BidVertiser (A Division off Bpath,LTD) ek bhut purani PPC (pay per click) ki site hai jo 2003 me start hui thi Adsense ke lagbhag sath me. Me is post me bilkul bistar se bataoga ki BidVertiser kya hai or kaise kya hota hai. isse pehle ki aap is website se jude ye baate jaanna jaruri hai aapke liye.
Hum jante hai ke Ads hamari websites or Blogs ke liye kitna jaruri hota hai paisa kamane ke liye. Me aapse khana chahuga ki is post ko padne se pehle apne dimag ko thoda fresh kar le Q ki ye post thodi lambi hai. Me is post me puri kosis karunga ki aapke har sawaal ka jawaab aapko de saku is post ke end tak.
Page Contents
- Account banane ke liye yaha jaye or jaldi se apna account approved karaye
- BidVertiser Kya Hai ?
- BidVertiser Kaam kaise karta hai
- BidVertiser Par Account ke liye kya-kya chaiye
- Payment kaise milti hai
- BidVertiser ki Payment proof
- BidVertiser par account kaise banaye
- BidVertiser ka Code Blog par Kaise lagate hai
- Aage ham jaanege:
Account banane ke liye yaha jaye or jaldi se apna account approved karaye
BidVertiser Kya Hai ?
BidVertiser alag PPC (Pay Per Click) network hai jo har bar visitor ke click karne par paysa deti hai jisse ham apni website ya blog par lagate hai.
Visitor agar ads par click karta hai or fir jo agla page khulta hai agar bo us page me interest leta hai matlab jo agle page me khulta hai – form ko fill karta hai, koi product leta hai to hamari commision hoti hai bo double ho jati hai. to hamesa chance hota hai double earning ka par bo visitor par nirbhar karti hai.
BidVertiser Kaam kaise karta hai
Ye kuch tarike hai BidVertiser ke. jo usko sabse alag karte hai.
- Jo Advertisers hote hai bo apni site ya blog ke promotion ke liye BidVertiser ko Paise dete hai or khate hai ki hamari is site ka promotion karo
- Fir BidVertiser uski site ko check karta hai or pir usko uski category me set kar deta hai.
- jab koi visitor unki website par jata hai to unki income hoti hai or usme se kuch commission BidVertiser ke paas aata hai.
- Publisher (yani ham) har mahine ki aakhri tarik ko hamari commission hamare paas aati hai.
BidVertiser Par Account ke liye kya-kya chaiye
Is par Publisher ke account ke liye ye hona jaruri hai,
- Ek Email ID: Is je jariye hi ham apne BidVertiser account me login kar sakte hai.
- PayPal Account: Hamari jo income hoti hai bo ham paypal ke jariye hi le sakte hai. Agar aapka paypal account nahi hai to ye post padiye – PayPal par account kaise banate hai
- Blog/Website: Blog ya website hona bhi jaruri hai q ki BidVertiser hame jo ad ke code deta hai ham bo inhi par lagate hai. Agar aapka koi blog nahi hai to aap bana sakte hai blogger par bilkul free. kaise banaye uski puri jankari yaha par hai Free Blog/website banao
Payment kaise milti hai
Sabse achi baat BidVertiser ki ye hai ki iski sabse kam payment le sakte hai to jo naya account banate hai agar unki income kam hoti hai jab bhi bo apne paise le satka hai. Ye kuch tarike hai Payment lene ke
- PayPal – Kam Se Kam $10
- Western Union – Kamse Kam $100
- Check – Kamse Kam $100
- Wire Transfer – kamse kam $10
BidVertiser ki Payment proof
ye company bahut dino se chal rahi hai or iske bhutse payment proof aap net par dekh sakte ho. ye raha mera payment proof
Bidvertiser ab Free Hosted Site Support nahi karta, matlab agar aapko ads lagana hai to phele blog me domain add karna hoga
BidVertiser par account kaise banaye
to aap teyaar hai apni site ya blog par ads dikha kar Paise kamane ke liye. Account banane ke liye ye steps follow kare.
