Hi friends, Is post me main aapko backlinks kya hai or kaise kaam karte hai uske bare me puri jankari dene ki koshish karunga.
Aap SEO se to vaqif honge hi, agar aap apne blog ko search results me first page par lana chahte hai to aapko apne blog ka SEO karna bahut hi jaruri hai.
SEO mukhya do prakar se kiya jata hai –
On page SEO me ve sabhi chijen aati hai joki aap apni blog post likhte waqt apply karte hai, On page SEO acchi prakar se karne ke liye aapko ek SEO optimized article/post likhni hoti hai.
Read: Post ka Title SEO Friendly Likhne tarike
Read: Post SEO Friendly Likhne ke 5 tips
Off page SEO me ve sabhi chijen aati hai joki aap apne blog ke bahr apply karte hai. Inmen sabse important hote hai- Link Building aur Social Media presence. Social Media presence me aapko apne blog ko social media par promote karna hota hai aur Link Building me aapko apne blog ke liye Backlinks bnane hote hai. Jitne jyada aapki site/blog ke backlinks honge aapki site search results me utni hi higher rank prapt karti hai.
Read: Facebook se apne Blog par traffic badaye
Ab jyada der n karte hue main aapko backlinks ke bare me batata hoon. To fir aao jante hai ki backlinks kya hote hai aur ye aapke blog/Website ke liye kyon important hai
Page Contents
Backlink kya hai ?
Backlink kya hai wo simple sabdo me samjhe to, Backlinks wo link hote hai jo ek website se kisi dusri website par jate hai. Jaise ki maan lete hai agar main aapki site ka link apni kisi post ya apne blog par add karta hoon to isse aapki site ko ek backlink prapt hota hai.
Backlinks ka kya fayda hota hai SEO me?
Backlinks aapke blog ke liye bahut jyada faydemand hota hai. Aapki site ke jitne jyada backlinks hote hai Google aapki site ko search results me utni hi jyada value deta hai. Lekin Google aapke blog ko value tabhi deta hai jab aapke blog ke backlinks quality (achhi) sites se honge.
Backlinks ke aur bhi bahut saare fayde hote hai jaise ki Search Engine aapki site ko jaldi index karne lagta hai, aapki site ko referral traffic milta hai, aapki site ki authority increase hoti hai.
Quality Backlink kya hota hai?
Quality Backlinks ve hote hai jo aapko quality sites se prapt hote hai. Jaise ki HindimeHelp ek quality site hai aur agar aapko Hindimehelp se backlink prapt hota hai to Google aapki site ko jyada value deta hai aur aapke blog ko search results me higher ranking pradan karta hai.
Quality backlinks bnane ke liye aapko relevancy ka bhi bahut dhyan rakhna padta hai matlab ki agar aapka blog technology se related hai to aapko other technology related blogs se hi backlinks prapt karne honge, iske bjaye agar aap kisi food blog se backlinks prapt karte hai to Google aise backlinks ko jyada value nahi deta.
Quality Backlink Kaise Banaye uski Jankari yaha di hui hai,
High Quality jitni achi hai site ke liye utni hi buri Bad Backlink hoti hai, or Bad Backlink kya hoti hai unki jankari yaha hai.
Backlinks kitne Prakar ke hote hai?
Backlinks do prakar ke hote hai-
- Dofollow Backlink
- Nofollow Backlink
DoFollow Backlink :
Do-Follow backlinks link juice pass karne me madad karte hai, yani ki aise links aapke blog ki ranking ko badhane me kafi madadgaar hote hai. Dofollow links ka example:
“<a href=”http://www.google.com/”>Google</a>”
ya fir
“<a href=”http://www.google.com/” rel=”do-follow”>Google</a>”
By default sabhi links Do-Follow hote hai, lekin agar aap chahte hai ki aap jo link dusri sites ko de rahe hai usse link juice pass n ho to aap link me No-Follow attribute add kar sakte hai.
NoFollow Backlink :
Ye ve backlinks hote hai joki link pass karne ko allow nahi karte, inki search engine me value do-follow links ke mukable kam hoti hai. Search Engine Ranking me No-Follow Links ka role nahi hota hai. No-Follow backlink ka example:
“<a href=”http://www.google.com/” rel=”no-follow”>Google</a>”
To agar kabhi aapki site par aesi site ki link add karne ka moka pade jis par kuch galat chij hai to aap usko No-Follow kar sakte hai.
How to create Backlinks in Hindi | Apni Site ke Backlink kaise Banaye?
