hote hai jin topic par aapka video hai bo.
  5. Jab aapka video upload ho jaayega to yaha par aapke video me se 3 image aa jayegi. unme se aap ek select karlo. ye image video ke start hone se pehle dikhti hai. yaha par ham apni khud ki banai Thumbnail (image) bhi upload kar sakte hai.
  6. yaha par aap set kar sakte hai ki is video ko kon kon dekh sake. Agar aap chahte hai ki puri duniya aapke video ko dekhe to Public karde.
  7. yaha se aap direct is video ko Google+ or Twitter par share kar sakte ho.
  8. yaha par aap playlist bana sakte ho. Playlist matlab bhut se video ek hi topic par to aap unka ek playlist(group) bana sakte ho.
  9. Jab aap apne video ki detail bharde or video pura upload ho jaaye phir Publish ki button par click karde. aapka Video ab Youtube par Upload ho chuka hai.
  10. Apne upload kiye huye video ko dekhne ke liye yaha click kare
  11. Agar aap or video upload karna chahte hai ek sath to yaha par click kare

Aap Jo Video upload kar rahe hai uski sahi tarike se setting or detail dalne par hi wo search me aata hai kisi ke search karne par, to aap ko uska bhi dhyan rakhna hai. Youtube Video Setting kaise kare uski jankari yaha di hui hai.

Dosto hamne ye to jaan liya ki video upload kaise karte hai. chaliye ab jaante hai ki video upload karne ke baad paise kamana start kaise karte hai youtube se.

Youtube ki or bhi bhutsi jankari ke liye hame follow jarur kare Facebook, Twitter or Youtube par.

Agar aapka koi sabaal/doubt ho to aap comment ke jariye puch sakte ho.

Aapko ye jankari kaisi lagi ye jarur bataye.

Share on:

Hello Friends, I'am Rohit Mewada .. HMH ka Admin. Muje Logo ki Help Karna Acha Lagta hai or Is website Par Me Logo ki Hindi Me Help karta hu :)  Read More...


Leave a Comment

Please Read HMH Comment Policy before Comment.

324 thoughts on “Youtube Par Video Kaise Upload Kare in Hindi”

  1. Comment:main nokia 112 mobile ka use ker raha hun, maine youtube per dusro ke video kaise upload karu,kya main wo ker sakta hun.main apne youtube per do chanal banaye hai ,kya main apne dusre chanal ka video apne pahle chanal main upload kar sakta hun.

    Reply
  2. sir mne YouTube p abhi abhi videos daalna start kia h or muje net ki kam jankari h hacking na ho usk liy kya krna chaiy or m apne Google ka password bhul gai hu vo kahi bhi use aata h kya purana Google account bnd kr k new kase khole

    Reply
  3. rohit sir mera video 7thousand views ho chuka he lekin mere youtube ke dashboard pe $2.49 our adsense a.c pe dekha to $1.49 apne to kahatha 1000views par $1 miltehe lekin mujhe itna kam kyun milrahahe.

    Reply
  4. I’m a singer nd I want go upload my video on YouTube plz sir tell me how will I upload videos on YouTube..plz help……

    Reply