KEYWORD DENSITY kya rakhe Search me Top Rank ke Liye

Keyword kya hai or uska kya Importance hai wo to hamne pichi post me jaan liya tha, aaj ham uske baare me thodi detail me janege ki Jis Keyword ko ham target kar rahe hai search engine me rank karne ke liye uski Density kya honi chaiye.

KEYWORD DENSITY kya rakhe Search Engine me Top Rank Karne ke Liye

Page Contents

Keyword Density Basic Introduction

Hum sab tou keywords ke baare me jaante hai ki ye aise internal words hote hai jinki madad se hum apne article/post ka SEO develop karte hai. Aur SEO se hamare site me visitors badhte hai aur humara site search engine ke top ranks me pahuch jata hai.

Advertisements

Agar Keyword King hai to Keyword Density Queen

Lekin sirf keywords ko article ke andar mention kar dene se SEO nahi hota! Balki ek achhe SEO strategy ke liye hume keyword density par bhi dhyan rakhna padta hai.

Keyword Density kya hoti hai?

Keyword density ka matlab hai, jitne baar hum apne keywords ko ek article me mention (likh rahe hai) karte hai use keyword density kehte hai.

Keyword density limit

Keyword density nirbhar karta hai aapne apne articles me kitne words likhe hai. Commonly ye dekha gaya hai ki keyword density kabhi bhi 3% se jyada nahi hona chahiye. For example 100 words ke article me 3 baar se jyada aap keywords use naa kare tou behtar hai.

For example aapka blog ‘weight loss tips’ ke upar hai jisme ‘hindi weight loss tips’ aapke primary keywords hai. Ab agar aap uske upar koi article likhte hai 100 words me then aap 3 times ‘hindi weight loss tips’ keyword ko uus article me use kare.

Agar aap 3% se jyada baar keywords use karte hai then search engines like google and bing aapke article/post ko spam list me daal sakta hai, jis se aapke search engine rank me effect padega. Aur agar search engine rank me effect pada tou aapko organic traffic and visitors nahi mil payega.

Jada bar ek hi Keyword ko use karna ko keyword stuffing kehlata hai, jo purane dinome to search me rank dilane me kaam aata tha.. par ab usse koi faida nahi hota.. Q ki ab Search Engines bhut advance ho chuke hai.

KeyWord ko kaha or kaise use kare uski detail me jankari ke liye aapko On Page SEO ke ware me pata hona jaruri hai.

Keyword Density kaise kaam karta hai?

Ab sochiye aapne search engine [google] ke keyword density ke criteria ko manate hue ‘weight loss tips in hindi’ ke upar article likhna suru kiya. Ab jab koi user google par ‘hindi weight loss tips’ enter karega, tou google ke spiders/web crawlers aapke blog/site ko scan karenge aur agar aapka article google ke index me fit baith gaya to fir google aapke article ko search result me show karega, aur wo user aapke blog me visit karega.

Aur agar aapne keyword density ko follow nahi kiya then google aapke post ko over lap kar dega jis se aap search engine ranking kho denge. Aur yaad rakhiye khoye hue rank ko pana phir naamumkin sa ho jayega. Isliye hamesha keyword density ko maintain karte hue humee articles likhna chahiye.

Toh is tarah se kaam karta hai keyword density!

Keywords ko kaha kaha istemal karna hai wo aap ON Page SEO me samaj sakte hai, par aapko iss baat ka bhi dhyan rakhna hai ki aap jo bhi likh rahe hai wo read karne me natural lage.. jaruri nahi aap sirf ek keywords ko hi target kare.. aapka jo main topic hai usse related jitne bhi keywords hai unka bhi use karke ek high Quality Post likh sakte hai..

SEO ki or Post yaha hai.

Ye Bhi Pade:

Share on:

Hello Friends, I'am Rohit Mewada .. HMH ka Admin. Muje Logo ki Help Karna Acha Lagta hai or Is website Par Me Logo ki Hindi Me Help karta hu :)  Read More...


Leave a Comment

Please Read HMH Comment Policy before Comment.

63 thoughts on “KEYWORD DENSITY kya rakhe Search me Top Rank ke Liye”

  1. Sir Maine kuch din pahale hi new domain buy kiya he ab samaj nahi aaraha konse keywords par kaam karu high cpc keywords and low competition keywords par kaam karu, aur high traffic wale keywords kaise find kare iske bare me bhi muje information cahiye thi apse.

