Agar Aap blogging karte hai to hmesa kahi na kahi keyword ke bare me jarur sunte honge. Keyword bhut jaruri hota hai, Keyword Kaise search kare, Keyword kaise use kare etc.. iss trha ke bhut se topic hai Keyword se related or in sab ki sirubad hoti hai Keyword kya hai?
Yadi aap blogging me naye hai tab aapko keyword ke bare Me nahi pata hoga. aapko keyword ke bare me nahi pata hai ki keyword kya hota hai aur hum isko apne blog or website me kaise use karte hai. to ye article aapke liye helpful hoga kyoki iss article me hum janege ki ek keyword kya hota hai aur ek badiya keyword ko kaise choose karte hai, iske sath sath ye bhi ki keywords kitne prakar ke hote hai.
Keyword Kya Hota Hai
Keyword (sabd) search engine ko ye batata hai ki aapka blog or website kiss bare me hai. Search Engine iska calculating karne ke liye dekhta hai ki woh particular word Jisko hum keyword kehte hai kisi bhi article me kitni baar use kiya gaya hai.
Example ke taur par agar apne blog ke article me “make money” 2-4 baar likhte hai to search engine ko iss baat ka anubhao ho jayega ki aapka article make money ke upar hi hai. Aur jab koi visitor make money ya phir isse related koi word Google par search karega tab post top search page par show hogi.
Kisi bhi Keyword ko jisko aap target kar rahe hai search engine ke liye usko ek limit se jada war use naa kare nahi to wo keyword stuffing khelata hai jisko google Spamming bhi samaj sakta hai.
Iss baat ko or achi se samajne ke liye aap yaha padhe kaise ek post likhe jo User or Search Engine dono ko pasand aaye, or uske sath sath aapko keyword density ka bhi dhiyan rakhna hai ki aapko kitni war apna keyword use karna hai.
Keyword Types | Keyword kitne type ke hote hai
Aap ye to samaj gaye hoge, blogging me keyword ka matlab hai wo sabd jispar ham post likh rahe hai or ham chate hai ki agar koi usko search kare to hamari post search me aaye.
Post likhne ke liye sirf ek keyword kafi nahi hai, ek badiya keyword hona jaruri hai.. Keyword search karne ke liye aap Google Keyword Planner ka use kar sakte hai jo bilkul free hai, uske sath sath aap Google Search ka bhi use kar sakte hai, jisme automatic jo suggestion aate hai usse andaja laga sakte hai log kaise search karte hai.
Keywords 2 trha ke hote hai
- Short Keyword
- Long Tail Keyword
Short Keyword: Ham jab post likhne ke liye koi keyword select karte hai to usme jo hamara main target hota hai jisko hame rank karna hai, agar wo main topic hi hai to wo hamara keyword hoga.
Short Keyword me dikkat ye hai, usme computation bhut jada rheta hai, or agar phele se badiya tarike se achi website par diya huaa hai to aapki post rank hi nahi kar payegi.. par agar aap short keyword ko bhi rank kara de to aapko traffic achi mil sakti hai.
Long Tail Keyword: koi topic hai jiske sath kuch extra keyword bhi add ho jaye to wo long tail keyword hota hai. Example se samajte hai:
“Paise kaise kamaye” = Short Keyword
“Online Ghar Bhethe Paise kaise kamaye” = Long Tail Keyword
Ab aapko clear ho gaya hoga, kya hai Short Keyword or Long tail keyword.. or aap samaj hi gaye hoge long tail keyword use karne se kya faida hai, waha computation kam hoga, q ki jaruri nahi jitni bhi site ho un sabne wahi long tail keyword use kiya ho..
To mera suggestion rahega aap aesa keyword select kare, jiska computation kam ho, matlab phele se uspar post naa likhi ho kisi blog par, Short Keywords ke sath aese words bhi jarur add kare ki wo ek long tail keyword ki trha bhi kaam kare.
Badiya Keyword ko select karne ke baad us keyword ko sahi tarike se use karna bhi jaruri hai, jab hi aapko uska sahi result milega. kaha kaha or kaise use karna hai uske kuch point:
- Post Title me (Badiya Title likhe ki 6 Badiya Tips)
- Post Permalink (post ki link)
- Heading H2 H3
- Phele paragraph me
- Image Name me.. (ye bhi pade Image ko SEO Friendly kaise banaye)
iske or badiya tarike se samajne ke liye aap On Page SEO ko samje, usme aapko or achi se clear ho jayega aapko apna Keyword kaha or kaise use karna hai.
