Hum internet par hamesha in word ko padhte hai ki “blogging me kaise success ho, ek successful bloggers kaise bane etc. lekin aaj hum jisse topic par baat karenge woh isse bahut alag hai kyoki aaj hum blogging me hone wali galtiyo ke bare me padhege ki ek bloggers blogging me kyo fail hota hai aur woh kon kon si aisi galti karta hai jiske karan woh ek fail bloggers kehlata hai.
Aaj kal india me bloggers ki sankhya bahut teji se badh rahi hai aur jo bhi naye bloggers blogging start kar rahe hai unme se kuch hi success ho paa rahi hai baki sab fail ho rahe hai.
Akhir log blogging me fail kyo hote hai unhi kuch karan par hum iss article me baat karenge ki ek aa-safal bloggers hone ke kya kya karan ho sakte hai. To chalo dekhte hai ki ek aa-safal bloggers apne blogging career me kya kya galti karta hai.
Page Contents
- Blogging Me Fail (Aa-safal) hone ke 7 Galtiya
- Galti 1: Post ki Seo Friendly Heading Naa Likhna
- Galti 2: Social Media Par Jyada Time Waste Karna
- Galti 3: Article Ka Copy Pasting karna
- Galti 4: Bina Article Ko Padhe Publish Karna
- Galti 5: Comment Ka Response Achi Tarah Na Dena
- Galti 6: Hmesa Traffic Ke Bare Me Sochna
- Galti 7: Aapne article Ka Promotion na Karna
- Galti 8: Blog ko ache se Design na karna
Blogging Me Fail (Aa-safal) hone ke 7 Galtiya
Galti 1: Post ki Seo Friendly Heading Naa Likhna
Ye ek aisi galti hai jo bahut se new blogger karte hai. Maine bhi starting me ye galti ki thi ki mai bhi apne post ka heading bina kuch soche samjhe kuch bhi rakh deta tha lekin baad me mujhe iska anubhav hua ki article ka heading bhi ek bahut hi important role play karta hai.
ek accha bloggers apne blog post ki hamesha heading seo friendly rakhta hai. Isliye apne article ka heading hmesa seo friendly rakhe. Seo friendly heading rakhne ka mtlab
#Aap apne main keyword ko apne heading me use kare jaise
#Apne heading me kuch branded word ka use kare Jaise
- excellent
- crappy
- fabulase
- beginners
#Apne heading me number ka use kare jaise
- Ek badiya blog banane ke liye 10 great tips
- Online logo banane ke liye 9 best tool
- Ek Mobile me 2 whatsapp kaise use kare
SEO Friendly Title Kaise Likhe uski Detail me jankari yaha di hui hai or Blog Post Title Likhne Ke 6 Badiya Tips bhi jarur pade..
Galti 2: Social Media Par Jyada Time Waste Karna
Ye ek bahut hi common baat ho gai hai aur sabhi new bloggers ye mistake karte hai kyoki maine dekha hai ki bahut se new blogger apna bahut jyada time facebook, whatsapp par Waste kar dete hai unko lagta hai ki social media par full day active rehne unke blog ke liye fayde ke kaam hai to mai unko bata du ki agar aap apna jyada time Bina kisi fhayde ke social media par Waste kar rahe hai.
Yadi aap apna time social media par Waste karte hai to iska matlab aap apne blog ko Aage lekar jane ke liye nahi soch Rahe hai. Aapne notice kiya hai ki nahi lekin maine notice kiya hai ki sabhi top bloggers apna jyada time social media par nahi Waste karte hai balki woh apna jyada time apne kaam par lagte hai.
Mai aapse ye nahi kah raha hu ki aap social media use karna hi band kar de mai aapse ye kah raha hu ki aap social media par ek limit ke sath time spend kare. Aap jitna time social media par par Waste karte hai agar utna hi time aap apne blog par focus kare to mai yakin ke sath kah sakta hu ki aapka blog aur teji se improved hoga. Isliye social media par apna jyaad time naa Waste kare aap ek din me 1-2 hour se jyada time social media par naa spend kare.
Ye Jarur Pade:
- Kaise Facebook Ke Dwara Apne Blog ki Traffic Badaye?
