Content Marketing Kya hai or kaise karte hai or Q ye kisi bhi Business ho success karne ke liye jaruri hai, Content Marketing Strategy or Trends kya hai.. abhi ham in sab Points ke ware me baat karne wale hai.
Content Marketing Sabd aapne kahi na kahi suna jarur hoga, or agar aap Internet se jude hue hai (Blogging, Youtube, Social Media, Online Business etc.. ) to uske chance or jada badh jate hai ki aapko iski thodi bhut jankari bhi phele se jarur hogi.
Page Contents
Content Marketing Kya hai | What is Content Marketing in Hindi
Content Marketing Definitions: Ye ek trha ki marketing hi hoti hai jisme Content ko badiya tarike se create karke Online share kiya jata hai, jiska maksand overall paise kamana hi hai.
Content Marketing me jo content hai wo Video, Blogs or Social Media Post etc.. ke jariye kiya jata hai..
Content Marketing Means agar aasan bhasa me samje to, apne business ko promote karke jo bhi apna product hai usko sell karke paise kamana hai or uske liye Content bana kar logo se share karna hai, taki log hamare business or product ke ware me jane or usko kharide.
Content Marketing Strategy
Kisi bhi kaam ko kare to uski sahi planning karke sahi tarike se kiya jaye jab hi sahi result milta hai.. Tikh ussi Trha agar aapko Content Marketing Strategy bhi banani hogi agar aap chate hai ki jo bhi aap Content Marketing ke jariye result chate hai wo aapko mile.
Content Marketing Best Strategy
- sabse phele to apne business ko samje
- uske baad ye dekha jaye ki hamari Audience konsi hai.
- Jo hamari audience hai unko kya or kis trha pasand hai jo samje.
- Jo audience ki pasand hai ussi tarike se aese content bana kar publish kiya jaye jisko wo like comment or share kare or engage kare.
- Jo Audience ko pasand hai ussi tarike se kaise apne Business or Product ko promote kiya jaye uspar pura focus kare.
- Audience ke Mind me apne Product or service ki achi image banane ki kosis kare audience ke bich me taki wo hamari services ko kharide.
Content Marketing Examples
Content Marketing ke bhut tarike hai, par sabka maksabd hamare business or service ko promote karna or logo tak phuchana hi hota hai.. Niche me kuch Popular Content Marketing Examples share kar raha hu:
1: Infographics
Infographics ek badi si Image hi hoti hai, jise Badiya Graphics ka use karke Statics, Charts, or Graph ki jankari share ki jati hai.. Infographics ka sabse bada faida ye hai ki ye bhut attractive hoti hai or jinko samajna bhi aasan hota hai..
Infographics ko log share bhi sabse jada karte hai q ki wo image ke form me hoti hai or dekhne me achi lagti hai.
Aap Example ke liye HindiMeHelp ki Content Ko Viral Kaise Kare (Infographics) ko dekhe..
2: Web Pages
Web Page ke roop ke content marketing karna matlab jo bhi hamara product ya service hai usko iss trha se detail me website par dalna jisko log interest se padhe or share kare..
Jo Web Page par content ko usko likhte samay hame user ka interest or SEO ka pura dhiya rakhna hota hai.. taki log google se search karke site par aaye or site par hi ruke rahe.
Jo content likhne ka tarika hota hai wo aesa hota hai, ki jo jankari user ko chaiye wahi dete hue ham unko unki jarurat ke hisab se apni product or service sell karte hai, content marketing bloggers inn bato ka hamesa dhiyan rakhte hai.
3: Podcasts
Podcasts bhi ek bhut sahi tarika hai, jisme audio ke jariye logo tak apni baat pucha sakte hai. Isme agar sahi tarike se baat ko rakha jaye to log dhiyan se sunte bhi hai or share bhi karte hai.
Content Marketing ka main focus hi apni brand ko jada se jada logo tak phuchana hota hai jo Podcasts ke jariye bhi kar sakte hai.
4: Videos
Likha hua ho ya Image ho, dono tarike effective to hai.. par agar Audio, Video, Text ko mix kar diya jaye.. matlab Video banaya jaye to uska effect sabse jada padta hai.
Aapne dekha hi hoga, Youtube par kitne tarike se Content Marketing hoti hai.. bhut si company’s to Youtubers ko paise deti hai unke ware me video dalne ke liye.
Video ki madad se jo bhi message hota hai usko sahi tarike se samjana bhut aasan hota hai.. par sart hai sahi tarike se High Quality Video banaye jaye.
Content Marketing Kyu Jaruri Hai
Content Marketing kya hai wo samajne ke wad aapko thoda to samaj aa hi gaya hoga ki Content Marketing kitni jaruri hai.. Fir bhi chaiye detail me samajte hai ki Content Marketing se Paise kaise kamaye jate hai.
Content Marketing ko iss trha kiya jata hai ki jo Buying Cycle hai wo sahi se Follow ho.
