Internet ki duniya itni badi hai ki ham Onilne Internet ke baare me jitne Sikhe utna kam hai. Hamne pichle post me jana tha ki ham kaise Online Apne Mobile ko kahi se bhi Recharge kar sakte hai. Internet ne hamari jindgi kitni aasan kar di hai aap soch bhi nahi sakte, aaj internet ki madad se Exam ke result ham online dek sakte hai, Online Apne Dosto se jude rha sakte hai, Online Paise kama sakte hai or bhi bhut kuch….
Abhi jo sabse jada Popular hai bo hai Online Shopping Sites. Q ki Shopping sites ki madad se ham ghar bhete kuch bhi kharid sakte hai or hamara kharida huaa samaan hamare diye huee Address par aa jata hai or hame kahi jaane ki jarurat bhi nahi padti.
Page Contents
Kya Kya hona Chaiye Online Shopping ke liye
Agar aap Online kisi site se kuch samaan kharidna chate ho to ye kuch chije hai jo aapke pass honi chaiye.
- Shoping Site par account banane ke liye ek Email ID
- Product ko lene ke liye Money(paisa)
- Debit/Credit Card/Net Banking payment karne ke liye
- Product ko recive karne ke liye aapka Address
Online Shoping karne me Faida hai ya Nuksaan
Agar aapko kuch lena hai to Aap kisi Dukaan par jaoge ya Online Bhi le sakte ho. Kya faida hai online shopping me ye aap in points ko pad kar samaj jaoge.
- Online Shopping karne ke liya aapko kahi jane ki jarurat nahi hai, Aap ghar se bhi Shopping kar sakte ho.
- Jis Product ko aap Online lete ho bo aapke ghar par hi aata hai par Kisi Dukaan se lene ke liye aapko khud dukaan tak jana padta hai.
- Agar Online kuch Samaan liya or agar usme kuch kharabhi hai to aap usko return(bapas) kar sakte ho 30 day ke andar. par kisi dukaan par bapas karne me kya dikkat hoti hai bo aapko bhi pata hoga.
- Online Shopping ke liye kahi jaane ki jarurat nahi isliye Time ki bachat.
- Ache or Sasta samaan lene ke liye Alag-Alag dukaan par jaane ki jarurat nahi.
- Online kharidne par Kam Daam (Price) me samaan mil jata hai q ki usme Dukaan daar ka commission juda nahi hota hai.
- Nuksan ye hai ki agar ham achi site se saman na le to nakli saman bhi aa sakta hai.
Online shopping kaise kare Step by Step in Hindi
Online Shoping ki bhut Sites hai par aaj me unme se ek jiska Naam sayad aapne suna hoga Flipkart. Me aapko bataoga ki aap kaise Online Shopping kar sakte hai Flipkart par. Online Shopping karne ke liye Aap meri steps ko follow karo.
Step 1: Sabse phele aapko Shoping ki site par jana hoga. Aap direct niche diye search baar me search karo jo aapko lena hai. Agar aap direct is box me search karke samaan lete ho to aapko 20% ka discount bhi milega.
Mobile ke liye Memory Card kharide 8GB sirf 200 Rs me to yaha Click kare.
Is Time Agar Aap Mobile use kar rahe ho to Aap Flipkart ka App Yaha se Download kare or 20% discount paye apni pheli kharidi par. Aap ke Pass Ye Aap jarur hona chaiye Agar aap Smart Phone use karte ho to :)
Step 2: Ab aapko jo chij kharidni hai aap us page par phuch gaye ho. Samaan ko Kharidne ke liye BUY NOW ki Button par click karo
Step 3: Aap jese hi Buy Now par click karoge ek naya page khulega.
Apna Email ID Daale fir Continue ki button par click kare.
Step 4:
Ab aapko Password daalna hai 2 baar. Aapko ye password yaad rakhna hai q ki isse ki madad se ham baad me flipkart ki site par login kar payege.
*Agar aapka Phele se Flipkart par account hai to aapko uska password daalna hai
Step 5: Ab aapko Apna Address Daalna hai jaha par aap is product ko receive karna chate ho.
Is Form me apni sahi- sahi jaankari bhare. fir Save & Continue ki button par click kare
Step 6:
Ab agar aap chaho to apne samaan ko Gift me pack kara sakte ho. Ek baar apne product ko achi se dekh le or uska total ammount bhi dekh le. fir Continue par click kare
Step 7: Ab Aapko Payment Method ko select karke Payment karni hai.
