Youtube Se Paise Kaise Kamaye 2025 in Hindi

YouTube kya hai or Youtube se paise kaise kamaye Video Upload karke, ya Youtube se online paise kamane ke liye kya karna padta hai, agar aese bhut se sabal aapke dimag me aa rahe hai to aap bilkul sahi jagah hai, me aapko bataunga kaise aap youtube se paise kama sakte hai.

Online paisa kamana koi jada muskil kaam nahi hai or koi bhi online paise kama sakte hai chahe bo koi bacha ho, buda ho, collage student ho, house wife ho ya fir kahi par naukri karta ho.

Advertisements

Aaj me aap ko batane ja raha hu ki aap sirf video banakar kaise paise kama sakte hai youtube se. Sirf aap ko karna ye hai ki video banaiye or youtube par upload kar dijiye.

Youtube Kya Hai ?

YouTube ek website hai jis par duniya bhar ke log apne video dalte hai or video dekhte bhi hai. or is ki madad se bhut se log bhut achi income bhi kar rahe hai. Aap Mene ek article likha hai jisme mene bataya hai YouTube ki Basic Jankari ke ware me jo aapko pata hona chaiye.

Youtube Se Paise Kaise Kamaye Hindi

Youtube par aapko sabse pehle to apne Google Account se login karna hai uske baad aap apne naam ki channel bana sakte hai ya fir dusre naam ki channel bhi bana sakte hai. Ek email se aap multiple channel bana sakte hai uski jankari mene di hui hai.

Aapko Youtube pae sabse phele apni ek channel banana hai fir apne apne banaye hue video upload karna hai, yaha dhiyan rakhe aapko paise video upload karne par nahi milege.. Aapko youtube se paise jab milege job log aapke video ko dekhege, jitni jada aapko video ko dekha jayega utni hi jada income hogi.

Aap Video ko acha se acha banane ki kosis kare jisko log dekhna pasand kare.

Youtube se Paise kamane ke tarike bahut hai, wass jarurat hai to aapke paise kamane ki lagan ki.

YouTube Par Upload video kare ?

Aapko Apne Youtube channel me Video upload karna hai.. agar aapko paresani aa rahi hai to aap mere post read kare jinme mene bataya hai kaise youtube par video upload karte hai.
Computer se YouTube par Video Upload kaise kare ?
Mobile se Youtube par Video Upload kaise kare ?

YouTube Video ko Monetize kare ?

Youtube ek option deta hai apne video ko monetize karne ka matlab youtube video par ads dikhane ka jisse hamari income hoti hai. Monetize chalu kaise kare or kaise apne adsense account ko YouTube se jode uski puri jankari mene step by step di hai.

YouTube se Kamai kaise hoti hai ?

Jab bhi koi viewers app ke video ko dekhega tab us par adsense ke ad show honge aur jab koi is ad ko open karega tab apki income hogi or is tarha app apne Video se paisa kama sakte ha. agar koi ads par click nahi karta hai tab bhi aap ki 1000 bar video dekhne par kam se kam 1$ income hogi.
Also Read: 1000 Views par kitni Income hoti hai Youtube Video se 

YouTube se Paise kaise milte hai ?

Payment kab aur kaise mile ga ye question apke mind m foran hi a gaya hoga. Ap ko apke video ka paisa adsense ke account k through mile ga aur adsense k account m jab aap ki income 100$ Dollar tak ho jayegi tab adsense apko payment karega.
Adsense payment ki process alag alag countries ke hisab se alag alag ha. India me EFT (Electronic Fund Transfer) k through payment karte hai. EFT se money direct aap k batye bank account me transfer ho jayegi.

Youtube se paise kab milte hai ?

Adsense mahine ki 21 tarikh ko payment sent karta hai agar $100 ho gaye hai to.. or agar $100 nahi ho pate to agle mahine me add hoke aate hai..

Youtube Shorts se Paise Kaise kamaye?

Youtube Shorts yani 1 minute se chote video bana kar bhi aap paise kama sakte hai, Shorts kaise kamate hai uski jankari aapko yaha milegi.

muje pata hai aapke dimag me bhi or sabal aa rahe hoge jiska jabab aap chahte hai to sochiye mat bas comment kar dijiye. me aap ke sawal ka jawab jarur duga or mujhe khusi hogi aapki madad karne me.
aapko internet se related koi bhi jaankari jankari pata karni ho kisi bhi topic pe to be jhijak puchye.

or haa meri youtube channel ke video dekna na bhule
www.youtube.com/HindiMeHelp

Youtube se Sambandhit kuch or Important Jankari

aese or bhi bhut se sabaalo ke jaab me aap ko aage duga. jisse aap youtube par 100% ek achi income kar paoge. Agar aap Post ki jaankari chate ho to hamare Facebook Page ko like karo or HMH Fb Group ko Join karna naa bhule jaha aap ki puri help ki milegi youtube se paise kamane me.

