Website Conversion Tracking kaise kare Google Analytics me

Website Conversion Tracking kaise kare Google Analytics me - Blogging

Kya aap janna chahte hai Aapki website par agar koi visitor Form fill kar raha hai to wo kaha se aaya hai? Agar ham koi Ad chalate hai ya kisi bhi tarah se promotion karte hai to hamare liye ye track karna bahut jaruri hai taki hame pata chal sake ki hum ne jitne paise lagaye promotion me uska kitna result mila.

Jese hi ham Lead Source Tracking setup kar dete hai apni site me uske baad ham aasani se dekh pate hai ki jo Leads aa rahi hai wo kisi website se aa rahi hai, ya kisi Ad Campaigns se.

Advertisements

Iss Article me ham wahi dekhne wale hai, ki kaise Track kare ki jo Form fill ho rahe hai wo user kaha se aa rahe hai, Chaliye start karte hai….

Form Conversion ke Source kaise Track karte hai Google Analytics me

Kisi bhi conversion ko track karna hai agar Google Analytics me, to uske liye hame Google Analytics me Goal set karke uska Code page me add karna padta hai jo bhut jhanjat wala kaam lagta hai or usme time bhi bhut jada lagta hai.

Par yahi kaam ham Monsterinsights ki madad se badi aasani se kar sakte hai. isme simple hame Form conversion ko track karne ke liye Monsterinsights Forms Addon hai unko add karna hai.

Simple Monsterinsights Plugin install karne ke baad usko Google Analytics se connect karna hai, fir Insights >> Addons par click karke Forms Addon ko Install karna hai.

Website Conversion Tracking kaise kare Google Analytics me - Blogging

Form Addon ko install karne ke baad uske Status me Active likha aayega, uska matlab ab ye use karne ke liye ready hai.

Website Conversion Tracking kaise kare Google Analytics me - Blogging

Ab MonsterInsights automatic data record karna start kar degi, ye data aap Insights >> Reports >> Forms me jakar dekh sakte hai.

Jitne bhi Form aapki website me hai unpar kitne visitor aaye, kitno se form ko fill kiya or kitna percentage Conversion raha sab kuch aasani se dekh sakte hai.

Website Conversion Tracking kaise kare Google Analytics me - Blogging

Agar or Detail me dekhna hai, ki jo Conversion aa rahi hai wo kaha se or kaise aa rahi hai to uske liye aap apna Google Analytics ko open kare. jada jankari ke liye read kare Form Conversion ko kaise Track kare Google Analytics me.

Agar aap ek marketer hai to aapke liye ye data kitna useful hai wo mujhe batane ki jarurat nahi hai.. Agar aapko pata hai user site par kaha se aa raha hai or site par kya kar raha hai to badi aasani se pata laga sakte hai ki usko kya pasand hai ya kya usko chahiye..

Uss data ka use karke ham unko EMail or Social Site par ads se target karke Leads generate kar sakte hai.

At Last:

We Hope aapko ab samaj aa gaya hoga hamari site par agar Leads generate ho rahi hai to unko kaise track kare or kaise unko track karke use kare taki hame jo Lead generation ka result hai wo accha mile or hamari earning bade.

Agar aapka abhi bhi koi Doubt hai Lead Tracking se related to aap comment karke puch sakte hai.

Share on:

Internet Ki jankari ham Hindi Me Share karte hai.. Hamse Judne ke liye Social Network par hame Follow kare!


Leave a Comment

Please Read HMH Comment Policy before Comment.

5 thoughts on “Website Conversion Tracking kaise kare Google Analytics me”