- BidVertiser ki site par jaye. Site par jane ke liye yaha click kare Click Here
- fir “Join Now – It’s FREE!” ki button par click kare
- ab jo form khulega usko sahi bhare
- Email id daane ke baad ek code aayega aapke account par usko bhi is form pr daalna hai conformation ke liye. Pura form bharne ke baad Continue ki button par click kare.
- Ab aap ka BidVertiser account teyaar hai
>> Create Account in BidVertiser <<
BidVertiser ka Code Blog par Kaise lagate hai
Ab ab aapka account to ban chuka hai. apna account me login kijiye. login karne ke baad in steps to follow karo.
Is Image me jo number hai un ke bare me niche likhe hai
- Add New BidVertiser par click kare
- Add New BidVertiser under new domain par click kare.
- Ads ka Tital de. (Aap jis blog website par is ads ko dalna chate ho bo daale)
- Apne Blog ki URL dale
- Agar aap ka jo website hai agar usma main url agar or kuch hai to yaha apna link dale warna isko khali chod de.
- Apne blog ki bhasa chune jo bhi ho. agar hindi to hindi chune or agar English to english chune, ya koi bhi ho
- Apne Blog website ka category chune ki aapka kis topic par hai.
- Eske baad yaha par or category aa jayegi un me se apni blog/website se jo sambandh rakhe usko chune. (Agar aapne galat category chuni apni website/blog ke liye to uspar jo ads aayege bo aapki site par hai usse alag aayege, isliye sahi chune)
- Last me Finish ki button par click kare. Ab aapki website to jud chuki hai BidVertiser pe.
- ab BidVertiser center par click kare
Agle page par aap dekege ki aapki site list me aa jayegi hai.
- Aap apni site me alag alag size ke ads lagane ke liye uski sub categry banale. pichli process ko dorha kar.
- List me site ko select karne ke baad Chose Template ki button par click kare. ek popup page khulega usme se apne ads ka size chun le fir Update ki button dabaye.
- Get Ad Code ki button par click kare fir ek popup page khulega. uspar ek code hoga usko copy kare or apne blog par jaha aap chate hai bha paste karde.
Ads ke Code ko Copy karne ke baad kaise apne blog par jodte hai ye jaanne ke liye yaha click kare.
Anandfzd.blogspot.com ye mera blog h
Mai bidverster se code to copy kr leta hu lekin use blog me paste krne me khi galti kr RHA hu kuch samajh nhi aa RHA h
Please help me.
Blog me ad nhi LGA pa RHA hu.
Paste krne ka step by step bataye .
Kbhi aap khte ho add a gadjet me copy kro
Kabhi khte ho ki post editor me HTML me paste kro
Aap hi batao kha paste kru?
haa to aap dono jagha kar sakte hai.. widget me code ko dalege to post ke side me aayega or post ke html me to post me aayega.. aap thoda wait kare.. bhut logo ko isme problem aa rahi hai.. me video bana kar batane ki kosis karta hu..
Rohit brother…
Bidvertiser k ads apni site ya blog par kaise lagate hai….??
usme option aata to hai..mene bataya to hai.. agar aapko blog add karne me dikkat aa rahi hai to bataiye.. me iska video bana kar aapko samjane ki kosis karuga.
Sir, actullay mujhe jaana tha hum kisi aad ko blog me daalte hai… fir kiite log usko click karne se hume money milta hai……
Prakash ji, ye koi fix nahi hai… aap apne income ke hisab se andaja laga sakte ho kitne milte hai aapko.. ache bhi il sakte hai ya fir bhut kam bhi..
sir naya naya bloger account banaya hai .kya hum google adsence or bidvertiser dono ka liye apply kar sakte hai
bidvetiser or adsense ko ek sath use nahi kar sakte.
