Kya aap Online Paise kamane ke tarike search kar rahe hai, jisse aap ghar baithe paise kama sake.. to aap bilkul sahi jagah aaye hai. HindiMeHelp website par Online Earning ke bhut se tariko ke ware me jankari uplabd hai, un sabhi ki link aapko niche mil jayegi.
Wese to Internet itna bada hai, jisme Lakho tarike hai paise kamane ke, par wass jarurat hai to thoda sa idea lagane ki, ke kaise Internet se Paise kamaye.. to chaliye jante hai.
Page Contents
18 Online Paisa Kamane ke Top Best Tarike
1. Blogging se Paise Kamaye
Blogging se Paise kaise kamaye ke liye Blog bana kar uspar Post dalna hai jo Logo ke kaam ki ho or log usko read kare..
Jab Log Blog par aane lagege to ham ads laga kar ya Affiliate se paise kama sakte hai.
Blog se paise kamane ki limit nahi hai, aap jitna apne talent ka use karke work karoge utna paisa kama sakte hai.
Blogging se Related Post Read karne ke liye yaha click kare.
2. Youtube se paise kamaye
Youtube se Paise kamana sabse aasan mante hai kuch log, q ki usme bilkul bhi technical knowledge naa ho, fir bhi Youtube channel bana kar Paise kama sakte hai.
Youtube ke useful Apps jarur install kare agar aap Youtube par work karte hai to.
Youtube se Related Puri Jankari aapko yaha milegi.
3. Affiliate Program se Paise kamaye
Affiliate Marketing Paise kamane ka aisa tarika hai, agar isko tikh se samaj kar kiya jaye to itna paisa kamaya ja sakta hai jiski koi limit nahi.
Affiliate Marketing me hame kisi Product ki Affiliate Link generate karke usko promote karna hota hai jinko uski jarurat hai unhe.. or agar koi hamare link se click karke uss product ko kharidte hai to uska acha khasa commission hame milta hai.
Sabse Best Affiliate Site ShareASale ke ware me mene share kiya hai, jiski madad se Website par acha khasa paisa kamaya ja sakta hai, aap isko jarur join kare.
Aap Amazon Affiliate or Flipkart Affiliate se bhi paise kama sakte hai.
4. Facebook se Paise kamaye
Facebook se paise kamane ka abhi direct koi tarika nahi hai, jisse ham aasani se paise kama sake..
Facebook ke jo Popular Page hai, unke kuch video par monetize on kiya hai.. jisse earning hoti hai.. to ham ye keh sakte hai ki Youtube ki trha Facebook par Video daal kar paise kama payege..
Par abhi Facebook se direct to nahi par Indirect Paise kamaye ja sakte hai.
Facebook se Paise kamane ke tarike yaha share kiye hue hai.
5. Instagram se Paise kamaye
Instagram abhi ke time me sabse popular social network site hai, jispar bhut log active hai..
To aese me jo companies hai, wo apna promotion karne ke liye jinke jada Instagram Follower hai unse contact karti hai or unke ware me post dalne ke paise deti hai.. Iss trha bhut log acha khasa paisa kama rahe hai.
Instagram Sponsorship se paise kaise kamaye uski detail jankari aapko yaha milegi.
6. Whatsapp se paise kamaye
Whatsapp kitne Popular Messaging App hai wo muje batane ki jarurat to hai nahi, or muje pata hai aapke mobile me bhi Whatsapp Install jarur hoga ;)
Ab aap ye to jante hi hoge, jaha jada log hote hai, wahi paise kamane ke jada chance rehte hai.. to ussi ka fayda utha kar aap Whatsapp se bhi paise kama sakte hai.
Whatsapp se Paise Kaise Kamaye uski puri jankari yaha hai.
7. eCommerce se Paise kamaye
Aap jitni bhi Popular eCommerce Websites hai, unpar saman sell karke paise kama sakte hai.
Aapko iske liye eCommerce websites par seller account bana kar apne Product ko list karna hai.. uske baad koi bhi agar uss product ko kharidoge to uski detail aapke pass jayegi, iss tarah aap Online apne saman ko sell kar sakte hai.