- Social Follow Widget Blogger Me Kaise Add karte hai
Galti 3: Article Ka Copy Pasting karna
Jahan tak mera manana hai new bloggers ka blogging me fail hone ka sabse bada karan yahi hai ki woh bina mehnat kiye hue article ko Copy Pasting karte hai.
ek baat aap apne man me baitha le aap kabhi bhi Copy Pasting karke blogging me success nahi ho sakte. Aap kitne bhi smart tarike se Copy Pasting kare ek na ke din google aapko find kar hi lega aur jis din aapka blog ko google spam ki list me daal diya uss din se hi aapke blog ka future ka the end ho jayega.
Yadi aapko blogging me success hona hai to article ko copy pasting karna band karna padege. agar aap article ko copy past kar rahe hai to aap kewal apna time Waste kar rahe hai kyoki copy past article ka koi future nahi hota hai kyoki iss tarah ke article ko nahi google me rank milta hai aur naa hi iss tarah ke article se traffic ata hai. isliye blogging me success hone ke liye apne khud ka article likhna start karo.
Read
Galti 4: Bina Article Ko Padhe Publish Karna
Bina article ko padhe publish karna ek aur impotent issu hai. Jab hum koi article ko likh kar publish karne jate hai to hum uss time usko acchi tarah se nahi padhte hai Jis karan bahut se word me kuch naa kuch mistake rah jata hai. Ye aapke sath hi nahi mere sath bhi hota hai.
Post me kuch bhi galti hai usko sudharne ke liye Post Publish karne se pehle Proofreading karna jaruri hai.. Proofreading kya hai or kaise karte hai uski detail jankari aapko HMH par hi mil jayegi.
Agar aapke BLog me Spelling mistake hogi ya adhuri jankari hogi to user aapke blog ko pasand nahi karege, jisse aap ki jitni bhi mehnat hai wo barbad chali jayegi, kyu ki aapke blog par visitor hi nahi aayege.
Post ko likhne ke baad Publish karne se pehle kya kya check kare, aap wo bhi jarur read kare.. jisse aapki post me agar kuch bhi kami hogi to wo aap pehle hi sahi kar lege.
Article ko Likh kar turant Publish naa kare.. Pure Article ko likh kar Draft me save karde.. fir kuch time baad apba mind fresh karke fir pure article ko achi se pade.. or jitna bhi galtiya aapne ki hai unko sahi karke Article ko Publish karde..
Also Read:
Galti 5: Comment Ka Response Achi Tarah Na Dena
kisi bhi comment ka response dena Ya naa dena ek bahut hi important part hota hai blogging me. Ek bloggers ke taur par aapko har ke comment ka achi tarah se answer dena chahiye kyunki aap ek blogger hai.
Kuch logo ko dekha jata hai ki woh apne comment ka lazy response dete hai. Response commenting ke aisi value hai jo aapka trust aapke reader ke upar badhti hai. Agar aap apne har ek reader ke comment ka Answer dete hai to uss reader ka aapke upar trust badh jata hai Aur woh reader bhi aapse khus hota hai ki mere comment ka value blog founder smjh raha hai.
Commenting Response ek tarah ka mind game hai jisko hum apne raeder ke upar kehlata hai. Isliye har ek comment ka answer bahut hi smart tarike se de.
Must Read: Badiya Comment karte Samay Rakhe in Baat ka Dhyan [Comment Tips]
Galti 6: Hmesa Traffic Ke Bare Me Sochna
jab ek naya bloggers apne blogging Journey ko start karta hai to woh apne traffic status ko kam se kam daily 50 se bhi jyada baar dekhta hai.
Agar aap bhi aisa kar rahe hai to aap ek bahut badi mistake kar rahe hai, kyoki agar aap apne traffic ko baar baar dekhte hai to iska sidha Asar aapke dimag par jata hai agar aapka traffic thik ata hai tab to aap ka dimag normal rahega lekin agar aapka traffic kam ata hai tab aapko tension hoga aur aapke dimag me bhi pata nahi kis kis type ke khayal ayege aur Aisi condition me aap apne blogging work ko bhi acchi tarah se nahi kar payenge. kyoki aapke dimak me hmesa kam traffic hone ka tension chalega.
Isliye kabhi bhi traffic ke bare me jyada na soche balki apne kaam ke bare me soche agar aapka kaam badiya hoga to traffic yakinna ayegi. daily baar baar traffic status ko dekhna band kare aur unique aur fresh content likhne ke bare me soche. Yadi aap unique aur fresh content likhte hai to aapke article ko aapke visitor bahut pasand karenge aur agar aapke article ko log pasand kare to woh visitor aapke blog par dubara jarur aayenge.
