Kisi bhi Blogger ka sabse bada sirdard hota hai Keyword Research, Q ki agar unko apne Blog post par traffic lana hai to sahi keyword ko select karke uspar post likhna bhut jaruri hai.
Keywords kya hai or wo kitne jaruri hai.. or kitni Keyword density honi chaiye post me uske ware me phele share kar chuka hu.. agar aapne wo read nahi kiye hai to phele wo read kare.. uske baad iss post ko read kare.
*Keyword ko sahi use karne ke liye aap On Page SEO ko achi se jarur samje..
Agar aapko pata hai Keywords kya hai or kitne jaruri hai, or kiss trha unko use karke traffic lana hai, to chaliye ab jante hai Keyword find kaise karte hai. jin par jada traffic or jada CPC ho.
Page Contents
Keyword Research Full Detail in Hindi
Keyword research karne ke liye free tools ki jarurat padegi:
1: Keyword Everywhere Extension
Ye SEO me keyword research ke liye ek popular extension ha, jisme ham kisi bhi keyword ka kitna searc volume hai or kitna CPC hai wo dekh sakte hai.
Wese isme jo data dikhaya jata hai, wo 100% to sahi nahi hota, fir bhi ham 60% bharosa uspar kar sakte hai.. jisse hame ek idea to mil hi jata hai ki konsa keyword kitna search hota hai or kitna uska CPC hai or kya uss keyword ki computation hai.
Keyword Everywhere Extension Install kare
Note: agar aap Mobile me Browser extension ko install karna chate hai to Firefox Browser App use kare.
Must Read: Top Free SEO Extension for Chrome Browser
2: Keyword Generator Tool
Kisi bhi Topic ke keyword nikalne ka sabse best tarika hai Google Suggestion or Google Auto Complete Search.. jisme ham jo bhi search karte hai usse related or konse konse keyword search hote hai wo pata chal jata hai..
To aap aesa kar sakte hai ki koi keyword Google par search kare, fir jo niche suggestion keyword aaye.. unme se koi keyword search kare.. iss trha aap Keyword nikal sakte hai.
keyword research google ko or aasan or fast banane ke liye aap Google Search API ka use kar sakte hai.
Google Search API ke kuch keyword research tool free uplabd hai, jisme ham sirf ek war keyword daal kar search karte hai to usse related bhut sare keywords aa jate hai.
Keyword Generator | keyword research tool free open kare
Free Keyword Research kaise kare
Kisi bhi Topic par keyword research kaise kare, or kaise pata kare konse keyword par jada search hai or jada CPC hai wo pata karne ke liye Steps ko Follow kare.
Step 1: Sabse pehle apna Topic select kare, jin par aapko post likhni hai.. Aapka jo bhi Topic, category ka main keyword ho wo aap select kar lijiye.
*Abhi Example ke liye, patanjali keyword liya hai
Step 2: Keyword Generator Tool par jakar Keyword search kare..
- Ab aapke keyword se related bhut se keyword mil jayege, jo search hote hai.. jitna bhi aapko lage, uske baad stop kar dijiye.
- uske baad sabhi keywords ko Copy kar lijiye.
Step 3: Ab Keyword Everywhere Extension icon par click karke, Bulk Upload Keywords par click kare.
Step 4: ab jo keywords copy kiye hai wo paste karke Get Metrics par click kare.
Step 5: ab aapke samne sabhi keywords ka data aa jayega, kitne monthly search hote hai, kitna CPC or kitna computation hai.
Ab aap dekh sakte hai, jitne bhi keyword hai unka kitna CPC or kitna search hai wo samne aa jayega..
yaha se topic se related jada se jada keyword ko select karke unko post me dale, or jada se jada Keyword ko cover kare.. isse ek hi post par jada traffic or jada CPC milne ke chance badh jayegi.
At Last:
Ummid hai aapko ye Keyword Research Free Tool or Free Keyword research karne ka tarika pasand aaya hoga, or isse aapko jarur help milegi.
Agar aapka koi sabal ho ya kahi kuch dikkat aa rahi hai to comment karke jarur bataye.. or ye jankari kesi lagi wo batana naa bhule.
Happy Blogging..!
Thanks for this ….very informative.
Most Valueable Info in THis Blog Thanks For Sharing This
Bahut badhiya jaankari btaya hai apne bhai. Thank you, mai apko YouTube pe bhi follow karta hu, aap bahut achhe se samjhate hai.