Aap dekh sakte ho kya kya option hai payment karne ke liye.
Chaliye ham COD Select kar lete hai.
COD ka matlab hai Cash On Delivery, Matlab jab aapke pass product aayega to aap Usko paise Cash doge. *Ye option saare products par nahi hota hai.
Kuch Common Sabaal Online Shoping ke
Que. Hamara Kharida huaa Samaan hame kaise milta hai?
Ans. Aapka Kharida huaa samaan aapke diye huee Address par 7 dino me aa jata hai.
Que. Kya ham Dekh sakte hai Hamara Samaan kaha tak aaya hai or hame kab milega?
Ans. Haa aap dekh sakte ho. Jab aap order conform karoge to aapke email par message aayega. usme Track My Order ki ek link hogi, Aap us link par click kar ke dekh sakte ho. ya fir aap flipkart ki site par login karke my order me dekh sakte ho.
Que. Kya Kharide huee Samaan ko Bapas kar sakte hai?
Ans. Haa, Agar aapke pass jo samaan aaya hai usme kuch gadbad hai. ya jesa aapne order kiya tha vesa nahi hai to aap usko 30 din ke andar bapas kar sakte ho.
Bapas karne ke liye aapko Apne Email or Password se Flipkart me login karna padega uske baad my order me jao.
Aap Flipkart ke App se Mobile se hi samaan kharid sakte ho, Apne Product ki postion dekh sakte ho ki bo abhi kaha tak aaya hai, Jo product hai usme kuch kharabhi hai to App ki madad se bapas bhi kar sakte ho. Flipkart App ko yaha par click karke Download kare.
Agar Aap Abhi Computer use kar rahe ho to App par 20% descount paane ke liye is Link se hi App ko Download kare. Link ko apne mobile ke browser me khole
www.HindiMeHelp.com/FlipkartApp
ya is QR Code ko Apne Mobile se Scan kare
Chaliye ek baar Revision kar lete hai, hamne kya Sikha Online Shoping ke baare me
Online Shopping kya hai, Uske Faide or Nuksaan, Kaise karte hai online shopping or bhi bhut kuch. Agar aapke dimaag me koi bhi Sabaal ho to usko sirf dimaag me mat rhane dijeye. Comment karke muje bataiye, me aapki Help karne ki puri kosis karuga.
Agar aap bhi is Online Duniya me apni ek alag phechaan banani hai to aapko aage to badna hoga. janiye kaise ham apni free website bana sakte hai.
Aapko ye jaankari kesi lage ye batana naa bhule or Agar aap Internet se related koi bhi jaankari chate ho to aap muje bataiye.
credit card kya hai aur iske dwaara shopping kaise kiya jaata hai…….?
jesa debit card hota hai same besa hi hota hai.. Credit card jab banta hai jab hamari koi fix imcome hoti hai..
Mene snapdeal se mobile kharida hai 2 din use kiya he Me wapas kerna chahta
hu ho jayega kya?
aap apne snapdeal ke account me login karke my order me jaye.. usm,e kahi hoga return ka option. aapke pass fir unke customer care se phone aayega.. aap apna karan unko batana fir agar bapas hoga ye uski jagha dusra dege to hi aapko bata sakt ahai.
hallo sir o kya he na me shopping village me kar sakte he plyss riply me
ye nirbhar karta hai ki jo site hai wo aapke address par dilevery karti hai ya nahi .. aap jab shoping karege to aap ka post code dal kar aap check kar sakte hai
aap kab rply krenge plz jaldi karen…
hi..mara sawal h ki main snapdeal.com me shopping karne k liye email id kaise bnau,or kya email id banana jaruri h waise mera gmail par bhi email id h kya usse kam nhi ho sakta?or kya snapdeal .com par email id phone me nhi banaya ja skta plzzz tell me in detail….
hi…mera swal h h ki main snapdeal.com me account kaise bnau kya account banana jaruri h waise mera gmail pr email id h kya usse kam nhi ho skta? or kya snapdeal email id phone me nhi banaya ja skta plzzz detail me bataiye…
Account email id se hi banta hai jo aapke pass hai.. Aap sign up ku button par click karke apni detail dale.. Account ban jayega.. Isme koi badi baat nahi hai.. Or mobile me bhi same hi site khulti hai jo computer me khulti hai to inke koi fark nahi hai
kya Debit card / credit card ke bina online shopping kiya ja sakta hai…… ? Yadi kiya jaa sakta h to kaise ……?
kya Debit card / Credit card ke bina shopping kiya ja Sakta h…. .!