Traffic ke ware me sochne se kuch nahi hota hai, traffic lane ke liye bhi kaam karna padta hai.. aap yaha read kare mene 50 tarike Blog par Traffic lane ke bataye hai, aap inka use karke apne BLog par Traffic la sakte hai.
Also Read: Apne Naye Blog me Traffic Kaise Badhaye
Galti 7: Aapne article Ka Promotion na Karna
Maine bahut se bloggers ko dekha hai ki woh daily article ko publish karte phir bhi unke blog par traffic nahi aata hai. mere pass kuch mail bhi aaya tha ki dear sir hum regulary apne blog ko update karte hai phir bhi mere blog ka traffic kam hai. in sabka main karan hai promoting kewal article ko publish kar dene se sab kuch nahi hota hai usko badiya tarike se promote bhi karna hota hai.
Pade: Post ko Publish karne ke baad kaha kaha Promote kare Achi Traffic ke liye.
India me jitna time hum article ko likhne me lagate hai usse 2guna time humko usko promote karne me lagna chahiye.
Iska mtlb jab aap naya article ko publish kare phir uske baad uski jamkar promotion kare. Aur apne article ko internet ke har ke jagah par promote kare jaise ki apne article ko facebook page, facebook group, twitter etc jagah par promote kare, Ek naya blog post publish karne ke baad uska kaha kaha promote kare uske bare me maine pahle hi article publish kiya hai unko follow kare.
Galti 8: Blog ko ache se Design na karna
Bahut log Blog bana to lete hai par usko achi se disign nahi karte usse hota ye hai ki visitor usko achi se chala nahi pate or ye bhi ek bada karan hai ki fir us blog par visitor nahi aate..
Badiya design ke liye blog me acha template use kare jo Mobile Friendly bhi ho taki mobile me bhi achi se khule.
Website Design Mistake jo kisi ko nahi karni chahiye..
Upar bataye gaye sabhi reason ek fail bloggers hone ki Nishani deta hai!
Ab aapko Decide karna hai ki aapko ek successful bloggers banana hai ya phir fail bloggers. Agar hum in sab cheezo ko dhyan me rakh kar blogging kare to sayad hum ek acche bloggers ban sakte hai . Ek fail bloggers hi Aage chal kar ek supper successful bloggers banata hai.
Aapko mere ye article kaisa laga apne view comment box me jaura de aur iss post ko share kare taki dusare bloggers ko bhi isse help mil sake. AGar aapko inke alawa koi Karan Pata hai jo Un Successful blogger karte hai to wo bhi comment karke jarur bataye.
Ye Bhi Pade:
rohit ji bataiye ki mere site me kya problems hai maine ads placement to right lagaye hai kyuki mere blog ki cpc bahut kam hai so plaese ekbaar meer site ko dekhkar bataiye ki kya karu mai jisse blogging me succsess ban saku suvas75.com or mere site me error bhi show ho raha hai your site temprory unavailable aisa kyu ho raha hai please bataiye
aapki site me bhut si problems hai/… aap computer me open karege to aap dikh jayegi.. widget bhi sahi se nahi lage hai..or naa aapme menu add ki hai..
Nice post and mujhe kafi kuch sikhne ko mila and me social media me aapki post share karunga.
Rohit sir mujai adsean n disprove kr diya h kya m dubara koshish kr skta hu
Sir, Ek blogger ke liye uska visitors ka bahot mahotwa hota hai. Aapke hmh par ek mahine me kitne visitors aate hai ya per month adsense se kitne revenue aate hai?
Mai ek bookmarking site par account banaya hai in pe hume kaya karna hai or kaya fayda hota hai
hello rohit ji
mere 2-3 problem he
1—– mene 24-5-2016 ko sam ke 4 bje godaddy se domain kharida he aur apke btaye huye tips ko mene folow krke apne blogspot pe domain name bhi ad krdiya he . lekin me bowser me http://www.arbodar.in search krtahu to nhi khul rha.
