Flipkart Success Story in Hindi

Flipkart india ki ek leading E-Commerce company hai jispar ham online kuch bhi kharid sakte hai ghar bhethe aur aaj ki date me ye india ki top successful companies me se ek hai. Aaj is post me main aapke sath Flipkart ki hi success story share karne ja rha hoon jise padhkar aap kafi inspire honge.

Flipkart kitni Success hai uska andaja ham in bato se hi laga sakte hai ki Flipkart site ki Alexa Rank 7 hai India me, 15000 log kaam karte hai flipkart me, or 1$ billon kimat hai flipkart ki jo din wa din or badti ja rahi hai.. To fir aaiye jante hai Flipkart ke ware me.

Advertisements

Also Read:

Page Contents

Flipkart ki Success Story in Hindi

flipkart ki success story in hindi kaise flipkart site bani or kaise kya huaa uski jankari in hindi

Flipkart Basic Introduction:

Flipkart ki shuruaat 2007 me ki gayi thi jab India me e-commerce industry apne pair jamana shuru kar rahi thi. Flipkart Company Singapore me registered hai, lekin iska headquarters Banglore, India me hai. Flipkart Online Services Pvt. Ltd ke naam se register hai company.

Flipkart Owner History in Hindi:

Flipkart ke founder Sachin Bansal aur Binni Bansal hai joki pehle Amazon.com ke liye kaam karte the, usi dauran unke dimaag me india me ek e-commerce company start karne ka idea aaya. Sachin bansal aur Binni Bansal dono hi IIT Delhi ke student rahe hai aur dono hi Chandigarh se belong karte hai. Unhone apni khud ki company start karne ke liye amazon company choad di.

Flipkart ki Shuruaat:

flipkart phele books sale karne ke liye thi baad me sabkuch sale hone laga uspar

Shuruaat me Flipkart par kewal books hi bechi jaati thi lekin dhire dhire iska vistaar hua aur jald hi is par wide varities ki chijen bechi jaane lagi. Flipkart Indian e-commerce industry me ek aakarshak tarike se ubhri.

Jaise jaise flipkart growth karti gayi vaise vaise iske liye bahut saare investors badhne lage. Flipkart ne investors ke vishwas ko kayam rakhte hue kmaal ka pardarshan kiya. 2008-09 me karib 40 million rupees ki total sale ki. Aur agle hi saal yeh badhkar 200 million rupees ho gayi.

2 Major Problems:

Jis dauran Flipkart ki shuruaat hui thi us time par kisi bhi e-commerce company ko do badi dikkaton ka saamna karna padta tha. Pehli difficulty thi online payment ki, bahut saare log online payment nahi karna chahte the, aur online payment gateways setup karne me dikaat aa rahi thi. Isliye flipkart ne cash on delievery option introduce kiya. Flipkart pehli aisi company thi jisne payment ke liye cash on delivery option launch kiya tha. Aur aaj ki date me sabhi indian e-commerce companies is payment option ka istemaal karti hai.

Dusri problem sabhi chijon ko time par deliver karne ki thi. Saaman ko time par deliver karna bhi ek aisa factor hai joki ek e-commerce company ki success ko nischit karta hai. Flipkart ne is samasya ka smadhaan kiya apna khud ka supply chain management system launch karke, jisse products ko time par deliver karne me aasani ho gayi.

Dusri Companies ko Kharidna:

Flipkart-Myntra-ne hath milaya
Sachin aur Binny Bansal Myntra ke founder Mukesh Bansal ke sath

Flipkart ne market me apni mojudgi ko aur behtar karne ke liye other companies ko bhi acquire kiya jaise myntra.com aur letsBuy.com, Chakpak.com etc. Amazon company ki bharat me entry hone ke baad in dono companies me market me apni value badhane ke liye kada competition hai.

Flipkart ki Chote se book’s e-retailer se lekar india ki largest e-commerce platform banne ki journey bahut saare startups ko inspire karti hai. Aaj ki date me Flipkart ki fresh capital 1 billion dollar hai aur ismen 14000 se jyada employees kaam karte hai.