    Reply
  2. mast jankari de hai aapne sir
    Sir kya aapne blog ke seo ka pata kiya ja sakta hai ki kitne persent hai or sahi kitne hogi google men search men aane men

    Reply
  3. sir help me…. Meri ek post hai jiska Title ye hai___

    “India 80 Amazing Facts In Hindi”

    to mera question ye hai ki mene apni uss post ko kuchh iss trh se likha hai.

    Fact-1
    Fact-2
    Fact-3
    Fact-4
    Fact-5
    Fact-6
    Fact-7
    Fact-8
    Fact-9
    Fact-10

    to esa krte huey mene 80 baar Facts word ka use kiya hai… apni post mein

    To problem ye hai ki mera bhi wo longtail keyword post me use ho gaya hai..

    to ye “”Facts”” Keyword jada use hua hai.. to kya mujhe Problem hoyegi ya google ko koi preshaani … ???

    Reply
  4. Thia is off topic…today Keyword density is not factors of search engine ranking…. PageRank is also stop calculating by google…. And fact thnig is….google say quality is king their content forum…. so dont rush yourself such a keyboard research or density…. write useful articless…thos wealthy for people.. Thnku…☺

    Reply
  5. jaha tak professional ka maanana hai wo sirf 2% hi keyword use krne ke liye bolte hai aap 2-5% ka bol rhe hai.
    aisa kyu ?

    Reply
  6. Rohit ji mera ek problem hai jisse maine comment me bataya hai lekin abhi tak aapne uss comment ka reply nahi diya hai.

    Mera domain ko blog me set kiya tha par kuch gadbadi ke karana maine domain management me jo set kiya tha blog se code lekar woh sab delete kar diya hai. Ab me domain ko blog me phir se set karna chahta hu par domain blog me save ho jata hai aur woh set karne ki codes nahi aa raha hai. Save toh ho raha hai lekin godday me domain management me saare codes ko delete kar diya hai jisseke karan domain blog me kaam nahi kar raha hai.

    Ab me kaise blog me domain set karu. Domain ko set karne ke liye blog me domain name type karke save karta hu toh save ho jata hai.

    Lekin save hone ke baad domain blog me kaam nahi kar raha balki koi aur site redirect ho jata hai.

    Mujhe lagta hai maine godday me domain management se codes ko delete kar ne karana aisa ho raha hai isiliye aap koi raasta bataiye jisse iss problem ko solve kar saku.

    Please aap iss comment ko ignore mat kariyega kyuki me bahut pareshaan hu kai din net me bhi search kiya lekin koi bhi aisa tareeka nahi mila jisse me solve kar saku.

    Please help me rohit ji.
    I will be very grateful to you.
    Aapka blog reader……!

    Reply
  7. Hello Rohit Sir ! Main Fb par bhi message kar chuka hu. Aur Aap ne kah bhi diya tha ki Aap theme kharid ke de doge. But Main Paise kis Account me dalbaun aur kitne ye bata do please.
    Aur ye bhi ki theme ka payment ek baar hi karna hoga kya?
    Sir please Help me Kyuki mere paas international card nahi hai. please its a Request please.
    My No. 7500962925

    Reply
  8. नहीं ऐसा नहीं है की keyword density 2% से जाएदा हो तोह SPAM हो जाता है actually, बहुत से ब्लोग्गेर्स हैं जो keyword density 1-2% के बीच रखते है लेंकिन ऐसा नहीं है 3% वाला SPAM हो जायेगा !

    और MOZ के अनुसार keyword density is myth…!

    Reply
    • haa fark padta hai.. jese socail network par share ki or uska jo faida milega us post me wo khatam.. search engine me new link update hone me thoda time.. par agar url galat hai to ham change kar sakte hai..

      Reply
  9. Bahut hi acchi tips hain, Main sochta tha ki baar baar Keywords likhne se google search mein jaldi se post show hone lagti hain. thanks for giving useful tips. thanks…

    Reply
    • aap dekh sakte hai meri site par ek saal se jada ho chuka hai or me adsense use kar raha hu.. muje abhi tak koi problem nahi aai to me ye kha sakta hu ki adsense me hinglish me bhi koi problem nahi hai.. agar contant hai wo acha ho to..

