Dr. APJ Abdul Kalam ki 10 Kahaniya

Dr. A.P.J. Abdul Kalam, ek aese vyaktitb the jinke jesa naa koi hai or naa koi unki trha ban sakta hai.

Dr. Kalam jinko Missile Men ke naam se bhi jana jata hai or jinko People’s President bhi kaha jata hai.. To chaliye jante hai, Akhir aesa kya hai jo sabhi Log Dr. Abdul Kalam ko itna pasand karte hai.

Advertisements

Must Read: Dr. APJ Abdul Kalam Biography in Hindi

Dr. APJ Abdul Kalam 10 Real Story’s

Story 1: Ek war Dr. kalam ne Boundary ki diwal par kach (glass) lagane ke liye mana kar diya jo isliye lagaye ja rahe the ki koi usko cross naa kar paye, Inko naa lagane ka jab karan pucha gaya to unhone kaha isse birds (pakshio) ko nuksan hoga.

Dr. APJ Abdul Kalam Story in Hindi

Ye Baat hai jab Dr. Kalam Defense Research and Development Organisation (DRDO) me the, waha ek new building ban rahi thi, jismme security ke liye diwar ke upar khach laga rahe the.. par Dr. Kalam ne kaha Agar ye Kach lagaye gaye to Pakchi (Birds) bhi diwar par nahi beth payege, or agar bethne ki kosis karege to unko chot lagegi.

Story 2: Jab Young log or Bache President Kalam se milne ki request karte the, to naa sirf Dr. Kalam unse milte the balki uske sath time spend karte or Unki bato ko, ideas ko bhi bhut dhiyan se sunte.

ek President hone ke baad bhi itna Down to Earth hona, ye bhut badi baat hai.. Jab Bacho ne milne ki request ki to Dr. Kalam unse Rashtrapati Bhavan ke chamber me mile, sabki bate suni Ideas ko suna or sabko feedback diya.

Itne bade Padh par hone ke baad bhi wo logo se itne connect the, issi liye usko Peoples President bhi kaha jata hai.

President kalam with childrens in rastryapati bhawan

Story 3: Dr. Kalan ki jab agle President banne ki ghosna hogai thi, uske baad hi wo ek School me Speech ke liye gaye the.. waha naa to unki uss hisab se itni security thi naa aesa koi tam jham..

Jab wo Speech de rahe the uss school ke 400 bacho ko, ussi bich light chali jane ke baad bhi unko jo karna tha wo karte rahe.. Mic band ho gaya to wo bacho ke bich me tej aabaj me bol kar unn bacho ko inspire kiya or apni baat un bacho tak phuchai..

Agar unki jagha koi or hota, to bina Fan ke aesa kar pata ye ho hi nahi sakta tha.. par aesa hua or unhone apna pura bhasan diya.

Story 4: President Kalam ne unki Life ki jitni bhi Savings thi wo daan kardi President banne ke baad PURA (Providing Urban Amenities to Rural Areas) ko.

Dr. Kalam ko jese hi pata chala ki President banne ke baad or Ex President sabki jimmedari Bharat sarkar uthati hai.. to aese me unko laga ab jo paise unke pass hai unki jarurat ab unhe nahi garib bacho ko hai.

Jab unse pucha gaya ki aapne aesa q kiya to unhone bataya ki “ab jab mere jibit rhene tak ka kharcha muje uthana hi nahi hai to ab me paiso ka kya karu.”

Dr Kalam salary to PURA

Story 5: President Kalam ne khud ki handwriting me Thank you card send kiya jab ek Quora user  Naman Narain ne Sketch Drawing bana kar Dr. Kalam ko sent ki.

Kitne Soft Heart Person the unka andaja aap iss baat se laga sakte hai, ki unhone Thank you khene ke liye Naman Narain ki detail niklai or unke address par thank you card send kiya.

Dr. APJ Abdul Kalam Singnature autograph message

Story 6: Ek war wo ek Event me Chef Guest ki jagha hi bulaye gaye the, uss Time wo President to nahi the par DRDO me badi pad par the.. par unhone socha ki itna bada event hone wala hai to chal kar dekha jaye kaam kesa chal raha hai.. or isliye wo bina kisi security ke raat ko hi waha aa gaye.. Jab unse puccha gaya aesa aapne q kiya, to unhone hara me real Hard working People se milna chata tha.

Story 7: Dr Kalam kitne humble Insan the is baat ka andaza is incident Se Laga sakte hain ki ek baar woh IIM Ahmedabad mein chief guest ke roop Mein gaye aur Wahan ke baccho ke sath unhone Apne lunch kiya.

Khana khatam hone ke baad Sabhi baccho ne photo khichwane ke liye Jeed ki to Wahan pe jo organizer the unn baccho ko hatane ki koshish ki to Dr. Kalam ne kaha bhale thoda late ho Jaye lekin jab tak jo bhi Bache Photo kichwana chate hai, wo khichne ke baad hi event ke liye jayege.

