Agar aap Internet se badiya Paise Kamana hai to aapko hazaro tarike mil jayenge par agar aap ko aasani se bina jada jhankar ke paise kamana hai to aap Google Adsense se Kama sakte hai.
Google Adsense se Paise Kaise Kamate hai uski jankari mene pehle hi share ki hai jo aap yaha pad sakte hai.
Adsense se Paise Kamana Mushkil to nahi hai par sirf jab, Jab sahi tarike se kaam kiya jaye.. Q ki Adsense ka account aasani se approve(open) nahi hota or uski jo Term and Conditions hai wo bhi bhut stick hai.
Agar aap Adsense se Paise kamane ka soch rahe hai to jald waji naa kare or pehle uski kya kya sarte hai or kaise use karna hai, kya karna hai, kya nahi karna hai wo achi se jaan le. Fir jab aap Puri Trha se teyar ho jaye jab hi Adsense ke account ke liye apply kare.
Agar aapko Adsense Use karna hai to aapko unki AdSense Program Policies ko manana padega. Adsense ki Program Policies in Hindi me padhna ho to yaha pad sakte hai.
Adsense se Sambandit aapke bhut se sabal ho sakte hai un sabhi ka jabab aapko yaha milega: Adsense ke Sare Sabal Jabab hindi me.
Adsense Mainly 2 chijo ke liye hi use kiya jata hai, Youtube or Website/Blog.
Youtube se Adsense Account bana kar kaise connect kare uski jankari yaha hai. or agar aap Apni website/Blog ke liye adsense account banana chahte hai to post ko aage padhte rahe.
Agar aapke pass Website/Blog hai or aap uspar Adsense ads lagana chahte hai to aapko phele apni website ko puri trha se teyar karna hoga adsense ke liye. Aap yaha dekh sakte hai Adsense se Approve pane ke 11 Points jo aapko jarur padna chahiye.
Simple Sabdo me kahu to Adsense Account ke liye sirf jab apply kare jab aapki site puri trha se teyar ho or usme koi kami naa ho.. Website ka Design, Navigation acha ho.. Post badiya ho jo kahi se copy kiye to bilkul naa ho..
Ab me maanta hu aapki site puri trha se teyar hai jisme koi kami nahi hai or jo site me hona chahiye wo sab usme hai.. Aage badne se phele me aapko ek war phir kehna chahunga.. agar aapki site new hai or usme abhi jyada kuch nahi hai to aap abhi adsense ke liye apply naa kare. Chaliye ab aage badte hai..
Adsense Account Kaise Banaye Step By Step in Hindi (Adsense ke Liye Apply kaise kare)
Adsense Account banane ke liye aapko ye chahiye:
- Gmail Account (Gmail Account kaise Banaye)
- Blog/Website (Website (Blog) Kaise Banate Hai in Hindi)
- Address/Phone Number
Agar aapke pass ye 3 chije abhi hai to aap Adsense account bana sakte hai, Chaliye dekh lete hai Step By Step Adsense Account kaise banaya jaye.
Step 1: Sabse pehle to aapko Adsense ki site par jana hoga, fir signup karna hai.
Step 2: Jab Adsense ki site par pahuch jayenge to aapko apne GMail Account se login karna hai.
Jab aap Apne Gmail account se login kar lege to aesa aayega
Aap dekh le jo email id hai aapko ussi se banana hai Adsense account to Login with current account ki button par click kare.
Step 3: Ab jo Page khule usme apni website ki detail dale.
- Website ka address dale
- Website ki language(bhasa) me hai wo dale
- Save and Continue ki button par click kare
Step 4: ab ek Form open hoga, isko badi dhiyan se bhare or koi bhi galti naa kare
- Apni Country select kare (India)
- Time Zone me aapko apni location ka time select karna hai. agar india me ho to (UTC+05:30) kolkata select kare.
- Agar aap apne liye hi Adsense account bana rahe hai to individual select kare
- Ab apna Naam dale
- Address Dale pura or sahi sahi.. (Yaad rakhe aapka address bilkul sahi hona chaiye q ki uspar ek code aayega Google se jo aapko account me dalna hoga Address verify karne ke liye.)
- Primary Contact me Apna Naam Dale
- Mobile Number Dale
- Apni Email ID Dale
- aapko Adsense ke ware me kaha se pata chala wo select kare.
- Agar aap Adsense se email par jankari chate hai to aap inko yes karde.
- Submit my application par click kare.
Step 5: Ab aapko apna Mobile number verify karna hai.
Mobile number daal kar call ya SMS select kare, fir Send Verification code ki button par click kare.
Step 6: ab aapke Mobile par jo code aaya hai usko aap dal kar Verify kare.
Step 7: jese hi Mobile Number verify hoga, ek Popup open hoga.
Ab aap Adsense ki jo terms and conditions hai wo pad le fir yes par tik karke Accept ki button par click kare.
Step 8: jese hi aapka Submit karege agle page me ye Message show hoga.
