Hinglish Spelling Mistake Check Kaise Kare [Chrome Enhanced Spell Check]

Jab bhi ham Type karte hai, Jane anjane me Spelling Mistakes to ho hi jati hai.. ab aese me hamari nazar us par chali jaye to thik hai warna waha galat hi reh jata hai..

Agar baat kare English ya Hind ki to jese hi ham koi Spelling mistake karte hai uske niche Read line aane lagti hai, jispar simple ham right click karke usko sahi kar lete hai.. par agar wahi ham baat kare Hinglish ki jo ke Hindi+English ka mixture hai to usme itna aasan nahi hota.

Advertisements

*English Grammar Mistakes ko thik karne ke liye Grammarly Browser Extension ya Ginger Browser Extension jarur Install karke rakhe.

Internet ke Iss Morden jamane me jadatar Hinglish ka hi istemal karte hai, Whatsapp, Facebook par.. or ussi ka ek example aap HindiMeHelp.com par bhi dekh sakte hai.. jispar Hinglish me Post Publish hoti hai.

To agar aap kahi bhi Hinglish me kuch type karte hai or aap chahte hai ki Hinglish me bhi kahin koi spelling mistake naa ho to me aapko uska tarika iss post me bata raha hu.

Agar aap bhi Hinglish me Blogging karte hai HMH ki trha to ye jankari aapke bahut kaam ki hogi. or agar aap comfuse hai Hindi or Hinglish me se kon hai jada behtar to mene unke detail me fayde or nuksan share kiye hai aap wo jarur read kare.

Hinglish me sabse pehle Blog HindiMeHelp.com hai jo 20 feb 2015 me start kiya tha.. to ab ye mera kartab bhi banta hai ki me sabhi se share karu ki wo kaise apni Hinglish ki spelling mistakes ko thik kare.

All Hindi Blog ki List aap yaha dekh sakte hai.

To chaliye ab jaan lete hai kaise Hinglish ki Spelling mistakes ko tikh kiya jata hai.

Hinglish Spelling Mistake Check Kaise Kare [Chrome Enhanced Spell Check] - Blogging

Hinglish ki Spelling ko Kaise tikh kare

Jese Hindi or English me spelling mistake karne par red underline aa jati hai, wese hi Hinglish ya kisi or language me aaye wo ham on kar sakte hai.. iske liye aapko Chrome Browser ki jarurat padegi.

Aapne ye to dekha hi hoga, jab bhi ham kuch google me galat type karte hai, to Google usko automatic sahi kar deta hai.. to ham abhi ussi Technology ka istmal karege.

Hinglish Spelling Mistake Check Kaise Kare [Chrome Enhanced Spell Check] - Blogging

jese aap image me dekh sakte hai, mene Hinglish me online pese kese kamaye Search kiya to Google ne online paise kaise kamaye ke result show kiye.

To ham Google ki issi auto correct Spelling mistakes ki jo techlonogy hai usko Google Chrome Browser me bhi on kar sakte hai… uske baad jis trha Google Search me Spelling Mistake pakad me aa jati hai wese hi ham Browser me kahi bhi type karege to waha bhi uss Word ke niche Red line aa jayegi..

Chrome me Hinglish Spell Check On karne

Note: Me Hinglish ka bol raha hu, par aap agar iss setting ko on karte hai to Google jitni bhi language ko samajhta hai wo sab auto correct kar sakte hai.

Step 1: Chrome Browser ki setting me jate, uske liye upar 3 dots par click karke Settings par click kare.

Hinglish Spelling Mistake Check Kaise Kare [Chrome Enhanced Spell Check] - Blogging

Step 2: Advanced par click karke Languages ke option ko open kare.

Hinglish Spelling Mistake Check Kaise Kare [Chrome Enhanced Spell Check] - Blogging

Step 3: Ab Spell check on sabse pehle on kare.. uske baad Enhanced Spell Check ko select kare.

Hinglish Spelling Mistake Check Kaise Kare [Chrome Enhanced Spell Check] - Blogging

Jese hi aap isko select kar lege, uske baad jo Spell Checker Google Search me use hota hai wahi aapke pure Browser me hoga.. par yaha aap iss baat ka bhi dhyan rakhe, Jo bhi aap type karege wo pehle Google ke server par jayega uske baad hame pata chalega agar koi Spelling Mistake hogi to.