Rohit kya hum apni free wordpress site pr ise use kr skte hai or agr kr skte hai to ise kaise use karenge maine wordpress pe free b anai hai
nahi kar sakte, aap blogger par banaye agar aapkofree me use karna hai to..
bidverster code ko blog me paste krne me liye
code ko add a gajjet me HTML me open krne ke bad past krne ke baad kya blog me bhi paste krna past h
agar ha to kha
anandfzd.blogspot.com ye mera blog h
please cheak karke bataye step by step
please dost
Rohit aap mujhe batayenge ki free wordpress pe ise kaise use karenge or ise karne k liye km se km kitni posts or pages hone chahiye. kyuki maine abhi kuch din pehle hi free wordpress site banai hai or usme jada posts nhi hai 21 posts hai or 2 page hai
Deepak iski koi value nahi hai ki kitni honi chaye, agar e post ha par bo itni achi hai or itni ifmoratic hai ji log usko search karte hai to aap ek post se bhi ache paise kama sakte ho,… Me aap ko suggest karuga ki agar aapko free service use karni hai to aap blogger par apna blog banaye. ya fir wordpress par hosting le kar apna blog banaye q ki free wordpress me bhut si limitation hai…
Achha thanks Rohit aapki valuable knowledge k liye…….agar mai blogger pe blog banata hu to mai free me ye SB kr skta hu…..jaise ki sitemap submit karna had post k liye or flying widgts add karna etc. But blogger pe space 1 GB tk hai Lenin wahi ye WordPress pe 3 GB to hai…
1GB image ke liye hai, aap kitni image uploa kar sakte ho socha hai isme… Agar 10 saal tak bhi roj 10 imageupload kare jab kahi bharayega… or agar fir memory badnani ho to badba sakte hai… or jitni bhi chije mene site par batai hai bo sab kar akte hai..
thanks, Rohit…
Webhosting se mai kya kya kar skta hu or ise lene k baad monthly rental bhi dena pdta hai….???
or Mujhe koi achhi c suggestion do meri free wordpress site k liye k kaha se webhosting lu or konsi better or affordable rahegi jo jada costly na ho or features b thik thak
hosting kesi or kaha se le uski jankari yaha hai
Paypal par account kaise banate he?
paypal par account kaise banaye uski jaankari yaha hai
Paypal par account nhi ban raha he?
Thank you very much sir
Usse kese use kr Skte he WO to dusre blog PR Hai Jo mene delete kr rkha he .is me to alrdy used account bta RHA
haa to aap fir se account nahi bana sakte. aap login kare usme apne blog ko add kare.
Sir me apko detail me baata hu mene ek email I’d PR 2 blog bnaye the
Ek pr mene adsense ka account bna liya tha
Aor ab mene wo blog delete kr rkha hai
Aor jo dusra he me uspr mehnat kr rha hu
Aur isme he AdSense account banana chata hu but is me already account used bta RHA he ab kya krna chiye
Kya is blog PR AdSense dusru email I’d se ba ste h kya
aap ussi adsense account ko use kar sakte ho. par ek baat ka diyaan rahe jo adsense ki term conditions hai uska palan hona chaiye aapke dusre blog me bhi. nahi to aapka adsense account block ho sakta hai.
Hello sir
Mene jis gmail account. Me apna blog bnaya he usme AdSense. Phle se approval Hai ab mere blog PR mere gmail account me AdSense login Nhi ho RHA an mujhe kya krna chiya kya ab mujhe fir se dusre gmail account. Me dusra blog banana pdega.kuch ESA btaye jise mera blog bhi rhe or AdSense bhi approval ho jaye mujhe bhut time LGA he bog bnane me Mujhe kya kRNA hoga btaye sir plz
Me apni email I’d PR hi kRNA chata hu
Aapka adsense account approved hai agar blog ke liye to aapko koi paresaan hone ki jaarurat nahi hai. Adsense me aap irect site par jaa kar bhi dekh sakte ho apne adsense account ki earning.
Sir mera yuotube me adsence account hai kya main blogger me adsence account bana sakta hu
Aapka jo account hai aap ussi me blog ke liye apply kar sakte ho. par bog ke liye account alag se approved hoga jab aapke blog me ads dikhege
sir hamare niman sabaal hai
1. sir mai apne blog par job , result , answer key , etc . (free job alart.com) ki trah ye kaam apne blog me kaise hota hai.
2. kya mai 1 e-mail se 6 blog bana sakata hu. aur uspaar alag- alag catiegry ke post dalna chahta hu.