Ab aap backlinks ki importance ko samajh gaye honge, isliye ab aapke man me ye question jarur aaya hoga ki backlinks bnane ki shuruaat kaise karen. apni site ke backlinks bnane ke liye aap in simple tarikon ka prayog kar sakte hai:
20+ Quality Backlink banane ke tarike Hindi me, jinki adad se hum apni website ko rank kar sakte hai.
#1 Quality Content likhe:
agar aap apne blog ke liye jyada se jyada backlinks bnana chahte hai to iske liye aapko apne blog par quality content likhna hoga. Post bilkul simple bhasha me, to the point aur vistaar se honi chahiye. yani ki aapko aise articles likhne honge jise aapke readers asani se samajh saken aur vah article unki mdd kar sake.
High quality content likhne se other bloggers aapke article ke link ko apne readers ki help karne ke liye post me add kar sakte hai. Jese ye ek badiya article hai.
#2 Other Blogs par commenting shuru karen:
Backlinks bnane ka ye free aur easiest method hai, aapko bas ye karna hai ki apne niche ke other blogs par regularly commenting shuru karen. Jin blogs par commentluv enabled hota hai un par commenting karne se aapke blog ko do-follow backlink prapt hota hai joki aapke blog ke liye bahut jyada faydemand hota hai. Lekin jin blogs par commenting karne se aapko No-follow backlink prapt hota hai ve bhi aapke blog ke liye helpful hote hai. Halanki No-follow search results me jyada matter nahi karte lekin na hone se kuch hona bhi sahi hota hai.
Commenting karte waqt ye dhyan rakhe ki aap spam comments n add karen isse aapka comment approve nahi hoga hamesha comments me value add karne ki koshish karen. yani ki aise comments ko avoid karen- “Great post!” “Awesome post! keep it up” aadi. aise comments spam comments hote hai, inhen avoid karen. Post ko pade fir us par apni rai de.. aese comment ache hote hai or usse aapko bhi kuch na kuch naya sikhne ko milega.
Badiya comment kaise kare uski jankari aapko yaha mil jayegi.. wo sab dhyan rakhe comment karte time.
#3 Guest Blogging shuru karen:
Quality Backlinks bdhane me Guest Blogging bahut jyada prbhavi hoti hai. ismen aapko apne niche(topic) ke kuch popular blogs par apni guest post submit karni hai aur sath hi apne blog ka ek link add karna hai. lekin yaad rakhne ki Guest Blogging ke liye apne niche ke popular blogs ko hi chune aur ek badhiya high quality content vaali guest post likhkar submit karen.
Agar aapka Blog Internet se Related Topic par hai to Aap HMH par bhi Guest Post kar sakte hai.
#4 Apne Blog ko web directories me submit karen:
apne blog ko web directories me submit karna backlinks bnane ka ek badhiya method hai, iske liye apne blog ko vibhinn web directories me submit karen, lekin yaad rahe ki aap apne blog ko quality web directories me hi submit karen.
Backlinks bnate samay in baaton ka dhyan rakhen:
Backlinks aapki site ke liye kafi helpful ho sakte hai lekin agar aap galat tarikon ka pryog karke backlinks banayenge to ye aapki site ke liye bahut jyada nuksaandayak ho sakte hai. Isliye apni site ke liye backlinks bante samay nimnlikhit baaton ka dhyan avshy rakhen:
- Apni site ke liye kewal quality sites se hi backlinks prapt karne ki koshish karen.
- Kabhi bhi fiverr aadi sites se paid backlinks n khariden.
- Low quality sites jaise ki porn sites ya spammy sites se backlink prapt karne ko avoid karen.
- Backlinks ki quantity se jyada quality matter karti hai.
- apne niche se alag blogs se backlinks prapt karne ko avoid karen.
- ek sath bahut saare backlinks n bnaye isse google ko shak ho sakta hai aur vo aapki site ko penalize kar sakta hai.
Conclusion:
Mere hisaab se ab aap backlinks ke baare me acchi tarah se jaan gaye honge, ki Backlink Kya hai or Kaise Backlink bante hai or kya fayde hai Backlink ke.
fir bhi agar aapka Backlinks se sambandhit koi bhi question hai to aap comment ke dwara puch sakte hai.
aisi hi aur bhi nayi posts ke updates paane ke liye hamara free email subscription len aur Facebook, Twitter, par hamen follow karen.
Post padhne ke liye aapka dhanyawad :)
Wow sir thank u so much by heart.i searched many sites but i didnt get a post like this.