Yadi kiya ja sakta hai to kaise…?
Address (or company)
2.Address (optional)
in dono matlab bataye plzzz sir
apna ghar ka address dale.. company hai nahi to usko khali rhane de.
sir
main amazon se online shopping krna chahta hu. lekin 2 tarah ke address hone ke wajah se [1. Address or (company) 2. Address (optional)]shopping nhi kr pa rha hu…… ..!
so,plz sir tell me with example
Aap jaha apne saman ko lena chate hai wo address dale
sir mujhe ye bataye ki kisi ka bhi credit ban sakta hai kya
koi fix income honi chaiye jab hi banate hai bank wale.
sir mujhe 713363 pin par online shoping ke liya (cod) milega
Ye aap google me search kare..
Sir mai flipkart ki dealership lena chahta hu iske liye aap mujhe bata sakte hain ki kya krna padega.
aap mujhe ye bataiye ki jo prodct out of stock hota h.wo stock me fir kab tak aata h
iske bare me koi fix nahi kha sakte.. jo seller hai us product ka jo usko beach raha hai uske pass jab uska stock aa jayega to wo fir se daal dega.. ab isme koi bhi nahi kha sakta ki alga stock kab aayega.
rohit Bhai mujhe Google playstore top paid wale games download karna hai Magar phri me Kaise karu please detail mai bataiye
sir mai ne online shopping se mobile mngwaya tha uska colour galat order ho gya..kya agar delivery se pahle cancel krdu to kya fir bhi shipping charges lagegi ??plz tell ye meri first online shoping h
Nahi lege.. Par ye conform nahi hai.. Jo Sallier hai uspar nirbhar karta hai
SIR MENE BLOGSPOT BANYA HE PAR ME WEB BANANA CHAHATA HU PAR MERI WEB WWW. ME BINA KULANI CHAHI YESA HO SAKATAHE SIR OR KESE.
sir mera ek dost myamar me rehta h aur mujhe online shopping se mobile khridna h uske liye mera dost payment krna chahta h to uske paas master card h yo kya me shoppin kr sakta hu ya koi aur card banwana pdega mere dost ko..pls btaye sir…aur konsi site best rahegi
Wo bilkul payment kar sakta hai.. Or jo product ki ? deliver ka address hai wo aap apna dal dena
Sir
Plz yeh bateye jaise mai ne 20000 ki Aircadisan buy keya us ka emi hai 2000 per 10 month ke leye with interst vo paise bank pay kare ga ya online shopping vale har month cut kare ge mere account se….. plz puri detail mai bataye es bare mai hum card online submit karte hai kahi jayada cut ho jaye
Uske liye sabse phele to aapke pass credit card hona jaruri hai.. Debit card se nahi hoti emi.. Or har hamine aapke account se cut kar seller ke account me chale jate hai.
Sir ye emi kya hoti h isme kaise paise dene hote h
Instalment ke.. Kist me..
EMI se Lene Ke liye aapke pass credit card hona jaruri hai.. Usse hi le sakte hai
Sir mujhe online credit card se shopping karni hai to kya karna hoga plz sir bataiye
Post me bataya to hai.. Aese hi karna hai.. Jo aapko kharidna hai usko select karke payment me debit card select kare
Emi phone kese kharide
uske liye aapke pass Credit Card hona jaruri hai.. usse hi liya ja sakta hai.
sir humko logo banane aata hai kya hum uska use kr sakte hai kya
Haa, par kaha or Q
Sir aap e bata sakte he ki hum online shoping villege se kar sakte he
aap jabsoping karege to pin code dalege to usme aap jayega ki aap bha par kar sakte ho ki nahi.. kar jabha nahi hai ye subhidha
mast site h bhai
Sir mobile se kharid sakte hai yaa nhi plz rply
bilkul khrid sakte hai
Sir mobile se ragister ho jaiga kiya ya phir computer se hee hota plz batai
computer se
Sir mobile se ragister ho jaiga kiya yaa phir computre se karna padega aur aur sir ragister karne k baad kaise kiya kar hai plz batae
27 ko 12 bade jese hi slae start hogi aapko kharidna padega.