Tip: Aap apne video ke view badane ke liye usko facebook twitter par share kare or apna free blog bana kar uspar video ko dale.

Share on:

Hello Friends, I'am Rohit Mewada .. HMH ka Admin. Muje Logo ki Help Karna Acha Lagta hai or Is website Par Me Logo ki Hindi Me Help karta hu :)  Read More...


Leave a Comment

Please Read HMH Comment Policy before Comment.

1,013 thoughts on “Youtube Se Paise Kaise Kamaye 2025 in Hindi”

    • agar aap youtube, blogger par adsense use kana chate ho to uska matlab hai aapka account hosted hai.. q ki ye google ki hi service hai.. agar aap kisi dusri website par adsense use karna chate ho to usko apply karna padega account se. jab wo approve ho jayega to hosted account hat jayega.. isse koi dikkat nahi hai.

      Reply
  1. ok sir to kya mujhe youtube se aur apna personal website main money earn karne ke lia kya pan card jaruri hai. Aur kya ek bar adsence apply karne se hi youtube aur personal website se money income ho sakti hai ek sath, ya personal website ke lia dubara adsence form apply karna hoga. thanks

    Reply
  2. hello sir good morning sir me ek blog or website banana chahta hu, lekin sir me ye janna chahta hu ki kya mein website main apna nick name se bana sakta hu ya original name dena hoga, nick name se jab income hogi tab kuch dikkat to nahi hogi paisa income karne main. Thanks

    Reply
  3. Aur sir mene 1 video upload kr diya h …. Monetize bhi kr diya h,,, ads bhi show ho rhe h aur mano ki 70 views aaye h aur 2 ads click bhi h phir bhi earning 0$ h aab kya karna chahiye

    Reply
  4. sir meri video ke samne $ ka nishaan a gya ab main usse paise kma sakta ho wo paisa kha jata hai our kase withdraw hota hai batae sir

    Reply
  5. Sir, maine Monetize enable kr diya hai pr Maine Jo vedio uplode kiya uske samne … Green colour ka[?] Nisan aa rha hai jabki aapne bola tha ki vedio ke samne Asia [$] nisan aayega…. Plzzz explain kriye

    Reply
  6. Hi mr.rohit plz add me on your whatsapp group 91-8866143352

    i m from ahmedabad.

    And your link is not open so plz you add me in ur whatsapp group..

    Thank you..

    Reply
  7. ROHIT Bro … Sabse pahale thanku so much yar… Tum yar bahut achha kam kar rahe ho, bro or bhi bahut sites me mene iske bare me padha but sab helpless. Plz bro ek chota sa help kar do, mujhe sirf itna batao agar mene koi video dala jisme view to bahut h but unlikes jada h,,, kya me tab bhi earn kar sakta hu ??? Or agar mere subscriber nhi ho tab bhi earn kar sakta hu ???

    Reply
    • like or unlikes se koi fark nahi padta earning par.. par agar unlikes jada hai to hamare video ko rank nahi milti youtube par, isliye kosis ye hi hona chaiye ki hamare video par jada se jada likes, Comments, or share kare.. jisse hamara video par or jada viewss aaye..

      Reply
  8. Bro, Maine Sara process pura kr liya h… lekin ye nhi smjh me nhi aa rha h ki income kaise hogi …. or ye Google ka letter kab aayega or uska kya karna hoga … plzzz explain in detail Bro..

    Reply
  9. Hello sir,

      Sir adsense ka address pin ka abhi tak mere ghar pe mail nahi aya hai 2month ke upar ho gaya hai to sir ab kya kare .koi or rasta
    
    Reply
  10. Sir, Maine Sara process Kar diya h.. Ab smjh m n as RHA h ki payment kaise hoga ur Google ka letter kb aayega or uska kya karna hoga plzz toda detail m btaiye

    Reply
  11. Bro.. Maine sb kuchh kr liya h or Jo Google ka letter aayega us me kya hoga or uska kya krna hoga … plzzz explain in detail

    Reply
  12. payza account ke se bana te he sir je se aapne payple account banane ke rit he usi tara payza account ki rit bataiye Sir

    Reply
  13. payza account ke se bana te he sir je se aapne payple account banane ke rit he usi tara payza account ki rit bataiye sor

    Reply
  14. Mene YouTube aur adsnese ko aaps me connect kar diya h aur aab me kya karun .. Monetize aur sabhi process kar chuka hu aab btaye aage ki proccess

    Reply
  15. Rohit, Youtube pe kis tarah ka video dala jaye jisse ek achha income ho . kya kisi movie ka songs ya koi other video dal sakta hu kahi se download kar ke . waise maine pitbul ka ek video dala to wo reject ho gya . pls confirm me.

