Agar aap Internet ka Use karte hai ya aapke pass koi Smart Phone hai to ho sakta hai aapne kahi na kahi Podcast Sabd jarur dekha ya suna hoga.. ya ho sakta hai aap Podcast Sunte bhi hoge.. Y ho sakta hai Aap pehli bar Podcast Sabd sunn rahe hai to bhi koi baat nahi, Iss Post me aapko Podcast se sanbandit puri jankari Share ki hai.
Page Contents
Podcast Kya hai in Hindi
Podcast meaning in Hindi hota hai Internet ka Radio, matlab ye radio ki trha hi hai jisme sirf Audio sunai deta hai. Wass Radio or Podcast me ye antar hai ki Podcast ko Koi bhi kabhi bhi Internet ki madad se sunn sakta hai par radio me aesa nahi ho sakta.
Internet ke aane ke baad, hamari roj-mrra ki bhut si chijo me badlab hua hai, Agar kisi ko koi jankari chaiye ya apna manoranjan karna hai to wo Internet ki madad se badi aasani se kar sakte hai.
Jab bhi kisi ko koi jankari chaiye hoti hai to wo Youtube par Video dekh kar ya kisi website par article read karke Jankari lete hai tikh ussi trha Podcast sunn kar bhi jankari le sakte hai.
Podcast Kya hai wo aap yeh Podcast sunn kar bhi jaan sakte hai.
Agar baat kare Podcast ke Future ki to aage chal kar jada tar log Podcast hi sunna jada pasand karege. US, UK me sabse jada Podcast hi suni jati hai par agar baat kare India ki to abhi yaha ki local janta jada nahi sunti.. par aane wale Time me Podcast hi sabse jada suni jayegi.
India me bhut se aese Podcast Platforms hai jiske 10+ Millions se jada Apps Download ho chuke hai, to aap isse andaja laga sakte hai..
Podcast Sunne ke Fayde
Podcast sunne ka sabse bada fayda hai Time ki bachat.. Jese maan lijiye aap khana bana rahe hai ya Car Drive kar rahe hai to aese me aapka jitna time usme lagna hai wo to aap kam nahi kar sakte.. par uss time me aap Podcast sunn kar apna knowledge bada sakte hai.
Podcast Kab sunn sakte hai
- Gym karte time
- Car Drive karte time
- Aaram karte time
- Khana banate time
- Free Time me
- Matlab kabhi bhi ham Podcast sunn sakte hai..
Podcast Kaha Sunn sakte hai
Podcast wese to aap kisi bhi Popular Podcast Platform par sunn sakte hai. jese Apple Podcast, Google Podcast, Spofity etc.. kyuki Podcasts me ye bhi ek fayda hai ki ham apni Podcast ko kahi bhi host karke usske RSS ki madad se dusre Platform par bhi share kar sakte hai..
Jese agar aapko hamari Podcast HMH ki Baat Rohit Mewada ke sath! sunna hai to aap inn Platforms par sunn sakte hai, jisme me daily ek Podcast Publish karta hu.
*Agar aap Daily Internet ki jankari chate hai to jis bhi Platform par aap Podcast sunte hai waha HMH Podcast ko Subscribe jarur kare..
HMH Podcast Platform | Play Podcast |
---|---|
Apple Podcast | Play |
Google Podcast | Play |
Breaker | Play |
CastBox | Play |
OverCast | play |
RadioPublic | Play |
Spotify | Play |
Stitcher | Play |
Anchor.fm | Play |
headfone.co.in | Play |
Ab aap ye to samaj gaye ki Podcast kya hai or iske kya fayde hai.. or ab aapko ye bhi lag raha hoga ki muje bhi Podcast sunni chaiye faltu time barbad karne se acha..
Issi ke sath agar aapko bhi apni Podcast Start karni hai to aap kar sakte hai wo bhi bilkul free me.. kaise kya karna hai uske liye Steps Follow kare.
Podcast Kaise Banaye
Podcast banane ka ek fayda ye bhi hai, ki agar aap Video banane me camera ke samne aana acha nahi lagta par aap apni baat logo tak phuchana chate hai to wo aap Podcast ki madad se but badiya tarike se kar sakte hai.
Podcast banane ke liye hame kuch chijo ki jarurat padegi, unka use karke hame Podcast record karke Publish karna hai..