8. Freelancing se Paise Kamaye
Freelancing ka matlab hota hai, Aap kisi ke liye job nahi karte.. par agar kisi ko kuch kaam karana hai to wo uske paise aapko dege fir aap unka wo kaam karenge.
Iss tarike se bhut log mahine ki achi khasi earning kar rahe hai.. Iss Field me paise kamane ke liye jaruri hai sirf aapka kisi filed me expert hona, taki aap wo kaam paisa leke kar sake.
9. Online Writing se paise kamaye
Agar aapko acha likhna aata hai to aap Likh kar bhi ache khase paise kama sakte hai.. bhut se websites bhi hai jis par aap apna account bana kar Article likhne ke orders le sakte hai.
Me aapko Suggest karunga aap Grammarly or Ginger jarur use kare likhne ke liye.. taki aapki writing me koi mistake naa ho. kaise use karna hai uski jankari yaha hai.
Online Writing se Paise kaise Kamaye uski Detail me jankari yaha hai.
10. Purane Saman ko Sell kar Paise kamaye
Purana Saman aapke pass jarur hoga, jinko aap OLX or Quikr jesi website par sell karke paise kama sakte hai..
Agar aap Purane saman ka Business karna chate hai to wo bhi kar sakte hai.. Mene OLX or Quikr se paise kamane ka Business plan share kiya hua hai.
Share Market ka naam to aapne jarur suna hoga, Q ki yahi se jitne bhi Price hai wo kam jada hote hai or yahi se Badi badi company’s apna Business double kar leti hai to kuch ka diwala nikal jata hai.
Share Market ko agar samaj kar sahi tarah se kaam kiya jaye to bahut acha paisa kamaya ja sakta hai.
Share Market Intraday Trading ke Kuch behtreen tips yaha share kiye hai.
12. Domain se Paise kamaye
Domain Kya hai or Kaise Register karte hai wo to aap jante hoge..
Aap Badiya Domain agar Register kar lete hai, to aap unko baad me jada Price me sell karke bhut acha paisa kama sakte hai.
Aap Expire Domain ko lekar jada fayda utha sakte hai.
Domain Sell karne ke liye aap Domain Auction me apne Domain ko list kar sakte hai, fir jinko bhi wo domain chahiye hoga wo uske liye apni boli lagate hai.. jinki sabse jada boli lagti hai unko wo domain mil jata hai.
13. Website flipping se Paise kamaye
Website Kaise banate hai agar aap jante hai to aap Website bana bana kar unko thoda rank kara kar badi aasani se Sell kar sakte hai, or acha khasa munafa kama sakte hai.
Website Sell karne ke liye Flippa.com best website hai.
14. Mobile App Install karke paise kamaye
Mobile se Paise kamane ke hajaro tarike hai, jisme Mobile Application se hi ham Earn kar sakte hai..
Mobile se Paise kamane wale Apps
- Phone pe (Full Detail)
- Google Pay (Full Detail)
- PayTM (Full Detail)
- mCent Browser (Full Detail)
- Google Opinion (Full Detail)
- Earn Talktime (Full Detail)
- Dream 11 (Full Detail)
*Jitne bhi Mobile Apps hai unki Download link di hui hai, or unse kaise earn kar sakte hai uski puri detail ki link uske same hai.
15. Bitcoin se Paise kamaye
Bitcoin kya hai or kaise kaam karta hai wo me share kar chuka hu.. par abhi Bitcoin ka market bhut hi down hai to agar aapko Bitcoin kis concept par work karta hai wo aap nahi jante to isme paise naa lagaye.
Mujhe lagta hai, BlockChain Technology hi feature hai.
16. Paypal se Paise kamaye
Paypal International Payment System hai, jinki madad se paisa Internationally sent or receive kiya ja sakta hai.. iski madad se online kharida bhi ja sakta hai… bhut si International website isko support karti hai.
India me Officially Launch abhi kuch time pehle hi hua hai .. to unka ek Special Offer hai, jisse aap cashback or refer karke paise kama sakte hai.
Paypal se paise kamane ka tarika yaha hai.
