Photoshop ek bahut hi bahtari application hai, iska use kai blogging me infographic design karne me bhi kiya jata hai aur sath me main iska use business me kai log wedding images ko design karne me bhi lete hai.
lekin kai user confuse ho jate hai yah soch kar ki ise kaha se sikhan shuru kare. Kyonki yah baaki tool ki tarah simple bhi nahi hai, yah start me bahut hi complicated lagta hai lekin kuch practice ke bad yah apko samajh aane lagega.
Lekin, ab apko aur bhi confuse hone ke koi jarurat nahi hai, is content me Photoshop ke pahle basic ko clear kiya jaega, jo har topic ka clear hona bahut jaruri hota hai.
Page Contents
- Photoshop Tutorials in Hindi | Basics
- Photoshop ke tool ko samjhe
- Move Tool (Shortcut Ctrl + Hold Click )
- Marquee Tool (Shortcut M )
- Lasso Tool (Shortcut L )
- Magic Wand Tool (Shortcut W )
- Crop Tool (Shortcut C )
- Brush & Pencil Tool (Shortcut B )
- Paint Bucket Tool (Shortcut G )
- Blur Tool (Shortcut R )
- Dodge Tool (Shortcut O )
- Type Text Tool (Shortcut T )
- Shape Tool (Shortcut U )
- Eyedropper Tool (Shortcut I )
- Zoom Tool (Shortcut Z )
- Color Select Tool
- Screen Mode (Shortcut F )
- Layer ko samjhe (Shortcut F7 )
Photoshop Tutorials in Hindi | Basics
Jaisa ki ham sab jante hai, koi bhi course karne se pahle ya kisi bhi subject me exprt banne se pahle uska basic janna bahut jaruri hota hai.
To is content me ham Photoshop ke basic ko samjhege wo bhi achhe tarike se.
To chaliye ise shuru karte hai.
PhotoShop Sikhna Start yaha se kare
Sabhi Points ko achi se dekhe or samje or sath me chala kar bhi dekhege to or acha rahega.
Open File (Shortcut Ctrl+O )
Sabse pahle to sikhte hai ki Photoshop me photo ko kaise open kare. Jiske liye, File > Open me jaye.
New File (Shortcut Ctrl+N )
Jab hame koi new sheet/layer leni hoti hai tab yah use me lete hai. Jiske liye File > New me jaye.
Ab jab hame photo select karni aa gai aur new layer banani bhi aa gai to ab aata hai use edit kare, photo edit karne ke liye Photoshop me kai Tools hai jinhe ham vistaar se samjhte hai.
Photoshop ke tool ko samjhe
Photoshop software ki kamyabi ka kaaran uske tools bhi hai jo bahut bahtarin hai, Photoshop ke tool ke bina koi bhi image edit nahi ho sakti hai.
Photoshop ke tools kuch is tarah se hote hai jo left side me hote hai.
Photoshop ke har version me ye tools same hi hote hai agar aap Photoshop ka CC version use karte hai tab bhi wahi tools hoge, but may be kuch tools new version me extra ho.
Move Tool (Shortcut Ctrl + Hold Click )
Yah kisi bhi layer ko ek jagah se dusre jagah par move karte hai, iska use karte ke liye is par click karke select kare aur layar ko par click karke use hold hi rakhe then uski jagah decide kare ki us layer ko kaha rakhna hai then click chod de.
Marquee Tool (Shortcut M )
Jab apko photo me koi perticular part select karna hai tab yah use kiya jata hai, select karke use delete, us par edit wager koi bhi kar sakte hai.
Is tool ka use karke aap kisi bhi photo ko 4 tarike se select kar sakte hai.
Lasso Tool (Shortcut L )
Ye tool bhi Marquee tools ki tarah hi hai, lekin is tool me kisi bhi image ko achhe se select kar sakte hai, jaise kisi photo me kewal apke background ko hi select karna, kisi particular ko select karna etc.
Jisme teen aur subtool hai, pahle se apni mouse arrow se select hota hai, dusre se state line se select aur teesre se magnet select hota hai, jo ki same color par magnet ki tarah selection ho jata hai.
Magic Wand Tool (Shortcut W )
Is tool se kewal ek particular color se select kar sakte hai. For example apne ye tool select kiya then apka ek pic hai jisme apke hair par click kiya kewal apke hair hi select ho jaege.
Crop Tool (Shortcut C )
Is tool se apni picture ko crop kar sakte hai. For example kisi group picture me apko kewal ek apni hi picture ko main picture banani hai baki sab hatana hai.
Brush & Pencil Tool (Shortcut B )
Is brush tool hai, jisme brush hoti hai jise apne picture par kahi brush aur pencil se mark ka sign kar sakte hai.
Paint Bucket Tool (Shortcut G )
Is tool me ek hi bar me pure layer me color se full kar sakte hai, for example maan lo apka photo ka background ekdam white hai, to ese me aap is tool ka use karke use red bhi kar sakte hai.