Yhhhh, ab aapne Adsense ke liye Apply kar diya hai.
Ab Adsense ki team aapki site ko check karegi or agar usme kuch kani hogi to aap wo bataya jayega ya fir aapka adsense account approve ho jayega. ye jankari aapko Email par milegi.
Me aapse ek baat clearly kehna chata hu ki adsense account banane me jaldwaji bilkul naa kare or jab site puri trha se teyar ho jaye jab hi apply kare, Q ki agar aapne ek war apply kiya or approve nahi hui to dusri war me thodi dikkat aati hai.
Adsense Account Agar Approve ho gaya to aapko email me bata diya jayega. Fir uske baad aapko Adsense ke account me login karke ads code banana hai or usko apni site par lagana hai.. Yaad rakhe pehle ads blank(khali) aayege jisme kuch nahi dikhega.. jab ads code aap apni site me add kar dege to aapki site ko ek war fir check kiya jayega ki kahi aapne ads ko galat tarike se ya galat jagha to nahi lagaye.
Google Adsense Ad Placement Policies in Hindi me jarur padhe Ads ko site me lagane se pehle..
Kehne ka matlab hai adsense account 2 steps me Full Approve hota hai site ke liye. Sabse pehle to aap Adsense me account bana kar apply karte hai, fir jab approve ka email aa jata hai aap pheli step complete ho jati hai, ab aapko ads code apni site par lagana hai or jab ads dikhne lage matlab aapki dusri step bhi complete ho chuki hai or Adsense account puri tarah se approve ho chuka hai.
Kitna Time lagta hai Approve hone me?
India me bhut jada log apply karte hai adsense ke liye to ho sakta hai aapko Adsense se Email aane me time lag jaye, Kabhi kabhi 1-2 din me aa jata hai kabhi mahino bhi lag jate hai, or usme me ya aap kuch nahi kar sakte wait(intjar) karne ke alawa.. dono steps me time lagta hai to thoda dhiraj rakhe or apni site par kaam chalu rakhe.
Umeed hai aapko sab clear ho gaya hoga, or aap jaan chuke ho kaise Adsense account banaye. Agar aapka Adsense se sambandhit koi bhi sawal hai to aapko uska jawab yahan milega.
Aapko ye jankari kesi lagi comment me jarur bataye.
Ye Bhi Padhe:
- Google Adsense Use Karne Ke Fayde in Hindi
- 1000 Visitor Per Google Adsense Se Kitni Income Hoti Hai
- 5 Karan Adsense Se Paise Kamane Me Q Fail Hote Hai Log
- Online Paisa Kamane ke 10 Badiya Tarike or Upay Hindi Me
- Online Blogging Me Kitne Paise Kama Sakte Hai Uski Limit
- Adsense use karne ke Fayde
- Adsense se sambandhit sabhi Sawalo ke Jabab
Nice Post Sir Thank You Very Much, Sir And Thanks for Sharing.
nice this post good trick
Dear Sir Aap hmko Adsense Sefty ke bare me bataye naa tahi haam Adsense ko sefe rak sake
or adsense sabhi safty feature ke bare me post jarur leke
Dear Sir Aap hmko Adsense Sefty ke bare me bataye naa tahi haam Adsense ko sefe rak sake
Yeh Mera Blog hai isko aap chek karke haamko bataye ki iske ads lag rahe hai wo sahi hai naa
please Sir
Mian aapse ek jankari chahta hu.main Adsense me payment receive identity verify karna chahta hu.jabki meri payment profile me name LAKSHMAN PRASAD hai.mere aadhar card me LAKSHMAN hai.Aap muje ye bataye ki mai AApne Aadhar card se Identity verify kar sakta hu.—please help me .
Sir, I’m dharam Parmar please argent help me mene apko bahut baar comment ki par apne mujhe jawab hi nahi diya please, please ,please help
Mere adsense me ek code aya hain or use
or
Me jodna argent h kya
please Mere gmail par hindhi me jawab bhej do
dharamparmar1996@gmail.com
Main aapse ek jankari chahta hu .hum ek page par kitne ads laga sakte hai adsense ke .
Jo adsense teme ke khilap naa ho.
kitne bhi.. par jada ad lagane se loading time badh jata hai.. isliye 3-4 ads se jada naa lagaye.
me gujarati me blog banana chahta hu kya google adsense me gujarati bhasa hai
abhi nahi..
Sir maine google adsense ke liye apply kar diya par apply karte samy mujhe ek code mila tha jisme likha tha ise blog en head ke neeche lgana hai.
Par sir maine iske liye ” insert header aur footer ” plugin ka use kiya hai isi plugin ke header option me jo code mujhe mila tha isme add kar diya par.
Par mujhe iske baad ek mail aaya jisme likha tha
Add your code to your website’s HTML
Just a reminder: After copying your AdSense code, you’ll also need to add it to your website’s HTML
Kya sir mujhe phir se is code ko blog me head ke neeche paste karna hoga