Podcast Banane ke liye kya kya chaiye
1. Mic
Podcast Record karne ke liye sabse jada jaruri hai acha Mic, Kyu ki agar audio hi acha nahi hoga to koi hamari Podcast sunna pasand nahi karega..
Dhiyan rahe aap Podcast sant mahol me record kare.. agar aap jaha rehte hai waha sor saraba jada hai to me aapko suggest karuga aap raat me record kare.
Wese to aap Mobile ke sath jo earphone aate hai unse bhi record kar sakte hai, unse bhi tik thak record ho jata hai.. par me aapko suggest karuga aap koi badiya sa mic le or usse Podcast ko record kare..
agar aapko Saste me sabse best Mic chaiye to aap Boya By M1 Mic le sakte hai jo 800 rupee ke andar mil jayega.. Dhiyan rahe market me iske Duplicate Mic bhi milte hai.. aap original mic hi le.. uske liye aap niche di hui button par click karke le sakte hai, jisme mene Trusted seller ka link diya hai.
2. Audio Editor
Podcast ko record karne ke baad, kahi recording me koi galti hui ho ya background me koi Noise aa raha ho to wo aap Audio Software ka use karke hata sakte hai.. iske liye sabse best Software hai Audacity jo ki bilkul free software hai.
3. Podcast Hosting Platform
Podcast ko Record karke uski editing ko complete karne ke baad, ab hame usko Host karna hai kisi Podcast Platform par.. wese to online bhut se Podcast Platform uplabd hai par wo kuch charge karte hai ya pure feature nahi milte free plan me..
Jo mera pasand ka Platform hai wo hai Anchor.fm jo bilkul free hai. or iski ek khas baat or wo ye ki iska jo Mobile App hai usme Direct bhi Record kar sakte hai or Background Music bhi laga sakte hai..
Anchor.FM Website par account banane ke baad, aap badi aasani se Podcast bana sakte hai.. uske baad aap Episode ki trha apni Podcasts usme upload karke Publish kar sakte hai.. Agar aapko Usme koi dikkat aati hai to aap Comment karke puch sakte hai.
Podcast Kis Topic par banaye
Agar aapko samaj nahi aa raha kis topic par Podcast banaye, to aap sabse pehle ye dekhe ki kis topic me aapka interest hai or kis topic ke ware me aap apni Podcast me share kar sakte ho.. wo kuch bhi ho sakta hai..
ye kuch Topic jinpar aap apni Podcast Start kar sakte hai:
- Motivational
- Love Story
- News
- Technology
- Live Hacks
- Personal
- Entertainment
Podcast banane ka kya fayda hai.
Aap agar abhi tak Post ko read kar rahe hai to aap ye to samaj gaye hoge, ki Podcast ka Future hai.. or aese me agar aap bhi apni Podcast Publish karte hai to Log aapse judege or aapko follow karege, aapki baat manege..
Jese Instagram se log paise kamate hai, jitne jada followers utne jada paise.. tikh ussi trha Podcast se bhi paise kama sakte hai.
Podcast se Paise kaise kama sakte hai
i ) Sponsor
Agar aapki Podcast ke Followers ache hai to Companies khud aapse contact karegi, ki ham aapko itne paise dege aap apne product ya service ke ware me apni Podcast me baat kare..
ii ) Subscription
Podcast aap Public Publish karne ke bajaye Private Podcast bhi Publish kar sakte hai, jisme aap user ko Monthly Subscription par add kar sakte hai..
Jese 300 rupee per month or agar 100 logo ne bhi aapki Podcast ko join kiya matlab,
300 x 100 = 30000 INR 😍
iii ) Branding
Podcast ki madad se aap apni Brand ko build kar sakte hai, ek bar brand banne ke baad to hajaro raste open ho jate hai Paise kamane ke..
Wese Podcast se paise kaise kamaye, uske ware me ham kisi alag Post me Detail me baat karege.. abhi aap wass itna dhiyan rakhiye Paise sirf aapko jab milege jab jada se jada log aapki Podcast ko sunege karege.. to me aapko yahi suggest karuga abhi aap Paise par dhiyan ke bajaye Badiya Podcast Publish kare..
Abhi moka hai, aap kuch bhi Podcast Publish karege, to computation bhut kam hai to aapki Podcast Search me bhi aaram se aa jayegi.. or ye to aap jante hi hoge jo bhi log pehle start karte hai wahi sabse aage hote hai..