Blur Tool (Shortcut R )
Jab apko photo me koi part blur karna ho yaani dhundala karna ho, kai bar hame koi part nahi dikhana hota hai ya kisi kisi aur reason se use blur karne ke liye iska use hota hai.
Dodge Tool (Shortcut O )
Jab hame kisi photo me dark aur light karna hai tab yah tool use me lete hai. Yah lighting aur shadow karne ke liye use me liya jata hai.
Type Text Tool (Shortcut T )
Jab apko photo par koi type karna hota hai us par text karna hota hai yah yah use kiya jata hai.
Shape Tool (Shortcut U )
Yah tool vector me kaam ata hai, yaani graphic designing me kam ata hai is tool se shape banaye jat hai.
Shape tool me shape dene ke bhi bahut option hai lekin end me ek option hai “Custom Shape Tool” ka jaha se kai shape le sakte hai.
Eyedropper Tool (Shortcut I )
Apni photo me kisi bhi color ko point karne me iska use hota hai. For example apko ek photo me koi green color hai apko same wesa hi green color ko target karke koi paint, text etc. karna hai tab wo green color ko choose karne ke liye is tool ka use kiya jata hai.
Zoom Tool (Shortcut Z )
Edit karte wakt zoom karne ki bhi kai bar jarurat hoti hai, tab is tool ka use kiya jata hai.
Color Select Tool
paint, brush, pencil, text etc. in sab tool ka use karte wakt hame ye bhi to dekhna hota hai ki kis color me use rakhe, for example apne text tool ka use kiya jisme apko color bhi select karna hota hai ki kis color me text ko rakhna hai.
Screen Mode (Shortcut F )
Jab screen ke mode ko set karna ho tab is tool ka use kiya jata hai. Jaise koi pic select ki tab use full size karn hai tab isi se hota hai.
To ye sab the Photoshop ke tools, mujhe puri ummid hai ki ye tools apke samajh me aa gaye hai.
Layer ko samjhe (Shortcut F7 )
Suppose karo ki apne ek select karke apni picture ko kisi achhe background par laga di, do ese me 2 layer ho jaege, ek to background aur ek apki picture.
Ese karke jitne shapes, icon, photo ek picture par use karo utne layer bante hi jaege.
Layer ka ek box hamesha Photoshop ke right side me show hota hai, agar apke nahi hua hai ise “F7” press karke bhi laa sakte hai aur remove kar sakte hai.
Abhi hamne Photoshop Ka ekdam basic jana hai, jisme kafi topic maine skip kar diye hai, because ab kuch topic ko agle topic me samjhaya jaega.
Please comment karke yah jarur bataye ki kya apke Photoshop ka basic clear hua hai? apka javab paa kar hame next post Photoshop par likhne me maza aaega.
Ye Bhi aapko padna chaiye:
Badiya jankari hai rohit bhai kitane dino se Photoshop ke baare mai information dhundh raha tha aap ne bata de..
Namste sir ye sab thik hai photoshop size ko kaise set karna hai sir pls reply
Sir mujhe aapki jaankari bahut bahut acchi lagi sir mujhe photography bahut pasand hai….sir but koi sikhane wala nahi hai…..sir lekin mai….photography se hi apna carrier banana chahta hu……Maine aapko sabhi pages ki screen shot li hai….sir ab mai isse apne pc me Photoshop ko sikhunga
sir hamara laptop me photo shop support kiyu nhi karta,,,,,,windos xp laptop hai mera agr koy suppor wala software hai to unka link hme send kar dena bro ya koy or jaankari de do
aap xp q use kar rahe hai .. aap windows dalwa lijiye usme..
Rohit sir mera photoshop creck ho gya hai help me please .clouse .btata hai PLESAE HELP SIR
Kya problem hui wo to pata nahi.. Aap double se install kar lijiye
Sir koi app btao jisse hm ku6 alag alag pic ko ek sath job ske or kisi ko pta bi na chale ki ye alag alag jaga ki hai
1 no bro but hume computer me bilkul kuch nhi aata phle besic shikna hai uski post ho tho send kro bhai
Aapko usme kya Sikhna hai.. Basic band karna chalu karna.. Software open karna ye to aata hoga aapko
hlo frnda kisi ko online photo edit krwana h
to
8738949730 whtsapp pr contact kre
kisi v prakar ka online solution
(1) pic editing
(2)hacking
(3) HTML
(4) phising page
(5) web creating
(6) what du you want
(7)Fb all trick
(8) whtsapp all trick
(9) Erning money
(10) Every thing
kuch v krna ho humse whtsapp prr jude
8738949730
Comment:thnk u sir mre sistm me ye phle instl tha but mujhe use nhi krna ata tha ab ap se sikh lya ha than k you vry much sir
yar photoshop me photo par makeup kese karte hai
Nice post ……..
Thanks sir main aap ko bata nahi Ki mujhe kitna acha feel horaha hai …but Photoshop Ki basic jankari thank you very much …..
