Blogger.com ki Kuch Basic Jankari

Hi Guys, Mera Name Govind Swami Hai, Me OnlineGovind.Tk ka Owner Hu. Ye Meri HMH Pehli Guest Post Hai. Me HMH Ka Jab Se Rohit Sir Ne HMH Start Ki Tab Se Daily User Hu.

Friends Me Es Post Me Blog Ki Poori Jankari Dene Wala Hu, Jaise Blog Kya Hai?, Aur Eska Name Blog Kisne Diya Aur Blog Hi Name Kyo Diya, Ye Would Me Sabse Pehle Kab Launch Hui, Kab Popular Hui Etc.

Advertisements

Yaha aapko Blogger Ki Puri Jankari Milegi

Blog ki Kuch Basic Jankari

Blog ki Kuch Basic Jankari

  • Blog Kya Hai: Blog Jise Hindi Me Chittha Kehte Hai, Ye Ek Type Ki Website Hai Jise Daily Dairy Ki Tarah Likha Jata Hai. Har Blog Me Kuchh Written Article, Photo Aur Bahari Kadiya Hoti Hai.
  • Blog Banane Wala or Uske Author Ko Blogger Kehte Hai.
  • Adhiktar Blog Me Mukhya Tor Par Writing Articles Hote Hai, Aur Kuchh Blog Jinme Blogger Apna Knowledge, Photo, Video Aur Audio Jaisi Files Share Karte Hai.
  • Blog Name Kaise Pada: English Word Blog Jo Ki (Web Log) Word Ka Chhota Rup Hai, Ese Suruwat Me Ek Blogger Dwara Majak Me (We Blog) Kaha Gaya Tha, Baad Me Kewal Eska Blog Word Reh Gaya Aur Ye Word (Blog) Internet Par Viral Ho Gya.
  • Hindi Word Chittha (Blog) Sabse Pehle Ek Blogger Mr. Alok Kumar Dwara Pratipadit Kiya Tha Jo Ki Ab Internet Par Hindi Dunia Me Prachalit Hai.
  • Ye Word (Blog) Ab Google Ki Dictionary Me Bhi Add Kiya Ja Chuka Hai.
  • December 2007 Ki Counting Me 11,2000000 Blog Paye Gaye Hai. ab to inka andaja lagana bhi bhut muskil hai.
  • Aaj Ke Computer Jagat Me Blog Ka Bhari Chalan Hai, Kai Prasidh Masahur Hastiyo Ke Blog Log Bade Chav Se Padhte Hai Aur Un Par Apne Vichar Bhi Likhte Hai.
  • Blog Par Log Apne Pasand Ke Subject Par Likhte Hai, Aur Kai Blog To Aage Jake Popular Bhi Ho Jate Hai.
  • Sabse Pehle Blog Kab Bana: Blog Ka Aarmbh 1992 Me Huaa,Aage Chalkar 1990 Ke Dasak Ke Antim Varsho Me Jakar Blogging Par Jor Diya Gaya.
  • Sabse Pehle Ke Blog Sirf Computer Jagat Se Related Mulbhut Jankari Ke The, Lekin Baad Me Kai Subjects Ke Blog Samne Aane Lage.
  • Aaj Ke Time Me Likhne Ka Halka Saa Bhi Sokh Rakhne Wala Parson Apna Ek Blog Bana Sakta Hai Kyuki Ye Free Hai Aur Apna Likha Huaa Pure Would Tak Pahucha Sakta Hai.
  • Blog Par Rajnitik Vichar, Utpadno Ka Vigyapan Aur Teaching Bhi Ki Jaa Sakti Hai. or topics ke liye yaha click kare
  • Year 2004 Me Blog Word Ko ‘Merriam Webster’ Me Sammilit Kiya Gaya.

ummid hai Friends aapko ye jankari interesting lagi hogi. :)

Ye ek Guest post hai HMH agar aap bhi guest post karna chahte hai to yaha click kare

Dusri Guest Post padhne ke liye yaha click kare

Ye bhi Padhe:

Share on:

Mera naam Govind Swami hai, me HinglishTech.In ka founder hun


Leave a Comment

Please Read HMH Comment Policy before Comment.

14 thoughts on “Blogger.com ki Kuch Basic Jankari”

  1. bro, mera blog google banned site checker tool me check karne par ye result aa raha hai, ( Your Site Is Banned In Google (OR) Your Site not yet Crawled by Google.) mera blog dekhen aur help karen thank u

    Reply
  2. 1 sir kya godaddy se economy plan lena sahi padega ek website ke liye
    2 jyada traffic aane par [ 7000 pageview ] koi problems ho sakti hai kya..please

    Reply
  3. Nice post! Hame blogging start karne se pehle blog ki bacis info ko janna bahut important hota hai thanks for sharing this post.

    Reply
  4. Aap Koi bhi work karo aapko isaki basic jankari honi hi chahiye. Aap basic jankari batate hai but, ye to good collection for blog important information.

    Reply
  5. Bro ye data entry job kya hota h isme kya karna hota he maine paper me ek add padha tha jisme likha tha data entry job ke jariye 20000 se 40000 tak kamaye is job me humko kya krna pdta h or kya sch me itni salary milti h ya nhi ager nhi milti to kitni tak milti h please iske bare me btaye bro.

    Reply