2—- jab mene blog bnaya aur 1month ke bad adsense me “bodararajun@gmail.com” se sing in kiya aur wepsit me mene “bodararajun.blogspot.com” dala tha
aur adsense ne muje 2 id di (1 khata id )(2 klaint id)
ab me dasbord me ja kr erning me click krta hu to
2 trike ki id dikhay deti he (1 khata id )(2 klaint id)
ab me adsense me dusri bar apply krne jata hu to
wepsite me “bodararajun.blogspot.com” likh kr aa jata he nice continue likha hota he
to muje “bodararajun.blogspot.com” ki jagah pr apna domain http://www.arbodar.in dalnahe pr usme me apna domain nhi dal pa rha hu .
aur mere blog me aap visit krke dekyega ki me aedsense ke layak hu ya nhi
plzzzzz help me
bahut achha sir ji ,,,,,,, mere ko education niche par Adsense se achha rpm nhi mil pa rha h kya karu ,,, please guide me
पिछले 2 साल से भारत में ब्लॉग्गिंग काफी बढ़ चूका हैं और आज कल बहुत लोग ब्लॉग बना रहे है और इसे एक कैरियर के रूप में ले रहे है ब्लॉग्गिंग में सफल होने के लिए हमें कड़ी मेहनत के साथ साथ ईमानदारी और स्मार्ट वर्क के साथ भी काम करना पड़ेगा !
ब्लॉग्गिंग में सफल होने के लिए हमें सबसे ज़रूरी 2 चीज़े है :- Content और दूसरा SEO !
Content मार्केटिंग और SEO सही से करे तोह ब्लॉग्गिंग में successful होने का percentage काफी बढ़ जाता है लेंकिन और भी कुछ ज़रूरी चीज़ों पे ध्यान देना चाहिए जैसे की :- Relationship Blogging, Niche, Branding etc.
आपका ये पोस्ट Newbies Bloggers के लिए बहुत मददगार होगा लेंकिन आपके स्पेलिंग्स कुछ गलत है जैसे की :- *Commnet =Comment, *Pubish = Publish, *West =Waste, *Keword=keyword etc. (आपके मैं errors इस लिए बता रहा हूँ की आप और अच्छा content लिखो और आपका ब्लॉग और तरक्की करे, आप बुरा मत मानना)
Regards
KaiseKamayeTips.com
Aapka Dil se Dhanyabaad jo aapne post me ki gai galti ke ware me bataya.. ye ek Paid Post thi jisko mene sahi se read nahi kiya or ye galtiya hui..
Rohit sir Maine ek blog banaya hai uneefree.blogspot.in k nam se to usme search console verification failed bata raha hai. To ab mai kya karu tell me sir
Comment: sir maine 1 month phle apna blogger bnaya tha or ab 7 din phle maine apna .com domain godaddy se buy kiya . or usko blogger se jod diya . but sir jab mai adsense account create krta hu to 1st step ko google se sign in kr dene ke bad or 2nd step me website or language dalne ke bad jab continue par click krta hu to next page nhi aata . continue ke bad kuch bhi show nhi hota. yhi problem youtube ko adsense se jodte vakt bhi aati hai. sir koi solutiondo . jume deen ne bhi koi solution nhi diya . aap hi sir help kar skte ho
sir maine 1 month phle apna blogger bnaya tha or ab 7 din phle maine apna .com domain godaddy se buy kiya . or usko blogger se jod diya . but sir jab mai adsense account create krta hu to 1st step ko google se sign in kr dene ke bad or 2nd step me website or language dalne ke bad jab continue par click krta hu to next page nhi aata . continue ke bad kuch bhi show nhi hota. yhi problem youtube ko adsense se jodte vakt bhi aati hai. sir koi solutiondo . jume deen ne bhi koi solution nhi diya . aap hi sir help kar skte ho
rohit sir maine godaddy se .com domain buy kiya tha .or jab mai usko open krta hu to uske aage www aata hai or last me m=1 aata hai esko kaise remove kre my website is onlinenetsupport.com
mobile template ko off kardo to m=1 hai wo hat jayega.. or www aane se koi probelm nahi hai.. baki agar hatana chate ho to jaha domain add kiya hai blogger me bha uske niche aata hai uska option.
Bahut hii badiya jankari hai new blogger ke liye ..
Ek bar mera blog visit karke jarur bataye ki kaisa hai..
Maine kal hi domain kiya hai
rohit bhai Maine aapki site se Sikh kar hi blog banaya hai.. mera blog new hai but usko 20day se jysda hogsye hai…. Maine blog ko Google me bi submit kiye hai. but visitors ek bhi nahi aaraha hai…
aap badiya post kare or usko social network siotes par bhi share kare.. visitor aayege par uske liye hame mhanat to karni padegi.
