Agar 1 Sep 2019 se aapne koi bhi Traffic Rule thoda to lagega pehle se 10 guna jada fine, Q ki Aaj MV Act, 2019 lagu ho gaya hai, jisme Traffic rules todne par jo pehle fine lagta tha usko bada diya gaya hai.
India me aaye din Road durghatna hoti rehti hai jisko control me lane ke liye Motor Vehicle Amendment Act 2019 me badlab kiye gaye hai, jisme jo Fine lagne ka amount hai wo pehle se bada diya gaya hai, taki log fine ke dar se Traffic rules ko naa tode or jitne bhi Traffic Rules hai unko follow kare.
New Traffic Rules in India 2019 Hindi
Agar aap bike ya Car chalate hai to ab aapko pehle se thoda satark hona padega, Q ki agar aapne ki koi bhi laparwahi ya toda koi Traffic Rule to lag sakta hai aap par acha khasa fine..
Jese jese Technology badh rahi hai Traffic par najar rakhne ke liye Choraho par Camera bhi lag rahe hai, jisme agar koi Traffic Rules todta hai to unke ghar uska chalan aa jata hai, to aap ye to soche hi naa ki aap Traffic Police se bach kar nikal jayege to fine se bach jayege.
Agar aap soch rahe hai Traffic Rules ko Todne se kaise Bache to uska simple wass ek hi tarika hai ki aap jitne bhi Traffic Rules hai unko samje or Puri trha follow kare.. isme aapki safety bhi hai.
Chaliye Ab jaan lete hai agar koi Traffic Rule todta hai to kitna Fine lagne wala hai ya pehle kitna lagta tha:
Section | Penalty | Old Provision/Penalty | New Proposed Provision/ Minimum Penalties |
117 | General | Rs 100 | Rs 500 |
New 177A | Rules of road regulation violation | Rs 100 | Rs 500 |
178 | Travel without ticket | Rs 200 | Rs 500 |
179 | Disobedience of orders of authorities | Rs 500 | Rs 2000 |
180 | Unautorized use of vehicles without livence | Rs 1000 | Rs 5000 |
181 | Driving without Licence | Rs 500 | Rs 5000 |
182 | Driving dispite disqualification | Rs 500 | Rs 10,000 |
182 B | Oversize vehicles | New | Rs 5000 |
183 | Over Speeding | Rs 400 | Rs 1000 for LMV / Rs 2000 for Medium Passenger vehicle |
184 | Dangerous driving penalty | Rs 1000 | Upto Rs 5000 |
185 | Drunken Driving | Rs 2000 | Rs 10,000 |
189 | Speeding / Racing | Rs 500 | Rs 5000 |
192 A | Vehicle without permit | upto Rs 5000 | upto Rs 10,000 |
193 | Aggregators (violation of Licencing condition) | New | Rs 25,000 to Rs 1,00,000 |
194 | Overloading | Rs 2000 and Rs 1000 per extra tonne | Rs 20,000 and Rs 2000 per extra tonne |
194 A | Overloading of Passengers | Rs 1000 per extra passenger | |
194 B | Seat belt | Rs 100 | Rs 1000 |
194 C | Overloading of two wheelers | Rs 100 | Rs 2000, Disqualification for 3 months for licence |
194 D | Helmets | Rs 100 | Rs 1000 Disqualification for 3 months for licence |
194 E | Not providing way for emergency vehicles | New | Rs 10,000 |
196 | Driving without Insurance | Rs 1000 | Rs 2000 |
199 | Offences by Juveniles | New | Guardian / owner shall be deemed to be guilty. Rs 25,000 with 3 yrs imprisonment. For Juvenile to bo tried under JJ Act. Registration of Motor Vehicle to be cancelled |
206 | Power of Officers to impound documents | Suspension of driving licenses u/s 183, 184, 185, 189, 190, 194C, 194D, 194E | |
210 B | Offences committed by enforcing authorities | Twice the penalty under the relevant section |
Motor Vehicles Amendment Act, 2019 Laws Chart Download
Agar aapko Traffic ke in jurmano se bachna hai to aapko samajna hoga Traffic ke konse section me kya rule hai or usko todne par kya fine lagne wala hai..
yatayat ko behtar banane ke liye jitna bhi jurmana pehle lagta tha usko bada diya gaya hai taki vahan chalak rules ko Follow kare.