Mujhe photoshop me layer samajh nahi ata jb mai 1st layer select kr k background k liye 2nd layer me edit krna chahta hu to wo mujhse nahi ho pata pta nai kaise hoga or tools ko samjhne me jyada prob hota h
mujhe colored pic ko black & white krna hai WO kaise hoga
Nice shar
but photoshop chalaya hai lekin basic nhi jana aapne basic bata di jankary or bad gayi very very thank you broth…
Comment-aapki ye jankari hame bahut pasand aayee thank u brother
Back ground kaise lagya jata
hello Rohit g mai vikash kumar hu air mujhe Photoshop (image ready) me pani(water effect) Kaise chalaye ?
plz…….plz…..plz…….plz….
mene ye Photoshop apne Friend se sikha tha lekin mere samaj me kam aya tha apki jankari se muje pura samaj me a gaya
Bro.mujhe background change ke baare me jaan na hai
beginner ke liye ye kaafi achi jaankari hai, kyuki beginner ke liye photoshop mai kaafi proble aati hai.
thankyou sir aapne bilkul shourt cut tarike me ye sikhaya
Nice job……thanks sir
I have clear basic,,,,,again thanks
tally के बारे मे कुछ जानकारी मिले गा आपसे
Photoshop ka letest version kaha se download kar sakte hai.
ap torrent se kar sakte hai
Sir apne basic ki jankari bhut ache she Di thanks
Thanks Romy
Rohit ji ads by google apne blog me kayese laye
Ye option sirf Adsense ke jo top publisher hai jinki site par acha traffic aata hai uske account me aata hai matched contant ka option.
Bahut badiya rohit sir main kafi dinon se photo editing shikhne chah rha ta apki ye post mere liye kimtee hai
Really Great Infromation….
Kya baat hai bro. bahut achhi jankari hai apki…
vaise mujhe suru se hi photosoap me kam karna achha lagta hai bcz ye photo editing ke liye no.1 software hai…
Agar PhotoShop sahi se chalana aa jaye to iski madad se kuch bhi kar sakte hai.
Rohit, aapke blog ki speed tej hai kaise kar lete hai ?? is bare men hamari bhi kuch help karen
Speed ke liye bhut si chije maine rakhti hai.. Template or usme sirf kaam ke widget use kare.. Agar aapka blog WordPress par hai to aap cloudflare use kare.
Hi
Nisha kya Photoshop mobile me chla sakta hu
Please tell me 9001513770
Hello Rohit sir….mai aapko apna guest post email kiya tha. kya weh aapko mila ya nhi ???.. email kiye 3 din ho gaye… aapko mai facebook par bhi message kiya. lekin shayd aapne mera message nhi pade…sir apna guest post wala email check kijiye…..hope you will give me quick reply and publish my guest post.
thank you !
So good yaar
He Bro..kya aap meri site check kr skte h or agar koi kami h to plz aap mughe bata dijiye
Great job Rohit sir, you are real motivator for newbies like me
Hello rohit bro
kya aap mujhe batayenge ki direct godaddy se website banana theek rahega ya pahle blog banakar use website men badlna theek rhega.
main website ko apne hisab se design karna chahta hoon.
verry nice sir
very nice information for photoshoap.
bhaii jab bhi me template upload karta hu ye naam aata h or mene xml me bhi kar di file “We were unable to save your template.
Your template could not be parsed as it is not well-formed. Please make sure that all XML elements are closed properly. XML error message:
Content is not allowed in prolog.”
Nice Post Rohit related basic of Photoshop.
Hello rohit bro
aap kya mujhe batayenge ki blogger par apna blog banakar use website men badalana theek rahega ya direct godaddy se website banana theek rahega.???
main website ko apne hisab se design karna chahta hoon.aap please mujhe batao aur thoda detail men batao please
Thanku bro photo shop btane k liye Muj photoshop kbhi bhi smj m nhi aya taa apki post Read ker Smj agya photoshop.
Bhai agar mai apne blog ko blogadda pe add karu toh adsense me koi problem v ayegi kya
usse kya problem hogi.. wo ek community hai..
Bhayi mughe bataiye ki sitemap submit karna post ke liye jisse post search me ane lage to mughe konsa sitemap add karna chahiye (atom.xml?redirect=false&start-index=1&max-results=500)
Ya ye- (sitemap.xml) plz bro jaldi batana
Bahut achha laga
Vary good sir
waise mai vi photosop me expart hu
ye to bhut achi baat hai.. :)
Hlo rohit bhai mere site bn gyi hai jo helphindise.blogspot.com hai plzz open karke batana maine template upload kiya tha menu bar main kuj or hi ah rha hai jese
Home Bussunesa news esse main isme apni marji ka kaise daalu plzz help bro
Sir apne photoshop ki basic jankari bahut acche se samja di hai. new user ko ye jankari bahut kaam aygi …. i am waiting for more detail… thnx
:)
sir ek baat bataiye.hum aapkr post ko google me jab bhi dekhte hai to
pehle to aapke post ka title hota hao fir -aapke site name hota hai.aise -hindi me help.to sir ise kaise likhte hai
kaise kare ski jankari yaha hai