Dr Kalam woth with childrens

is incident se aap is baat ka andaza Laga sakte hain ki hum unko baccho se kitna lagab tha, aur kyu bacche unko itna pasand karte the.

Story 8: Ek baar event Mein Dr. Kalam Ne chair par bethne se mana kar diya Jahan Woh as a chief guest gaye the, Mana karne ka Karan tha ki jo unke liye chair thi or baki chairs se badi thi, Unhone Kaha Pehle is Chair ko bhi badlo uske baad mein bataunga.

Story 9: Ek war ki baat hai, DRDO me Dr. Kalam ke under kaam karne wale ek Engg. ko unki family ko kahi ghumane lejana tha.. par wo kaam me itne busy ho gaye ki unko dhiyan nahi raha.. Par unhone ye baat Dr. Kalam ko phele hi bata di thi ki Sir Bacho ko aaj ghumane lejana hai..

To Dr. Kalam ne khud se unke ghar Driver bhej kar kaha bache ghumna chate hai waha ghumane ke lao.. Iss baat se pata chalta hai wo Family ko bhi kitna mante the.

Story 10: Rashtrapati banne ke baad, jab sabse pheli war wo kerela gaye the.. to aapko jaan kar herani hogi unhone mochi or ek chai wale ko Guest ki trha rastya bhawan bulaya.. q ki jab Dr. Kalam kerela rhete the to unke close the..

Iss indecent se pata chalta hai ki wo kitne down to earth Insan the.. ki itni upar jane ke baad bhi apne se jude logo ko nahi bhule.

Must Watch Dr. APJ Abdul Kalam Story in Hindi

https://www.youtube.com/watch?v=A8bReiQhcRg&list=PLay0I3rydx0o-xpZBFjlypsOXNOP8Z05e

At Last:

To ab aap samaj gaye hoge ki Dr. Kalam sir kaise the.. q sabhi log unko itna pasand karte hai..

Me unka sabse bade fans me se ek hu, jiska andaja aap iss baat se laga sakte hai ki mene unke upar hi ek website banai hai www.OfficialKalam.com

Aapko kya lagta hai Dr. Kalam kese Sasiyat the comment me jarur share kare..

Share on:

Hello Friends, I'am Rohit Mewada .. HMH ka Admin. Muje Logo ki Help Karna Acha Lagta hai or Is website Par Me Logo ki Hindi Me Help karta hu :)  Read More...


Leave a Comment

Please Read HMH Comment Policy before Comment.

34 thoughts on “Dr. APJ Abdul Kalam ki 10 Kahaniya”

  1. Rohit bhai, meri website Offers Deals pe based hai. Mai daily post dalta hu pahle post dalne pe woh post google me turant aa jati thi. Par piche kuch mahine se 7-8 hour lag jata hai.

    Mai backlink k liye apki post parhi, to abhi backlink k liye kiya kiya karna sahi hoge.

    Aur last question, keyword kaise choose kre.

    Reply
  2. Sir…main Accounting articles post likhta hu and usi se related post likhta hu kyuki maine dakha hai ki aaj kal har ek banda tech blog hi likhta hai..and kuch alag karna ke liye kuch alag topics par blogging karni padti hai jaha tak maine research hai..am i right..
    By the way mera sawal ye hai ki mujhe keyword milte nahi hai account se realated just because hinglish me likhta hu to keyword kaise use karu jo bhi keyword milte hai wo English me milte hai to kya mai un English keyword ko use karu or nahi??
    Mai hinglish me as a visitor point of view think karta hu ki visitor kis tarah se search karte hai un keyword ko use karta hu and post likhta hu aur post rank bhi karti hai..kya mujhe aisa karna chahiye ya nahi..
    Suppose mjhe post likhni hai ki tally me stock items kaise banaye but mujhe jo keyword milte hai ki how to create stock items in tally..to keyword kis tarah use karu.
    Visitor hamesa hinglish r hindi content hi khojata hai becz aaj bhi logo ko English me utna perfectly tarah samjh nahi pate hai so help me ki keyword ka sahi use kaise karu..
    Share of your experience please

    Reply
  3. thank you Rohit Mewada sir for giving this precious information about Hounrable ex-President Dr. A.P.J Abdul Kalam. He was really very Great Personality

    Reply
  4. बहुत ही बेहतरीन लेख आपने प्रस्तुत किये हैं आपने ‘अब्दुल कलाम’ जैसे महान इंसान के 10 बेहतरीन story को बताया । जिसको जानकर बहुत ही खुशी महसूस हो रही है। सचमुच में अब्दुल कलाम के जैसा कोई इंसान नही है और न ही कोई उनके जैसा हो सकता है। so, great post thanks@!👍

    Reply
  5. Bhai itni inspirational post dalne ke liye bahut bahut dhanyavad.

    Hame bahut garb hota hai ye Bayne me ki ham APJ Abdul Kalam ke Saher se hi.

    Reply