Computer ya Mobile se Application (Software) Kaise banaye

Smartphone kitne Important ho gaye hai hamari zindagi me ye to aap jante hi hoge to aese me agar hame kuch aisa karna hai jo logo tak pahuche to hame unke Mobile ko target karna hoga,

Agar aapki koi website hai, Youtube Channel hai ya kuch bhi online aesa hai jo aap logo tak pahuchana chate hai or unse jude rehna chate hai to aapko Mobile ke liye App Banana padega.

Advertisements

App Banane ke liiye waise to aapko uski programing aani chaiye jo thoda lamba rasta hai, par aap bina programming ke bhi badiya app bana sakte hai.

Online Android App banane ki bhut sari badiya website hai jinpar aap badi aasani se apna App bana sakte hai Mobile ke liye. Android Mobile App Kaise Banaye 5 Minute Me in Hindi jarur padhe, waha aapko badiya badiya website ke ware me bataya hai jinki madad se Android App banta hai.

App Banane ke liye aapko App Banane ki website par jana hai, Online App banane ki bhut sari website hai. jisme se ek ke ware me bata raha hu. to chaliye start karte hai.

Computer ya Mobile se Application (Software) Kaise banaye or paise kamaye

Mobile App Kaise Banaye Uski Jankari

Step 1: Sabse Pehle AppsGeyser.com par jaye

Step 2: Ab aapko Create Now! ki button par click karna hai App banane ke liye.

AppsGeyser.com par ja kar app banaye

Step 3: Ab New Page aayega usme App ke liye template select karna hai. Aapko bahut sare template mil jayenge, par me Website ke liye bana raha hu to me website select karuga.

Mobile app ke liye template select kare, website select kare

Step 4: Ab website ka URL dale fir Go ki button par click kare. App kesa dikhega wo aap bagal me Mobile me dekh sakte hai. App me automatic Twitter, Youtube, Blog ki Tabs bhi add ho gai to aap chahe to unko remove kar sakte hai. Set karne ke baad Next par click kare.

website ka url daal kar submit kare

Step 5: Ab App ke liye Naam likhe. (Naam aisa select karna padega jo pehle se naa ho). fir next par click kare.

App ka naam dale fir Nest kare

Step 6: Ab App ke ware me likhe jo bhi aap batana chahte hai.

App ke ware me likhe fir next button par click kare

Step 7: Ab App ke liye Icon select kare, Aap Upload bhi kar sakte hai. ab next par click kare.

App ka icon select kare, ya upload bhi kar sakte hai.. uske baad next kare

Step 8: Ab App ki puri steps ko complete karke CREATE ki button par click kare.

puri steps follow karne ke baad create app par click kare

Step 9: Ab aapko appsgeyser par aapko account banana hai.

account banaye AppsGeyser.com website par app banane ke liye
  1. Email ID or Password daal kar account banaye
  2. Facebook se bhi login kar sakte hai.
  3. Agar aap App se Paise kamana chate hai to tik kare.
  4. Unki Terms ko manane ke liye tik kare.
  5. AB reCAPTCHA ko tik kare
  6. SIGN UP ki button par click kare.

Ab aapka account ban chuka hai.

Step 10: Ab aap Apne App ko download karke apne android Mobile me chala kar dakh sakte hai. or Image me dekhe waha aapko apne app ki link mil jayegi, jisko aap kisi ko bhi send kara kar Apna App Download kara sakte hai.

app ban chuka hai ab aap usko download kar sakte hai us link se

To Dosto iss tarah aap badi aasani se simple steps ko follow karke apna app bana sakte hai, ummid hai aapko ye jankari pasand aai hogi, agar aapka koi sawal hai to aap puch sakte hai.

Agar aap App se paise kamana chahte hai to jo aapka App hai us paar Ads aayege or usse jo income hogi uska 50% appsgeyser.com ke pass jayega or 50% aapko milega..

Aap apna App ko Play Store or Amazon AppStore me bhi Publish kar sakte hai.

Guest Author BioRavi Kumar owner HindiMeinSeekho.blogspot.com 

Agar aapko bhi Guest Post karna hai to uski Jankari yaha hai.

Share on:

Ravi Kumar owner HindiMeinSeekho.blogspot.com 


Leave a Comment

Please Read HMH Comment Policy before Comment.

134 thoughts on “Computer ya Mobile se Application (Software) Kaise banaye”

  1. अपने apps बनाने के बारे में काफी अच्छे से समझाया।
    इस मुश्किल topic को समझने में काफी लोगो को मदद मिलेगी।
    में भी एक ब्लॉगर हु।

    Reply
  2. sir i am deepak kumar jain i want to made a android app

    If there is any reason why we do not want to use any kind of language, then we have no idea what kind of people have any idea of ​​how to use them

    Reply
  3. sir,
    Bahut accha laga ye post por ke, mai jan na chahta hu ki mai apna website ko kaise apk banau fir isko playstore mai choru, koi tarika batao

    Reply
  4. Sir,
    Aap Kitna monthly kmate ho,pls sach batana jisse hum jaise seedhe log Bharmit na ho, n aap jyda batan N Kam jisse hum aapka example le ske, pls btao ek sachche Guruji ki tarah ki Apki Avrage Monthly income kya h blog se aur hum 20000/Month Kmane ke liye kitne followers krne padenge?

    Reply
    • Me income nahi bata sakta sorry bhai uske liye..
      .
      Baki 20k kamane ke liye agar aap regular post kare badiya.. Jisko log pasand kare to aap 2 3 mahine me itni tak kama sakte hai..

      Par isme sabse main content acha hoga jab.. Nahi to faltu ki post to bhut hai Internet par.

      Reply
  5. bhai kush queries hai .

    1 . off page seo se per day maximmum se maximum traffic kaise generate kar sakte hai.fully guide kare.

    2. kya aap apni har post ko whatsapp par share karte ho .yes to to kitne group aur freinds me.

    3. kya fb page se post ko paid karke boost kar saketa hai jaise har post par option aata hai boost your post. kya isse adsense par effect padenga. kya adsense isse policy breack hongi

    Reply
    • 1: Off page kya hai.. Aap meri wo wali post read karo aapko samaj aa jayega.. Baki ye koi limit nahi hoti hai ki itne se jada traffic nahi aa sakti..

      2: Me whatsapp use hi nahi karta..

      3: mene fb par kuch test ke liye ki thi.. Baki normal post boost nahi karta.

      Reply
  6. HI FRD
    Mai haridwar singh kushwaha agar tum log ko koe v apps banana chagta hai to tum log appsgeyser par jak bana sakte ho

    Reply
  7. HELLO ROHIT G MUJHE YE JANNA HAI
    1. AGAR ME KISI SITE APP BANATA HU
    WO APP 100% MERA HI RAHEGA YA JIS SITE SE APP BANATA HU USKI USME KOI HISSEDAAARI RAHEGI
    AUR
    2. KYA SE BANAYA HUA APP ME USKA FORMATE B CHANGE KAR SAKTA HU
    YA APP MERI WEBSITE K ACCORDING HI RAHEGI

    Reply
    • Agar aap kisi site se free banate hai.. To unka uske hissa rahega.. Ya fir jo ads aayege uske kuch paise u ke pass jayege..

      Agar aap khud se banate hai to pura sab kuch aapka hi rahega..

      Reply
    • Akshay bhai aap banane ke baad aap jo post apne blog par karoge wo post aapke app me bhi dikhayi degi… bro also check my website

      Reply