Instamojo kya hai | Payment Gateways se Earn kare

Instamojo kya hai or Kaise Instamojo ki madad se payment gateways add kare ya kaise apni Online Store open kare, aap jannaa chate hai to aap bilkul sahi post par aaye hai.. me abhi aapko Instamojo se Paise Kaise kamaye or kaise ham isko use kare uski puri janari dene wala hu.

Instamojo ka aap personal ya apne Business ke liye use kar sakte online Payment accept karne ke liye, iski madad se aap Online Payment jitne bhi tarike hai unse payment accept kar sakte hai.

Advertisements

Instamojo kya hai Payment Gateways se Earn kare

Page Contents

Instamojo Kya hai ?

Instamojo ek Payment gateways hai jiski madad se Online Payment receive kar sakte hai, or Iski madad se Online Store open karke apne Product or Service sell kar sakte hai..

Instamojo ek Indian Company hai, jiska Bangalore me office hai, jo International website Paypal ki trha hi hai.

Aap Instamojo se ye sab kar sakte hai:

  • Online Digital Product Sell kar sakte hai.
  • Physical Product Sell kar sakte hai.
  • Event Ticket sell kar sakte hai.
  • Apni Service sell kar sakte hai.
  • Direct Payment link bana kar payment accept kar sakte hai.
  • Payment Request SMS or Mail se kar sakte hai.

Chaliye jante hai Kaise Instamojo par account banaye or kaise usko use karke paise kamaye.

Instamojo par Account Kaise Banaye

Instamojo Account banana or websites kitrha aasan hi hai, Simple aapko Instamojo ki website par jakar Signup karna hai.

Important Note: Aapko Niche di hui button par click karke account banana hai, jisse hoga ye ki jab bhi aap pheli war payment receive karege Instamojo me to aapko ₹500 Free Bonus milega..

Instamajo Signup

#1: Instamajo ki website open kare, uske baad Apne EMail ya Google+ or Facebook se Signup kare..

Note: Aapko Instamojo par account banate time apni sabhi detail bilkul sahi dalni hai.. agar aapne kuch galat detail dalkar account banaya to aapko Payment bank me lene me problem ho sakti hai.

#2: Signup karne ke baad aapko Apna Email par aaye link se account verify karna hai.

#3: Account Open karne ke baad aapko sabse phele apne Document upload karke account ko Fully verify (KYC) karna hai, uske baad hi aap Instamojo ko use par payege..

Instamojo Use kaise Kare

Instamojo ek Payment Gateways hai, jisko aap bhut tariko se use kar sakte ho.. agar aapki website hai to aap payment accept karne ke liye button laga sakte hai, ya aap apna Online Store bana kar product sell kar sakte hai.

Payment karne ke jitne bhi tarike hai wo sab Instamojo support karta hai, jese Net Banking, Debit Card, Credit Card, UPI etc..

Instamojo ko use karne ke tarike:

1. Online Physical Product Sell kare Instamojo par

Agar aap aapke pass koi aesa saman hai, jo aap online bechna chate hai to aap usko yaha sell kar sakte hai..

Instamojo ki ek sabse khas baat yaha ye hai ki inka khud ka MojoExpress (Delivery System) hai.. jisme aap apne saman ko aasani se bhej sakte hai..

2. Digital Product Sell kare Instamojo par

Digital Product jese eBook, Software ya koi tool hai to aap wo Instamojo par badi aasani se sell kar sakte hai.. Simple aapko iske liye Payment Page banana hoga, or jo aapka Digital Product hai uski file upload karna hoga..

Jab bhi koi aapka Digital Product ko kharidege to jese hi wo payment karege unke baad Product ki Download link mil jayega..

Agar aap Ek Blogger hai, ya Freelancer hai to aap yaha apne Digital Product jese Course, ebook ko sell kar sakte hai.

3. Event Ticket Sell kare Instamojo se

Event ke liye Ticket online sell karne ka ye ek best tarika hai, jisme ham apne event ki detail or Ticket ki detail daal kar aasani se Event ki Ticket Online Booking kara sakte hai.

Event Ticket ke liye alag alag rang bhi bana sakte hai, jese VIP ya Normal Pass..

4. Sell Service on Instamojo

Agar aapka koi Product nahi hai or koi Event Ticket bhi sell nahi karna, wass aapko koi Service provide karna hai to aap wo bhi yaha aasani se kar sakte hai.

Jese Agar aap Freelancer hai to aap Apni Service ki detail yaha add karke service provide kar sakte hai or Payment receive kar sakte hai.

*Agar aapko Online Store ka Example dekhna hai to aap Mere Store ko dekh sakte hai, jisme me apni kuch Service Provide karta hu.

instamojo Rohit Mewada Store

Rohit Mewada Store

Note: Agar aap mere Store se kisi service ko order kare, to HMH Readers ke liye Special Discount hai ₹50, ILoveHMH Coupon Code use karne par (Limited Time)..

5: Payment Link bana sakte hai

Agar aapki kisi person se payment lena hai to aap unke liye alag se Payment Receive link bana sakte hai, jisko direct unhe send kare jinse paise lene hai.. wo direct link par click karke payment kar sakte hai.