*Spell Check sirf jab kaam karega, Jab Net On hoga..

Agar aapke Browser me Enhanced spell Check on hai or Net bhi chal rah hai to uske baad aap kuch bhi type karege.. or agar usme kuch spelling mistake hogi to unke niche Red line aa jayegi. jisko simple jese ham normal tarike se Spelling ko tikh karte hai wese kar sakte hai.

Hinglish Spelling Mistake Check Kaise Kare [Chrome Enhanced Spell Check] - Blogging

Jis bhi Sabd ki Spelling tikh karni hai, uspar right click karke sahi word ko select kar sakte hai.. jesa upar image me dikh raha hai.

At Last:

Ummid hai aapko ye choti par useful jankari pasand aai hogi, or isse aapko Typing me bhut help bhi milegi, or jo bhi Spelling Mistakes aapse ho jati hai unko aap aasani se tikh kar payege..

Agar aap chahte hai aapki English me koi grammar mistake naa ho to aap uske liye Grammarly ka jarur use kare… jiska Extension hame Browser me install karna hai wass.. Grammarly kya hai uski puri jankari yaha hai.

Me aapko suggest karuga, aap apni Puri Post ko likhne ke baad jab Proof Read kare, uss time apni Spellings ko bhi jarur check kare.. Proofreading kya hai or kya sahi tarika hai Proofreading karne ka uski jankari aapko yaha milegi.

jankari kesi lagi comment karke jarur bataye, or agar aapka Blogging se sambandhit koi bhi sawal ho to aap comment karke puch sakte hai.

Share on:

Hello Friends, I'am Rohit Mewada .. HMH ka Admin. Muje Logo ki Help Karna Acha Lagta hai or Is website Par Me Logo ki Hindi Me Help karta hu :)  Read More...


Leave a Comment

Please Read HMH Comment Policy before Comment.

75 thoughts on “Hinglish Spelling Mistake Check Kaise Kare [Chrome Enhanced Spell Check]”

  1. bahut hi accha article hai sir great job keep on aap ka information padh kr bht hi acche se samjh me aata hai thanku so much

    Reply
  2. Sir maine apko 2015 se 2017 tak keypad phone mein pada hai or 2017 se aaj tak android se mujhe aapse milna h google event me jaroor milunga maine start kia hai new blog event me jaane k liye

    Reply
  3. very supportive article bro jo log hindi ya fir hinglish me blog likhte he uske liye or aapka support bhi accha he hindi bloggers ke liye .

    Reply
  4. Invalid click activity ke karan mera monetization disable ho gaya hai usko enable kaise karu

    Or mere channel par 4100 whatch time or 2.5 lack views hai lekin income show nahi ho raha kyaa kru
    Please help me

    Reply
  5. bhai plz bhote kosis kar le par adsense nahi mile raha 40 se jaada post hai mere website par sabhi post google search console me add bhi hai but fir bhi adsense nahi mile raha hai or eske karne kaam karne ka man bhi nahi kar raha hai…..bhai plz ek baar aap mere website par visit kar ke batta sakte hai ke mujhi adsense kyu nahi mile raha … plz bhai
    my website = https://www.viraltips.in/

    Reply
  6. mae jab bhi is website par yahi soch kar aata hu ki jyada der tak is website me apna time paas nahi karunga lekin is website me itne acche acche article hain unko bina pura padhe jaane ka man hi nahi karta hai.
    aur dusri baat ye ki isi website ki madad se maine blog banana sikha hai.
    very very stunning article for all readers.
    thank you.
    sabhi viewers ko ko yah article padhna chahiye
    link : National Symbols of India

    Reply
  7. bhai mera blog hindi me he.. me soch raha hu. mera jo bhi hindi post he usko translate ki madad se English me karke dusra blog bana ke waha pe bhi post kar do.
    yasa karne se koi dikkat hoga kya. copyright issue ayga kya

    Reply
  8. Sir Aapne itna achche se samjhaya hai or ek-ek baat ko mention kiya hai ki haame kuch puchne ki jarurat hi nahi rahi. thanks a lot.

    Reply