BidVertiser (A Division off Bpath,LTD) ek bhut purani PPC (pay per click) ki site hai jo 2003 me start hui thi Adsense ke lagbhag sath me. Me is post me bilkul bistar se bataoga ki BidVertiser kya hai or kaise kya hota hai. isse pehle ki aap is website se jude ye baate jaanna jaruri hai aapke liye.
Hum jante hai ke Ads hamari websites or Blogs ke liye kitna jaruri hota hai paisa kamane ke liye. Me aapse khana chahuga ki is post ko padne se pehle apne dimag ko thoda fresh kar le Q ki ye post thodi lambi hai. Me is post me puri kosis karunga ki aapke har sawaal ka jawaab aapko de saku is post ke end tak.
Page Contents
Account banane ke liye yaha jaye or jaldi se apna account approved karaye
BidVertiser Kya Hai ?
BidVertiser alag PPC (Pay Per Click) network hai jo har bar visitor ke click karne par paysa deti hai jisse ham apni website ya blog par lagate hai.
Visitor agar ads par click karta hai or fir jo agla page khulta hai agar bo us page me interest leta hai matlab jo agle page me khulta hai – form ko fill karta hai, koi product leta hai to hamari commision hoti hai bo double ho jati hai. to hamesa chance hota hai double earning ka par bo visitor par nirbhar karti hai.
BidVertiser Kaam kaise karta hai
Ye kuch tarike hai BidVertiser ke. jo usko sabse alag karte hai.
- Jo Advertisers hote hai bo apni site ya blog ke promotion ke liye BidVertiser ko Paise dete hai or khate hai ki hamari is site ka promotion karo
- Fir BidVertiser uski site ko check karta hai or pir usko uski category me set kar deta hai.
- jab koi visitor unki website par jata hai to unki income hoti hai or usme se kuch commission BidVertiser ke paas aata hai.
- Publisher (yani ham) har mahine ki aakhri tarik ko hamari commission hamare paas aati hai.
BidVertiser Par Account ke liye kya-kya chaiye
Is par Publisher ke account ke liye ye hona jaruri hai,
- Ek Email ID: Is je jariye hi ham apne BidVertiser account me login kar sakte hai.
- PayPal Account: Hamari jo income hoti hai bo ham paypal ke jariye hi le sakte hai. Agar aapka paypal account nahi hai to ye post padiye – PayPal par account kaise banate hai
- Blog/Website: Blog ya website hona bhi jaruri hai q ki BidVertiser hame jo ad ke code deta hai ham bo inhi par lagate hai. Agar aapka koi blog nahi hai to aap bana sakte hai blogger par bilkul free. kaise banaye uski puri jankari yaha par hai Free Blog/website banao
Payment kaise milti hai
Sabse achi baat BidVertiser ki ye hai ki iski sabse kam payment le sakte hai to jo naya account banate hai agar unki income kam hoti hai jab bhi bo apne paise le satka hai. Ye kuch tarike hai Payment lene ke
- PayPal – Kam Se Kam $10
- Western Union – Kamse Kam $100
- Check – Kamse Kam $100
- Wire Transfer – kamse kam $10
BidVertiser ki Payment proof
ye company bahut dino se chal rahi hai or iske bhutse payment proof aap net par dekh sakte ho. ye raha mera payment proof
Bidvertiser ab Free Hosted Site Support nahi karta, matlab agar aapko ads lagana hai to phele blog me domain add karna hoga
BidVertiser par account kaise banaye
to aap teyaar hai apni site ya blog par ads dikha kar Paise kamane ke liye. Account banane ke liye ye steps follow kare.
- BidVertiser ki site par jaye. Site par jane ke liye yaha click kare Click Here
- fir “Join Now – It’s FREE!” ki button par click kare
- ab jo form khulega usko sahi bhare
- Email id daane ke baad ek code aayega aapke account par usko bhi is form pr daalna hai conformation ke liye. Pura form bharne ke baad Continue ki button par click kare.
- Ab aap ka BidVertiser account teyaar hai
>> Create Account in BidVertiser <<
BidVertiser ka Code Blog par Kaise lagate hai
Ab ab aapka account to ban chuka hai. apna account me login kijiye. login karne ke baad in steps to follow karo.
Is Image me jo number hai un ke bare me niche likhe hai
- Add New BidVertiser par click kare
- Add New BidVertiser under new domain par click kare.
- Ads ka Tital de. (Aap jis blog website par is ads ko dalna chate ho bo daale)
- Apne Blog ki URL dale
- Agar aap ka jo website hai agar usma main url agar or kuch hai to yaha apna link dale warna isko khali chod de.
- Apne blog ki bhasa chune jo bhi ho. agar hindi to hindi chune or agar English to english chune, ya koi bhi ho
- Apne Blog website ka category chune ki aapka kis topic par hai.
- Eske baad yaha par or category aa jayegi un me se apni blog/website se jo sambandh rakhe usko chune. (Agar aapne galat category chuni apni website/blog ke liye to uspar jo ads aayege bo aapki site par hai usse alag aayege, isliye sahi chune)
- Last me Finish ki button par click kare. Ab aapki website to jud chuki hai BidVertiser pe.
- ab BidVertiser center par click kare
Agle page par aap dekege ki aapki site list me aa jayegi hai.
- Aap apni site me alag alag size ke ads lagane ke liye uski sub categry banale. pichli process ko dorha kar.
- List me site ko select karne ke baad Chose Template ki button par click kare. ek popup page khulega usme se apne ads ka size chun le fir Update ki button dabaye.
- Get Ad Code ki button par click kare fir ek popup page khulega. uspar ek code hoga usko copy kare or apne blog par jaha aap chate hai bha paste karde.
Ads ke Code ko Copy karne ke baad kaise apne blog par jodte hai ye jaanne ke liye yaha click kare.
Very good article shared, thanks for this.
Thanks for the great post
Great info you shared, Thanks for share such type of precious info.
Hi dear,
It is a really in-depth article. Even though I had a blog, this article provides inspiration to continue the journey. Thanks for sharing and keep rocking.
Adsense pr farak pdta hai? Mene infolinks ka try kiya but ad revenue thoda km ho gya,
direct to nahi.. par simple se baat hai adsense me jada earning hoti hai.. to uski jagah low cpc wala ad lagayenge to earning to kam hogi hi.
thanks bro
Amazing post, I was fascinated by the insight! Thanks for sharing that deep insight of bidvertiser.
~ Nadia