3. key word kya hote hai aur kaise blog me key word daalu
4. kya sir apki site paar html ki coding milegi jo ham blog par use kar sake.
sir plz jabab jaldi dena .
thankingyou
namskar sir,
sir uper diye huye sabal me sabal no.1 ka aapne answer diya hai ki (Haa aap kar sakte ho, simple aap unki post share kare or unko labels me jarur dale.) me post share kaise kare jisse result,answerkey,cutoff, etc.blog par daal saku mujhe puri jankari dene ki karpa kare sir. aur baki aapke answer ke mai samj chuka hu aur lebal ko bhi samj chuka hu sir
thanking you.
Aap mere site par LABELS search kare or uski post pade
sir,
aap lebale me to mujhe jankari nahi mili
aap esko daldo ki yha par lick ya yha pade.
next sabaal hai blog me jo page banate hai to agle page me jane ke liye yaha click kare vo kaise lagate hai sir.
thankingyou.
Ye link add karni padti hai dusre page ki… Aap post editor ki jaankari wala post pado.. Usme link ka bhi diya hai
helloo sir
sir mai jab apne post me ad ka cod pest krta hu to vo cod hi pest ho jata hai ad ni ati koi. only vo cod hi rah jata hai. plz help me sir
Jo code hota hai wo HTML me hai aap usko HTLM view me dale. Post editor ke HTML section me
Sir bidvertise par account to ban gaya hai iske baad main aage ke step bhi sahi bharta hu to errors aa raha hai the website u r – malformed Yeh likha hua aata hai
lahta hai aap apne website ka url sahi se nahi daal rahe hai. uske check kare
sir PayPal par
account kaise banata hai, iske liye apne jo link dala hai vo open ni ho rha sir plz bataye
Aap ye post pade
Rohit sir
Sorry main apko fir disturb kr RHA hu is bar reply jarur kr dena plz
Mene apne blog me bidvertiser ad lgya he ad show bhi ho rhe he. But problem ek ad blog k sabse niche (down),me aa RHA Jo Nina click krne se hi plystore me bar bar khul rha Hai
Me Nhi chata is ad PR kisi she anjane me click ho jaye plz helf me
Aap mobile me khol rahehai or to ye popup ads to aata hai aap isko bidvertiser me jaa kar disable kar sakte hai, or select kar sakte hai ki aapko kaise ads dikhna hai blog par.
sir apne blog par visitor ki sankhya kaise bdha skte hai
Bro muje bidvistor me code mil gya abi blog mai kaha past kro?????
Sir mene abhi. AdSense PR. Account Nhi bnaya mere bog ko 6 month Nhi h PR apne 1 post me lika that jb take AdSense approvl Nhi ho vidvertiser use kr skte ho mene account bna liya Hai code bhi mere paS he ab kya kRNA hoga
But mene abhi adsend approve Nhi kiya
Hi rohitji mera saval hai ki market me digital case course aur digital profit course he jo ki 6 digit income ki guarantee dete he. kya ye course such he ya frji he.
iska me kuch nahi kha sakta par haa ek baat hai income kisi bhi digit me ho hame us layak banna padta hai. Agar koi gadha uska course karega to kya hoga unki guarantee kaa. Mera khaena ka matlab hai koi kisi ki Guarantee nahi le sakta. Agar koi Guarantee leta hai to usse Stamp par likhbao ki agar muje 6 digit income nahi huii to jitne kam padege utne tum milakar doge.
Last me pata hai kya hga kha dege hamne to padaya aap pade nahi to hamari kya galti.
Me aapko Suggest karuga ki agar aapka us chij me interest hai to hi kare or ye guarantee ke chakkar me naa padee..
Thnx sir mujhe code mil gya he an aage kya krna hae ye kaha pr past krna ha
Jo latter hai usme diya hoga. aap apne adsense account me login karke setting me jao. jo latter hai uspar uska link bhi hoga aap usko khol kar apna code dale.