Payment ki request SMS or email se bhi send kar sakte hai.. jiski link par click karke direct payment kar sakte hai.

Instamojo se Pase Kaise kamaye

Agar aapne upar ki detail read ki hai to aap samaj hi gaye hoge ki kaise aap Instamojo se paise kama sakte hai..

1. Product or Service sell karke Paise kamaye

Instamojo se apne Product ko sell karke paise kama sakte hai, uski jankari to aapko upar mil hi chuki hai..

Agar aap Online Apni Service ke liye payment gateways ko search kar rahe the, jisse aap aasani se payment receive kar sakte to aapki search instamojo par khatam hoti hai.. q ki aapko yaha wo sab mil jayega jo ek payment gateways me hona chaiye.

2. Refer n Earn se Paise Earn kare

Instamojo ka Refer n Earn Program bhi hai, jisme agar aap apne Friends ko Invite karte ho to aapko or aapke Friend ko ₹500-₹500 milege..

To ab aap samaj gaye hoge, mene starting me jo kaha tha ki meri link se account banao, uska karan kya tha.. q ki wo meri referral link hai, jisse agar aap account banate ho to ham dono ko ₹500-500 milege..

To agar aapne abhi tak Instamojo account nahi banaya hai to aap niche di hui button par click karke bana lijiye.

Create Instamojo Account

Instamojo Refer n Earn – Term Condition:

  • Referral ke paise Link se click karne par hi milege.
  • Referral ke paise Instamojo account ko verify karne ke baad pheli Payment receive karne par milege.
  • Aap khud ko refer nahi kar sakte, agar aesa karte hue pakde gaye to aapka account ban ho sakta hai.
  • jo First payment receive karna hai wo bhi aap khud se nahi kar sakte.. Aap apni koi bhi Service bana kar payment receive kar sakte hai.
  • Instamojo team manually verify karne ke baad payment send karti hai.
  • Referral ka jo amount hai wo refer karne ke 30 din baad milta hai.

Instamojo Pricing

Instamojo ki jo Pricing hai wo dekh kar aapki andkhe khuli reh jayegi.. q ki aapko ye jaan kar yahin karna thoda muskil hoga ki Account setup karne ka, Paise ko Bank me transfer karne ke ya account ko maintain karne ka koi charge nahi lagta.

Instamojo me charge sirf sell hone pr lagta hai jo itni subhida ke hisab se bhut kam hai.

Agar aap Payment Receive karne ke liye NEFT ka use kare to Instamojo uspar bhi koi charge nahi karta.

  • NEFT/ RTGS/ Bank Transfer Charge ₹0
  • Normal Payment Transaction par 2% + ₹3 per sell charge lagte hai..
  • Digital Product ko Sell karne par 5% + ₹3 per sell charge lagta hai.

Instamojo Charge Calculator ki madad se aap dekh sakte hai, kitne rupee par kitna charge lagega.

Instamojo ke Fayde

  • digital Product sell karne par product delivery ko instamojo hi manage karta hai.
  • Physical Product bhi aasani se sell kar sakte hai.
  • Canonical Tag Support karta hai, jiski madad se Product Page ko SEO Optimize kar sakte hai.
  • Instamojo Android App bhi hai, yaha se ham apne orders ko manage kar sakte hai.
  • Setup karna bhut aasan hai, 5 minute me setup ho jata hai.
  • Google Analytics add kar sakte hai.
  • Discount Code bhi bana sakte hai Product ke liye.
  • Product ki Affiliate Program bhi add kar sakte hai.
  • SMS se Payment Request send kar sakte hai.

Conclusion

Instamojo ek bhut hi user-friendly or Best Payment gateway hai, jinki madad se bina kisi jhanjat ke Apne product or service sell karke payment receive kar sakte hai.

Agar aapka Instamojo se related koi bhi sabal hai to aap comment karke puch sakte hai.. or aapko ye jankari kesi lagi batana naa bhuje.. :)

Share on:

Hello Friends, I'am Rohit Mewada .. HMH ka Admin. Muje Logo ki Help Karna Acha Lagta hai or Is website Par Me Logo ki Hindi Me Help karta hu :)  Read More...


Leave a Comment

Please Read HMH Comment Policy before Comment.

18 thoughts on “Instamojo kya hai | Payment Gateways se Earn kare”

  1. rohit g instamojo per mai arabian country Jaise saudi arab dubai omaan katar, desho ladies garment sell karna chahta hu . kya aisa ho sakata hai.
    per mail kare
    mujhe kuchh aur jankari b chahiye .

    Reply
  2. Kuch naye karne ke liye time lagta hai or jo time laga ke kuch krta hai wahi aage badhta hai. Aap bhi ache content laate rajte ho… aapki post ki updates mere laptop me aati hai mobile nahi Q?

    Reply
  3. Aapke liye instamojo best hai kyoki aapke pas unique traffic hai.
    Meine bhi unique visitor apni website par layunga fir instamojo par kuch helpful digital products add karunga jisse users ko profit ho

    Reply