Agar aap apne Blog par Kam Traffic hone se pareshan hai to aap sahi article par hai, kyu ki abhi traffic improve karne ke hi ek tarike ke ware me janege.
Blog Traffic badane ke liye On Page SEO or Off Page SEO karna hota hai, jiske ware me wese to detail me pehle hi share kar chuke hai..
Abhi On Page SEO me hi aane wala point Internal Link ke ware me janege or detail me samjege kaise isko banaya jaye or kaise Internal Link hamare Blog ki traffic or Page View badane me help kar sakti hai.
Blog par agar jada traffic lana hai to uske liye sabse important to hai Quality Content, kyon ki jo user ko chahiye wo agar hamari website par hoga hi nahi to uske aalawa to kitna bhi try karlo visitor website par nahi aayege.. or agar koi galti se aa bhi gaya to turant cut karke chala jayega.
Agar aapki website hai or aap usme SEO karte hai to aap ye to jante hi hoge, jitne bhi ranking factor hai unme se ek Important factor Backlink bhi hai, jisme hamare post par kisi dusre website se link aaya hota hai.
jo Backlink hota hai wo dusre website se aata hai, jiske liye dekha jaye to hame jada effort dena padta hai, par agar hamari koi post acha rank kar rahi hai to ham uss post se bhi apni dusri post ko link karke rank kara sakte hai.
Example se samajhte hai:
Jese ki koi Post Google me index hoti hai, to Crawler uss page par jitne bhi link hai unpar jata hai or unko index karta hai.. to agar koi hamari purani post Google me index hai or us par acha traffic aa raha hai to ham usme apni new post ki link add karde jisse Google ki najar hamari new post jaldi chali jati hai isse wo Google me Jaldi Index ho jati hai.
Chaliye ab thoda bistar se samaj lete hai.. Internal Linking kya hoti hai or ham kaise Internal link bana sakte hai or iski madad se kaise ham apne Blog ki Traffic or Page View ke sath apne Blog ki rank bada sakte hai.
Page Contents
Internal Linking Kya hai in SEO
jitne bhi Links jo kisi bhi Blog post ya Page me hai agar wo ussi domain ke hai to unko Internal Link kaha jata hai.. or agar koi link kisi dusre Domain par hai to usko External Link kaha jata hai.
Internal Link Search Engine ko New Page discover karne me bahut madad karti hai.. or uske sath sath user ko bhi website par banaye rakhne me Internal Link sabse Important hai.
Agar website ko rank karna hai to uske liye sabse important hai user ko apni website par jada se jada der banaye rakhna.. jisse Google ko ye signal jata hai ki user iis website par itni der ruk raha hai matlab iis website par wo hai jo user ko cahiye.. wahi agar user kisi website se jaldi chala jata hai to Google ko ye signal jata hai ki iss website par wo nahi hai jo user ko cahiye to uske karan Google uss website ki rank ko down karke kisi dusri website ko upar kar deta hai.
To maan lijiye koi user aapki website par aata hai, or jo bhi jankari usko chahiye wo usko mil bhi jati hai.. par usse related or bhi post aapke blog me hai.. or aapne un post ka link apne uss post me diya hai to user unn links par click karke aap ki dusri post par bhi chala jayega.. isse user aapki website par bana rahega or aapki website ka Bounce Rate kam hoga.
To ab aap Internal Link ke fayde to samaj gaye, par aesa bhi nahi ham kisi bhi post ke apne blog ki koi bhi link add karde..
Internal Link kaise Banaye?
Internal Linking ka sirf ek Rule hai, jitne bhi Link ho wo uss Page se relevant ho.. aisa nahi ki aap Baat Kisi dusre Topic ki kar rahe ho or aap uss post me link kisi aise topic ki add kar rahe ho jiska usse koi lena dena hi nahi..
Aap Apne Blog me Related Post or Popular Post ke Widget bhi add kar sakte hai.. jisse user ko uss post se related dusre post bhi dikh jayege or aapke Blog ke Best Post hai wo bhi show hoge, to user ka unpar click karke dusre post ko read karne ke chance badh jayege.
High Quality Post kaise likhte hai ye to aap jante ho hoge, koi bhi post ho usko iss soch ke sath likha jata hai jo user ko jese chahiye waise ham post me de.. kehne ka matlab hame user experience badana hai..
User ko Quality content mile to wo hamari dusri post bhi read karte hai…
jese maan lo koi post blogging ke upar hai to ham uss post me blogging se related dusri post hai unki internal link de sakte hai, jisse user agar unme interested hoga to wo un link par click karke unn post ko bhi read karega.
Internal Linking ka Live Example aap issi post me dekh sakte hai, kis trha sabhi important topic ko internal link kiya hua hai. or iska ek best example Wikipedia bhi hai, jisme sabhi page Internal link hote hai.
To ab aap samaj gaye hoge, Internal Link kya hai or kaise aap Internal Linking ki madad se user ko apni website par banaye rakh sakte ho.
Internal Linking me aapko ek baat hamesha dhyan rakhni hai, jo bhi page hai, usse related linking hi aapko karna hai, aesa naa ho user hi confuse ho jaye ki ye konsa link hai ya ye kya open ho gaya.
Internal Linking Link Juice ko distibute karne me bhi madad karta hai, jese agar hamari kisi post par jada High Quality Backlink hai to ham apne uss page se dusre page ko internal link dekar uski rank improve kara sakte hai.
….
Agar aap WordPress use karte hai to aap Internal linking ke liye Plugin hai unko bhi install kar sakte hai, jisse automatic internal linking ho jati hai..
Conclusion:
Internal Linking Blog ke liye ek Important factor hai, jo SEO or User dono ke liye important hai.. agar sahi tarah se internal linking ki jaye to user ko website par jada der tak roka ja sakta hai, sath hi apni website ki ranking bhi improve kar sakte hai.
Aapko Internal Linking ki jankari kesi lagi comment karke jarur bataye, sath hi agar aapke koi sawal ya sujhav ho to wo bhi comment karke share kare.
Internet Linking se related agar koi or sawal ho to aap usko bhi comment me jarur puche.
seo is a need for every website
Nice Article
Hi, Rohit
Yah post mujhe kaafi acchi lagi, apko SEO ke bare me acchi knowledge hai.
Thanks for your efforts.
Very Useful information Rohit sir, Thank you…
Nice
I used Google translate to translate your content to English and it was wonderful. I wish you could also have a blog that you write in English. Thanks.
Your very Knowlgefull Blog for SEO
Very useful and relevant article.
Very Nice