    Thanks

    Reply
    • Agar aapne kisi ka bhi video copy karke dala to aap ussse paise nahi kaa sakte or aapki Youtube channel kabhi bhi delete ho sakti hai isliye aesa karne ka soche bhi nahi agar aap sahi me youtube se paise kamane ka soch rahe ho to.

      Khud ke banaye video dale..

      Reply
  16. Sir mujhe bhut jaruri kam hai apse please contact with me, ap bolte ho apko dusron ki help krna asha lagta to meri bhi krdo yr pls call me 07696292601

    Reply
  17. Hello Rohit mera name sonu gupta h mne jab apne mobile s youtube s video banakar payse kase kamana waha add h namne wo step by step fllow kiya lekin 11th step k bad 12th step m jab adsenso jad ko jodte h tab mera page hi nahi khulta mera net bhi tik chal raha h to bhi ask me

    Reply
  18. Rohit sir mere YouTube videos per views nhi aa rhe … Mene keywords planner or tags bhi use kiye phir bhi nhi or mere AdSense account me $0.00 dikha rha h

    Reply
    • Adsense me abhi nahi aate usme to mahine ki 15 tarikh ko add hote hai. par view bhi hona chaiye. aap apne youtube ke analytic me dekh sakte ho. Jo Video hai uspar view badane ki kosis kare uskosocial network site par share kare..

      Reply
  19. Rohit ads se aur upload video se approx kitni earning ho skti h??..dono ki earning bta dijiye.aur apna whats app number bhi send kr dijiye.plss

    Reply
  20. rohit bhai mujhe aapse ek swal puchna hai ki aap apne blog hindimehelp se monthly kitne rupees bna lete ho. please tell me

    Reply
  21. Maine apna 1 song record kiya hai… Kya main ye song youtube pe upLoad kar k paise kama sakta hun…
    .
    agar nahi to app mujhE bataye ki main apne record kiye hue song se paise kaise kamaun…
    .
    my whatsApp No. is 8869894893
    . pLzZz aP mujhE whatsApp pE hi ans dEne ki kosis karE…
    .
    i rEaLLy nEed uu,, pLzZz heLp mE….
    .

    Reply
  22. meri problem neeche hai
    Your Account
    Your website
    3
    Your Information
    Contact information
    Please fill in the details below carefully as the information will be used to set up your account and send your payments.
    Country or territory:

    Time zone:

    Account type:

    Please note that the account type you choose can affect your tax requirements and the forms of payment available to you, depending on your country or territory. Once you submit your application, your account type can’t be changed.
    Individual
    Business
    Company name:
    Your company needs to have a bank account in this name.
    Street address:

    City/Town:
    State:
    PIN code:
    For example: 110034
    Contact name:
    Please enter the full name of the person acting as the company representative.
    Phone:

    Your number is not verified with Google. You will be asked to verify it in the next step. Learn more.
    Email preferences:

    Customized help and performance suggestionsNoYes
    NewslettersNoYes
    Google market research invitationsNoYes
    Special offersNoYes
    Information about other Google products and services which may be of interest to meNoYes

    Unfortunately, our records indicate that you’re not eligible to participate in AdSense at this time. Please be sure to review our Terms and Conditions.

    Reply
    • ye kya problem hai aapne simple pura form ko copy karke comment me paste kardiya. dikkat kaha hai bo batao.
      Aap 18 ke hona chaiye or alat date of birth to bhul kar bhi hani daalna

      Reply
  23. mere 3 sawal hain aapse
    1. youtube mobile app pe monetize ka option kaha milega ?
    2. PTC sites ke naam batao jo adds dekhne par zyda paise deti ho?
    3.Aur last sawal paypal account pe mai apne credit card number se kaise fund add kru paypal account me ?

    Reply
      1. Mobile se nahi hoga aapko uske liye computer ki jarurat padegi.
      2. Mene kabhi koi PTC site tri nahi ki or mene jinko dekha hai jo inpar work kate hai unki income itni kam hai ki usse 10 guna jada to net me kharch kar dete hai. isliye me aapko ye suggest nahi karua or naa hi koi bhi site bataoga. agar aap khud se tri karna chahe to kar sakte hai.
      3. Agar aapke Pass Creadit Card hai to aap Simple payment karte samaj paypal ke though kar sakte ho, jab aata hai uska option. Par aar aapka Debit Card hai to aap Paypal ke through payment nahi kar sakte.
      Reply