Post ko Popular karna hai to aapko SEO ka to pura dhiyan rakhna hi padega, jab hi aapke blog par traffic aayega.
Ummid hai ab aapko clear ho gaya hoga keyword kya hai or uska kya use hai, iske baad bhi agar aapka koi sabal hai to aap comment karke puch sakte hai.
Awesome…. Bhut achi trha bataya sir aapne
Bahoot hi badhiya jankari nd helpful article provide kiya aqpne
Thank you very much
Hi,
very nice post
Thank you very much
kya keywords social media ke liye bhi zruri hote hai ?
Thanks a lot for useful information. Very nice article it’s helpful for SEO learners.
Rohit Bhai, bahut badiya post.
very Nice And Impressive Bahut achchha
great article sir.
Nice sir great….
Kya kisi website ka link baar baar social sites(Facebook, Google, Twitter, LinkedIn) par post Karne koi ferk padta hai. Isse koi problem to nahi
Sir mujhe google AdWords planner ka
Kaise use kru ye nhi samajh aa rha hai
sir आप हिंगलिश में लिखते हो और हम हिंदी में लिखते हैं तो क्या हमें भी कीवर्ड को हिंगलिश में लिखना पड़ेगा या हिंदी में ही लिखें ?
kya sir hindi keyword support nhi karta hai kya
bhai kis support ki baat kar rahe ho.. muje lagta hai aapne post ko read nahi kiya.. ek war sahi se read kare.. keyword hota kya hai aapko samaj aa jayega.. uske baad aapko kuch samaj aa jayega aapka ye jo sabal hai wo hi galat hai.
Wah ! Bahut hi badhiya jankari share ki aapne rohit bhai…
Mera aapse ek sawal hai : keyword difficulty kistni honi chahiye jaldi post rank karne ke liye.
bhayi kya ham google adsense ke liye apply kar skta hu plz aap ek baar meri website check kijiye
Sir mai apne jokes site(blogger) ke liye kon sa template use karu …plz tell me
Site-www.mastimajakjokes.blogspot.in
Hello sir,mera blogger pe ek site jo lagbhag 6-8 month se bhi purana hai,jis par mai jokes,status, sms,shayari se related post share karta hu,
But sir mera question yah hai ki ,blogger ke post description me keyword ko daal sakate hai,….plz help me sir
Rahit brother pichhle ek saal se bina keyword search ke 106 post likh chuka hoo.ab koi samaadhaan hai kya post me keyword daalne ka. kyonki permalink me ab keyword daal nahi sakte.
aap unko edit karke set kar sakte hai.. permalink naa kare.. usse problem hogi..
Bhut badiya hai post hai Rohit Bhai.
Keyword find karne ka koi aur tarika hai kya???
Google autosuggestion
Nice Post.
Bahut hi vadiya jaankari di hai aapne keyword selection ke liye thank you.
welcome :)
man to aise kar rha ki aapki har ek post ko baar- baar read karu
Thanks Vikram Bhai.. really aapke comment se laga jo me kar raha hu usse kisi ki to help ho rahi hai..
hi rohit ……article bahot helpful hai muje bahot sikhne ko mila
Keyword planner me kaise keywords search kare kuch samaj mein nahi aa raha hai.
Mujhe toh yeh pta hi nhi tha. Iss jankari ke liye dhanyavaad :)
ish post me target keyword aapne kaun sa use kiya hai ??
yadi sir apne jesa btaya ki 4-5 bar se jyada nhi karna chahiye blog me use…. per post likhte time yadi hume eXplaination ke liye yadi baar baar usi Keyword ki jarurat padegi to fir kya karna hoga hume ?
अति सुंदर जान कारी
धन्यवाद उपयोगी जानकारी के लिए
Keyword Planner tool ki free service ham sabhi bloggers ke liye jaise Google ka aashirvad hai.
laybol.blogspot.com
sir mere blog par ads show ho raha hai ab mujhe kya karna padega…mera blog dekh kar bataye ki kya kami hai abhi isme plzz
hello bhai main janna cahta hu ki sahi se post kese likhte hain i mean mene abhi new blog banaya hai main reffral link promote krna cahta hu to post thk se nahi likh pata worls idhar udhar ho jate hain mujhe apki help cahiye bhai
bahut hi badhiya tips di he aapne (y)