Flipkart ke co-founder Sachin bansal apne ek interview me btate hai ki jab flipkart ki shuraat hui thi tab ve banglore ki roads par jaakar books ke small distributors se orders lete the. Apni marketing strategies ko yaad karte hue ve btate hai ki-

“hum church street me gangram books store ke baahar khade rehte the aur us store se baahar nikalne vale logo ko flipkart ka bookmark dete the. Apni targeting ko dhyaan me rakhte hue hum kewal unhin logo ko bookmarks thamate the joki store se books purchase karke nikalte the.”

flipkart history in hindi

flipkart ki success story in hindi infografy
Journey of Flipkart (Infographics by Yourstory)

Flipkart Success Story in Hindi Video

Recently Flipkart ko Walmart ne kharida hai, 1lakh Crore Rupee me.. jisse aap andaja laga sakte hai, 2 lakh se start hua ek business kaha se kaha phuch sakta hai.

To doston aapko flipkart ki success story kaisi lagi? Hame comment ke jariye jarur btaye aur agar aapko ye post pasand aayi ho to ise apne friends ke sath social media par bhi share Karen.

Ye Bhi Pade:

Share on:

Hello Friends, I'am Rohit Mewada .. HMH ka Admin. Muje Logo ki Help Karna Acha Lagta hai or Is website Par Me Logo ki Hindi Me Help karta hu :)  Read More...


Leave a Comment

Please Read HMH Comment Policy before Comment.

39 thoughts on “Flipkart Success Story in Hindi”

  1. Waw really me aap kuchh naya likhte hai .
    Aapki sari taglines padhkar bahut khushi hui…
    Hum ummid karte hai ki aap apne daily reader ko kabhi khamosh nahi rakhenge aur hamesha kuchh naya likhenge..
    Thank you

    Reply
  2. Sir me apne laptop me usb cable connect kr raha hun to bo randomly disconnecting aur reconnecting ho rahi hai aur kai cable check kar li sbke saat yahi ho raha hai. Kya karu?

    Reply
  3. Ser me paypal pr account bnana hai aur me ye janna chata hun me bina pan card,account number,debite/credit ke bna lun aur aus pr payment le lun aur usse shopping bgera kr skta hun.

    Reply
  4. Rohit bhai aap inspire and motivation story post is se kbhi kbhi ye lgta ki aap ek ache motivational speaker bhi ban skte ho wese bahut achi post h ye thanks for this Amways support #HMH

    Reply
  5. wakai bahut achhi, lagi Thoda Kuchh post me Kami Rahi, Iske Bare me Kuchh Aur Bhi add karte , uske bad bhi jabardast lagi.

    Reply
  6. Good Srory mere sir je apke jankari ke liye bata du ki Aapke likhne ka tarika 1no.. ka lajwab hai.. Padhna start krta hu to nahi padhne ka man hote huwe vi pura padh jata hu..

    Aur sabse accha lagta hai ki Apki story padne ke bad bhulta nahi hu…

    Jaise abhi tk Mark zuckarburg ke bare me likhi ak-ak bat yad hai….

    Waise dimag vi hai mere pas apke likhne me koi jyada kamal nahi hai…

    jo padh leta hu bhulta nahi esliye..

    phir vi Thakns apko…..

    Reply
    • ❝ ये बात हवाओं को भी बताये रखना,
      रौशनी होगी चिरागों को भी जलाये रखना,
      लहू देकर जिसकी हिफाजत की हमने,
      ऐसे तिरंगे को सदा दिल में बसाये रखना। ❞

      Reply
  7. Rohit sir maine aaj hi adsense me apna account banaya sab kuch acheh se follow kiya par jab blogger ke dashahbord me ham adsense ke option me ham adsense ka ad par yes or ad kaha dikhana hai wo style par click kar ke jab saheje settings par click karte hai to nhi ho raha
    waha par ye bata raha hai…Aap setting nhi sahej sake,,, ye bata raha hai ab aisa kiyu ho raha hai plz aap mera help kijye…..

    Reply
  8. bro…aap mujhe infographics create karne ke liye kitne rupees pay karenge ……. Jab aap mera infographics dekhenge to aap khud samajh jayenge ki usme maine kitni mehnat ki hai…

    Reply