Sir mujhe amazon se yuphoria mobile kharidna hai mujhe mobile kharidne main madad kare amazon se kaise kharidari karte hai batai pleeeees…
aapko uske liye register karna padega yaha click karke register kare uske baad sale 27 aug, 12baje start hogi hjab aapko account khol kar khridna padega
bhai me jab address daalta hoo to usme landmark ka colum aata h usme kya daaloo
aakek address ke pass jo bhi famous jagha ho jiske bare me jada tar log jante ho, wo dale
yaar emi pr mobile lena h acunt me kitna paisa hona chahiye
uske iye creadit card hona chaiye aapke pass, Debit Card se nahi le sakte…
Sar mujhe antti binding ka matlb kya hota h
Hello….sir
Muje flipkart we EMI par mobile Lena h to uski process kya h
uske liye aapke pass credit card hona jaruri hai. uska number se le sakte hai.
Sir, mai Snapdeal se laptop emi par Lena cha RHA hu par mera Jo ATM card hai SBI ka debit card or shopping card hai kya is card se emi par mujhko laptop mil jaega,agar ha to kya karna padhega,agar nahi to kya kare k emi par laptop mil jae….pls help kare…
sir muje online shopping karna hay par mera ghar ek village pe hay.kya may shopping kar sakta ho.koi bar me try kar suka ho par cash on delivery nahi hoti.cradit card se dena parega to muje kia atm card ka pin bhi dena parega.aur ek batt muje pincoad bhi verify karna parega kia.kese shopping karu muje bataye na please.
Sabse phele to aap ye check kare ki aap js site se jo bhi kharid rahe hai, wo aapke address par deliver bhi karte hai ya nahi.
Sabhi items par cash on deleivery nahi hoti hai. Aapko uske liye Netbanking ya fir ATM Card se paument karni padegi
Sir, mai Snapdeal se laptop emi par Lena cha RHA hu par mera Jo ATM card hai SBI ka debit card or shopping card hai kya is card se emi par mujhko laptop mil jaega,agar ha to kya karna padhega,agar nahi to kya kare k emi par laptop mil jae….pls help kare…
sir,mujhe online shoping karni hai.but problem yeh hai ,payment opt debit,credit,cards ki hai.cash on delivery nhi.ab credit/cards ki koi knowlage nhi hai.
sir,mujhe online shoping karni hai.but problem yeh hai ,payment opt debit,credit,cards ki hai.cash on delivery nhi.ab credit/cards ki koi knowlage nhi hai.
sir,mujhe online shoping karni hai.but problem yeh hai ,payment opt debit,credit,cards ki hai.cash on delivery nhi.ab credit/cards ki koi knowlage nhi hai.
bhai rohit ji mevada
aapne kam kiya he bada…!!
hindi vale hote the bahut pareshan
par aapne internet ko bnaya aasan
aapke sapne ho sada aabaad
shukriya…thnx…dhanywad
Gajab yaar Bhut badiya,
Thanks :)
Accha sir mene abi aik redmi 2 mobile b order kiya h bus dar yahi lg rha h ki bo mobile b kahi nakli na nikal jaye or sir me aik chote se sehar m rehta hu jaha koi sikayad b nhi ki ja sakti h ya to jo chiz a gai h to lena padta h isi liye sir apse kuch jankri mil jaye to bagut Accha hoga
Me aapko bas ye hi suggest karuga ki aap jo achi sites hai unsehi samaan kharide. or company ka samaan hi taki uski hame bo hi product mile. Sopping sites par koi bhi apna samaan sale kar sakta hai. to aap usse seller se samaan kharide jiski achi rating ho.