Bina Helmet ke gadi chalane Rs 1000 jurmana or 3 mahine ke liye Licence radh jo pehle Rs 100 tha, to aese me agar kisi bhi check point se agar koi nikalte hai to ab unko 1000 fine dena hoga.. or itna fine kafi hai logo ko Helmet pehnne ke liye forced karne ke liye.
Seat belt nahi lagane par Rs 1000 jurmana lagega jo pehle Rs 100 tha.
Drink (nasha) karke Drive karne par Rs 10,000 jurmana lagega jo pehle Rs 2,000 tha. To ab itna to conform hai bhale aapko aapki safety ki fikr nahi par Drink karke agar gadi chalayege to itna jurmana lagaya jayega ki ek baar me sara nasa gayab.
Racing ya Tej gadi chalane par Rs 5000 jurmana lagega jo pehle Rs 500 tha.. Race karne me jo gadi chala raha hai uski life ka risk to rehta hi hai sath me dusre logo ki life ka bhi rehta hai to aese me isko control karne ke liye 5000 jurmana tey kiya hai.
Bina Licence ke gadi chalane par Rs 5000 jurmana lagega jo pehle Rs 500 tha, to ab agar gadi chalana hai to pehle Driving Test pass karke Driving Licence lena hi padega.
Ambulance ko side nahi dene par Rs 10,000 jurmana lag sakta hai.. Pehle aesa koi rule nahi tha, par jitne bhi emergency vahan hai unko jaldi jane diya jaye uske liye iss rule ko bhi laya gaya hai.
Road ke Signals ko todne par Rs 500 fine lagega jo abhi tak Rs 100 tha. To ab agar Road ke wrong side me drive karte ho ya kisi Traffic signal ko follow nahi karte to aapko Rs500 jurmana dena hi padega. Isliye ab gadi ko pure hosohawas me chalaye or jitne bhi rules hai unko ache se follow kare.
Jitne bhi Traffic rules hai unko pehle se jada majbut banane ke sath sath Traffic Police ko bhi ab ye power dedigai hai ki agar ham kisi Rule ko Follow nahi karte to wo jurmana lagane ke sath sath hamara Licence bhi 3 mahine ke liye radh kar sakte hai. To aage se agar aap kisi rule ko tode to uske baad chup chap se fine dekar nikalle.. agar aapne Traffic Police se bahas ki to aap par wo or jada bhari padh sakta hai.
To iss Trha ab aap jaan chuke hai India me yatayat ko behtar banane or sab rules ko Follow kare uske liye MV Act, 2019 me kya kya laya gaya hai.
Wese to hame khud se hi itna jagruk hona chaiye ki jitne bhi Traffic rules hai ham unko follow kare jo hamari safety ke liye hi banaye gaye hai. or agar ab koi Traffic rules ko yaad nahi rakh pata to jo fine lagega wo yaad kara hi dega.
At Last:
To ab aap jaan chuke hai Motor Vehicles Amendment Act, 2019 me kya hai or Traffic Rules todne par kitna jurmana lagne wala hai. Aapko kya lagta hai ye jo New Law pass hua hai jitne pehle se kai guna jada jurmana lagega ye sahi hai ya galat.
Comment karke aapka Traffic Rule todne se sambandit koi incident ho to hamse jarur share kare.. ki kaise aap par fine laga ya aap kaise Fine lagne se bache.. 😅
yeah its great that you mentioned here
Hello, Ye batao app kis theme pr site bnaye ho ye , aur kitne me theme de sakte ho mai khud bhi ek blogger hu,, Aur Site Bhi banwana.. hai 2 site Banwana hai.
#Contact Me
rohitbhandari656@gmail.com
newspaper theme
jankari bahut acchi di hai apne par mere hisaab se ye rules bahut galat hai kyoki public ki jaib katne se to accha sabhi road ko sahi kar de accident apne ap kam ho jayenge vehicle chalane wale logo ko traffic rules samjhaye galat tarike se gaadi chalane wale ke license ban kare tab jakar traffic me sudhaar hoga panelties badhane se kuch nahi hoga.
सही कहा ।
nice article but in india no one wants to follow it
Very nice article bahut acchi jankaari di hai apne thankss
Bhut Badhiyaa se aapne bataye hai mujhe to puri ki puri samjh aa gyi..thanxxx
Very nice article bahut acchi jankaari di thanks
i think now traffic will be improve.