Sir mene bidvertiser PR account bna liya he PR code Nhi mila apke. Step follow bhi kiye the or na hi koi ad dselect hua he an mujhe aage kya kRNA chiye kuch btaye
Bhai plsss yr apna whatsapp no DE do plsss
Agr meri ads per kisi ne click kr diya to kitne peise milenge aur vo kaha ayege… Obc bank account me aa sakte hai kya…
hi, aapki ye post padhi bhout useful thi mere liye but ek dout tha mera blog abhi naya hai lagbhag 1 month hi hua hai. to adsense aproov hone me abhi 5 month hai ok. to man lo mai abhi bidvertiser ke ads laga du aur 5 months bad jab mera adsense aprooved ho jayega to mujhe adsense ke ad lagane hai to ye bidvertiser mere blog se hatega ya nahi aur agar hat bhi gaya to adsense vale kuch kahege to nahi jaise – app isse pehle bidvertiser ka use kar rahe the to ab ham adsense nahi lagane dege ya aisa hi kuch lafda ho jaye, aisa kuch to nahi hoga na
please jawab jarur dena |
mere blog me 97 page view ho gye h n bidvertiser me 83 Impressions show ho rhe h pr payment 0.00 hi aa rhi h plzzz help me
To ye to naa ke barabar hai. 1000 impression par 1 ho Jaye to badiya hai. Per day Hona chaiye jab koi matlab hai. Jitne jada din me views hoge utna hi kam ratio milega income ka.
rohit sir, maine apke is post ke jitne bhi comment hain sab padhe hain. aapne har ek sawal ka jawab diya hai , aur sabse behtareen baat ye ke aap kisi ke kaise bhi aur kitne bhi sawalon se preshan nahi hote. jabki log ek hi sawal ko bar bar puchhte hain. agar woh sare comments dhyaan se padhen to unko apne sawlon ke jawab khud mil jayen. khair jo bhi hai, main apki is behtaren service k liye mubarakbad deta hun. apki help darkar hui to apko zaroor yaad karunga….. apka fan yavar khan… thankyou….
Thanks,
Me aese hi comment se or motivate ho hata hu or Jada logo ki help karne ke liye. :)
bloges hote kya h
My name prince….
Hi bro rohit ji how are you.. Mujhe b ek new site banani ha plzz help karo..
Aap mujhe wahtsapp pr msg karo mane apse kuch baat karni ha site k bare ma.
Mera wattsapp number 09914545399 h please msg karo bhai
Aap merri ye post pado isse aapko bhut kuch sikhne ko milega. BLogger Posts
Hello bro rohit ji how are you.. Mujhe b ek new site banani ha plzz help karo..
Aap mujhe wahtsapp pr msg karo mane apse kuch baat karni ha site k bare ma.
Mera wattsapp number 09914545399 h please msg karo bhai
meri ID bidvertiser par 15 din se bani he or accounts types me mene publisher kar rkha he or me roz get code me ja kar HTML code le kar mere blog me paste kar rha hu par kuch bhi nahi ho rha plz help me
ye aap kya kar rahe ho roj q code ko add karte ho. Sirf ek baar ads ke code ko add karnahai apne blog me.
theek hai agar ap nhi batan chahte to mat batao me toh aise puchraha tha and ye bataiye agr hamara adsense accnt Ban hogya toh fir kabhi vo acnt use kar sakte hai ya nahi..
aur hamare ads par khud click kar ne se ban hota hai adsense… Manlo agar me Apke jo ads lage hai yahan unpar mai 1000 bar click karunga toh Apka account Ban hojayega kya.?? jaldi bataiye me abhi try karne wala hun
Sir meri bidadvisiter wle accccount me ad new bidvisiter ka option hi nahi aa raha
New Bidvatizer ka option nahi aata. isski kaha jarurat pad rahi hai
Website ko app me kaise badlein
Vijid ji, abhi me khud Android Apps banana sikh raha hu. Bhut jal aapko HMH.pe Android app mil jayega. uske baad me post bhi share karuga kaise andoid app banaya jaye. :)
Bas aap hamse jude rahiye. or hamari help karne ke liye apne dosto ko bhi Hindi Me Help ke bare me batate rahiye.
aapka bidvertiser account ka category aur sub category kya hai. yahi janna chahta hun
Mere blog post adsense ke ads hai.
Uske to aap bo select karo jo aapke blog se relate karta ho
Theek hai jab 1501 impression hojayenge to apko batunga.. apke site ka category or sub category kya hai
Aap kya puchna cha rahe ho me samja nahi.