This is very helpful for beginners like me.But i need some support like you guys.it would be great if i get some dofollow backlinks.
Thank u sir.
Aap uske liye Guest Post kar sakte hai HMH.pe
Rohit ji aap bahut hi achhe se aur vistaar mein batate hain. Main kafi samay se backlinks ke bare mein jankari jhuta rha tha…lekin aapki post padne ke baad ab kafi kuchh samajh mein aane laga hai….bahut bahut shukriya aapka is jaankari ko dene ke liye.
hi sir backlink aur seo ka dono sath me artical diya bahut accha tha
sir website ko web direction me add karne ke fayede batao
abhi ke time me uska jada faida nahi hai.. usse backlink milne ke sath sath traffic bhi milta tha.. par ab traffic nahi milta.. q ki sab direct hi search karte hai.
Rohit ji aap batate ho ki comment karne se back link milata hai, but comment se link remove kar dete ho. to back linkmilata kaise hai.
comment ke sath aap website ke box me jo link add karte hai wo backlink hi hoti hai brother.. comment me spamming allow nahi karta..
Rohit ji great article kafi samjh aa gya backlinking ke bare me thank you.
bahut acchi jankari rohit bahi…
rohit sir,
Bahut badhiya jankari hai backlink ke bare me. mai new blogger hu
mujhe blog ki backlink me ke bare me kuch bi idea nahi tha. magar aapka post
padhkar mujhe malum hua. isiliye aapko thanks kahna chahunga, kyoki aapke sabhi
post bahut helpful hote hai.
Awesome brother.. Ummid karta hu aage bhi aapko aesi jankari deta hu..
bahut hi bahtreen artiucle hai backlink par. naye blogger ke liye kafi helpful hai.
Mera swal aapse ye hai ki ek website se hum kitni backlink le sakte hai …..
Or sir aapne jo bola hai post me ki blog ko web directory me add kro sir mujhe eske bare m koi idea nhi hai ager apne koi post likha h espe to btaiye nhi to thoda eske bare m overview de do baki m kar lunga
bro ye koi limit ya koi rule nahi hai ki kitni le sakte hai.. par me aapko suggest karuga.. jitni bhi high quality backlink hogi unki value low quality se bhut jada hogi.. baki agar koi ek high quality website se aap jada backlink bana sakte hai to aap bilkul banaiye.
Thank you sir ….
nice post thanks
sir mene aapke site ke back link check kiye aapke site ke 1000 ke upar backlins he aur main bat aapne bahot jagah comment kiye. Achhikhabar.com to sir mera sawal ye he ki aapko comment ke through backlinks kaise mile.
comment me to aapne jo website ka link dala hai usse backlink mil jayegi.. or agar aapko high quality backlink chaiye to aap guest post kar sakte hai.
Rohit bhai aapne bhut hi bdhiya post likha hai aur agr mujhe koi bhi jankari ki jrurt hiti hai to mai aapka hi website sbse phle open krta hu..
Mai ek blog bnana chahta hu to mujhe koi aacha free templet ke bare me bta do..
badi blog template yaha hai
Great post and mera que hai ki Backline k liye ham 1 din me kitne blog pr comment kr sakte hai??
iski koi limit nahi hai.. par aap ek din me hi bhut sare pam comment karne se acha.. post ko read karke usse related hi comment kare.. jisse link natural lage..
hello bro main aapka reguler visetor hun but aaj comment aaj pehle baar ker raha hun men aapko aapki site se 20% jayada income kera sakta hun pls contect me 7060082675
sir mera blog hai Hindi knowladge patra.blogspot.in ek baar vissit jarur kren pls pls pls or bloging ki kami ke baare men hints den
bahut achha post me jankari diye ho sir mujhe v programexr.blogspot.com ki banani hai jo web designing or seo , blogging ki site hai
sir bataye ki mujhe backlink banane ke liye kya2 krna padega.
Good article
Hello Sir backlink created hota plz help me
Or Jo java script hota bo blog par kise add hota hai plz sir help karo
Hello Sir backlink created hota plz help me
Or Jo java script hota no blog par kise add hota hai plz sir help karo
javascript aap head tag me add kar sakte hai.. ya fir HTML Javascript widget me..
