Google ‘Helpful Content Update’ in Hindi [2022 Update]

Google Search Engine din pratidin kitna Improve hote ja raha hai ye aapko samajh aata hi hoga, jab bhi aap kuch Google me search karte hai, to pehle se behtar search result dikhai dete hai.

Google me aaye din kuch na kuch update aate rehte hai, jisme kisi bhi update ka main maksad hota hai google user ko fayda ho..

Advertisements

Google har saal hajaro update lata hai, par sabhi update ke ware me wo Officially nahi batate hai.. par jo Bade Update hote hai uske baare me wo batate hai, taki jinki website hai wo uske according apni website ko sahi kar sake.

Google ke 7 bade Altrothium Update pehle jo aaye hai unke ware me mene detail me bataya tha, agar aapka Blog hai to aap unke ware me jarur read kare.

Abhi ka jo bada Update Search Engine me aane wala hai, wo specially iss baat ko target karke kiya gaya hai ki jo user ko chahiye wahi usko mile.. kyu ki jada tar content log Search Engine Optimize (SEO) karke likh dete hai, jisse wo search me to aa jata hai par jo user ko chahiye hota hai wo usko usme nahi milta.

Abhi jo New Update aane wala hai uska naam hai Google Helpful Content Update, chaliye detail me jante hai, akhir iss update me kya hai or isse konse website affected hoge or kis trha ye Google update kaam karega.

Google 'Helpful Content Update' in Hindi [2022 Update] - SEO

Page Contents

Google Helpful Content Update kya hai

Google ne apne research or feedback se ye pata kiya hai, ki jo bhi user Google me search karte hai, unke samne jo result show hote hai.. usme jada tar aese website bhi aa jate hai jiska content user ke liye hota hi nahi hai or jo user ko chahiye hota hai wo usme nahi rehta. wass wo content ko SEO Optimize karke Search me le aate hai.. isse user ko paresani hoti hai or jo usko chahiye hota hai wo usko nahi milta.

Jo user ko cahiye wahi usko mile, iss baat ko dhyan me rakh kar iss update ko kiya ja raha hai, jisme jo content hai wo aisa hona chahiye jisse user ki help ho or jo usko chahiye wo usko mile.

Google Helpful Content Update me Kya hoga

Iss Update me jitne bhi aese website hai jiska content user ke hisab se helpful nahi hai unki rank down ho jayegi.

Abhi jada tar log kya karte hai, kisi dusre website se content ko copy karke usko thoda spin karke apni website me daal dete hai.. jisse wo content to alag ho jata hai par jab koi user usko read karta hai to usko samjha hi nahi aata ki ye likha kya hai.

To ab se jitne bhi content hai jo kisi software ki madad se likhe hoge spin karke unki rank down ho jayegi.

Agar kisi website me aesa content paya gaya jo kisi person ke through nahi likha gaya ho to uss website par action hoga or uss website ki rank down ho jayegi.

Google ka Iss Update me kehna hai User ko focus karke Content Publish kare, Search Engine ko target karke nahi.

Mene apni ek post me bataya tha kaise User or Google ko target karke post likhe.. ab uss post ko sahi tarah se follow karne ka time aa gaya hai.

Google’s Helpful Content Update me Kis baat ka dhyan rakhe?

Agar aapko apne blog ko Helpful Content update se penelize hone se bachana hai to aapko sirf inn 2 bato ka dhyan rakhna hai.

  1. Focus on people-first content
  2. Avoid creating content for search engines first

Chaliye thoda detail me samajh lete hai, aap kaise pata kar sakte hai aapki website ka jo content hai us paar iss update ka kya asar padne wala hai. iske liye aapko apne aap se kuch Question karne hai or unka jabab apne aap ko dena hai.. jisse aapko samaj aa jayega aapki website par iss update ka kya aasar padne wala hai.

Focus on people-first content

Sabse pehle baat karne hai konse content ki rank Improve hogi, to uska simple sa answer hai jis content se user ko kuch help mile, kuch jankari mile ya jo usko chahiye tha wo usko article me mil jata hai to aese me uss article ki rank improve hogi.