Kya aap ye jaanna chate ho ki meri site kis topic ko cover karti hai to bo hai Internet or jo in me se Main hai jisme me master hu bo hai Blogger or youtube
Mai apne blog par facebook ka link kaise add karu,mera blog adsence se connect nahi ho rha hai mai kahi se copy past nahi kia hai.
mujhe apni website me next ka option jodna h
me uske bare me post daalta hu aap thoda wait kijiye.
Mai apne blog par facebook ka link kaise add karu,mera blog adsence se connect nahi ho rha hai mai kahi se copy past nahi kia hai.
Aap meri adsense ko approve karne ke liye kya jaruri hai wo post pade..
Or fb me link karne ka koi process thodi hai simple aap uski link add karde
rohit aapki jankari bahut acchi aur useful hai par aap ye bataiye ki mai blogs me adsence ke jariye mahine ka kitna income kar sakta hu
Income ki to koi limit nahi hai. q ki ye koi job nahi hai. 10 lakh per month kamane wale bhi hai India me.
blog ko adsense se jodne k lie blog ka kitne din purana hona jaruri hai.abhi mai adsence me account nahi bana pa rha hu.
6 month ke lagbhag. or post bhi badiya hona chaiye jo kahi se copy bhi naa kiye ho.
Apke payment proof me 1501 impressions hai aur 34 points $43 revenue hai. Agr hame b itne impressions milenge to $43 milega
Bilkul milna chaiye. Par iski me guaranty to nahi le sakta. Par jab muje mile to aapko usse Jada bhi mil sakte hai
Maine ek blog banaya hai.kya hm kisi image ko copy kar keblog me daal skte hai or agar kisi site ki link daalni hai to usse v copy kar skte hai.isse mera adsence me koi problem to nahi aayega na.jaise hm koi postdaalete hai or wo post pahele se google me hai to kya mera post copy kahalayega.
Agar aap khud uske bare me likhte ho to boo alag to ho hi jayegi fir usse koi dikkat nahi. par agar aapne direct copy karke dali to 90% aapka Adsense account delete ho sakta hai. isliye apne contant hi dali or risk free rahe.
Adsence aur bidvertiser k siwaye koi site jis k ads hindi blog pr laga sake.
koi aasi site bataye jis k approval bidvertiser jitna aasan ho bhale hi kam pay karta ho
media.net ye yahu ki hai par iske liye site par ache visitor hona jaruri hai. jab hi approve hota hai.
Bhai main apne blog par is site ki ads use karta hu
par operamini me iski ads se apne app playstore khul aata hai.
maine sab ku6 Karke dekh liya, popup bhi hataye par ku6 Nahi hua
Main chahta hu k meri site operamini se khule ta k meri income jyada ho , please koi tareeka ho to bataye
Bhai jaldi bataiyo na
Wah kya jankari di hai bhai aisi jankari kahi aur se mil hi nhi sakti.. thanks
Rohit je mera ek blog hai blogger pe usme 10 posts hai sports ke related aur 800 se 1000 visitors aate hain per day toh meri income kitni hoshakti hai isse aur kya me ek hi ad code 10 posts pe dalsakta hun? Matlab koi problm to nhi hogi na kyunki me har post pe 3 ads dikhana chahta hoon toh me sirf ek hi baar 3 ad code generate karke same codes baki posts par dalsakta hun?
Aap ek hi code ko jitni jagha dikhana chahe dikha sakte ho. par agar aapko koi alag size ya type ka ads dikhana hai to hi naya ads code banane ki jarurat hai.
800-1000 agar visitor hai to jitni meri hoti hai us hisab se aapki per day lagbhag 10$ ke aas pass to hni chaiye..
Mene abhi ek HMH Forum banaya hai aap uspar apna account jarur banaye or jo bhi sabaal ho usko baha post kare or dusro ke sabalo ka agar aapko jabaab pata ho to unke jaabab bhi jarur de.
Agar hamare blog par daily 10,000 Visitor aate hai.
To us par agar baki cheejo ko ek saman mane to Bidvertiser aur Adsence se hone wali income me kitna diffrence hoga?
Mera jo experience hai us hisab se adsense ki earning lagbag double hai BidVertiser se.
Agar 10000 view per day hai to 40-50$ income ho Jati hai
Rohit ji pls jawab dijiye kuch samjh nhi araha he kya kro