      Reply
  10. Hello.. Sir.
    WordPress.org ko Use Karne ke liye Kya? Karba Padta hai?
    Jaise ke main WordPress.org par Blog Jab Banane jata hun Tab Us time WordPress download ka option Aata hai.

    Reply
  11. Hello Rohit Sir.
    Mujhe Newspaper theme kharidna hai apne blog ke liye. lakin main kharid nahi pa raha hu mtlab wo site mera card accept nahi kar rahi hai transaction fail ho jata hai. kyuki amount $ me hai isliye. sir meri help kar dijiye kya Aap mere behalf me mujhe ye theme kharid ke de sakte ho kya please.

    Reply
    • aap paypal se purchesh kar sakte hai.. agar aap chate hai ki me aapke liye kharidu to aapko phele mere bank account me paise jama karne padege.. fir me aapke liye kharid sakta hu.. koi problem nahi hogi.. aap iske liye muje fb par contant kare.. FB HMH Group me tag kar dena muje

      Reply
  12. On Page SEO का बहुत ही important factor है Key word placement और Keyword Destiny और इसे newbies ब्लॉगर नहीं समझते और वे इसकी कीमत ट्रैफिक खो के कर देते है !

    जाएदा बार keyword add करना keyword stuffing ( ठूसना) कहलाता है और ये गूगल इसको black hat consider करता है अगर कोई keyword को ओवर ऑप्टिमज़ करेगा तोह कुछ दिन पोस्ट रैंक होगा और उसके बाद गूगल उसको रैंक नहीं करेगा क्योंकि गूगल उसको spam समझ लेता है !

    इसलिए हमेशा keyword को 3-4% तक ही रखना चहिये अगर सिंपल भाषा में बोला जाए तोह 100 में 3-4 बार और 1000 में 30-40 बार !

    रोहित का यह पोस्ट बहुत नए और अज्ञानी ब्लोग्गेर्स के लिए हेल्पफुल है !

    बहुत बढ़िया रोहित सर !

    Regards

    www. kaisekamayetips .com

    Reply
  13. mene aapke blog par bhut saari comment ki but mujhe aapke blog ki backlink nhi mili to plz iske liye kya process hai batana jarur…

    Reply
    • mere blog me no follow link milti hai.. matlab aapko backlink nahi milegi.. agar aap backlink chate hai to aap guest post kar sakte hai.. baki no follow links bhi jaruri hoti hai.. agar kisi achi site ki ho jese HMH.. :)

      Reply
  14. Hey! Rohit I Think Aapne ho information ji hai ki Keyword Density 4% se jyada nahi honi cahiye. Jaha Tak Maine Read kiya hai Agar Keyword Density 1.5$-2% se Jyada hoga tab bhi aapke content google Spam list me Daal dega.. Isliye Kosish karna Cahiye ki Keyword Density 1.5%-2% se Jyada naa ho…

    Cheers
    Saddam Husen

    Reply
    • haa me aapki baat maanta hu.. par google ne aesa kahi bataya nahi hai ki kitne % use kare post me.. to sabka laag alag exprience hai.. me simple sabd me kahu to puri post achi se likho or jaha bhi us keyword ko use kiya ja sake karo.. bas jabarjusti kahi naa likhe to google ko wo article pasand aata hai..

      Reply
  15. “If you’ve been redirected to this page from a particular product, it means that your access to this product has been suspended. Read on for more information” bhai ye kyu likha aa rha hai jab mai apne youtube account me sign in karta hu toh ?

    Reply
  16. ye galti mene ki he mere blog me or muje abhi pata chala is post ko padke thanks bhai Keyword density ke bare me samjanekeliye…. by the way kua aap bata sakte he kya Search engine se traffic na aneke karan….bcoz mere blog par sirf 2-3 Visitor hi search engine se ate he please bhai help me…

    Reply
    • aap koi bhi laptop lele.. par 25k me acha aa jayega.. ram kam se kam 3gb or windows 8 ya 10 badiya rahega.. hard disk 512 to mil hi jayega.. aap iske liye google me search kare best laptop under 25k.. or bha unke reviews dekhe jo aapko acha lage wo le lijiye..

      Reply
    • haa likh sakte hai.. par usko design aese karna padega ki jis visitor ko jis language me padna hai usko sirf wo language dikhe.. nahi to jo visitor hai unko problem hogi..

      Reply