1: Awareness
Content Marketing ki sabse pheli step hai Awareness, matlab logo tak hamari services or products ki jankari phuchana hai, ki unko pata ho ki aesa bhi kuch hai.
Iske liye ham Image, Audio, Video me Apni Brand ka Logo or Naam mention kar sakte hai..
2: Research
Ab jo bhi user ki problem hai ya jo wo chate hai uske upar research kare.. or usko kaise solve kiya ja sakta hai wo share kare..
Jese Example agar kisi ko Car ke liye Studio Speaker kharidna hai or aapki Car accessory ki dukan hai to aap user ko content marketing ke jaruye bata sakte hai ki ye Speaker ache rahege..
3: Consideration
Koi bhi agar kuch lete hai to wo usko compare jarur karte hai taki unko sahi chije samaj aa sake or jisko wo le sake.. to issi chij ka faida uthate hue aap users ki jarurato ko samajte hue apne product ko unko compare karke bata sakte hai.
4: Buy
Last me, user ko jo bhi chij lena hai wo le leta hai, agar usko clear ho jaye ki haa ye unke liye sahi hoga.. par usko wo decision lene me hi hame Content Marketing ke jariye unki madad karni hai..
To Iss trha ham apne Product or Services ko promote karke Content Marketing se paise kama sakte hai.
Content Marketing Trends 2018 – 2019
koi bhi kaam karo to jo sabse jada trending me chal raha ho wo sahi time par kiya jaye to uska result kam mehnat me hi acha mil jata hai.. isliye ye jaruri hai ki Abhi kya trend chal raha hai or log kya jada abhi pasand karte hai wo pata ho.
Wese Content Marketing Trends 2018 – 2019 ki baat kare, to aapko pata hi hoga.. Jio ke aane ke baad Internet data itna sasta ho gaya hai ki Log Video dekhna hi sabse jada pasand karte hai.. to aap Apna Focus Video creation par kar sakte hai.
Par mera aapko suggestion rahega, aap Video, Audio, Image or Text content sabhi ko sath me lekar chale or sabhi ka use kare.. taki har trha se ham audience ko target kar sake.
Content Marketing Jobs
Content Marketing abhi ke time se sabse top tarika hai apni Brand ko promote karne ka.. to aese me bhut si company hoti hai jo apne product or service ko promote karne ke liye Content Marketer ki talas me rheti hai..
To agar aap Content Marketing Jobs karna chate hai to unse contact kar sakte hai.. or agar aapke pass inn sab chijo ka knowledge or thoda experience hai to aaram se aapko Content Marketing Jobs mil sakti hai.
At Last:
Ab aap Jaan chuke hai Content Marketing kya hai, Q Jaruri hai or Kis trha karte hai.
Wese dekha jaye to Content Marketing ek bhut bada topic hai, jisko pura ek post me cover karna possible nahi hai.. fir bhi aapko idea to lag gaya hoga ye kya hai or agar isme work karna hai to kya karna hoga.
Aapko ye jankari kesi lagi comment karke batana naa bhule, or agar aapka Content Marketing se related koi bhi sabal ho to usko bhi comment karke jarur puche..
It’s really a great post
Hello sir,
Good morning!!!…
What is Email Marketing in Hindi Full Detail pe blog banaye. to mere liye achcha rahega.
Thank you.
Hamko
marketing ka kam karna hai
Sir, aap marketing ka kaam learn karke sikh sakte hai
Hinglish me likhna sahi hota hai ya hindi me… Mera blog money making pe h.. or main 20+ age k logo Ko target me rakh k post likhta hu…. Bt confused hu ki language koun sa Rakhu.
Hindi Ya Hinglish kon hai Best Blog ke Liye by Google
bhai maine ek email send kiya hai galti se dusare ke email pe send ho gya hai aur maine send kiye 10 days ho gaye hai ..ab hum us email ko kaise delete kar sakte hai ….ab tak usane email read nahi kiya hai …maine mail tracker use kiya hai usase pata chala ki usane mail read nahi kiya hai ….to bhai ab hum us email ko kaise delete kar sakte hai
Bhai gmail me sirf 30 second ke liye undo ka option aata hai.. Uske baad delete nahi kar sakte.
bhot khub sir aapne content ko promote karne ke liye post achhce se guide ki hai
Thank you sir
Very useful post
Thanks sir
Nice
Thanks ji
Very useful information about content marketing. Thanks for sharing.
Thanks ji
thanks bhai bahoot achi information di hai apne for content markiting thanks again
Thanks ji
Very informative article :)
Thanks ji
Really Awesome Article On Content Article.
Thanks For Sharing.
Apka Likhne Ka Tarika Bahut Pasand Aaya.
Thanks ji
Hello dear,
Bhut hi badiya jankari share ki hai aapne
Thanks ji
Nice article sir
Thanks ji
really good info thanks
Thanks dhanraj ji