17. Fiverr se paise kamaye
Fiverr ek website hai, jispar $5 me koi bhi apna kaam kara sakte hai..
To agar aapko kisi chij ke ware me achi jankari hai to aap usse related Orders lekar earn kar sakte hai.
Fiverr se paise kaise kamaye or kaise Fiverr par jada orders laye uski jankari share ki hui hai.
18. Sawal Jawab karke Paise kamaye
Agar aapko kisi vishay par achi jankari hai ya aapka interest hai to aap uske sawalo ke jawab dekar ya apne sawal puch kar bhi paise kama sakte hai Quora Website ki madad se.
Quora kya hai or isse kaise paise kamaye uski detail me jankari aapko HMH par hi mil jayegi. iske sath sath aap Quora se Quality website Traffic bhi la sakte hai.
At Last:
To Ab aap Online Paise kamane ke bhut se Tarike jaan chuke hai, muje pura yakin hai aapko jarur koi naya tarika bhi jaane ko mila hoga.
Online Earn karne ke aap ka sabse Favorite tarika konsa hai wo comment me share kare.. or agar aapka Online Earning se related koi question hai to wo bhi comment karke jarur puche.
aapko hm 3 years se follow kar rha hu sir. thankyou
Jo kahoge main vah karunga bhai kasam se Tum mujhe pahle yah website chalane to do yah kaise okay ki jayegi is Website
ko main kaise okay karunga
Yaar bhai aapane jo bhi dil kar liya tum mujhse bol sakte ho bhai koi baat nahin yaar baat mujhe paise kamane theek hai na bhai
Yaar main karta hun yaar tumhen Koi invite kya ho yahan to main kuchh bhi mujhe mujhse puchna Ho mujhse poochh sakti ho
Bhai please online earning yaar mujhe bahut yaar bahut Dil Kar taiyar man jao na
Bhai please yaar koi mujhe nahin karne ka mauka do yaar main bahut acchi si apni karunga
I am earning money online
dasktop hindi composing me pass sara setup hai
बहुत ही शानदार इन्फॉर्मेशन है
bahut hi achhi post likhi hai
बहुत ही शानदार इन्फॉर्मेशन है, धन्यवाद सिर जी
Nyc post sir….thanku so much
Nice information Rohit ji. Daily earn ke liye…
bahut hi achhi post likhi hai
Very nyc post mujhe aisi post jisse knowledge aur fayda dono ho aisi post padhna bahut pasand h
Very nice article, these are really good business opportunities.
Nice information …. Daily earn ke liye…tnx Rohit mewada
Social Media Influencer Bhi Online Paise Kmane Ka Best Treeka Hai! More Details Are Below…..
दूसरों को Social Media Services प्रदान करने के बजाय आप अपने Social Handles को Grow करने पर Focus करके एक Strong Network बना सकते हैं.
अगर आप का Social Network ज़्यादा बड़ा होगा तो आप Brands के Paid Post Promotion से भी अपने Social Media Accounts से अच्छा Income बना सकते हैं, आजकल बहुत से Social Influencers इस तरह से 500$+ तक की Earnings कर रहे हैं. ज्यादा जानकारी के लिए आप ये पोस्ट पढ़ सकते हैं
Thanks Rohit Sir, Mere hisab se Online Photo Sell karke bhi accha khasa paisa kamaya jaa sakta hai. Me bhi shutterstock pe online photo sell karke paise kama raha hu. Mene abhi tak apne mobile 70 images ipload ki hai unme se abhi tab tak 8 images sell ho gayi hai or jiska mujhe 2$ revenue mila hai. Isme aap Paypal ya Payneeor Account se minimum 35$ hone par payment le sakte hai.
Jyada jankari ke liye aap is article ko pade. check it Online Photo sell kaise kare
You have mention all working methods of money making in single post and explained so nicely.
Thanks.
Good information …. Daily earn ke liye…tnx Rohit mewada
BHAI MERA EK BLOG HAI USME ADS NHI AA RHE HAIN BLOGSPOT SE BANAYA HOON
Aapko ads.txt add karna padega.