Aapka Content user ke hisab se hai ya nahi, uska pata karne ke liye aapke iss sabhi question ke answer yes hona chahiye:

  • Aapki jo website or Blog hai, kya uska content user ko pasand aata hai ki wo direct bhi aapki website open karte hai?
  • Kya aapka content fresh or naya hota hai, jisse user ko kuch knowledge milta ho. (example: jese kisi product ke bare me aap share karte hai to kya aap usko khud use karke likhte hai ya wass kahi se dekh kar apni language me likh dete hai.)?
  • Kya aapki website ka koi focus hai hai ya aap kuch bhi dalte rehte hai?
  • Aapki website ka content ko read karne ke baad user ko kya aesa feel hota hai ki unko kuch naya sikhne ko mila ya jo unko chahiye tha wo unko mil gaya?
  • Kya aap Google ki guideline follow karke content dalte hai?

Avoid creating content for search engines first

Agar aap aesa content website me dalte hai, jisse user aapki website par aaye.. unko kya chahiye ya jo chahiye tha wo unko mila ke nahi usse aapko fark nahi padta to aapki website ki rank down ho sakti hai.. iss baat ko detail me samajne ke liye inn questions ka answer apne aapko de:

  • Kya aapka content iss tarah se design hai ki search engines se click aaye, logo ko kya chahiye uske upar nahi?
  • Kya aap bahut sare topic par content dalte hai ye soch kar ki jada dalne se search me jada aayega?
  • kya aap kisi automation software ya spin software ka use karke content banate hai?
  • aap jo content dalte hai usme kuch value add karte hai ya jo pehle se kisi website par hai wo apni website par daal dete hai?
  • Kya aap kisi topic par sirf isliye daal dete hai kyu ki wo trending me chal raha hota hai?
  • kya user aapki website par aane ke baad google me double se search karta hoga ye soch kar ki kisi dusri website par achi jankari mil sakti hai?
  • kya aap post ko ye target karke likhte hai ki itne words ho jayege to post rank hogi?
  • aap jo bhi content dalte hai us par aap ka khud ka koi experience nahi hota?
  • Aapne jo Promise content me kiya kya wo aapne pura kiya? (jese kuch log Free Movie download ki post likh dete hai or usme download ka link hi nahi dete.)

Google Helpful Content Update FAQ

Iss Update se kaise bache?

Agar koi bhi aisa content hai jisse user ko value naa mile usko remove karde, ya usko update karke valuable banaye.

Agar website Penalize ho jaye to kaise thik kare?

Jitne aese content hai jo detail me khud se nahi likhe gaye or kisi Software ki help se spin karke publish kiye hai wo sab delete kare, or jo title me Promise kiya hai wo uss article me detail me provide kare..

Kya Google Helpful Content Update Hindi Blog par bhi lagu hoga?

Ye Update Starting me English content par lagu hoga, par aane wale time me dusri language par bhi lagu hone wala hai.. to bhalai issi me hai ki pehle se ham sambhal jaye.

Google Helpful Content Update kab Apply hoga?

August 2022 me ye update rollout hoga.

Conclusion

Google ka iss Update ka main target yahi hai ki user ko or acha experience diya jaye.. iske liye jo website original or Quality content degi usko upar dikhaya jayega.

Simple sabdo me kaha jaye to jis website par jane ke baad user ye soche ki haa jo mujhe chahiye tha wo mujhe iss website par mil gaya to samjho uski rank upar jayegi. wahi agar user kisi website par aaya or uske baad usko double se google me search karna pade uss topic ko to samaj jo uss website ki rank down hone wali hai.

Aapko is Google Helpful Content Update ko lekar kya rai hai ya aapko kya lagta hai isse Bloggers ko fayda hoga ya nuksan comment me jarur share kare..

Share on:

Hello Friends, I'am Rohit Mewada .. HMH ka Admin. Muje Logo ki Help Karna Acha Lagta hai or Is website Par Me Logo ki Hindi Me Help karta hu :)  Read More...


Leave a Comment

Please Read HMH Comment Policy before Comment.

6 thoughts on “Google ‘Helpful Content Update’ in Hindi [2022 Update]”