Aapki post bhut aachi h rohit bhai.. Lekin mera aapse que h ki .. Mane apni site ko bhut si web directory me submit kiya lekin uske backlinks hi nhi bane. 1 months se b upr ho chuka h… Meri site h WhatsappStatus33.Com
Aap isko check krke meri help jarur Kare. M aapki site ka regular reader hu or muze bhut pasand h aapki site ke saare article. Thanks rohit in advance
index hone me time lagta hai.. or agar jaha aapne submit ki hai unhone aapki site approve nahi ki hai to bhi nahi hogi ye bhi ek karan ho sakta hai.
ye mera blog hai www. infoinenglish .tk main HMH pr guest post krna chahta hoon.
aap muje email kare admin@rohitmewada.com
nic post
Sir hm bahut jagah comments v karte hain or URL v profile pe set karte hain but koi koi aisa jagah hota hain waha se milta hain or kahi se nahi milta h iska reason bata sakte gain?
Bhai back links banae ho toh kaise banaye
Bhai pls help me
Backlink kaise banaye
Ye meri blog hai imdishu. blogspot. in
Plz help me I’m a illiterate guys and belongs to very poor family from HP shimla , I just need a help
Sir , mera AdSense account approve nhi ho rha I’m getting tired by this plz help
mene aapka blog check kiya.. aapne usme bhut si chije add q ki hai samaj nahi aaya.. or aap[ne achi navigation ke liye minu me koi topic to add kiye hio nahi hai.. aapne sirf main page add kiye hai aap or topic bhi add kare.. desion ko thoda or user-friendly kare..
Hello sir , mujhe aapki site pe bahut help mili or thank you sir for the help or best of luck for your good work ,
rohit ji aapki jankari kaafi hlpful thhi… mujhe thodi confusion h solve kren plzz.. jese ki mene kisi site se photo li.. aur fir apne blog me apply kri.. us foto k niche Creadit – xyz de diya…
per mera question ye h ki wo website News ki h…. to me usko No follow per √ karun ya nahi karu… ??
aap dofollow link hi add kare.. q ki google ko to wese bhi pata chal hi jayega aapne image kaha se li hai.. aese me agar wo link dekhega to isse aapki site ka acha impresion padega google par.
Very Nice and helpful article
Nice article rohit sir
keep it up
nice article rohit bahi ,,, bahi ji dofollow backlink ka pta kese lgaye ki Ye dofollow hai ya no follow
Thanks for sharing this type of article. I love it …
thanks
bahut achhi jankari dear.
thanks aapne backlinks ke baare me btaya bahut achhi thi
THanks
Acchi jaankari.. Ek din me bhi ek guest post likhkar aapko mail karunga
ji bilkul :)
Sir Please Aap Meri Problem Solve Karo.
Mere Blog Par Traffic Nahi Aa Raha He
traffic kaise badaye
Thanks bro
Apki steps follow krne se meri post search engine Me Aane Lag gayi
Great ????
Bhai meri site me kya kami hai check kar me bta do plz traffic nhi arha bilkul….plz help
Jo sabse latest news hai.. Exam se related wo dalo.. Or title thoda aese dalo jese log Search karte ho..
Bhai meri site me kya kami hai check kar me bta do plz traffic nhi arha bilkul
Nice post sir g aap aise hi kiya karo
Hello Sir Muje Ek Help Chahiye Meri eK Website Hai http://www.freehindihelp.com
Us Me mujhe Adsense Account Kaise Banaye Step By Step Batao Na.Me Blog me naya hu
pls help me. Post ke liye best keywords kaise praprt kare.
kya aap latest Do-Follow Links Ki Website Update kar sakte hai
Sir Aap Ne Web Directories Ke Bare Me Vistaar Se Nahi Bataya
sir aapne kafi achhi jankari di hai.. iske liye dhanyvaad!
ek jankari or chahiye ki ek din me kitne backlinks bna skte hain!
sir
me blog ke post link kayse add karoo
sir
me blog ke post link kayse add karoo
Hello sir apne achhi jankari di bt apne kaha ki apne blog se related blog me comment kare lekin meri blog me motivational story,health,tricks and computer knowledge ye sab likhta hu to mujhe kaise blog me comment krna chahiye. Kya mujhe sare blog me comment krna chahiye. Pls help me sir
kya blog ko regular update se backlink nhi mil sakti hai kya
sir meri blog job aur education related blog hai… agar koi dusri site par job related pdf ho aur me vo pdf ki link ko apne blog me add karu to koi problem hoga ya nahi ?
backlink ke liye guest post ya commenting karna jaruri hai kya.
blog ko regular updates se kya mujhe backlink nhi mil sakti hai kya