Nice Keyword research idea bro, it’s lot of my time
Save*
mery badi problem aur jyada samy khane wali keyword reasearch hai. aapne ek helpful post likha. thanks
rohit ji please mujhe is question ki jankari chahiye
kaise me breadcrums banakar google search console ke error ko thik kru please
ye template me topion hota hai.. jo title ke upar dikhta hai..
ye me janta hu aur mere blog ki har ek post par breadcrumbs show bhi ho rha hai but searh console me 4 error show ho rahe breadcrumbs ko leker ki
vaha par yah show ho raha hai
Error Either “name” or “item.name” should be specified
kya krna hai mere ko koi idea do sir
wha post ka link bhi hoga. uss post me dekhe show ho raha hai ke nahi.. agar ho raha hai to error ko ignore kare. or agar nahi ko kisi code ke karan nahi ho raha hoga.. usko tikh karna hoga.
isake baare me ek article banaye
lebel wale tags to me jod leta hu but language wale tag kaise jodte hai sir
rohit ji kya me apni kisi ek post ko hindi aur english dono language me alg alg publish kar sakta hu
post sirf ek hogi par language hindi aur english dono ke url bhi diffrent honge
apki kya ray hai
haa aap kar sakte hai, par aap uske liye language Tag ka use kare.. taki search engine samaj sake ki dono post same hai was alag alag bhasa me hai.
que1-sir aapse ek aur baat janne ki jarurt hai sir maine nayichetna.com ki ek post dekhi jisme vajan badhaye keyword search karte hai to uska search description show ho raha hai par hindi me mota hone ke tarike likhkar search karte hai to nayichetna.com ki usi post me alg search description show ho raha hai yah kaise possible hai
que2-sir maine blog ki language dono option me theme html me hindi set kar rakhi hai jabki nayichetna.com ne alg alg ek to de aur ek eng set kar rakhi hai phir bhi uske article hindi me google first me show karvata hai iska kya fanda hai
que3-keyword anywhere me bulk keyword option hi nahi aa raha hai maine use reinstall bhi kar liya hai
aapke 2 question ka answer hai.. site ki authority hone se bhi rank achi milti hai.
Ans 3: abhi bulk ka option bataya hai.. 20 sep se wapas aa jayega..
sir apko in savalo ke javabo ka jitna thanks kru utna hi km hai kyoki aapne mijhe bahut kuch sikhaya hai lagbhag me yah kah sakta hu ki mene apse jitna bhi sikhha hai exeprience unhe me achhe se exprience kar raha hu.
thanku very much again
Great 🙂
”लडकी पटना सीखे pdf” yah article 2nd rank par km se km 10 dino se hai but abhi tak usse keval 10-22 visitors aaye hai yah maine kisi aur phone se check kiya tha aap iske bare me kya suggestion dena chahenge jabki maine ise kisi aur friend ke phone se check kiya hai
ye data galat hai.. aap dusre kisi tool me check kare.. jo aapka keyword hai wo hindi me hai to wo sirf PDF ko keyword samaj raha hai. jo hindi me likha hai usko nahi.. isliye itna jada volume bata raha hai.
thik hai sir aapke khe anusar me check krunga but is search volume ke anusar kitni traffic mujhe mil sakti hai please thoda idea share kre
sir mere ko ek baat samjh me nahi aa rahi hai sir mere 5 article google ke top 5 articles me rank kar rahe hai par unse traffic ek din ke 20 aa rahi hai kya yah traffic hai jabki un sabhi articles ke title ki search volume 100000-5000000 tak hai ab aap hi mujhe iske bare me thoda samjhao
aap kisi dusre ke phone me jisme aapne apni website kabhi open nahi ki ho search karke dekhe.. aapki site top par nahi aa rahi hogi warna traffic to jarur aata.
sir ek article jiski search volume 500000 hai aur vo article google me number 2 rank par hai to apke anuman ke aadhar par kitna traffic us page par aa sakta hai please thoda hint de taki me thoda aur clear ho saku
agar aapka Article 1st par hai to uska 30% traffic aapke pass aana chaiye. or second par to 20%. nahi aa raha matlab aapka article 2nd par nahi hai..
sir me keyword research ke liye keyword everywhere ka use kar raha hu sir isme dikhaye jane wale search volume,cpc and compitition data sahi pardrshit hote hai yah me apse janna chahta hu
iske sath hi hindi language ke keyword research karne ke liye ek free tool ka ke bare me jankari bhi mujhe chahiye thi
100% sahi to nahi.. par haa aap idea le sakte hai..
Keyword research ke liye hindi ya english ke liye koi alag tool nahi hai.. tool or process same hi hai.. wass abhi Hindi me itna jada data inn tools ke pass nahi hai q ki hindi me english ke mukable jada search hoti hai.
thanks sir
jaldi reply karne ke liye
apki jankari bahut kam ki hai mere liye
Bahut achi information di h sir apne . Thank you for this. Mere bhut kaam ayegi ye knowledge.
Hey,
Rohit Mewada – Thanks for sharing such a informational post, it helped me a lot. Such type of posts are hard to find, keep it up !! Do share some information on some high DA websites.
Nice post