Bro ap Ek bar meri site pe jake bataiye ab meri site me kya kami reh gai jisko improve kar saku
Rrohit pleasetell me affiliate marketing company which is useful for small publisher.
affiliate marketing bilkul useful hai..
kyaa free wale blogspot ko adsense approve nahi karta hai? kyaa Hindi Poems ke blog ko adsense ad nahi deta hai? कृपया बताने का कष्ट करें | आपका HMH बहुत अच्छा है| धन्यवाद .
free blogspot me adsesenapprove ho jata hai.. par agar domain ho to jada aasani se approve ho jata hai ye mera exprience hai..
Agar aap poen ka blog banayege to jada tar to aap kahi se copy karege jo adsense ki policy ke khilaf hai to adsense approve hone me bhut dikkat aa sakti hai.
hello rohit ji my name vijay i asking with you i making new website and blog start and earn money us so
any idea can you explain step by step please send email. thanks
sir me apne blog ke tamplate ko mobile ke liye responsive kaise bnau abhi me mobile ke liye me default use kar rha hu
Sir Hostagator Par Ek Offer He 20% Off (SUNSHINE) ka kya wo first month ke liye hi he or ek or offer bhi he 30% off ( ONLINE30 ) Kya ye dono sirf first month ke liye hi he .
lekin 20% off wale me kuch bhi nahi bata raha he or 30% off wale me likha aa raha he applicable for first moth .
Apne apni post me bhut hi achhe tarike se btaya ki ek blogger aam tor par kya galtiya karta hai or kafi samay tak aaisa chale ke karne bha niras ho jata hai us time bha apni kismat khrab manta hai. Hame apni kismat ko kosne ki bjaye apne kam par focas krna chahiye dekhna chahiye ki kha par kya problem aa rhi hai or usse ham kaise solve kr skte hai. Blogging me Ek or sabse badi bat vo hai Dhariye rakhna.
Aap hazaro logo ke parenna satrot hai ase hi achhi jankari dete rhiye.
Dhanywad
Bahut hi shandar tarike se aapne bariki ko pkda hai. अदभुत है आप रोहित जी,,, एक सफल ब्लॉगर का पहचान ,,,!!??
Thanks Satish ji ek bar fir se :)
Bro meri website nayi hain 8 din ho gye hain lekin meri nayi post ko google search console mein Submit toh gya hain lekin abhi tak index nahi hua hain, Indexing mein kitna waqt lagta hain, Agar index hi nahi hoga toh Search engine mein show hi nahi hogi meri nayi post. Sitemap mein 14 post submit likh raha hain aur indexing abhi tak nahi huyi hain. Nayi website ko kitna waqt lagta hain index hone mein , Please reply… Rohit Bro. Thanks.
kitna time lagta hai wo to fix nahi bata sakte par agar aapko apni post jaldi index karni hai to uska bhi tarika hai
Rohit Bro again beautiful article. Aap Kay post pad kar many apnay blog ko improve keya h. Mari alexa rank bhi improve ho rahi h . Please blog visit kar batay or kya improve karu abhi. Thanks for such a great post.
aapke blog me site me muje jo widget ki jagha hai wo khali khali lagi.. aap bha kaam ke widget add kare..
Very good rohit,, Aapne ek bhut impressive list banayi hai, me ye points dhyan rkuunga
ji bilkul aapko inka jarur faida milega apne blogging me :)
Bhai mere blog ka adsense ad nhi show ho rha hai maine ad 2 mahine pahle lgaya tha please help me…………!
aap adsense account me login karke dekhe koi message to nahi aaya ya fir email aaya ho.. aapne jo ads ke code lagaye hai wo site e upri hisse me lagaye..
Jaise aap bina padhe post ko publish kar dete hai ye galat hai aur aap dushro ki help krna nhi chahte bas paise kmana chahte ho bahut hi galat baat hai ys post ko ab publish bhi nhi kroge
ye agar aap mere bare me kha rahe hai to lagta hai aapne meri one year success story nahi padi.. or rahi baat aapki help ki to me jitna mujse ho skta hai me logo ki bilkul help karta hu.. par ek insan ek din me 5000 logo ke reply kar sake ye mumkin nahi hai..
बहुत ही बढ़िया जानकारी है रोहित भाई।
Thanks
Bhai meri website ki alexa rank sirf global ki show hoti hai..india ki kaise show hogi.?
aapki site new hogi.. to itni rank nahi hogi abhi aapki ki show ho..