Sir ap batao na bo kis jaga likha hota h k ye products sahi ya nhi
aesa kahi nahi lkha hoga. aap product ki detail me hi dekho. jo company ka hai agar bo nahi hai to bapas kar sakte ho
Sir mene aik mobile oder kiya h rar ye h ki bo b agr nakli nikla to kya hoga or sir mene kai jagah jankri li h unn logo yahi bola h k flipkrt se sem prodect bilkul nhi ata h bo log 90% local mal dete h or jabi flipkrt bale koi b prodect chek karake nhi dete h or anepdeel bale sab chek krake dete h
Sir mene office me bola k ye prodect nakli h to bo log bolne lge ab ye apko lena pdega hum kuch nhi kr sakte h y apko shoping krte time sochna chaiye lena h ya nhi
Aap uski detail me dekho jo site par di hai. Agar usme unhone likha hai ki ye product alag bhi ho sakta hai to muskil hai. Dekho kahi chote sabdo me likha hoga. Agar company ka product hai to aap unse kaho agar muje original products nahi mila to me sikayat kar sakta hu
Sir plz bataona k flipkrt se prodect ata h bo nakli hota ua nhi
orignal hai nahi ye to to jo seller saman ko bachta hai uske upar hai. verify seller se saman ene me faida hai.
Sir or apne bataya tha k uski details m dekho products alag b ho sakta h pr mujhe bo kahi dikha nhi h ap batao bo kis jagah pe likha hota h
verify seller kaise jane ?
Sir mene abi flipkrt se shoes magaye h or nakli nikle h jo bajar m kuch or h or flipkrt se aya h bo uske jesa bilkul nhi h
Flipkart me return ki Request dalo. Or usko apni problem batao
sir mughr redmi 2 mobile lena hai pr kisto pr …..problme ye hia ki mere account uco bank mai hai or us main uco bank ki option nhi hai main kese mngvau redmi 2 mobile
Aap other bank ka option select karo, or usme apne card detail daal kar le sakte ho
सर हम आन लाइन शापिंग कंपनी खोलना चाहते है
इसके लिए कौन कौन से रजिस्टेशन जरूरी है और कहा से रजिस्टेशन कराये
Aapko apna business register karana padega Indian government. Se. Bese iski jankari muje nahi hai
I like the blog concept it is rare to have online content in hindi language.
Hello sir apka koi reply nhi aya
Are microsof lumia 640 kharidna h pr mujhe ata nhi h sir online
Sir mujhe mobile kharidna h online
Konsa mobile koi divide kiya kya. Simple aap meri is post ki step ko follow karo. Or aap aasani se kharid sakte ho. Kahi par dikkat aa rahi to to muje batao
Sir mujhe online siping krna h
Aap shopping karna chate ho. Chaiye me batata hu aapko ek post ke jariye. Aap muje ye bataiye ki aap kya kharidna chate ho online me ussi ke Upar ek post likhuga. :)
Sir kiya me apne bank account ki jankari net par dekh sakta hoon pnb par
haa, bilkul dekh sakte ho par uske liye aapke account me net banking chalu hona chaiye. agar net banking chalu nahi hai to aapko phele apne bank me jaa kar net banking chalu karna padega uske baad hi dekh sakte ho.
Sir yahi ki blogspot hatana h or. Com karna h
Aap blogger me Domain ko add karo
Sir mughe apna blog website me change karna he plz sir help kijiye
Kya change karna hai ye batao.
Aapka jo bhi sabaal ho direct bo pucha karo puri detail ke sath.
shipping ka baad delivery boy kab tak saman dene ayega
Yr mene mobile liya tha feb. Ke aas pas asus ka flipkart se or mene id per bill send ho gaya mene vo nikala nahi id se or vo ab id se kafi time hone se delete ho gaya ab me vo bill kaise parapt karu
Yr mene mobile liya tha feb. Ke aas pas asus ka flipkart se or mene id per bill send ho gaya mene vo nikala nahi id se or vo ab id se kafi time hone se delete ho gaya ab me vo bill kaise parapt karu
Yr mene mobile liya tha feb. Ke aas pas asus ka flipkart se or mene id per bill send ho gaya mene vo nikala nahi id se or vo ab id se kafi time hone se delete ho gaya ab me vo bill kaise parapt karu
Atm debid card se on line shopping mei card ka number dene se wo card ka number shopping sites ke pass raheta hi kya? Koi bad mei shopping sites frod to nahi karegi.
Card number unke pass rhata to hai.. par jab ham online payment karte hai to hamare mobile par OTP aata hai wo bhi hona chaiye payment karne ke liye.. fir bhi aap kisi aesi site se naa kharide jo aapko lage farji ho sakti hai.
Sir emi se payment kase dena hota hai