Tip: Agar aapki Website hai wo aap apni Podcast ko apni Post me bhi embed kar sakte hai, taki aapke user jo bhi jankari chate hai wo Podcast sunnkar bhi le sake.. usse aapke user bhi khus ho jayege..
At Last:
Ummid hai ab aap samaj gaye hoge, Podcast kya hai or kaise ham apni Podcast Publish kar sakte hai.. agar abhi bhi aapka Podcast se related koi question ho to aap comment karke puch sakte hai..
Me to aapko yahi suggest karuga aap Daily Podcasts sunns start kar dijiye or apni Podcast bhi start kar dijiye..
or haa Agar aapne apni Podcast Publish ki hai Anchor.FM par to muje uspar Audio message karke bhi uski jankari jarur de.. muje bhut khusi hogi..
Happy Podcasting…!
This post very good ,& good information this site . and my site is all Types full form blog so visit this site atozfullform.com
What is full form of EdDED full form site is all well’s
Very nice post sir ji.
बहुत ही अच्छी post लिखी h आपने। मजा आ गया पढ़कर। धन्यवाद।
पहली बार इस शब्द का नाम सुना थोड़ा सा अटपटा लगा सोचा आपके साइट पर पूरी जानकारी मिलेगी और मुझे पूरी जानकारी मिले थैंक यू सो मच रोहित भाई
Welcome :)
Great information very helpful
Thanks bro nice article
bahut he badiya jankari di hai apne podcast ki.
Thnxz rohit Sir Me Apka 2016 se visitors hu bhut hi accha post laga muje
Great Post..
Thank you so much for this valuable information.
सर ज़ी बहुत अच्छे तरीके से एक और नई जानकारी समझा दी धन्यवाद 💖
Ek post PBN Backlink par bhi likhiye…
Kese banate hai kese use kre ye sab…
Great info Sir ji.
Sir main ne Guest post ki hai please review kr k bta dein approve ho gi k nahi.
Good post
bahut he badiya jankari di hai apne podcast ki.
Thank You
iam visit first time This Blog
nice UseFul Blog
Aap ne bahut achhi jankari di hai sir me aapka bahut bad fan hu aapke blog ko padh ke mene apna blog banaya hai aap hi mere blogging teacher ho thanks sir…
Thanks
Very Useful Information Rohit Bro
Sir ji apne bahut he badhiya jankari pradan ki hai. aise he unique chizon ke bare me articles likhe. dhnyawad
रोहित जी बहुत अच्छी जानकारी देने के लिये आपका शुक्रिया। हम भी जल्द Podcast शुरू करेंगे।
Bahut din bad kuchh Naya sikhane Jo Mila ….
Thank u sir ji………
एक नई जानकारी पढ़ने के लिए मिली धन्यवाद सर जी
M HMH ko kafi time se janti hu or aapko bhi pr buch m artical nhi pd paa rhi thi pr kuch dino phle se hi m dekh rhi thi k artical k buch m products knha se ata h m youtube m bhi khoji khir aap aaj y artical publish hi kr diye thanks
Or y baat m study….Ya amezon k product k baare m bhi broadcast kr skti hu kya interest mujhe 2no chij m h
Rohit ji aap tarh mai blog par postcast kaise laga sakte hai.
embed kiya hai.. jab aap share karege podcast ko to waha aapko uska code milega.
Very good information bhai
Thanks
Great information…
Amajing post nd bahut knowledgeable thi thank you ❤
Thanks Mateeb 😊
Bahut achhi post bhai aur apki writing skill to kmal ki hai..
Aur kya mai study se related podcast bhi bna skta hu.. ya jaise kisi exam ka syllabus cover kr skta hu.. aur agr m kisi book se padhkr podcast bnata hu ya kisi blog ko pdhkr to kya usse copyright aa skta hai ya nhi… Aur agr aa skta hai to uska solution kya hai..
Hii Nikesh,
Thanks for your complement..
Aap Podcast bana sakte hai jitne bhi point aapne bataye unpar.. Koi issue nahi. Wass sabme aapka main focus hona chaiye ki aap Podcast share kar rahe ho uska maksad kya hai.
Jese aap books ki summary podcast me share kar sakte ho.. Or unki affiliate link discription me share kar sakte ho.. Jisse koi bhi wo book kharide to aapko uska commission mile.
Or aap Podcast ke liye kahi se kuch data le rahe hai.. Agar aap uska credit bhi de dege.. To aapke liye or samne wale ke liye or jada acha hoga.