Hello rohit recently maine ek blog start kiya hai jisme mein latest govt jobs ki jaankari logo tak pahuchata hu . Mein apne blog ka traffic kaise increase karun .
Aap regula update kare or social networks par usko share kare.. ek dam se traffic nahi aageya. par agar aap regula update karte rahe to jarur visitor bhi badege..
रोहित जी ,आपकी इस पोस्ट से काफी हिंदी bloggers को फायदा मिलेगा | मैंने भी अपने ब्लॉग्गिंग करियर में इन सभी गलतियों से बहुत कुछ सीखा है बस वो ट्रैफिक वाली गलती से बाज नही आ पाता हु | हालंकि मुझे पता है कि ब्लॉग्गिंग में सफल होने के लिए समय देना आवश्यक है इसलिए मै अपनी गलती न. 6 को सुधारने की कोशिश करूंगा | इनके अलावा भी मैंने भी अपने ब्लॉग्गिंग करियर की गलतियों पर एक आर्टिकल लिखा है जो शायद हिंदी ब्लॉगर के काम आ सकता है |
http://gajabkhabar.com/5-blogging-mistakes-which-takes-you-to-failure/
Rajkumar ji ab aap jaan chuke hai to aapko ab wo galti nahi karni chaiye.. or aapne bhi achi jankari shar ki hai apne blog par.. :)
Superb
Nice
Is article se new bloggers ko kaafi seekhne ko milega
ROHIT SIR
Aapne bahut hi kaam ki post likhi hai
Thank yoy so much
Thanks Prince :)
Thanks
Thanx rohit bhai…but maine bahut mhnt ki h is blog me… Maine bahut se lyrics blog dekhe h jha adsne ads lge h… Mere blog k liye v koi solution btao bhai bina ads k kya fyda blog bnane ka meri mhnt bekar ho jyegi…
aap lyrics ke sath sath kuch or bhi post me likhe.. kese songs la lyrics likha fir uske baad uski kuch or jankari.. jisse hoga ye ki jo text ki sankya hai wo bad jayegi.. fir ho sakta hai adsense approve ho jaye.. par iski koi aesi trick nahi hai ki kisi galat chij par bhi ham adsense approve karle.. to usme me hi kuch nahi kar sakta .. agar adsense se karna hai to unki term condition ko maanna hi padega..
bahut hi badhiya bhai
Thanks
Muje post ke bich me ads lagane he Blogger me rohit bro help plz
hello rohit ji mera blog wordpress par hai kya aap dekhkar bata sakte ho ki mere blog me kya kami hai please
aap apne blog me menu add kare
yakin nahi ho rahi hai, yar aap itne exprienc puri confidence ke sath , New blogger ke mind ki bato ko samjh gaye, wakai aisa mere sath pahele hota tha, avi vi kuchh % ye aadat but tauba ye aadat se
To ab aap aan chuke hai to ab nahi karna hai ye galtiya.. :)
Bahot hi bdia article rohit ji,, me ummed karta hu k inme se koi galti mujhse naa ho….
Ji Bilkul Aman ji… ham bhi ye hi ummid karte hai :)
Vaah Rohit bhai aapne har ek baat sahi kahi hai.
Thanks
pos heading kaise seo friendly banaye
uske aicle mene dale huee hai.. aap site par searh karke unko bhi pade..aapko badiya idea jarur mil jayega ki title kesa hona chaiye
Sir www. HindiHelpPoint .in Ye Mera Blog He Please Aap Is Par Ja Kar Ek Baar Dekhiye Or Mujhe Bataiye Ki Isme Or Kya Karu Koi Problem To Nahi He Na
sabse pheli baat aap comment policy pade hamari.. please.. aap apne blog ki link comment boc me naa dale.. sirf website ka jo box hai usme dale..
Aapki website me koi gadbad to nahi par jo aapka logo hai mere hisab se uski ho hight hai wo thodi jada hai.. 90px honi chaiye to jada acha lagta hai..
hii plz help me
Blogger me kuxh problm aarhi h
mai thik se degine nii krr pa rha hu
plz thik se design krna sikha do
sms jarur kre
whtsapp 8738949730
email. altaf.raja227@gmail.com
aapko kya problem aa rah hai aap yaha ya fir fb group me bataye HMH ke
Sir mai new bloggar hu Maine blog banaya hai par uski suruvat kaise karu plz tell
aapne jis topic par blog banaya hai uski basic post dale..
बहुत बढ़िया information hai……..
Maira ak saabal hai….ki. ……
Mai badhiya article likhu tb ager kishi nai copy kiya example kai liyae jaisai maira artical 400 word ka hai aur kishi nai ussi artical ko 700 word mai post kr diya toh aur Google kise right maniaga……
Aur mai chahta hu ki koi bhi visitors maira artical ko copy kr skai pr khud kai blog mai ager post kr dai toh mai action lu…Aur kaise chake kru ki maira post kisi dusare websites pr toh nhi hai….
Maira abhi koi bhi website ya blog nhi Hai……
jo hamara contant hai wo or kisi blog par hai ki nahi usko pata karne ke bhut tarike hai… or agar koi ek peragarph bhi copy karta hai to ham uspar action le sakte hai..
Hello Rohit ji.. Mera ek Sawal hai. MAI. Ek Ladke se Adsense Account Kharid Raha hn. Jise kharidna Sahi hoga kya? aur koi problem to Nhi Aayegi na…
Ek Sawal hai.. Main Ek Domain kharida hun jise Abhi tak Blog main Add nhi kya…aur Domain ko 2 Mahine hogye…. Muje Janna hai ke Kya main WordPress par Direct Blog Bana Sakta hun.
aap adsense account kharid rahe hai.. par mera sujab hai ki aap khud phele aply kare.. q ki agar aapke blog me koi kami hogi to jo aap account kharidege wo bhii block ho sakta hai..
Domain aap kabhi bhi add kar sakte hai usme koi problem nahi hai.. or aap direct wordpress par bhi bana sakte hai. par agarr aapko blogging ka jada jankari nahi hai to me aapko suggest karuga ki aap phele bloggeer par hi banaye.. baad me usko uspar sift kar sakte hai aasani se..
Sir
Google Keyword Planner AdWord ko use kaise kare please iske bare me jaankari bataye
ham usme kisi bhi keyword ka pata kar sakte hai ki usko kitna search kiya jata hai.. me uski post bhi jarur share karuga.. :)
hello sir meri site par backlink nahin hai aapki site ka plz kaise add karun
Aap koi badiya Guest post send kare hame. :)
Rohit bhai maine apke blog se bahut kch sikha uske phle thanku sooo mchh… Bhai mera song lyrics ka blog hai…frst questions. Ye ki lyrics to sab same hi hote h to ye copyright. To ni honge na???
Nd 2nd quest ye ki aaine adsense k liye apply ki tha disproved ho gya … Bcs text kam ham…m kya kru plzz. Btao bcs lyrics me to limited hi text hote h.. I hope aap iska solution. V btaynge …thnku
jo lyrics hai wo coopywrited hote hai.. to usme adsense apprve hone me dikkat aayegi.. apprve hoga ki nahi uska me pakka nahi bata sakta ..
blogger ke post ke bech me jaga kaise chore aesse
Aj aap ke liye bohut use full trick laya hun
Aj apke liye bohut usefull trick laya hun
Aese hi jese mene upar bech me jaga chora hai aese bech me jaga kaise chorte hain ais ki code hoti hai to btaye
aare ye ksa sabal hai aap enter dabayege to automatic dusri line me type hone lagega.. isse aap aasani se kar sakte hai
Bhai aapke har point 100% sach hai yeh mistake mere se bhi hui hai sabse bada mistake maine wo kiya hai jo aapne “6 galti” mein bataya hai. Thnx a lot bri maine pehli baar kisi article ko pure dhayan se padha hai, keep it up
Thanks Ankit, or muje ummid hai ab aapko pata chal chuka hai ki kya galtiya hoti hai to ab aap nahi karege.. :)
Rohit ji aapka yai post pura ka pura mairai gmail me diakhata hai…Muajhe lagta hai iss karan visitors uss post ko whi padh laitai hai jo traffic kai liyae to right nhi hai….
Aur yai post WordPress kai duwara aata hai…..
Bhai aap bhut acchi jankari daitai hai…… aapko daikh kr mujhe. Bhi lagnai lga hai ki blogging karna chahiye….?
muje pata hai pura post jada hai. par mere lye visitor se jada logo tak apni jankari phuchaa hai.. or agar unko meri janari pasand aayegi to wo comment karne ke liye to site par aayege hi.. jese aap aage.. Thanks
Nice reply , Even maine bhi email m puri post dalata hu kyoki mere liye visitors se jyada jaroori hai unko achhi jankari dena.